loud speaker k hilaf fatwa

Download Loud speaker k hilaf fatwa

If you can't read please download the document

Upload: sage-razvi

Post on 24-Jun-2015

583 views

Category:

Documents


3 download

TRANSCRIPT

  • 1. Loud Speaker Par Namaz Nahi Hoti-Ijmaa' E Ummat Az Roo E Akabir Ulema E Ahl E Sunnat-Mufti Hassan Ali Qadri Mailsee-Pakistan July 11, 2013 at 4:16am 1)ALQURAN::---------------------------------ALLAH subhanahu ta'aalaa quran mein irshad farmaataa haiTarjumah Kanzul Iman Urdu::- Aur apni NAMAZ na bahut aawaaz sey padho na bilkul aahistah aur in dono k beech mey raastah chaaho(Surah No 17 Surah Bani Israayeel Aayat No 110 )Translation English Kanzul Iman::- ""And neither offers your prayer with loud voice nor with too low voice and seeks a way in between.""(Surah No 17 Surah Bani Israayeel Aayat No 110 )Ab is aayat ki tafseer b Mulahezah farmaaye , is aayat k tahet TAFSEER E NA'EEMI mey mufti naeemuddin alaihirrahema farmaatey hai --------------------"""yaani mutawassit aawaaz sey padho jis sey muqtadee ba aasaani sun lein SHAN E NUZOOL rasool e kareem sallALLAHu alaihi wasallam makka e mukarrimah mein jab apney ashaab ki imaamat farmaatey , mushrekeen suntey to quran e paak ko , aur us key naazil farmaaney waaley ko aur jin par naazil hua un sab ko gaaliyaa detey , is par yeh aayat e kareemah naazil hui"""2) Al Quran::--------------------------------ALLAH subhanahu ta'aalaa quran mein irshad farmaataa haiTarjumah Kanzul Iman ::-----------------------"""Beshak muraad ko pahunchey iman waaley , jo apni namaaz mein (Khushoo Aur Khuzoo sey) gidgidaatey hai , aur woh jo kisi behudah baat ki taraf iltefaat nahi kertey aur woh ki zakaat deney ka

2. kaam kertey hai , aur wo jo apni sharm gaaho ki hifaazat kertey hai , magar apni beewiyo aur shara'ee baandiyo per jo un key haath ki milk hai ki un per koi malaamet nahi , to jo un do k siwaa kucchh aur chaahey , WAHI HADD SEY BADHNEY WAALEY HAI , aur woh jo apni amaanato aur apney ahed ki riaa'yet kertey hai , aur WOH JO APNI NAMAAZO KI NIGEHBAANI(Hifazat) KERTEY HAI , yehi loag waaris hai ki firdaus ki meeraas paayengey , aur usmein hamesha rahengey .""" (sureh al moomenoon , verse 1-11) Translation English Kanzul Iman::------------------------1. Undoubtedly, the believers reached to their goal. 2. Those who beseech in their prayers. 3. And those who turn away from vain talk. 4. And those who are active in paying poor-due (Zakat). 5. And those who guard their private parts. 6. But from their wives or lawful handmaids who are the property of their hand for (in their case) they are not to be blamed. 7. Then whoso desires anything more than these two, they are the transgressors. 8. And those who regard their trusts and their covenant. 9. And those who keep watch to their prayers. 10. They are indeed the inheritors. 11. Who shall inherit the Paradise, they shall abide there in. (sureh al moomenoon , verse 1-11) Ahaadees E Mubarikah ka mafhoom ::-1) RasooluALLAH sallALLAHu alaihi wasallam farmaatey hai "yaani tum per laazim hai meri sunnat per amal karo aur mere baad khulafaa e raashedeen ki sunnat per amal karo""" isi hadees ka ek hissa yeh hai """yaani meri aur khulfaa e raashedeen ki sunnat aur tareeqah ko ikhteyaar karo , aur is tareeqey ko mazbooti sey thaam lo , aur khabardaar nayee nayee baato sey bachtey reho is liye ki har nayee cheez bid'at hai aur har aisee bid'at gumrahi hai""" (Musnad Imam Ahmad Bin Hanbal, Jild 5 Page 110 Aboo Daaood, Tirmizi, Ibn E Maajah)2)Ek Hadees ka mafhoom hai """Namaz Deen ka sutoon hai """3)Ek Hadees ka mafhoom