sample copy. not for distribution. - book publishing house · pdf filealag karne ki koshish...

21
Sample Copy. Not For Distribution.

Upload: vanngoc

Post on 15-Mar-2018

225 views

Category:

Documents


1 download

TRANSCRIPT

Page 1: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 2: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

i

Believe in I

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 3: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

ii

Publishing-in-support-of,

EDUCREATION PUBLISHING

RZ 94, Sector - 6, Dwarka, New Delhi - 110075

Shubham Vihar, Mangla, Bilaspur, Chhattisgarh - 495001

Website: www.educreation.in __________________________________________________

© Copyright, Author

All rights reserved. No part of this book may be reproduced, stored in a retrieval system, or transmitted, in any form by any means, electronic, mechanical, magnetic, optical, chemical, manual, photocopying, recording or otherwise, without the prior written consent of its writer.

ISBN: 978-1-61813-610-7

Price: ` 195.00

The opinions/ contents expressed in this book are solely of the author and do not represent the opinions/ standings/ thoughts of Educreation.

Printed in India

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 4: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

iii

Believe in I right step towards success

Kuldeep Sankhla

EDUCREATION PUBLISHING (Since 2011)

www.educreation.in

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 5: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

iv

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 6: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

v

“To my motherland”

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 7: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

vi

Introduction

P

Is duniya mein success hona almost har koi chahta

hai. Har koi ye chahta hai ki wo success ho. Ab

success hone ke alag alag tarike bhi hote hain aur

har koi wo alag alag tarike karke bhi dekhta hai, for

example, koi higher education leta hai, koi achi job

shuru karta hai, koi videsh chla jata hai to koi kuch

alag karne ki koshish karta hai. Fir bhi kaafi had tak

wo log bhi hote hain jo bahut kuch paane ke baad

bhi apne aap ko success nahi mante hain aur ye

kahte hain ki nahi yaar, ye bhi koi life hai? Kash

main ye hota, kash main wo hota, mere dreams abhi

pure kahan hue hain? Abhi to bahut kuch paana hai.

Jo ab tak maine likha wo to apko pta hi hoga,

ab jaruri ye hai ki main apko kya btane wala hun?

Main apko ye nahi btane wala ki aap kis field mein

ja kar apne aap ko success bna sakte ho, aur na hi ye

btane wala hun ki success hone ke liye apko konsi

job karni hai, but main ye likhne ja rha hun ki apko

successful hone ke liye kya nahi karna chahiye aur

kya karna chahiye? Ab ye apke upar depend hai ki

aap kya karne wale ho? Aur kya nahi karne wale

ho? Is book mein apko kam se kam ye jarur pta chal

jayega ki successful insaan ki koi umar, koi degree,

koi limit nahi hoti. Ek chhota sa bacha bhi

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 8: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

vii

successful insaan ho sakta hai aur ek budha bhi, ek

physically disabled bhi ho sakta hai aur ek healthy

insaan bhi. Matlab kahne ka saaf aur sidha hai ki

aap mein se har koi jo ye book padh rha hai ya nahi

bhi padh rha hai, wo bhi successful ho sakta hai.

Is book mein wo dono batein hain ki apko kya

karna hai ya kya nahi karna hai, sab likhi hongi but

ye dono alag alag chapters mein nahi hongi, ye

dono ek sath chlengi, bas apko dhyan se padhna hai

aur useful baton ko bahar nikaal lena hai. Waise

useful to sari batein hongi but jo apke liye jyada

useful hongi, wo aap apne liye nikaal lena. OK?

W

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 9: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

viii

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 10: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

Believe in I

1

_____________________________________________

Ye wo cheej hai jiske bina hamare jeene ka koi

maksad hi nahi hai. Ye to aap sabhi jante bhi ho ki

jarurat insaan ko kya se kya bna sakti hai. Iske

baare mein to sab kehte hain ki jarurat ne hi insaan

ko kamyaab banaya hai. Har ek invention, ek jarurat

ko pura karne ke liye hi hua hai, fir wo chahe

television ho, radio ho, mobile ho ya fir chahe

internet ho. Humne apne liye hi duniya bhar ke

invention kiye hain jinse hmari life simple ho gyi

hai. Aur agar hum apni daily life ki baat karen to

main kahunga ki jab hum har roj subah uthte hain to

humko pta hota ki aaj humko kis cheej ki jarurat hai

aur uske liye humko kya karna hoga?

