juz 1 (summary) - darul arqam - welcoming womanhood ki sifaat jo hidayat par hai aur kamyaab hai...

10
Juz 1 (Summary)

Upload: nguyendiep

Post on 26-May-2018

300 views

Category:

Documents


4 download

TRANSCRIPT

Page 1: Juz 1 (Summary) - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Ki Sifaat Jo Hidayat Par Hai Aur Kamyaab Hai Ghaib Par Iman Namaz Qayam Karna Allah Ne Jo Diya Usme Se Kharch Karte Hai Quran Par

Juz 1 (Summary)

Page 2: Juz 1 (Summary) - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Ki Sifaat Jo Hidayat Par Hai Aur Kamyaab Hai Ghaib Par Iman Namaz Qayam Karna Allah Ne Jo Diya Usme Se Kharch Karte Hai Quran Par

Dawrae Quran JUZ 1 Alif Laam Meem : Surah Al Fatiha

www.livequraneverymoment.org Page | 2

Juz 1- Alif Laam Meem

Ayaat – 7 Ruku- 1

Surah- Al Fatiha Surah 1 Makki

Surah Fatiha Ayat 1-7 Is Soorat Me Allah Ki Tareef Aur Hamd Ki Jaarahi Hai

Allah Ki Sifaat Jinka Bayaan Hai Wo Hai Tamaam Jahano Ke Rab( Sustainer) Rehman ( Bahut Reham Karne Wale, Intensely Merciful) Raheem ( Baar Baar Reham Karne Wale, Continuosly Merciful) Qayamat Ke Din Ke Malik Hai

Dua Ki Jaa Rahi Hai Ke Ke Ham Sirf Aapki Ibadat Karte Hai Seedhe Raaste Ki Hidayat Dijiye Wo Rasta Jinpar Hidyat Hui (Ambiya, Siddiqeen, Shuhada, Saliheen) Na Unka Rasta Jinpar Ghazab Hua ( Yahoodi Aur Doosre Log) Na Unka Rasta Jo Bhatke Hue Hai ( Isayi Aur Doosre Log)

Ayaat – 286 Ruku- 39

Surah- Baqarah Surah 2 Madani

Ruku 1- Ayah 1-7 (In Ayaat Me Taqwa Wale Aur Kafiro Ka Zikr Hai)

Quran Hidayat Hai Taqwa Karne Walo Ke Liye (Muttaqi Log)

Taqwa -Allah Ki Mohabbat Me Nek Kaam Karne Wale Aur Allah Ke Dar Se Bure Kaam Chodne Wale

Muttaqiyo Ki Sifaat Jo Hidayat Par Hai Aur Kamyaab Hai Ghaib Par Iman Namaz Qayam Karna Allah Ne Jo Diya Usme Se Kharch Karte Hai Quran Par Iman , Pichli Kitabo Par Iman Akhirat Par Iman

Kaafiro Ko Samjhane Par Bhi Samajh Nahi Ayega Kyu Ke Unke Dilo Par Mohar Hai Kaano Par Bhi Aur Ankho Par Parda Hai Aur Wo Bade Azaab Me Hai

Ruku 2- Ayah 7-20 (In Ayat Me Munafiqeen Ka Zikr Hai)

Munafiqeen Ki Sifaat Sirf Zaban Se Iman Dhokha Shaoor Ka Na Hona Dilo Me Munafaqat Ki Beemari Jhooth Islah Ke Naam Par Fasaad Iman Walo Ko Bewakoof Kehha Iman Walo Se Kehte Hai Ke Iman Laye, Lekin Kaafiro Se Kehte Unke Saath Hai Musalmano Ka Mazaakh Karna

Unko Dheel Di Gayi Hai , Aur Unhone Gumrahi Ko Choose / Prefer Kiya Hidayat Par

Page 3: Juz 1 (Summary) - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Ki Sifaat Jo Hidayat Par Hai Aur Kamyaab Hai Ghaib Par Iman Namaz Qayam Karna Allah Ne Jo Diya Usme Se Kharch Karte Hai Quran Par