hai , """namaaz deen ka umood (khambaa) hai"""25 saalo sey ameer e dawat e islami maslak e aalahazrat key naarah lagaa kar shohrat hasil ki, lekin jab ek taadaad awaam ki apne saath jod liya to ab guzishtah kucchh saalo sey maslak e aalahazrat sey inheraaf shroo kiya , aur shariyat per iftraa karna , aur apni khud saakhtah qawaaneen banaaney shroo kiye aur ulemaa e ahl e sunnat mein jin maamlaat mein ikhtelaaf nahi usey ikhtelaaf bataa kar awaam ko gumrah karna shroo kiya , aur khud b maslak e aalahazrat sey inheraaf kiya aur awaam e ahl e sunnat ko b maslak e aalahazrat sey munharif , aur ummat mein 3. fitnah o fasaadh ka sabab baney , aur ek badaa fitna ummat mein paidah kar diya , jis ka mushahidah har ko kar saktaa hai , maslak e aalahazrat sey yeh inheraaf sirf ek masaley par nahi kam sey 5-7 masalo par kiya , aur ummat mein inteshaar paidah karkey ummat ka sheerazah bikher diya , sab sey pehley yeh shroowaat hui loud speaker k masaley per , lehaza Pakistan k ek akabir mufti hasan ali mailsee qadri razavi khaleefa huzoor mufti e aazam e hind aur jinhey kai khulfaa e aalahazrat sey khilafat hasil hai , ek letter mein is tarha is ka inkeshaf farmaatey hai , Iliyas Qadri Saheb MASLAK E AALAHAZRAT SEY MUNHARIF -Allama maulana mufti ashshah hazrat hasan ali razavi mailsee-Pakistan ---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------yeh letter 2001 mey likha geyaa thaa , jabki mufti e aazam maharashtra , shamshul fuqha , badru ulemaa , umdatul muhaqqeqeen , mehboob e huzoor mufti e aaazam e hind mufti ghulam mohammad khan alaihirrahema khaleefa e huzoor mufti e aazam e hind radiALLAHu anh ney 1998 mey hi iliyas attar saaheb per ek maamley (1998 mein iliyas attar saaheb mumbai , india aaye they aur ek bayan mein kucchh aisey kalimat kahey they jin per hukm lagaya gaya tha ulemaa e ahl e sunnat ney) mey gumrahi ka hukm lagaa ker khilaafat waapis le leey thi , dekhiye mufti saaheb qiblah iliyas attar saaheb k loud speaker par namaz padhaanaa shroo karney key baarey mein kya farmaatey hai is letter mein , ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------Hazrat allama maulvi mufti ghulam mohammad khan saaheb mudda zillahul aali , o Makhdoom O mohatram allama sayyed mohammad hussaini mudda zillahul aali hadiya salaam masnoon ........................ "faqeer ko maaloom hua hai ki MAULANA ILIYAS QADRI DAWAT E ISLAMI waalo ko HAZRAT ALLAMA MUFTI GHULAM MOHAMMAD KHAN SAAHEB MUDDA ZILLAHU ney silsila e razaviya mey khilafat di hai , yahaan maulana ILIYAS QADRI ney LOUD SPEAKER par namaaz shroo karaa di hai , lehaazaa aap (allama sayyed mohammad hussaini saaheb) aur MUFTI GHULAAM MOHAMMAD KHAN SAAHEB MUDDA ZILLAHU TA'AALAA, MAULVI ILIYAS QADRI key naam mufassal maktoob FAQEER ke patey par irsaal karein jis mey maulana iliyas qadri ko loud speaker par namaazein padhney padhaaney sey mana'a karein ki woh MASLAK E RAZAVI AUR SAYYEDINA MUJADDID E AAZAM quddus sarrahu key maslak sey INHERAAF O UDOOL naa karein , apney QAADRI RAZAVI honey ki daawey ki laaj rakhein..----------------------------------------------------------------------------------------- scan copy check karein , letter pad ki , ab yeh to Pakistan k akaabir aalim farmaa rahey hai ki iliyas saaheb maslak e aalahazrat sey inheraaf kar rahey hai ,is mein tajushariyah k mureedeen ka kya kusoor , aur mai to tajushariyah ka mureed b nahi , aur tajushariya ka wo bayaan ka link b nahi diya mai ney jis mey tajushariya farmaatey hai """muballegheen e dawat e islami aur sunni dawat e islami maslak e aalahazrat ki muballigh nahi hai""" khair