peere tarikat -...

24
Khusha Masjido Mad’rasa KhanKahe Ke Dar Vai Buvad Kilo Kale Mohammad Sallallahu Ta’aala Alaihi Wasallam Shaj’ratun Tayyebtun Asluha Sabitun Far’uha Fissama -: Peere Tarikat :- Huzoor Tajushshariah, Hazrat Allama, Maulana, Mufti, Alhaj Mohammad Akhtar Raza Khan Qadri, Barkati, Razvi, Az’hari, Damat Barkatuhoomul Aaliya 82, Mohalla Saudagaran, Dargah-E-Aala Hazrat, Bareilly Sharif, Uttar Pradesh - 243003, India :::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::: Silsila-E-Aaliya, Qadriya, Razviya

Upload: trankhanh

Post on 07-Feb-2018

301 views

Category:

Documents


6 download

TRANSCRIPT

Page 1: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Khusha Masjido Mad’rasa KhanKahe Ke Dar

Vai Buvad Kilo Kale

Mohammad Sallallahu Ta’aala Alaihi Wasallam

Shaj’ratun Tayyebtun Asluha Sabitun Far’uha Fissama

-: Peere Tarikat :-Huzoor Tajushshariah, Hazrat Allama, Maulana, Mufti, Alhaj

Mohammad Akhtar Raza KhanQadri, Barkati, Razvi, Az’hari, Damat Barkatuhoomul Aaliya

82, Mohalla Saudagaran, Dargah-E-Aala Hazrat,

Bareilly Sharif, Uttar Pradesh - 243003, India

::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::

Silsila-E-Aaliya, Qadriya, Razviya

Page 2: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Shajra-E-AlliyaHazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi

Ta’aala Alaihim Ajmayin ila Yaumiddin

Ya ILAHI Raham Farma Mustafa Ke WasteYa Rasoolallah Karam Kijiye KHUDA Ke Waste

Mushkile Hal Kar Shahe Mushkil Kusha Ke WasteKar Balayen Radd Shahide Karbala Ke Waste

Sayyedi Sajjada Ke Sadqe Sajid Rakh Muze,Ilme Huq De Baqire Ilme Huda Ke Waste

Bahare Ma’aroofo Saree Ma’aroof De Be Khud SareeJunde Huq Mein Gin Junaide Ba Safa Ke Waste

Sid’ke Sadik Ka Tasadduk Sadikul Islam Kar,Be Gazab Razee Ho Kazim Aur Raza Ke Waste

Bahare Shibali Shere Huq Duniya Ke Kutto Se Bacha,Ek Ka Rakh Abde Wahid Be Riya Ke Waste

Bul Farah Ka Sadqa Kar Gam Ko Farah De Husno Sa’ad,Bul Hasan Aur Boo Saeede Sa’adaza Ke Waste

Qadri Kar , Qadri Rakh , Qadriyo Mein Uthha,Qad’re Abdul Qadire Qudrat Numa Ke Waste

Ahsanllahu Lahu Rizkan Se De Rizqe Hasan,Bandaye Razzak Tajul Asfiyaa Ke Waste

Nastra Abi Saleh Ka Sadqa Saleh Wa Mansur Rakh,De Hayate Dee Muhiyye Jaa’n Fiza Ke Waste

Toore Irfan Wa Uloo Wa Hamd Wa Husna Wa Baha,De Ali Moosa Hasan Ahmad Baha Ke Waste

Baher Ibraheem Muz Par Naare Gam Gulzar Kar,Bhik De Data Bhikaree Badshah Ke Waste

1

Page 3: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Do Jaha’n Mein Khadime Aale Rasoolullah Kar, Hazrate Aale Rasoole Muqtada Ke Waste

De Mohammad Ke Liye Rozi Kar Ahmad Ke Liye,Khwane Fazlullah Se Hissa Gada Ke Waste

Deeno Duniya Ki Muze Barkat De Barkat Se,Ishqe Huq De Ishqiye Ishqintima Ke Waste

Hubbe Ahle Bait De Aale Mohammad Ke Liye,Kar Shahide Ishqe Hamza Peshwa Ke Waste

Dil Ko Accha Tan Ko Suthhra Jaan Ko Purnoor Kar,Achhe Pyare Shamse Dee’n Badrul Ula Ke Waste