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --Kahf

www.livequraneverymoment.org Page | 3

Misaalein Munafiqeen Ki 1-Aitakaadi Munafiqeen- Muhammad S.A.W Ke Aane Se Pehle Shirk, Kufr Ke Andhero Me The. Jab Aap Aaye To Mahol Raushan Hua, Lekin Unke Andar Ka Jo Noor Hai Wo Bujh Gaya. (Haq Se) Goonge, Behre Aur Andhe Hai Aur Hidayat Ki Taraf Palatna Unka Mushkil Hai 2.Amali Munafiqeen- Iman Ki Barish Ke Saath , Usme Azmayasho Ke Andhere, Bijli Aur Kadak Hoti Hai. Jab Koi Zaati Fayda Islam Me Dihkta To Iman Walo Ke Saath Ho Jaate, Jab Koi Nuksaan Dikhta Aage Nahi Badhte. Allah Chahe To Inki Dekhne Aur Sunne (Haq Aur Hidayat) Ki Salahiyat Le Le, Lekin Allah Ne Inko Mauka Diya Hai.

Ruku 3- Ayaah 21-29 Ayah 20-22

Rab Ki Ibadat Ki Dawat-Ibadat Se Taqwa Hasil Hota Hai (Ayah 20-22)

Ibadat Ke Mayne Bahut wasi (Vast) Hai Rab Kaun Hai? Jisne Hame Aur Hamare Pehle Ke Logo Ko Paida Kiya Zameen Ko Farsh Ki Tarah Spread Kiya Aasman Ko Chat Banaya Asman Se Barish Barsaya, Usse Nabataat Ki Paydawaar Ayah 23-24 Agar Quran Par Shak Hai Ki Ye Allah Ka Kalaam Hai To Sab Milkar Is jaisi Soorat Laao, Phir Ye Bhi Kaha Jaa Raha Hai Ki Ye Impossible Hai, Jab Fail Ho Jao To Jahannum Ki Aag Me Jalne Tayyar Ho Jao Kiska Indhan Aag Aur Pathar Hai Ayah 24-25 - Jannat Ki Tasweer Ye Iman Aur Amal Karne Walo Ki Hai Isme Duniya Jaise Dikhne Me, Lekin Quality Me Bahut Aala Phal Honge Pure Spouse Hameshgi Ki Zindagi Matchar Ki Misaal (Ayah 26)

Aisi Misaalo Se Fasiq ( Hado Ko Todne Wale) Bhatakte Hai Aur Iman Walo Ko Aur Zyada Hidayat Milti Hai.

Fasiq Ki Sifaat, Jo Khasara Pane Wale Hai (Losers) (27) Allah Ke Ahad Todna Rishte Kaatna, Allah Se Talluq Na Rakhna Zameen Me Fasaad Karna

Ayah 28 & 29-Ay Insaan Allah Ne Tumhe Paida Kiya, Wahi Maut Denge, Wahi Wapas Jaana Hai Zameen Ke Sab Cheezo Ko Paida Kiya, 7 Asmaan Banaye, Us Allah Ka Inkar Kaise Kar Sakte Ho.

Ruku 4-Ayaat 30-39 Is Ruku Me Adam A.S Ka Waqeya Hai.

Allah Ka Farishto Se Adam A.S Ke Taqleeq Ke Irade Ke Bare Me Kehna.

Farishto Ka Jawaab Ke Jino Ke Baad Ek Aur Sarkash Mufsid Maqlooq Ki Taqleeq Kyu?Allah Ka Jawab Ke Allah Wo Janhte Hai, Jo Farishte Nahi Jante, Yaane Insaan Ko Ilm Diya Jayega.

Adam A.S Ko Ilm Diya Gaya, Aur Adam A.S Ne Saari Cheezo Ke Naam Durust Bataye,

Farishto Ko Hukm Hua Ke Wo Adam A.S Ka Sajdah Kare , Iblees Ne Inkar Kiya Aur Kafir Hua.

Adam A.S Aur Hazrat Hawa Ko Jannat Me Rakha Gaya Aur Kaha Gaya Ke Ek Darakht Ke Phal Ke Paas Nahi Jaana.