loud speakar par namaz shroo karna wo to shroowaat thi maslak e aalahazrat sey inheraaf ki , aagey to bahut masaayel mein inheraaf kiya attar saaheb ney .. --------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------============================================================================ =========================================================== 4. Nashir E Maslak E Aalahazrat Allama Maulana Mufti Hassan ali Qadri razavi Mailsee PakistanAllama Hassan ali Qadri razavi Mailsee - Pakistan========================================================================------- 5. ---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------============================================================================ =========================== In Muballegheen ney Ulemaa k 2 grp banaaye hai ----------------------------jwaz waaley(loud speaker ki iqtedaa par namaz ko jaayez kehney waaley) aur -------------------adm e jwaz waaley (loud speaker ki iqtedaa par namaz ko naajaayez kehney waaley),-----------------------jab asl tehqeeq to yeh hai ki adm e jwaz mey koi grp nazar nahi aataa , sirf 2 mufti saahebaan k naam hai ,1)jo Loud Speaker ki iqteda par namaz ko naajaayez kehtey hai , us mey tamaam akaabir ulemaa e ahl e sunnat hai us ki list neechey di jaayegee yeh taadaad ek azeem haisiyat rakhti hai , yeh sirf kucchh akaabir ulema ki list hai , in key maanney waaley doosri saf (line) k ulemaa ki taadaad hazaaro mein hai2)jo loud speaker par namaz ki iqteda ko theek samajhtey hai un mey sirf 2 naam hai jis ki list amufti nooruALLAH saaheb Pakistan b-mufti abdul wajid qadri saaheb Holland , pehley yeh adm e jwaz k qaayel they ab Holland jaa kar jwaz k qaayel hai baaqi jitney ulema ney adm e jwaz ka fatwa diya tha , unhoney sab ney rujoo kar liya, rujoo ki scan neechey aayegee ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------is key baad inhoney scientist k b 2 grp bataaye hai ,1) loud speaker ki aawaaz ko imam ki aawaaz kehney waaley , lekin koi tehqeeq pesh nahi ki , asl mein aisaa koi scientist nahi hai , jis ney aisee tehqeeq ki ho2)loud speaker ki aawaaz ko imam ki aawaaz naa kehney waaley is ki tehqeeq ham pesh karengey jo mufti jalaaluddin amjadi alaihirrahema faqeeh e millat ney apni kitab mein pesh ki hai , neechey scan pages dengey in sha ALLAH ---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 6. Pehli baat to yeh hai ki mukammal tehqeeq k baad loud speaker k awaz ki iqtedaa par namaz nahi hoti is par akaabir ulemaa e ahl e sunnat ka ijmaa ho chukka , sirf ek mufti sayyed afdhal hussain saaheb jo huzoor mufti e aazam e hind radiALLAHu anh k khaleefa hai unhoney ikhtelaaf kiyaa thaa baad mein unhoney b us fatwey sey rujoo kar liya , lehaazah yeh zaahir hai ki akaabir ulemaa ney ijma kar liya tha ki loud speaker ki iqtedaa par namaz nahi hoti , ab koi Karachi k ameer is ko ikhtelaaf bataa ker who b sirf ek London k mufti saaheb ka fatwa dikha kar ki ikhtelaaf ho gayaa ikhtelaaf ho gayaa laakh chillaayein lekin yeh sabit nahi kar saktey , aur yeh jo awaam ko bataayaa jaataa hai ki ulema ka ikhtelaaf rehmat hai kis qism ka ikhtelaaf rehmat hai aur kis qism ka ikhtelaaf zehmat hai , huzoor mufti e aazam e hind radiALLAHu anh k fatwey sey mulaahizah farmaayein , is mey jinhoney loud speaker k fatwey par namaz ko jaayez kaha un key baarey mey b zikr hai , aur yeh rehmat hai yaa zehmat , khud hi fikr karein======================================================================------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------================================================================== 