Noor Jano, Noor Imaa’n, Noor Kabro-Hashra De,Bul Husaine Ahmade Noori Lika Ke Waste

Kar Ata Ahmad Razae Ahmade Mursal Muze,Mere Maula Hazrate Ahmad Raza Ke Waste

Hamid E Mahmood Aur Hammad E Ahmad Kar Muze,Mere Maula Hazrate Hamid Raza Ke Waste

Saya e Jumla Mashayikh Ya Khuda Hum Par Rahe,Raham Farma Aale Rahma’n Mustafa Ke Waste

Baher Ibraheem Bhi Lutfo Ataye Khas Ho,Noor Ki Sarkar Se Hissa Gada Ke Waste

Aye KHUDA Akhtar Raza Ko Charkh Par Islam Ke,Rakh Darakhsha’n Har Ghadi Apni Raza Ke Waste

Is Be Nava Ke Waste.

Sadka In A’ayaa’n Ka De Chheh Ain Iz, ilm Wa Amal, Afw Irfa’n, Aafiyat

KhanaE Dil Ko Ziya De Rooye Ima’n Ko Jamal,Shah Ziya Maula Jamalul Auliya Ke Waste

2

Page 4: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Fateh-E-Silsila

Yah Shajra Mubarak har roz baad Namaz-E-Sub’h ek baar parh liya karein, ba-wuzoo Durude Gausiya sat baar fir Durude Gausiya Teen baar parh kar is ka sawab in tamam masha’ikhe kiram ki arwahe tayyibah ki najra karein. Jis ke hathh par baiyat ki hai agar wo zinda hai to un ke liye duaae aafiyat wa wa salamat karein warna un kaa naam bhi shamile Fatiha kare.

Durude Gausiya

Panj Ganje Qadri

Baad Namaz-E-Sub’h -

Baad Namaz-E-Johar -

Baad Namaz-E-Astr -

Baad Namaz-E-Maghrib -

Baad Namaz-E-Isha -

Sab Sau-Sau baar, Awwal wa aakhir Teen-Teen baar Durud Sharif ki mudawamat (Hamesha parhne) se be shumar barkate deeno duniya zahir hongi.

3

Page 5: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Baad Namaz-e-Fajra Suraj nikalne se pahle aur baad Namaz-e-Maghrib ise parhe,

Is ko hamesha parhne se sab kaam banenge.

Dushman maghlub rahenge.

1) Das baar -

2) Das baar -

3) Das baar -

4) Das baar -

5) Das baar -

Qaza-e-hajaat wa husoole zafar wa maghloobiye dushmana

1. Aath Sau Chohattar (874) baar awwal wa aakhir 11-11 martaba Durood Sahrif is mukar’rara miqdar ke mutabiq ba-wuzoo Qibla rookh do janu baith kar rozana ta husoole murad parhein aur isi Kalme ko uthhte-baithhte har hal mein be gintee be shumar parhte rahein.

4

Page 6: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

2. Ise sade char sau (450) baar rozana ta husoole murad, Awwal wa aakhir Durud sharif Gyarah-Gyarah (11-11) baar jis waqt ghabrahat ho is kalme ki be shumar taksir karein (Kasrat se parhe)

3. Baad Namaz-e-Isha Ek Sau Gyarah (111)baar parhe.

Tufaile Hazrat Dastgir dushman howe zerAwwal wa aakhir Gyarah - Gyarah (11-11) baar Durud sharif ta husoole murad, Yah Teeno amal upar bayan kiye huye kamo ke liye nihayat mujarrab wa sahlul husool hai. Inse gaflat na ki jaye, Jab hajat pesh aaye to har ek itne-itne muqrara tadad par parha jaye, pahale aur dusre ke liye koi waqt muqrar nahi, Jis waqt chahein parhe aur Teesre ka waqt baad Namaz-e-Isha hai. Jab tak murad puri na Teeno isi tarkib se parhe aur jis zamane mein koee khas hajat dar pesh na ho to pahle aur dusre ko rozana Sau-Sau baar parh liya kare. Awwal wa aakhir teen-teen baar Durud Sharif parhe.

