milad e mustafa sallallaho alihe wasallam part 11

1
MILAD-E-MUSTAFA-(SALLALLAHO-ALIHE-WASALLAM... by admin - http://www.hsunity.com/2013/12/milad-e-mustafa-11/ MILAD-E-MUSTAFA-(SALLALLAHO-ALIHE-WASALLAM) PART 11 PART XI SHUKRANA-E-NE’AMAT K MA’AROOF TRIKAY: 1) – ZIKR-E-NAAT: Quran-e-Pak ne ne’amatoun ka shukar adaa krnay ki ak sorat ye byaan ki hay k ALLAH KI REHMAT aur us ki ne’amat ko yad rkha kro jesa k bani Israeel par ki gai ne’amatoun k tazkiray sorah baqrah me youn bayaan kiay gay: Ay Bani Israeel! yad kro meri un ne’amatoun ko jo me ne tum par ki. (Sorah Baqrah: 47) 2)- IZHAR-E-NE’AMAT: Ne’amat ka shukar adaa krnay ka ak trika ye b hay k Insan ALLAH ki ataa karda Ne’amatoun k husool par un ka ezhaar karay, jhushi mananay k sath sath dosray k samnay unka tazkira b karay, ye b ALLAH ki ne’amat par shukar adaa krnay ki sorat ho ge jis ka zikar Quran pak me youn milta hay “Aur ap k Rab ne jo Ne’amat farmai hay us ka bayaan kartay rahain” (sorah duhaa: 11) yahaan pehlay zikr-e-naat ka hukum hay jis se murad ye hay k is ne’amat ko dil se yad kro aur zuban se zikar kro lakin woh zikar logo k liay nahi ALLAH K liay ho aur jub izhar-e-Ne’amat ka hukum dya k khulay bandoun is ne’amat ka tazkira kro tw uska mafhoom ye ho ga k Makhlooq-e-khuda k samnay uska bayaan kro, chunanchah zikr aur izhar-e-Ne’amat me farak ye hva k zikr ALLAH k liay hota hay jub k izhaar ka ta’alluq makhlooq k sath hay yani logoun me is ka charcha kro, Lehaza jub ummat-e-Muslima apnay AAQA (SALLALLAHO ALIHE WASALLAM) ki wiladat jesi azeem ne’amat k silay me izhar-e-ne’amat karay ge tw pher zikr-e-n’emat me kahi HUZOOR (SALLALLAHO ALIHE WASALLAM) ki naat parhi jay ge, kahi HUZOOR (SALLALLAHO ALIHE WASALLAM KI naat parhi jay, kahi HUZOOR (SALLALLAHO ALIHE WASALLAM) k fazail ka tazkira ho ga, kabhi ap kiwiladat-e-ba-sa’aadat ka zikar ho ga aur kbhi ap ki HUSN-E-SEERAT ka zikr ho ga Koi ap ki HUSN-E-Soorat aur dilrubaa Adaaoun ka zikr karay ga tw koi ap ki karimana adaat-e-Mubarikah ka zikar karay ga, ye sub cheezain ne’amat-e-kubraa ki yad ki mukhtalif sortain hain Tw AGAR GHOUR KYA JAY TW “Musalman MAHAAFIL-E-MILAD me yehi kuch Tw krtay hain.” Continues in Part 12 HS-OWNER: SYED MUHAMMAD RIZWAN-UL-HASSAN SHAH Powered by TCPDF (www.tcpdf.org) page 1 / 1

Upload: syed-rizwan-shah

Post on 21-Oct-2015

15 views

Category:

Documents


4 download

DESCRIPTION

MILAD E MUSTAFA

TRANSCRIPT

Page 1: Milad e Mustafa Sallallaho Alihe Wasallam Part 11

MILAD-E-MUSTAFA-(SALLALLAHO-ALIHE-WASALLAM...by admin - http://www.hsunity.com/2013/12/milad-e-mustafa-11/

MILAD-E-MUSTAFA-(SALLALLAHO-ALIHE-WASALLAM) PART 11

PART XI

SHUKRANA-E-NE’AMAT K MA’AROOF TRIKAY:

1) – ZIKR-E-NAAT:

Quran-e-Pak ne ne’amatoun ka shukar adaa krnay ki ak sorat ye byaan ki hay k ALLAH KI REHMAT aur us kine’amat ko yad rkha kro jesa k bani Israeel par ki gai ne’amatoun k tazkiray sorah baqrah me youn bayaan kiaygay:

Ay Bani Israeel! yad kro meri un ne’amatoun ko jo me ne tum par ki.

(Sorah Baqrah: 47)

2)- IZHAR-E-NE’AMAT:

Ne’amat ka shukar adaa krnay ka ak trika ye b hay k Insan ALLAH ki ataa karda Ne’amatoun k husool par unka ezhaar karay, jhushi mananay k sath sath dosray k samnay unka tazkira b karay, ye b ALLAH ki ne’amat parshukar adaa krnay ki sorat ho ge jis ka zikar Quran pak me youn milta hay

“Aur ap k Rab ne jo Ne’amat farmai hay us ka bayaan kartay rahain”

(sorah duhaa: 11)

yahaan pehlay zikr-e-naat ka hukum hay jis se murad ye hay k is ne’amat ko dil se yad kro aur zuban se zikarkro lakin woh zikar logo k liay nahi ALLAH K liay ho aur jub izhar-e-Ne’amat ka hukum dya k khulay bandoun isne’amat ka tazkira kro tw uska mafhoom ye ho ga k

Makhlooq-e-khuda k samnay uska bayaan kro, chunanchah zikr aur izhar-e-Ne’amat me farak ye hva k zikrALLAH k liay hota hay jub k izhaar ka ta’alluq makhlooq k sath hay yani logoun me is ka charcha kro, Lehaza jubummat-e-Muslima apnay AAQA (SALLALLAHO ALIHE WASALLAM) ki wiladat jesi azeem ne’amat k silay meizhar-e-ne’amat karay ge tw

pher zikr-e-n’emat me kahi HUZOOR (SALLALLAHO ALIHE WASALLAM) ki naat parhi jay ge, kahi HUZOOR(SALLALLAHO ALIHE WASALLAM KI naat parhi jay, kahi HUZOOR (SALLALLAHO ALIHE WASALLAM) k fazailka tazkira ho ga, kabhi ap kiwiladat-e-ba-sa’aadat ka zikar ho ga aur kbhi ap ki HUSN-E-SEERAT ka zikr ho ga

Koi ap ki HUSN-E-Soorat aur dilrubaa Adaaoun ka zikr karay ga tw koi ap ki karimana adaat-e-Mubarikah ka zikarkaray ga, ye sub cheezain ne’amat-e-kubraa ki yad ki mukhtalif sortain hain Tw

AGAR GHOUR KYA JAY TW

“Musalman MAHAAFIL-E-MILAD me yehi kuch Tw krtay hain.”

Continues in Part 12

HS-OWNER: SYED MUHAMMAD RIZWAN-UL-HASSAN SHAH

Powered by TCPDF (www.tcpdf.org)

page 1 / 1