7. =======================================================================-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------==================================================================== Huzoor Mufti E Aazam e Hind RadiALLAHu anh farmaatey hai , Mujtahid Fi Masaayel mein ikhtelaaf e mujtahedeen zaroor rehmat hai ki in mein haq daayer hotaa hai , har fareeque apney ko haq par yaqeen kartaa hai , magar who doosrey mazhab ko ghalat o baatil nahi keh saktaa , apney mazhab ko suwaab jaanegaa mohtamil e khataa doosrey mazhab ko mohtamil e suwaab , aur hare k doosrey ko musaab maanegaa , Aisey masaayel jis mein ek sahee aur doosra yaqeenan ghalat o baatil YEH IKHTELAAF REHMAT NAHI NIRAA ZEHMAT HAI ab loud speaker k masaley mein kaun ghalti par hai mulaahezah farmaaye , Sarkar mufti e aazam e hind radiALLAHu anh farmaatey hai """Har Koi Jaanta hai ki jo amal, af'aal e namaz sey nahi,jab kaseer hogaa to mufsid e namaz hogaa, Microfone mein aawaaz pahunchaatey rehna amal e kaseer namaz k alaawah amal hai , aur kaseer lehaazah mufsidh , 8. isey kaun nahi maantaa , dehli waalaa ho yaa laahore waalaa ya karachi waalaa , yaa kaheen aur ka , aur ager ek yaa chand aisey ho b to us ka khayaal khaam , niraa naakaam , i'ndal khwaas wal awaam , -----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------Loud Speaker ki aawaaz wahi imam ki aawaaz nahi mumaasil e aawaaz e imam loud speaker ki aawaaz misl e aawaaz e gunbad o chaah (kunwwaa)hai , ain aawaaz e imam nahi , aur muqtadee namaz mein ghair ki iqtedaa karey yeh mufsid , isey dehli ka tasleem nahi kartaa yaa laahore ka yaa karachi ka , agar koi is aawaaz e loud speaker ko imam ki aawaaz khayaal kartaa hai to us ka khayaal mahez ghalat hai""" Aur ek doosrey fatwey mey irshad farmaatey hai """Aalahazrat quddus sarrahu ki koi ibaarat aisee nahi hai , jis sey yeh samjhaa jaaye ki aalahazrat quddus sarrahu k nazdeek mahez loud speaker ki aawaaz par inteqaalaat karney waaley ki namaz durust hai""" ==========================================================================------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------========================================================================= 9. =========================================================================-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------======================================================================= 10. sab sey pehley in muballegheen e dawat e islami ki jurrat dekhein ki jo akaabir ulemaa e ahl e sunnat loud speaker par namaz ki iqteda ko naajaayez kehtey they aur jin logo ney apney jwaz k fatwo sey rujoo kar liya tha unhey b jwaz ki list mein daal ker awaam ko gumrah karney ki koshish ki , aur jab hamney un ki is makkari ko expose kiya , un muftiyan e kiram ki rujoo ki tehreerein pesh ki , to ab unhoney mufti abdul wajid qadri saaheb ka fatwa pesh kiya ki dekho yeh b naajaayez kehtey hai , jaisey Bandar k haath lagaa bater , badaa khush lekin usey samajh hi naa aaye kya karey ,Hamaari arz yeh hai ki kya iliyas attar saaheb ki koi tehqeeq hai loud speker ki iqtedaa par namaz hoti hai ya nahi hoti is taaluq sey , kya unhoney sharaee yaa scientific kucchh tehqeeq ki hai ki loud speaker ki iqtedaa par namaz, is maamley mein , ager wo is key ahel nahi hai aur unhoney koi tehqeeq nahi ki hai to un ka kaam thaa ki us fatwey ki pairwee kartey us ijmaa ki pairvee kartey jis mein aalahazrat k tamaam khulafaa , aalahazrat k tamaam shaagird , tilaamezah , jo duniya bhar mein failey huey hai , aur huzoor mufti e aazam e hind