Shaytaan Ne Dono Ko Phisla Diya Aur Dono Ne Phal Khaa Liya.(Unko Ye Kehkar Uksaya Ke Ye Phal Khane Se Hameshgi Ki Zindagi Milegi)

Unhe Jannat Se Nikal Diya Gaya, Zameen Par Wo Utre (Adam, Hawa Aur Iblees) Aur Kaha Gaya

Page 4: Juz 1 (Summary) - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Ki Sifaat Jo Hidayat Par Hai Aur Kamyaab Hai Ghaib Par Iman Namaz Qayam Karna Allah Ne Jo Diya Usme Se Kharch Karte Hai Quran Par

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --Kahf

www.livequraneverymoment.org Page | 4

Jin-Jin, Insan-Jin, Insan-Insan Apas Me Dushman Honge Allah Ki Hidayat (Rasool Aur Kitabo Ki Shakl Me) Jab Aye Uski Pairi Karne Wale Ke Liye

Duniya Me Koi Khauf Na Hoga Aur Na Akhirat Me Gham Hidayat Ke Inkariyo Ke Liye Jahannum Ki Aag Jisme Hamesha Rehna Hai

Adam A.S Ki Dua Jab Unhone Tauba Ki

نفسنا إون لم تغفر لا وترحنا لكونن من ٢٣ ٱلخسين ربنا ظلمنا أ

(Al Araaf -23) Ay Hamare Rab, Zulm Kiya Hamne, Apne Nafso Par, Aur Agar Nahi Tu Bakshega Hamko Aur (Na)Reham Karega Hampar, Ham To Khasara Paane Walo Me Se Ho Jayenge

Ayaat 40-124 Bani Israel Ka Zikr Hai Bani Israel Kaun Hai?

Bani Yaane Bete

Israel Yakoob A.S Ka Laqab Hai Yakoob A.S Ibraheem A.S Ke Bete The

Ibraheem (As)

Is’haq (As) (Falasteen) Isma’eel (As) (Makkah)

12 Bete Jinse 12 Qaum

Ye 12 Beto Ki Naslo Ko Bani Israel Kehte Hai 12 Me Se 1 Yusuf A.S

Moosa A.S, Harun A.S Dawood A.S, Suleman A.S, Yahya A.S Zakariya A.S Etc Sab Bani Israel Me Se Hi The

Bani Israel Ka Asli Watan Falasteen Tha

Yunus A.S Ko Unke Bhaiyo Ne Kuwe Me Pheka, Waha Se Wo Misr Lejaye Gaye, Jab Wo Misr Me Bada Mukaam Paaye, Apne Bhaiyo Ko Misr Bulaya, Is Tarah Bani Israel Falasteen Se Misr Gaye.

Lambe Arse Tak Bani Israel Ka Misr Me Zor Raha, Lekin Dheere Dheere Wo Kamzor Hue Yaha Tak Ke Firaun Ne Unko Ghulaam Bana Liya Aur Unse Khoob Mehnat Karwata Aur Zulm Karta

Firaun Unke Beto Ko Qatl Karta Kyu Ke Kaha Jaata Hai Ke Usne Khaab Me Dekha Ke Bani Isarel Ke Ek Ladke Ki Wajah Se Uski Saltanat Qatm Hogi. Isliye Bhi Qatl Karta Taake Unki Poppulation Zyada Na Badhe

Moosa A.S Bani Israel Ki Aulaado Me Se The Lekin Allah Ne Unhe Bacha Liya Aur Firaun Ke Ghar Me Wo Parwarish Paaye

Moosa A.S Ke Zariye Allah Ne Bani Israel Ko Firaun Ke Zulm Se Bachaya, Aur Firaun Aur Uske Saathiyo Ko Red Sea Me Gharkh Kardiya

Firaun Ke Gharkh Hone Ke Baad, Bani Israel Ko Lekar Moosa A.S Sehraye Seena (Sinayi Desert) Me Gaye. Waha Unhe Falateen Wapas Haasil Karne Ke Liye Jihad Ka Hukm Hua.

Bani Israel Ne Jihad Se Inkar Kiya To Saza Ke Taur Par 40 Saal Sehraye Seena Me Hi Rahe

Yahi Sehra Me Unpar Mann Aur Salwa Utarti, Baadalo Ka Saaya Hota Ur Paani Ke 12 Chasme Phoote

Yahi Par Kohe Toor Par Bula Kar Allah Ne Moosa A.S Ko Tauraat Ata Ki

Jab Moosa A.S Tauraat Lene Gaye, Us Waqt Bani Israel Ne Bachde Ki Pooja Shuru Kardi.