Ye to tha ki ye jarurat kya cheej hai. Ab ye

btane ja rha hun ki is jarurat ki humko kya jarurat

hai? To matlab ekdam simple hai agar apko apni

life mein kuch karne ki chahat hai, kuch aisa ki jise

log yaad rakhen aur apko samjhne lage, to ek jarurat

apne andar paal lo aur us jarurat ko aap kah sakte

ho, ‘success ki jarurat’. Ab iske liye apne jo bhi

karna hai wo apki jarurat bhi puri karega aur jis din

apki jarurat puri ho gyi, aap success ki top par

pahunch jaoge lekin ye jarurat apko khud ko apne

liye paida karni hai. Main kisi bhi topic ko yun hi

Jarurat 1

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 11: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

Believe in I

2

majak mein nahi kahta, har topic ka ek explanation

aur apko example apko sath mein milenge. Aap

maan lo ki apne khud ke andar ‘Nobel Prize’ paane

ki jarurat paal rakhi hai to is jarurat ko aap waise hi

pura karna chahoge jaise ki aap khaane ke liye paise

kamate ho aur uske liye mehnat karte ho agar aap

koi work karte ho to, warna agar ye apka field nahi

hai ho to ye apke liye example sahi nahi hai, ab ye

baat bhi badi hai ki Nobel Prize paana lekin wo log

jo isko apni jarurat bna lete hain, wo apne aap ko is

kaabil bhi bna lete hain ki ek din unki ye jarurat

puri ho jati hai aur agar nahi bhi hoti hai to wo is

baat kaa afsos bhi nahi karte kyunki unhone iske

liye kam se kam apne aap ko iske layak to samjha.

Ek baat aur bhi hai ki jab bhi koi aisi jarurat jo

humko puri karni hi hoti hai, uske liye hum kisi bhi

had tak ja sakte hain, for example agar apko kuch

mitha ya ice cream khane ka dil hota hai to aap pure

bazar mein ghumte ho aur jab ice cream wale mil

jate hain to aap bade khush hote ho. Theek waise hi

apko apne aim, apne target ko apni jarurat bnana

hoga aur jab tak wo na mile, uski search mein lage

raho aur tab tak chain ki sans mat lo jab tak ki wo

apko mil na jaye aur jis din wo jarurat apki puri ho

jayegi us din apki khushi us ice cream ke mil jane

se lakh guna jyada hogi.

Ab picture thodi thodi clear hone lagi hai ki

sabse pehle apko apni ek khas jarurat paalni hogi jo

ki apka target, apka aim hoga. Wo kuch bhi ho sakta

hai, for example; exam me top karna, achi job

milna, national award milna, cricket team me select

hona ya fir kuch bhi.

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 12: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

Believe in I

3

Wo kehte hain na ki jarurat insaan ko jeena

sikha deti hai, bure se bura kaam bhi jarurat humse

karwa deti hai but apko bure se bura kaam nahi

karna, bas ache se acha aur bahut simple sa kaam

karna hai aur wo hai apko apni jarurat ko yaad

rakhna hai aur tab tak yaad rakhna hai jab tak wo

apke jeene ka maksad na ban jaye, uske baad wo

jarurat apko bhulne nahi degi ki apko karna kya hai.

Kaafi baar ye sawal dil mein aata hai ki hum jo

bhi sochte hain apni jarurat ke bare mein, kya usko

pura karne ke liye kuch galat to nahi kar rahe hain

aur dusra hum kafi baar ye bhi sochte hain ki kahin

aaj jo hum soch rahe hain apni jarurat ke bare mein,

kya wo future mein humko mil jayegi? Kahin hum

is tension bhari life mein use skip to nahi kar

denge? To iska bada simple sa jawab hai ki is

jarurat ko apni daily life ka part bana lo aur yaad

rakho ki apki jarurat kya hai, ye thik waisa hi hai

jaisa ki hum agar ek mahine baad kisi shadi mein

jaane ka plan bnate hain to uske baare mein almost

roj thoda thoda sochte hain ki us din mujhe dress

kya pehnni hai? mujhe wahan kis kis se milna hai?