k tamaam khulafa muttafique hai , naa ki Holland k mufti saaheb ki , is aalahazrat k khulafaa aur shagirdo k muttafeqah faisley k saamney un holland k mufti saaheb key tehqeeq ka kya importance hai yeh andaazah lagaayaa jaa saktaa hai , wahi shakhsh akaabir k fatwo ko chhod kar holland k mufti saaheb k fatwey ki pairwee karegaa jo jaahil hogaa , ab iliyas attar saaheb sey yeh ummeed nahi thi ki woh aisaa karengei ,Ab unhoney sadrusshariyah mufti amjad ali radiALLAHu anh ki tehqeeq pesh ki hai ki fatwo k hukm badaltey hai , lekin yeh nahi bataayaa ki waqt k aitebaar sey ahkaam badalney key liye mudallal o mufassal dalaayel qaayem kiye jaatey hai , us key baad hi akaabir ulemaa e ahl e sunnat faislah kartey hai , aisaa nahi jo aaj iliyas attar saaheb aur unkey sikhaaye naujawaan muftiyan e kiraam ka tareeqah hai , iliyas attar saaheb ki tabiyat k aitebaar sey faisley karey aur hukm badley ,naa koi daleel naa koi taaeed , bus jab marzi mein aayaa tab loud speker k iqteda per namaz ko na jaayez kahaa , jab marzi mein aayaa loud spekar par namaz shroo kar di , aur on London k mufti saaheb k saath kitney muftiyan e kiraam muttafique hai loud speaker k taaluq sey, is ko zaahir karein , to agar ulemaa e kiram us par muttafique nahi to kaisey hukm badlegaa ,In akaabir ulemaa e ahl e sunnat jinmein aalahazrat radiALLAHu anh k khulafaa aur tilaamezah shagird shaamil hai un ka mauqaf yeh hai ki ----------------------------------1)kaseer jamaat mein mukabbereen rakhna SUNNAT E MUTAWAASIRAH MAASOORAH hai ,jis rasooluALLAH sallALLAHu alaihi wasallam k zamaaney mey amal kiya gayaa , khulafa e raashedeen ney amal kiya , aimma e mujtahedeen ney amal kiya aur 1400 saalo sey tamaam ummat amal karti aayee hai, --------------------------------- 11. 2)loud speaker ka namaz mein istemaal mukabbereen jaisee sunnat ko khatm kartaa hai , isliye BIDAT E SHANEEAH QABEEHAH hai , in akaabereen ki list neechey dekhein , jis mey khaas taur parkhaleefa e aalahazrat huzoor burhan e millat mufti burhanul haq wad deen radiALLAHu anh jinhey aalahazrat ney qurrato ainee durrati zainee((Meri aankho ki thandak,khubsurat moti jesa)) ka farmaayaakhaleefa o shehzaada e aalahazrat huzoor mufti e aaza e hind radiALLAHu anhKhaleefa e aalahazrat mufti naeemuddin muraadaabaadi radiALLAHu anhKhaleefa E aalahazrat Sadrushariyah mufti amjad ali radiALLAHu anhKhaleefa E aalahazrat Sher Besha E Ahl e sunnat Mufti hashmat ali radiALLAHu anhKhaleefa E aalahazrat Sarkar muhaddis e aazam e hind kichauchawee radiALLAHu anhNaayeb Mufti e Aazam e Hind Mufti Shareef Ul haq saaheb alaihirrahemaHakeem Ul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi alaihirrahema Musannif JaalhaqPoori list neechey dekhiey , aur scan pages b jo sab sey aakhir mein diye jaayengey 12. HADEES SHREEF KA MAFHOOM Bukhari shareef mein Ummul Mumeneen Hazrat Aayeshah radiALLAHu anh sey hadees shareef hai mafhoom """raasooluALLAH sallALLAHu alaihi wasallamney apni marz ki haalat ,mein abu bakr siddique radiALLAHu anh ko hukm farmaayaa ki woh namaaz padhaayein aur logo ki imaamat karein , hazrat abu bakr siddique radiALLAHu anh jamaat ki imaamat ker rahey they , hazrat urwah radiALLAHu anh kehtey hai huzoor sallALLAHu alaihi wasallam ney marz ki haalat mein kucchh takhfeef paayee , to hujrah e aqdas sey baraamad huey , yehaa hazrat abu bakar siddique radiALLAHu anh logoan ki imaamat ker rahey they , jab siddique e akbar radiALLAHu anh ney mehsoos kiya ki huzoor e karam sallALLAHu alaihi wasallam tashreef laa rahey hai , to aap peecchhey hatney lagey , huzoor sallALLAHu alaihi