Yahi Moosa A.S Aur Harun A.S Ka Inteqaal Hua.

Moosa A.S Ke Shagird Yoosha Bin Noon Ke Time Par Bani Israel Waapas Falasteen Me Daakhil Ho Paaye.

Page 5: Juz 1 (Summary) - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Ki Sifaat Jo Hidayat Par Hai Aur Kamyaab Hai Ghaib Par Iman Namaz Qayam Karna Allah Ne Jo Diya Usme Se Kharch Karte Hai Quran Par

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --Kahf

www.livequraneverymoment.org Page | 5

Ruku 5-Ayaat 40-46

Nemato Ko Yaad Dilaya Jaa Raha Hai Ke Kis Tarah Sehra Me Bhi Mann , Salwa, Badalo Ka Saaya Etc Mila , Aur Bani Israel Me Bahut Saare Ambiya Bheje Gaye Ambiya- Jinpar Wahi Hoti Rasool – Jinpar Shariat Utarti

Total

Nabi-1 Lakh 24 000

Rasool – 300+

Mentioned In Quran -24

Ayah 40-Bani Israel Se Wada-Ke Wo Akhri Nabi Ki Madad Karenge Allah Ka Wada – Duniya Me Bhalayi, Uruj, Ikhtedaar Aur Jannat

Ayah 41-Tauraat Par Iman Laane Ka Hukm Aur Apne Fayde Ke Liye Taurat Ki Tehreef Na Karne Ka Hukm , Aur Thode Paiso Ke Liye Taurat Ke Ehkamaat Ko Galat Samjhana Aur Galat Fatwe Naa Dena Ka Hukm

Namaaz Qayam (Pahna, Waqt Par Padhna, Durust Tareeke Se Pahna) Etc Karna,Zakat Ada Karne Ka Hukm

Logo Ko Neki Ka Hukm Dene Ke Saath Khud Bhi Amal Karne Ka Hukm

Madad Maangne Ka Tareeka-Namaz Aur Sabr

Namaz Sirf Khushu Karne Walo Par Bhari Nahi

Khushu Karne Walo Ki Sifat Qayamat Ke Din Allah Se Milne, Hisaab Dene Par Yakeen Rakhte Hai

Ruku 6 - Ayaat 47-59

Bani Israel Me Bahut Saare Ambiya- Ye Unki Fazeelat

Bani Israel Ke Beto Ka Qatl, Ye Allah Ki Taraf Se Aazmayash

Firaun Aur Uske Saathiyo Ka Gharkh Hona

40 Din Kohe Toor Par Jaakar Moosa A.S Ka Tauraat Lana

Moosa A.S Ke Peeche Bachde Ki Pooja

Bachde Ki Pooja Ke Baad Unki Maafi Kis Tarah Hui? 3 Tarah Ke Log The

1. Bachde Ki Pooja Karne Wale 2. Khamosh Rehne Wale 3. Pooja Se Rokne Wale

Maafi Ke Liye Hukm Hua Ke (1) ka Qatl (3) Kare

Kaha Jaata Hai Ke 70,000 Logo Ka Qatl Hua

Bani Israel Ne Allah Ko Dekhne Ka Mutaalba(Demand) Kiya

Wo Log Allah Ko Dekhne Ke Liye Pahad Par Gaye, Lekin Allah Ko Dekh Naa Paye Aur Mar Gaye.