Mazhabe Ahle Sunnat Wal Jama’at par qaeem rahe, jis par Ulma-e-Harmain-Sharifain hai (Is se murad wah Ulma-e-Harmain-Sharifain hai jinhone devbandiyo, wahabiyo par fatwa sadir farmaya,

Zaroori Hidayat

5

Page 7: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

jiski tafsil Husamul Harmain Sharif me hai aur iske musannif Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Radiyallahu Ta’aala Anhu hai). Sunniyo ke jitne mukhalif yani ke wahabi, devbandi, rafzi, tablighi, maududi, nadvi, nechari, gair muqallid, kadiyani wagairhum hai in sab se juda rahein aur sabko apna dushman aur mukhalif jane, Inki baat na sune, In ke pas na baithhe, In ki koee tahreer na dekhe kyuki shaitan ko ma’aaz ALLAH dil me waswasa dalte kuchh der nahi lagti. Aadmi ko jaha’n maal ya aabroo jane ka andesha ho waha hargiz na jayega, Deeno Iman sab se zyada azeez chiz hai, Iman ki hifazat mein had se zyada koshish farz hai, Duniya ki izzat aur duniya ki zindagi duniya hi tak hai, Deeno Iman ka hameshgi ke ghar mein kaam padta hai lehaza in ki fikra sab se zyada lazim hai.

2. Namaze panjgana ki pabandi nihayat zaroori hai, Mardo ko Masjid mein jama’at ke sathh Namaz adaa karna wajib hai, be Namazi Musalman goya tasweer ka aadmi hai ki zahiri soorat insan ki magar insan ka kaam kuchh nahi hai. Be Namazi wahi nahi hai jo kabhi na parhe balki jo Ek waqt ki bhi Namaz kasdan kho de wah be Namazi hai. Kisi ki naukari mulazmat khwah tizarat wagairah kisi hajat ke tahat Namaz qaza kar dena sakht na shukri hai aur parle sire ki

6

Page 8: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

nadani hai. Koee Aaqa yaha’n tak ki qafir kabhi agar koee naukar ho mulazim ko Namaz se baaz nahi rakh rakh sakta aur agar mana kare to aisi naukari harame qatayi hai aur koee wasilaye rizk Namaz khokar barkat nahi la sakta hai. Rizk to USKE DASTE QUDRAT Me hai jis ne Namaz farz ki hai aur uske tark karne par gazab farmata hai. (Al Ayaz Billahi Ta’aala)

3. Jitni Namaze qaza ho gayi hai sab ka aisa hisab kare ke takhmine mein baki na rahe jaye, Zyada ho jaye to harz nahi aur wah sab baqdre taqat rafta-rafta nihayat jald adaa karein, kahilee na karein ki maut ka waqt hame malum nahi aur jabtak Farz zimma par baki hota hai koee nafl qabool nahi kiya jata. Qaza Namaze jab tak mut’addid ho jaye maslan Sau baar ki Farz qaza hai to har baar yu’n niyyat kare ki “Sab mein pahali wah fajra jo muz se qaza huee” yani ke jab ada huyi to bakiyo mein jo sab se pahali hai, Isi tarah Zohar wagairah har Namaz mein niyyat karein. Qaza mein faqat Farz aur Vitra yani har din aur raat ki Bees (20) rakat adaa ki jati hai.

4) Jitne roze bhi qaza huye ho Doosra Ramzan aane se pahale adaa kar liye jaye ki Hadees Sharif mein hai ki jab tak pichhle

7

Page 9: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Ramzan ke roze ki qaza na kar li jaye agale roze qabool nahi hote.

5) Jo sahibe maal hai Zakat bhi de aur jitne barso ki na di ho fauran hisab kar ke ada karein. Har saal ki Zakat saal tamam hone se pahale de diya karein, Saal tamam hone ke baad der lagana gunah hai, Lehaza shuru saal se rafta-rafta dete rahein, Saal tamam par hisab karein agar poori adaa ho gayi to behtar warna jitni baaki ho fauran de de aur agar kochh zyada nikal gaya hai to wah aayinda saal mein jod lein ke ALLAH TA’AALA kisi ke nek kaam ko zaya nahi karta.

