babul ki beti

Post on 06-Aug-2015

1.770 Views

Category:

Documents

3 Downloads

Preview:

Click to see full reader

TRANSCRIPT

BABUL KI BETIHappy mothers day…

ek bade jamidar ke ghar pyari c kali ka janm hua,

gulam tha desh fir bhi mahol me jashn hua.

us jamidar ne apni beti ko sare sukh uphaar kiye,

yu kaho ki babul ne apne sare sapne sakar kiye,

par betiyo ki kismat me babul ka pyar kaha hota hai,

shadi ke baad to pati hi sarvesarva hota hai,

ek deshpremi se babul ne us ladki ki shadi kar di,

babul ke ghar se vida hokar ab dulhan chal di,

ladke ne bhi paristithiyo ke vipreet kaam kiya,

doctor hokar gareebo ka free ilaz kiya,

samaj-seva se doctor ko bahut samman milta gaya,

us mahila ka bhi maan - parivar badta chala gaya.

desh ke halat dekh kar us ladke ko kathor nirnaya lena pada,

apne parivaar aur apne desh me kisi ek par dhyan dena pada,

diya dhyan desh par to parivaar chhutne laga,

nari rahi adig to sab ye thhaharne laga.

us naari ne akele poore parivar ki jimmedari uthayi.

apne teeno ladko ko achhi taleem thi dilayi.

apne bachho ko bade chaav se wo rakhti thi,

khud bhookhi rah kar bachho ki ichha poori karti thi.

jeevan ke katheen sangharsho me bhi usne dherya se kam liya,

ek achhi beti ,achhi patni, achhi maa ban jeevan ka nirvah kiya.

ACHHA banane ki chahat me naari ko kya kya sahana padta hai,

sukh saare de kar ke dukho ko has kar apnana padta hai.

swargeeya hue pati aur samay gujarta chala gaya,

kuch samay baad teeno ladko ka vivah ho gaya.

naye teen tareeko me us maa ne apne ko anukool banaya,

yahi vyatha hai nari ki ,ki kya socha tha aur kya paya.

par hua wo jiska kisi ko bilkul b andesha na tha,

baata ghar teen hisso me, par us maa ke paas kuch bhi na tha.

ek koti mudra ko teeno ne jaise taise apas me baat liya.

paa kar dhan teeno ne ,ek duje se bandhan tood liya.

teeno apni patni ke sath nayi raah me nikal gaye,

aur us buddi maa ko uparwale ke bharose chhod gaye.

kaun karega faisla ki uske sath sahi hua ya galat hua,

besharm , swarthi, dhoort santaan ko q usne janm diya.

devi ma ne nari ko bhi takatwar aur shaktimaan banaya

beti ne haath thama maa ka jab beto ne thukaraya..

maa ka drad beti se badkar koi samajh nhi sakta,

jiske paas hai beti us maa ka koi kuch kar nhi sakta.

kya yahi hai nayay hamare is samaj me,

maa hona bhi paap hai is nashvar sansaar me.

hey devi maa tu betiyo ko aseem shakti pradan karna ,

har nari parivar sang manaye tyohar yahi vardan pradan karna.

vaise to beti baabul ka sabse bada sapna hoti hai,

phirr q is sansar me betiyo ki kami hoti hai..

us buddi maa ne jeevan paryant kasht uthaya,

aur akhir me apno ne hi kiya use itna paraya.

par wo maa shayad abhi bhi is ummid me jeeti hai,

ye sab kuch sapna hai, wo to abhi babul ki beti hai

top related