wasallam ney irshad farmaayaa , aisey hi reho jaisey ho , phir huzoor sallALLAHu alaihi wasallam siddique e akbar radiALLAHu anh k pehloo mein tashreef farmaa huey , ,aur imaamat farmaayee , to siddique e akbar radiALLAHu anh huzoor sallALLAHu alaihi wasallam ki namaz per namaz adaa ker rahey they , aur tamaam jamaat k loag siddique e akbar radiALLAHu anh ki namaaz k saath namaz adaa kar rahey they , yaani huzoor e akram sallALLAHu alaihi wasallam , ki takbeer tasmee'a o salaam par siddique e akbar radiALLAHu anh ney takbeer tasmee'a o salaam kahaa aur logo ney siddique e akbar ki aawaaz par naamz adaa ki"""Allama Ainee ney "umdatul qaari" mein isi hadees shareef k tahet farmaayaa , yaani is hadees mein is amr ki taraf dalaalat hai ki jab imam itni door ho ki inkey peecchhey namaz padhney waalaa inhey naa dekh saktaa ho to jaayez hai ki muqtadee mukabbir k rukoo per rukoo kareyLehaazah imam ki takbeeraat o inteqaalaat ko muballigh aur mukabbir k zariye jo khud b imam k saath namaz mein shaamil ho aur us ka muqtadee ho , tamaam muqtadiyo aur jamaat tak pahunchaanaa sunnat e rasooluALLAH sallALLAHu alaihi wasallam aur sunnat e khaleefa e awwal siddique e akbar radiALLAHu anh hai aurHADEES SHAREEF ka irshad hai mafhhom "yaani tum per laazim hai meri sunnat per amal karoaur mere baad khulafaa e raashedeen ki sunnat per amal karo""" isi hadees ka ek hissa yeh hai """yaani meri aur khulfaa e raashedeen ki sunnat aur tareeqah ko ikhteyaar karo , aur is tareeqey ko mazbooti sey thaam lo aur khabardaar nayee nayee baato sey bachtey reho is liye ki har nayee cheez bid'at hai aur har aisee bid'at gumrahi hai""" (Musnad Imam Ahmad Bin Hanbal, Jild 5 Page 110 Aboo Daaood, Tirmizi, Ibn E Maajah) 13. "Algharz namaz mein loud speaker ka istemaal ek bid'at e qabeeha o shanee'a hai jo nabi e akram sallALLAHu alaihi wasallam aur siddique e akbar radiALLAHu anh aur khulfaa e raashedeen o sahaabaa e kiraam o a'imma e uzzam alaihirrahemurrizwaan ki sunnat e maasoorah o mutawaarisah k amaant o ikhtetaam kaa baais hai , haalaanki imam ki takbeeraat o inteqaalaat k liye usee imam ki iqtedaa mein namaz adaa kerney waaley ka imam ki niyaabat mein imam ki takbeeraat o inteqaalaat ko kaseer jamaat mein muqtadiyo tak pahunchaanaa ek nihaayet azeem mansab aur ahem mas'alah hai""" (siyaanatussalaat-an-hiyalul-bidaat-ma-tasdeeqaat-muftiburhan-ul-haq-alaihirrahe page no 16)"aisey daur e bid'aat aur is zamaaney shyoo'a mafaasid k liye aalam maakaana wa yakoon minALLAH alaihi wasallam ki hadees e shareef ""mishkwaat"" mey ""behaqee"" sey marwee hai, """"""jisney meri sunnat ko aisey waqt mein qaayem rakhaa jabki ummat fasaad mein mubtelaa ho us key liye 100 shaheedo ka sawaab hai""""""(siyaanatussalaat-an-hiyalul-bidaat-matasdeeqaat-mufti-burhan-ul-haq-alaihirrahema page 19)=========================================================================--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------================================================================== 14. =======================================================================--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------===================================================================== 15. ===============================================================-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------========================================================== Ab in muballegheen e dawat e islami ka BUZURGAN E DEEN AUR AKAABIR ULEMAA E AHL E SUNNAT par jhoot bohtan aur iftra'a ko mulahezah farmaaye aur UN KA JAWAAB WITH SCAN PAGES , waisey