6) Sahibe isteta’at (Jise taqat ho wah) par Hajj bhi Farze aazam hai. ALLAH AJJ WA JALL ne iski farziyat bayan kar ke farmaya “Aur jo kufrakarein ALLAH sare jahan se be parwah”. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne tarike Hajj (Hajj chhodne wale) ko farmaya hai ki chahe yahoodi ho kar mare ya nasrani ho kar. (Wal Ayaz

Billahi Ta’aala) Andesho ke baees baaz na rahe.

7) Kizb, Fahash, Chugli, Gibat, Zina, Livatat, Zulm, Khayanat, Riya (Ibadat mein dikhawa), Takbbur, Dadhi mundana ya katarwana, Fasiqo ki baj’a pahn’na, Har buri khaslat se bache. Jo in bato ka hamil rahenga

Tarjuma:

8

Page 10: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

ALLAH wa Rasool ke wade se us ke liye Jannat hai (Jalla Jalaluhoo Wa Sallallahu Ta’aala Alaihi Wasallam) Aameen.

Girde man, Girde khan’e man wa girde zano farzandane man wa girde maalo dostane man hisare hifazate tu shawad wa tu nigehdar bashi ya ALLAHU bi haqqi Sulaimanabni Da’uda Alaihissalam wa bihaqqi ahyan ashrahiyyan wa bihaqqi aliqam maliqan ant ta’alumu mafil quloobi va bihaqqi laa ilaha illallahu Muhammadur Rasoolullahi wa bihaqqi ya mominu ya muhaiminu sallallahu ta’aala aalihi wa sahbihi wasallam. Yah Ek baar parhkar angushte shahadat par dam kar ke teen baar apne sidhe kaan ki janib ba niyyate hisar kalme ki ungli se halka khicha kare (Gol dayara karein), Har waqt aisa hi kare fir us waqt ka panj-ganj se shuru karein aur agar har waqt panj-ganj ke amal ke baad (72) baar iska aur izafa kare to aur behtarhai aur agar chahe to panj waqta Namazo ke Baad ise parhe

Baad Namaze Panjgana Kable Shuru Panje Ganje Qadri Parhe

9

Page 11: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Waqt-e-Fajra -

Waqt-e-Zohar -

Waqt-e-Astr -

Waqt-e-Magrib -

Waqt-e-Isha -

Har waqt Ek Sau Gyarah(111) baar, Awwal wa aakhir Gyarah-Gyarah baar Durud Sharif aur raat ke waqt Durude Gausiya Sharif 500 baar aur izafa karein ki Panj-Ganje khas ho jaye.

aur angushte shahadat par dam kar ke makan ke hisar ki niyyat se apne ird-gird hathh lamba kar ke chau tarfa halka khiche fir chit let kar ghutne khade kar ke Dono hathh duaa ki tarah failayehuye seene par rakh kar Aaytal Kursi Sharif Ek baar, Charo Qul tartib ke sathh sirf Qul Huwallah Teen baar baki Ek-Ek baar parha karein aur hatho par dam kar ke apne sar se paon tak aage peeche, Dayein-Bayein tamam jism par hath fer ke dahinee karwat par soya kare. Chhote bacche jo khud nahi parh sakte unke bado me se koee hathho par

Awwal wa aakhir Gyarah-Gyarah baar Durud Sharif ya kam az kam Teen baar shab ko sote waqt bhi yah hisar parha karein

10

Page 12: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

dam karke unke jism par hathh fera kare.Suraye Waqiya, Suraye Yaseen aur Suraye Mulk yaad kar lein yah Teeno surate bhi bila naga sote waqt shab mein parh liya karein. jab tak hifz na ho Qur’aane Azeem se dekh kar parhe, yah sab parhne ke baad fir koee baat na ki jayein, Chup soye rahein. Shab mein agar zaroori baat karna hi ho to baat karle, baat karli to fir Ek baar Suraye Qafirun parhkar chupke so jayein, IN SHA ALLAH TA’AALA balao se mahfooz rahenge aur khuda nasib farmaye daulate bedar deedare faiz aasar, Sarkare abde karar, Huzoor sayyide Abrar Sallallahu Ta’aala Alaihi wasallam se IN SHA ALLAH Khatma Iman par hoga, Azab se bache rahenge magar sahi parhna shart hai. Qur’aane azim jo sahi na parhta ho us par farz hai ki jald parhna sikhe, har harf ko us ke sahi makhraz se nikale.