Dance kis song par karna hai? Etc. Etc. Etc. To

theek isi tarah apko ye dhyan rakhna hoga ki aap jo

aaj apni jarurat ke bare mein soch rahe ho wo kal ko

pura bhi karna hai aur iske liye roj thoda thoda

karke aage badhte raho.

Ekdum se to aap agar apne goal ko achieve

karna chahoge to sayad baat bigad sakti hai. Apko

theek waise hi badna hai jaise ki ek chota bacha

dhire dhire ghutno ke sahare chalta hai fir ungli ko

pakad kar chalta hai fir wo bina sahare ke dhire

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 13: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

Believe in I

4

dhire chalta hai aur kuch time ke baad wo bhagta

hai. To apko bhaghna bhi hai apni jarurat ke liye

lekin filhaal to apko apni jarurat ko plan karna hai.

Abhi ap kuch der ke liye socho ke apki soch

mein koi jarurat hai is life mein ya apne abhi tak koi

jarurat paali hi nahi hai kya? Agar nahi to pahle aap

us jarurat ke baare mein socho jise aap apna dream

bana sako aur fir wo apko success ke top pe le

jayegi. Apko ye sab sochne mein main thodi help

kar deta hun, apko sirf wo cheej sochni hai jisme

apka passion ho, aap jis field mein expert ho ya

apko jis field mein sabse jyada maja aata ho wo

apki jarurat bhi ho sakti hai aur wo apka dream bhi

ban jayega, koi mushkil kaam nahi hai, sirf khud ke

baare mein aur khud ke liye sochne mein, kyunki

aap apne aap mein unique ho, sabse alag ho, jo

kaam aap kar sakte ho wo koi dusra nahi kar sakta

matlab ki kuch to aisa hai aap ke andar jo sirf aur

sirf aap kar sakte ho aur sirf aur sirf aap hi karoge.

To bas shuru ho jaiye apni jarurat ke baare mein

sochne mein aur apko agar lagta hai ki aap abhi tak

ye decide nahi kar paa rahe hain ki apko karna kya

hai aur aap kya kar sakte hain? to kuch time ke liye

ye book band kar dijiye aur tab tak sochte rahiye jab

tak ki apko ye na lage ki haan! ek kaam hai jo sirf

main kar sakta hun aur koi nahi, to uske baad aage

padhna shuru kijiye aur aap agar wo hain jisne apni

jarurat paal rakhi hai aur abhi bhi thodi confusion

hai to aage next chapter mein apka welcome hai.

W

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 14: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

Believe in I

5

_____________________________________________

Ok, to apne apni jarurat ko samjha, uski ahmiyat ko

agar samajh liya hai to kyun na iski thodi detail

mein chalte hain aur iski modified form ko samjhte

hain.

Apki jarurat ko aap ek target ka roop de do aur

us target ko bade bade words mein likh kar apne

room mein wahan chipka lo jahan apki najar sabse

jyada padti hai. Wo jagah apke tv ke paas ho sakti

hai, apki almari ke saamne ho sakti hai, apke study

room mein ho sakti hai ya fir kahin bhi jahan aap

aksar apna jyadatar waqt bitate ho. Jahan bhi apka

dil kare, lekin use hamesha yaad rakho kyunki ek

wo hi aisi cheej hai jispar agar aap ne pura dhyan

diya aur use paa liya to apne aap mein unique ban

jaoge.

Yahan ek baar fir se dhyan do, apka target aisa

hona chahiye jo apka khud ka koi talent ho, na ki

koi aisi jarurat jo aap sirf apni mauj masti ke liye

paal rakhi ho, kisi galatfahmi mein mat rahna aur

apne target ko set karo jo apko, aap ke parents ko

garv se jeene ke layak bna de.

Apne target ko paane ki lalak apne aap mein

honi chahiye aur uske liye hi apko har time koshish

karni hogi. Par ek sawaal hamesha aata hai ki kya jo

Target 2

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 15: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

Believe in I

6

main apko bta raha hun wo practical hai? Matlab

kya wo sach mein ho sakta hai, kai baar hum sochte

hain ki meri to wo condition ya situation hi nahi hai

ki jo main sochta hun ya paana chahta hun wo kabhi

mujhe mil payega? To doston main apko batata hun

ki is duniya mein kuch bhi aisa nahi hai jo apko

bina kuch kiye mil jaye. Thodi mehnat to karni hi

padegi aur wo bhi sahi direction mein.