hamaarey pass ek mufti e dawat e islami ka b fatwaa hai jis mey un hazrat ney to aalahazrat radiALLAHu anh k khaleefa huzoor mufti sayyed naeemuddin alaihirrahema ka b zikr kiya ki wo b jwaz k qaayel they ma'aazALLAH jabki hamney yahaa un k fatwey ka scan diya hai ,ooper check karein , aur un key ek shagird hakeem ul ummat huzoor mufti ahmad yaar khan naeemi alaihirrahema ka b , jinka yeh mauqaf tha ki , """mukabbir rakhna sunnat hai aur loud speaker sunnat ko mitaataa hai isliye bid'at hai , agar loud speaker k saath mukabbir b rakhey to israaf (fuzool kharchi) jo mamnoo' hai shariyat mein usey shaitaan ka bhai kaha gayaa hai""" jis mey 16. unhoney loud speaker ko mazahemat e sunnat farmaya hai ===========================----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- ---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------============================================================-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------Muballegheen E Dawat E Islami Ki is post mein jin Buzurgan E Deen Akabir Ulema E Ahl E Sunnat Par Bohtan Aur Jhoot mansoob kiyaa gayaa hai , 1)Mufti mehmod akhtar saaheb mumbai2)Mufti Mansoor Ahmad saaheb mumbai3)Huzoor sadrushariyah Khaleefa E aalahazrat Musannif E bahar E Shariyat Mufti amjad ali alaihirrahema 17. 4)Mufti Sayyed Afdhal Hussain alaihirrahema Khaleefa E Huzoor Mufti e aazam e hind radiALLAHu anh jinhoney apney adm e jwaz k fatwey sey rujoo farmaa liyaa tha5)Mufti Muneeburraheman saaheb ka aur mufti Noor Mohammad Saaheb ka zikr in logo ney kiya hamein filhal is ki tehqeeq nahi ,yeh pakistan k hai , pakistan k loag hi tehqeeq ker saktey hai ki in ka kya mauqaf hai , jo loag itney badey akaabir buzurgan e deen par bohtan baandh saktey hai un key liye kya kahaa jaaye -----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------=========================================================-------------------------------------Is Jhoot Aur Bohtan Ka Jawab::-1)Fatwa Loud Speaker Ki Iqteda Per Namaz faasidh By Mufti Mehmood Akhtar Saaheb, Mumbai,------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------ --------------------------------------------------------------------------------- 18. ---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------=====================================================---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------2)Mufti Mansoor Ali Saaheb, Mumbai , sey personally roo baroo baat hui , woh loud speaker par namaz k adm e jwaz k qaayel hai , bahut jald tehreer dengey insha ALLAH-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------====================================================--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------3)Huzoor Sadrushariyah Khaleefa E aalahazrat Musannif E Bahar E Shariyat Mufti Amjad Ali radiALLAHu anh jin key baarey mey aalahazrat radiALLAHu anh farmaatey hai ki tafaqqoh fiddeen dekhna hai to amjad ali mein dekho ---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------========================================================----------------------------------------------------------- 19. -----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------=======================================================----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------4)Mufti Afdhal Hussain Saaheb alaihirrahema khaleefa e huzoor mufti e aazam e hind radiALLAHu anh ka rujoo' naamah-------------------------------------------------------------------------------------- 20. --------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------