200 Baar -

400 Baar -

600 Baar -

Awwal wa aakhir Durood Sharif Teen-Teen baar parhe

Zikre Nafi aur Isbat

11

Page 13: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Tarkibe Zikre JaharZikre jahar se pahale das baar Durud Sharif, Das baar istigfar, Teen baar yah aayat:

Parh kar apne uper dam kare fir zikre jahar shuru kare. La ilaha illallahu 200 baar, Illallahu 400 baar, ALLAHU-ALLAHU 600 baar, Yah kul 12 tasbih ka zikra hai iske baad huq-huq 100 baar ya kamo besh bataure seh (3) jarbi ya (4) jarbi.

Yaad Dahani

Aye aziz! yaad rakh teri paidayish ke waqt sab has rahe thhe magar tu ro raha thha. Aisa jina jee ke teri maut ke waqt sab rote ho aur tu hasta ho. Tu agar ikhlas se yaade ilahi mein aaho zari karta rahe, Hijre Habeeb wa firake mahboob mein dil tapa’n, seena birya’n, girya kuna’n rahe to zaroor zaroor waqte inteqal visale mahboob pa kar shado farha’n aur tere firaq par makhlooq nala’n wa parehsa’n hogi.

Aye aziz! Apne yah ahad yaad rakh jo tune KHUDA se US ke is nachis gunahgar bande

Yaad daari ki waqte zadne tuHama khanda’n budand tu giryaAa’n chuna’n zi ke waqte murdane tuHama girya’n shawand tu khanda’n

12

Page 14: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

ke hathh mein hathh dekar kiye hai aur is faqir be tauqir ke liye bhi duaa kar ke jaisi chahiye waisi pabandiye ehkame KHUDA bandi mein jiu’n, Ta dame wapsi aisi pabandi karta rahu’n. Aye aziz! tune ahad kiya hai ki tu mazhabe muhazzab Ahle Sunnat par qayim rahega. Is par sakhti se qayim rahnayaad rakhna.

Aye aziz! yaad rakh tune ahad kiya hai ki tu Namaz, Roze, Har Farz Wajib ko bhi in ke waqto par adaa karta rahega aur gunaho se bachta rahega. KHUDA kare tu apne ahad par kayim rahe. Ahad todna haram hai aur sakht aib aur nihayat bura kaam hai. Wafaye ahad lazim hai, Agarche kisi adna se adna makhlookh se kiya ho, Yah ahad to tune KHALIQE JALLA WA ALA se kiye hai.

Aye aziz! Maut ko yaad rakh, Agar maut yaad rakhega to IN SHA ALLAH TA’AALA Halaqat se bacha rahega, Deeno Iman salamat le jayega aur itteba’e Shariat karta rahega to gunaho se bachta rahega.

Aye aziz! Aaj jaag le maut ke baad sukh chain itminan wa aaram ki neend sota rahega. Tuzse Farishte kahengeSun, Sun, Sun jagna hai jaag le aflak ke saye tale, Hashra tak sota rahega khak ke saye tale

13

Page 15: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Aye aziz! Duniya par mat riz diniya par wala wa shaida hona hi KHUDA se gafil hona hai. Duniya gaflat hi ka naam hai.

Aurate parde ko Farz jane. Har na mahram se parda Farz hai, Na be parda fire na be parda ghar mein rahein. Barik kapde jinse badan ya baal chamke pahen kar paayincho se upar ka hissa aur gala, Seena kholkar ya barik kapdo se numaya’n hone ki halat mein mahaz gair nahi, Jethh, Dewar, Bahnoyi bhi nahi, Apne sage chachazad, Khalazad, Fufizad aur mamuzad bhai ke samne hona bhi haram hai, Haram Hai, Bad anjam hai. Mardo par Farz hai ki wah beebiyo, Betiyo, Bahano wagairaha maharim ko be pardagi ki takid karein aur huqm na man’ne par unhe saza de sakte hai. Jo mard apne maharim ki be pardagi ki parwah na karega, Gair mahramo ke samne firaega, Khusoosan is tarah ke be pardagi ke sathh be satri bhi baaz aaza ki ho dayyus thhahrega. (Wal Ayaz Billahi Ta’aala)