Bina mehnat kiye to hum khana bhi nahi kha

sakte, uske liye bhi humko khana muh tak lana

ladega, khair is topic par hum baad mein baat

karenge, pehle baat target ki kar lete hain.

Apne ek target set kiya but apko ye pta nahi hai

ki wo aap tak ya aap us tak kaise pahunch paoge?

To aage ke topic ko dhyan se padhna.

Sabse pehle un mushkilo ke bare mein baat

karte hain jo apke aur apke target ke lambe raste

mein kaanto ki tarah khadi hai. Pehli mushkil ye hai

ki aap ne khud ka target sahi jagah par set kiya hai

ya nahi kiya hai? Aksar jab hum apne target se chuk

jaate hain to iske piche reason bhi yahi hota hai ki

wo target apni jagah par tha hi nahi, to phir wo

target hila kyun apni jagah se? Hila wo isliye ki

humne us target ke sath ek aur koi dusra target set

kar diya hai aur hum sochte hain ki agar ye na mila

to dusra try karte hain, kyun bhai ye koi churan ka

pouch hai kya jisme inaam nahi nikla to dusra try

karte hain? Apne target mein option mat rakho

please! kyunki do boat par travel karne wale paani

mein gile jarur hote hain isliye bhaiya target ek hi

rakho. Aap ne apni life mein dheron aise example

dekhe honge jo sochte kuch hain, karte kuch hain

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 16: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

Believe in I

7

aur ban kuch aur hi jate hain, kyunki wo log ek sath

do option ke sath jeete hain aur hamesha akad-

bakad karte rehte hain but success nahi ho paate, so

please make your target and be loyal about it, aur

waise bhi chankaya jee ne bhi to kaha hai ki dusron

ki galtiyon se sikho kyunki khud ki galtiyon se

sikhne ke liye apki life chhoti pad jayegi. Khud

galati karoge aur us galati ko theek karne ki koshish

karoge to tab tak apki pension ki umar ajayegi.

Dusri mushkil ye aati hai ki hum soch bhi lete

hain ki hum to bas sab kuch kar denge, bas ab to jo

soch liya wo to karke hi dum lenge, successful ho

kar hi dikhayenge, but kuch time baad wo vichaar

thande pad jate hain aur thode time baad sab saaf.

Jo socha tha ya jo karna tha wo to dhara ka dhara

rah gya aur fir jo hai usi mein jeena sikh lete hain.

Fir bolte hain ki yaar ab kuch nahi ho sakta, kyun

bhai? aap kya koi devta ho jo ye decide kar loge ki

ab kuch nahi ho sakta? Jahan tak mujhe pta hai ki

kamyaab hone ke liye umar kuch bhi ho sab chalta

hai, success ke liye apply karne ke liye koi age limit

nahi hai, mera matlab yahan se saaf ho jaata hai ki

sarkari job paa lena thik hai lekin kya ye apko

satisfaction deta hai? In logon mein apne aap ko

duniya ke samne laane ki tammanna hoti hai wo

success ko top par rakhte hain aur kisi dusri baat se

compromise nahi karte. Ab abhi agar mujhse koi ye

puche ki bhai sahab meri age to fifty hai, main ab

kaise success paun, main to ab kuch nahi kar sakta,

kya karna ab ye success ka? To bhaiya ye book un

logon ke liye nahi hai jo kuch karna hi nahi chahte,

agar aap unme se hain to aage padhe ka koi fayda

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 17: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

Believe in I

8

nahi hai, isko yahin band kar do, but agar aap wo

hain jo chahe kisi bhi ymar ke hain aur kuch kar

dikhana chahte hain to aapka swagat hai. Ab

mushkil ye hai ki koi fifty years ka insaan kya kar

sakta hai, jabki usne apni kaafi age aise hi nikaal di,

to wo insaan abhi is umar mein bhi bahut kuch kar

sakte hain, use bas apna field select karna hoga ki

kis field mein wo kisi dusre ko kuch sikha sake

kyunki ye to sabhi jaante hain ki jaise jaise umar

badhti hai waise waise experience bhi to badhta hai,

agar aap apne field ke experience kisi ke sath share

karte ho to aap us field le ustaad ban jaoge aur log

aapke paas ayenge aur apke baare mein puchenge

dusron se, apki baatein hongi aur apse milne log

ayenge, aur jo khushi us waqt hogi wo apki life ki

sabse achi khushi hogi.

