babul ki beti

24
BABUL KI BETI Happy mothers day…

Upload: akshatkumararya

Post on 06-Aug-2015

1.770 views

Category:

Documents


3 download

TRANSCRIPT

Page 1: Babul ki beti

BABUL KI BETIHappy mothers day…

Page 2: Babul ki beti

ek bade jamidar ke ghar pyari c kali ka janm hua,

gulam tha desh fir bhi mahol me jashn hua.

Page 3: Babul ki beti

us jamidar ne apni beti ko sare sukh uphaar kiye,

yu kaho ki babul ne apne sare sapne sakar kiye,

Page 4: Babul ki beti

par betiyo ki kismat me babul ka pyar kaha hota hai,

shadi ke baad to pati hi sarvesarva hota hai,

Page 5: Babul ki beti

ek deshpremi se babul ne us ladki ki shadi kar di,

babul ke ghar se vida hokar ab dulhan chal di,

Page 6: Babul ki beti

ladke ne bhi paristithiyo ke vipreet kaam kiya,

doctor hokar gareebo ka free ilaz kiya,

Page 7: Babul ki beti

samaj-seva se doctor ko bahut samman milta gaya,

us mahila ka bhi maan - parivar badta chala gaya.

Page 8: Babul ki beti

desh ke halat dekh kar us ladke ko kathor nirnaya lena pada,

apne parivaar aur apne desh me kisi ek par dhyan dena pada,

Page 9: Babul ki beti

diya dhyan desh par to parivaar chhutne laga,

nari rahi adig to sab ye thhaharne laga.

Page 10: Babul ki beti

us naari ne akele poore parivar ki jimmedari uthayi.

apne teeno ladko ko achhi taleem thi dilayi.

Page 11: Babul ki beti

apne bachho ko bade chaav se wo rakhti thi,

khud bhookhi rah kar bachho ki ichha poori karti thi.

Page 12: Babul ki beti

jeevan ke katheen sangharsho me bhi usne dherya se kam liya,

ek achhi beti ,achhi patni, achhi maa ban jeevan ka nirvah kiya.

Page 13: Babul ki beti

ACHHA banane ki chahat me naari ko kya kya sahana padta hai,

sukh saare de kar ke dukho ko has kar apnana padta hai.

Page 14: Babul ki beti

swargeeya hue pati aur samay gujarta chala gaya,

kuch samay baad teeno ladko ka vivah ho gaya.

Page 15: Babul ki beti

naye teen tareeko me us maa ne apne ko anukool banaya,

yahi vyatha hai nari ki ,ki kya socha tha aur kya paya.

Page 16: Babul ki beti

par hua wo jiska kisi ko bilkul b andesha na tha,

baata ghar teen hisso me, par us maa ke paas kuch bhi na tha.

Page 17: Babul ki beti

ek koti mudra ko teeno ne jaise taise apas me baat liya.

paa kar dhan teeno ne ,ek duje se bandhan tood liya.

Page 18: Babul ki beti

teeno apni patni ke sath nayi raah me nikal gaye,

aur us buddi maa ko uparwale ke bharose chhod gaye.

Page 19: Babul ki beti

kaun karega faisla ki uske sath sahi hua ya galat hua,

besharm , swarthi, dhoort santaan ko q usne janm diya.

Page 20: Babul ki beti

devi ma ne nari ko bhi takatwar aur shaktimaan banaya

beti ne haath thama maa ka jab beto ne thukaraya..

maa ka drad beti se badkar koi samajh nhi sakta,

jiske paas hai beti us maa ka koi kuch kar nhi sakta.

Page 21: Babul ki beti

kya yahi hai nayay hamare is samaj me,

maa hona bhi paap hai is nashvar sansaar me.

Page 22: Babul ki beti

hey devi maa tu betiyo ko aseem shakti pradan karna ,

har nari parivar sang manaye tyohar yahi vardan pradan karna.

Page 23: Babul ki beti

vaise to beti baabul ka sabse bada sapna hoti hai,

phirr q is sansar me betiyo ki kami hoti hai..

us buddi maa ne jeevan paryant kasht uthaya,

aur akhir me apno ne hi kiya use itna paraya.

Page 24: Babul ki beti

par wo maa shayad abhi bhi is ummid me jeeti hai,

ye sab kuch sapna hai, wo to abhi babul ki beti hai