Parde Ki Ahmiyat

Cheest Duniya Az KHUDA Gafil Budan

Ne Qumash Wa Nakra’o Wa Farzando Zan

14

Page 16: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Yara’n Bakoshed

KHUDA ki talab mein koshish karte raho, Jitne ho sake mujahide karo yaqine kamyabi wa kamrani rakho. ALLAH TA’AALA Farmata hai: “Jo hamari talab mein karte hai zaroor ham unhe rahe dikhate, Maqsood se wasil farmate (Milate)hai”. MAULA TA’AALA Tumhare liye fat’he har babe khair bilkhair farmaye. US ki raah mein qadam rakhte hi ALLAH KAREEM ke zimma’e karam par tumhare liye ajra hoga.

Huzoor Purnoor Alaihissalatu Wassalam farmate hai : “ ” “ Jo kisi shai ka talib hoga aur koshish karega pa lega” Hadees hi ka irshad hai: Ha’n ha’n barhe chalo barabar barhr chalo, Mohbbat wa ikhlas shart hai. Peer ki mohbbat Rasool ki mohbbat hai, Rasool ki Mohbbat KHUDA ki mohbbat hai. Jitni mohbbat zyada hogi aur jitni aqidat pukhta ho utna hi fayada zyada se zyada

Kiye Ja’o Koshish Mere Dosto

Na Koshish Se Ik Aan Ko Tum Thako

15

Page 17: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

hoga, Agarche Peer az aahade naas ho(aam insan hi ho) wah ba kamal na ho magar peer sahi ho ki sharayite peeri ka jame ho. Silsila muttasil hoga to Sarkar ke faiz se zaroor faiz milega, Aye farzande tauhid har amra mein tauhid ko nigah rakh.

Tera Qiblaye tawajjo Ek hona, Ek hi rahna lazim, Pareshan nazar pareshan khatir, Dhobi ka kutta ghar ka na ghat ka, na ban. Mahwaye razae huq ho ja, Shariat ki pairavi kar, Jadaye Shariat ki pairavi kar, Jadaye Shariat se Ek kadam bahar na rakhna, Khana-Peena, Uthhna-Baithhna, Letna-Sona, Aana-Jaana, Kahna-Sun’na, Lena -Dena, Kamana- Sarf Karna, Har kaam USI ke liye kar, USI ki raza madde nazar ho. Aye Razvi! Fana fir’raza ho kar sarapa razae ahmado razae ILAHI ho ja. Tera maqsud bas tera mabud ho. US ki raza hi tera mabud ho, Us ki raza hi tera matlub ho.

Firaqo Wasl Che Khwahi Razae Dost TalabKe Haif Bashad Azo Gaire ‘U’ Tamannae

Riya (Dikhawa) se bachne ki koshish karte rahna, Har kaam ikhlas se khuda ki raza ke liye bittibaye Shariat karna badi sa’aadat,

KHUDA Yake, MOHAMMAD YakeWa Peer Yake

16

Page 18: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Azim muzahida wa riyazat hai. Is talluk se hamare baaz masha’ikh ka irshad hai: “Log riyazato ki hawas karte hai, Koee riyazat wa mujahida arkano aadabe Namaz ki riyayat karne ke barabar nahi”, Khususan pacho waqt Masjid mein Namaz ba jama’at ada karna.

Auliya e Kamilin ka irshad hai ki bila shub’ha tilawate Qur’aan barae kazaye hawa’iz (Zaroorat poori hone ke liye) mujarrab hai. Jitna bhi roz ho sake adab ke sathh parhta rahe agar wah is tarah parhe to bahut behtar hai aur jald IN SHA ALLAH TA’AALA kamiyab ho. Roze Juma se shuru karo aur Panj Shamba (Jumerat) ko khatm karo, Roze Juma az Sooraye Fatiha ta aakhir Sooraye Tauba, Roze Yak Shamba (Itwar) az Sooraye Yunus ta aakhir Sooraye Mariam, Roze Do Shamba(Peer) az Sooraye Taha ta aakhir Sooraye Qasas, Roze seh shamba (Mangal) az Sooraye Ankbut ta aakhir Sooraye Saad, Roze Chahar Shamba (Budh) Az Sooraye Zumar ta aakhir Sooraye Raheman, Roze Panj Shamba (Jumerat) az Sooraye Waqiya ta aakhir Qur’aan khalwat me parhe, Bich Mein baat na karein. Har muhim ke husool ke liye alal ittisal (Musalsal) barah khatme Qur’aan ko akseere aazam yakin karein.