Maine pahle bhi kaha tha aur abhi bhi repeat

kar raha hun ki main koi baat aise hi majak mein

nahi kah raha hun, mere pass uska ek solid example

bhi hota hai. Bachpan mein ek program aata tha

durdarshan par, dadi maa ke nuskhe, usme ek dadi

maa lagbahg har bimari ka gharelu ilaaj batati thi,

use dekha hoga aap logon ne tv par? un logon ne

jarur dekha hoga jin logon ki umar thirty years se

jayada hai aur jo bachpan mein durdarshan dekhte

the, use dekh kar muje ye lagta tha ki ye dadi bhi

kamaal ki hai, isko to sab pata hai, aur ab pata chala

ki umar ke saath experience bhi hota hai, wo dadi

famous ho gayi, ek aur dadi bhi aapko yad hogi, jo

Govinda ki dadi ke naam se famous hai movie

mein, wo koi umar hoti hai movie banane ki but fir

bhi usme ek josh tha, ek junun tha jiski wajah se wo

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 18: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

Believe in I

9

us umar mein bhi apni aisi pahchaan bana gayi jo

aane wale kai saal tak nahi mit sakti.

Ab aap sochoge ke yaar abhi is umar mein

humko movie mein kaun lega? to dosto sirf movie

hi nahi, aise kai example hain jo hamare aas pas

hote hain jo humko ye batate hain ki kaam kuch bhi

ho aur umar kuch bhi ho, success ka uske sath koi

connection nahi hota hai, Mother Teresa ka naam to

suna hi hoga apne, unhone kaunsi movie banai thi

but unhone apna ek target set kiya tha ki mujhe

gareeb logon ki help karni hai, bimar logon ki sewa

karni hai, bhale hi log us waqt unhe kuch bhi kehte

ho, but jinki unhone sewa ki unke liye to wo devi ka

roop thi aur aise logon lo hi 'Nobel Prize' aur

'Bharat Ratna' milta hai.

Ajkal to chhote bache bhi successful hote ja

rahe hain, chahe wo singing mein ho, dance mein

ho, painting mein ho aur chahe games mein ho,

unhone bhi apna target set kiya hua hai, to aap kyun

pichhe ho? Target banana life mein utna hi jaruri

hai jitna ki saans lena. Bina target ke life badi ajeeb

hoti hai, matlab is duniya mein aaye, padhe likhe,

mauj-masti ki, shadi fir bache fir budhapa aur fir

The End. Kya ye sab karne ke liye aaye ho? Aise to

itni badi population mein lakho log karte hain, to

aap unique kaise ho? But aap unique ho kyunki aap

insaan ho aur nature hi humko bilkul alag bnaya hai

aur humko iska fayda uthana chahiye. To khud ke

target ko khud ke samne set kijiye. Aap ne

Mahabharat to padhi ya dekhi hogi, usme guru

Dronacharya apne shishya Arjun se puchte hain ki

jab tumhe ek chidiya jo ki ped par baithi hai, use

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 19: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

Believe in I

10

teer marne hain aankh mein, to tumhe kya dikh raha

hai? To Arjun ne kaha ki mujhe to bas chidiya ki

aankh dikh rahi hai, matlab ye hai ki jaise Arjun ko

sirf aankh dikhi thi kyunki wo uska target thi, to

apko bhi us aankh ki tarah khud ke target ko nahi

bhulna aur use apne nishane par rakhna.

Bina der kiye khud ke target par pahunchne ka

plan banao aur us se pehle apna target set karo, aur

wo kaise karna hai thoda bahut main bta sakta hun,

uske liye apko next chapter padhna hoga, so are you

ready? Ready na ho to bhi padhoge to pakka hi. Hai

na?

W

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 20: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

Believe in I

11

Get Complete Book At Educreation Store

www.educreation.in

Sample Copy. Not For Distribution.

Page 21: Sample Copy. Not For Distribution. - Book Publishing House · PDF filealag karne ki koshish karta hai. ... aap kya karne wale ho? ... Sample Copy. Not For Distribution. Believe in

Sample Copy. Not For Distribution.