Khatme Qur’aane Kareem

17

Page 19: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Fazilate Durood SharifDurood Sharif ke faza’ilo barkat be shumar

Ahadees mein mazkur hai. Yaha sirf Ek

Hadees darj ki jati hai, Jis’se andaza hoga ki

Huzoor Nabi E Kareem Sallallahu TA’AALA

Alaihi Wasallam ke darbare guharbar mein

hadiyaye Durood Sharif pesh karna kis Qadar fawa’ide wa ukhrawi ko mutzammin hai.

Hazrat Ubaiee bin Ka’ab Radiyallahu

TA’AALA Anhu hai ki “ Maine Nabi e Kareem

Sallallahu TA’AALA Alaihi Wasallam se arz

kiya ke Huzoor mai Aap par bakasrat Durood

bhejna chahata hun to iske liye kitna waqt

muqrrar karun? Huzoor Nabi e Kareem

Sallallahu TA’AALA Alaihi Wasallam ne

farmaya “ Jitna chaho” Maine Arz kiya ke

Chauthhayi waqt? farmaya ki “Tumhari

khushi! Ha’n agar zyada karo to tumhare liye

behtar hai” Maine arz kiya ki Do Tihayi waqt?

Farmaya ki tumhe ikhtiyar hai, Ha’n agar

zyada karo to tumhare lye behtar hai! Maine

kaha Huzoor tamam waqt? To Huzoor

Rehmate Aalam Sallallahu TA’AALA Alaihi

Wasallam ne irshad farmaya ki agar aisa karo

to tumhare tamam maqasid (Deeni wa

Duniyawi) pure honge aur tamam gunah

(Zahiri wa Batini) mita diye jayenge” (Tirmizi Sharif)

18

Page 20: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Tasawure ShaikhKhalwat mein aawazo se dur, Rukh ba makane Shaikh aur agar wisal ho gaya to jis taraf mazare Shaikh ho muwajje ho kar baithhe. Mahez khamosh ba adab ba-kamale khushu’a aur Soorate shaikh ka taswwur kare aur apne aap ko un ke huzoor jane aur yah khayal dil mein jamae ki Sarkare Risalat Alaihi Afzlus Salatu Wassalam se anware fuyuz,Shaikh ke qalb par fayiz ho rahe hai aur mera qalb, qalbe shaikh ke niche ba halate daryoozah gari (Bhik mangne ki soorat mein) laga huaa hai. Us mein se anwaro fuyuz ubal- ubal kar mere dil mein aa rahein hai. Is tasawwur ko barhayiye yahan tak ki jam jaye aur taklluf ki hajat na rahe is inteha par soorate Shaikh khud muttasil (Saya) ho kar mureed ke sathh rahegi aur har kaam me madad degi aur rah mein jo mushkil use pesh aayengi us ka hal batayegi.

Ya ILAHI Har Jagah Teri Ata Ka Sathh Ho,Jab Pade Mushkil Shahe Mushkil Kusha Ka Sathh Ho

Ya ILAHI Bhul Ja’un Naja’a Ki Takleef Ko,Shadi’e Deedar Husne Mustafa Ka Sathh Ho

Ya ILAHI Gore Teera Ki Jab Aaye Sakht Raat,Unke Pyare Munh Ki Subahe Ja’n Fiza Ka Sathh Ho

Ya ILAHI Jab Pade Mahshar Mein Shore Daro Gir, Amn Dene Wale Pyare Peshwa Ka Sathh Ho

Har Namaz Ke Baad Yah Munazaat Parhe

19

Page 21: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Ya ILAHI Jab Zabane Bahar Aayein Pyas Se,Sahibe Kausar Shahe Joodo Ata Ka Sathh Ho

Ya ILAHI Sard Mohari Par Ho Jab Khurshide Hashra,Sayyade Be Saye Ke Ke Zille Liwa Ka Sathh Ho

Ya ILAHI Garmiye Mehshar Se Jab Bhadke Badan,Damane Mehboob Ki Thhandi Hawa Ka Sathh Ho

Ya ILAHI Namaye Aamal Jab Khulne Lage,Aib Poshe Khalq Sattare Khata Ka Sathh Ho

Ya ILAHI Jab Bahein Aankhe Hisabo Jurm Mein,Un Tabassum Rez Honto Ki Duaa Ka Sathh Ho

Ya ILAHI Jab Hisabe Khandaye Be Ja Rulaye,Chashme Giryane Shafiye Murtaza Ka Sathh Ho

Ya ILAHI Rang Layein Jab Meri Be Bakiya’n,Un Ki Nichi Nichi Nazro Ki Haya Ka Sathh Ho

Ya ILAHI Jab Chalun Tarik Rahe Pul Sirat,Aaftabe Hashmi Noorul Huda Ka Sathh Ho

Ya ILAHI Jab Sare Shamshir Par Chalna Pade,Rabbe Sallim Kahne Wale Gam Zuda Ka Sathh Ho

Ya ILAHI Jo Duaayein Nek Ham Tuz Se Karein,Kudsiyo Ke Lab Se Aami Rabbana Ka Sathh Ho

Ya ILAHI Jab Raza Khwabe Gira’n Se Sar UthhayeinDaulate Bedar Ishqe Mustafa Ka Sathh Ho

Ya ILAHI Le Chale Jab Dafn Karne Qabra Me,Gause Aazam Peshwaye Auliya Ka Sath Ho.

20

Page 22: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

http://www.jamiaturraza.com

http://www.aalaahazrat.com

Page 23: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Con trib u te To Buildin g H a m idi M a sjidBa reilly Sh a rif, In dia

The Beloved Prophet Hazrat Mohmmad Sallallahu Ta’aala Alaihi Wasallam Said:“Whoever builds a mosque for ALLAH, ALLAH will build a home for him

in paradise made of Pearls and Rubies.” Ref: Jaami’ al-Ahadith

“Build your house in Jannah”

Visit Hamidi Masjid Website: http://www.jamiaturraza.com/hamidi-masjid/

http://www.jamiaturraza.com/hamidi-masjid/?page_id=130Click For Bank Details/Donation:

Contact For Donate:Alhaj Abdul Latif Razvi

Nadeem Sobhani Razvi +91 99 20 667984

+91 99 67 647866

Page 24: Peere Tarikat - cdn.jamatrazaemustafa.orgcdn.jamatrazaemustafa.org/dir/shajra/Shajra-e-Rizvia_Roman_Urdu.pdf · Shajra-E-Alliya Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi Ta’aala

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barelvi Radi ALLAHO Anhu Ki Qayam Karda 94 Years Ki Duniya Ki Wahid Aisi Deeni Tanzeem Jiska Har Kaam Shariat-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Mutabik aur Khush Aqida Sunni Musalmano Ke Falah Bahbud Ke Liye Hota Hai Jo Markaze Ahle Sunnat Bareilly Sharif Ka Aham Maqsad Hai aur Is Tanzeem Ki Sarparasti Huzoor Tajushshariah Muft i M o h a m m a d A k h t a r R a z a K h a n D a m a t Barkatuhumool Aaliya wa Sadarat Janashine Huzoor Tajushshariah Mufti Mohammad Asjad Raza Khan Damat Barkatuhumul Aaliya Kar Rahe Hai Lehaza Isise Iske Sehal wa Sehat Ka Pata Chalta Hai.

Jamat Raza-E-Mustafa Ke Member Bane, Apne

Ilake Me Iski Shakh Kayam Kare aur Deeni

Kamo Ke Liye Har Tarah Se Iski Imdad Kare

-: Appeal :-

Deeni Kamo Ke Liye Donation

Member Ban’neke Click Kare

Branch Form Ke Liye Click Kare

-: Contact :-Alhaj Abdul Latif Razvi

Sayyed Jamir Razvi

Atiq Ahmad Hashmati

+91 99 20 667984

+91 98 90 084959

+91 97 19 918868

Jamat Raza-E-MustafaJamat Raza-E-Mustafa