Allah Ne Phir Unko Zinda Kiya

Ayah 56-Mann Aur Salwa Mann- Gondh Jaisi Cheez Salwa- Bird

Hukm Tha Ke Taaza Khaye Lekin Un Logo Ne Hirs Se Bacha Kar Rakhna Shuru Kiya Jisse Beemaar Hue.(Baasi Khane Se)-Ye Unka Khud Par Zulm Tha

Ayah 59-Yoosha Bin Noon Ke Saath Falasteen Me Waapsi

Hittatun(Astaghfirullah) Kehte Hue Basti Me Dakhil Hone Ka Hukm Lekin Unlogo Ne Khel Tamashe Me Hintatun Kaha

Is Gunah Ki Saza Me Unpar Plague Ka Azaab (Could Bhi Some Other Azaab Also)

Page 6: Juz 1 (Summary) - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Ki Sifaat Jo Hidayat Par Hai Aur Kamyaab Hai Ghaib Par Iman Namaz Qayam Karna Allah Ne Jo Diya Usme Se Kharch Karte Hai Quran Par

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --Kahf

www.livequraneverymoment.org Page | 6

Ruku 7 Ayah (60-61)

12 Chasmo Ka Phootna

Har Qabeele Ka Chasme Ke Size Ke Hisaab Se Apna Chashma Pehchaan Na

Mann Salwa Ke Badle Khane Ke Liye Doosri Cheez Mangna

Pyaz , Lehsan , Sabzi , Kakdi, Masoor Ugane Ka Hukm Jiske Liye Ek Jagah Basne Ka Bhi Hukm

Nabiyo Ka Qatl Karna

Zillat Aur Maskanat Ka Musallat Hona Bani Israel Par

Yaane Baad Me Nasaara Ke Haatho Bahut Zulm Hua Inpar

Few Examples-Alexander, Hitler, Russian Revolution Etc

Ruku 8- (62- 71)

Apne Apne Waqt Par Jo Iman Laaye Aur Amal Kiye Nek Unko Duniya Me Na Koi Khauf Hoga Na Akharat Me Koi Gham

Yahoodi , Nasara Aur Sabi Me Se Aakharat Ke Hisaab Se Wahi Kamyab Honge Jo Apne Waqt Par Apne Nabi Par Iman Laye, Muhammad S.A.W Ke Aane Ke Baad Koi Aur Deen Qubool Nahi Hoga

Sabi-Inke Baare Me Ke Ye Kaun Hai Bahut Alag Alag Opinions Hai Ayah 63-64 Allah Ka Yahoodiyo Ke Sar Par Pahad Uthana Jab Unhone Taurat Par Iman Lane Se Inkar Kiya Ayah 65-66 Ashabe Sabt Ke Bare Me Hai

Sabt Yane Saturday

Ye Log Bani Israel Me Se Hi The

Samadar Ke Kinare Rehte

Allah Ne Inhe Hafte Ke Din Sirf Ibadat Me Mashghool Rehne Ka Hukm Diya, Business, Aur Duniyayi Koi Kaam Me Bhi Unhe Involve Nahi Hona Tha Saturday Wale Din

Wo Log Machli Pakadne Ka Kaam Karte

Unlogo Ne Ek Chaal Chali Ki Friday Ke Din Jaal Bicha Dete, Saturday Khud Ba Khud Machliya Jaal Me Phas Jaati, Sunday Jaal Nikal Lete

Saza Ki Taur Par Unhe Bandar Banaya Gaya

Lesson-Deen Me Tricks Aur Hila Saazi Gunah Hai. Ex-Zakat Se Bachne Maal Ko Bacho Me Taqseem Karna

Ayah 67-71

Moosa A.S Ko Gaay Zubah Karne Ka Hukm Kyu Ke Gaay Muqaddas Nahi Hai, Balke Ek Allah Ki Ek Maqlooq Hai

Bani Israel Ne Poori Koshish Ki Ke Is Cheez Ko Taal Diya Jaye Kyu Ke Wo Gaay Muqaddas Samajhte Aur Ye Bhi Poocha Ke Kahi Ye Mazaakh To Nahi (Mazaakh Jahalat Hai)

Is Baat Ko Taalne Ke Liye Unlogo Nekayi Tarah Ke Sawal Karne Lage Jaise Gaay Kaisi Ho? Jawab-Na Boodhi Na Jawan , Darmyani Umr Rang Kaisa Ho? Jawab-Gehra Zard (Dark Yellow) Ab Bhi Confusion Hai Jawab-Na Hal Chalati Ho, Na Kheto Ko Pani Pilati Ho,Na Koi Aib Ya Daagh Uspar sahi

salamat ho-Bekaar Ki Hujjat Galat Hai ex-Murgi Pehle Aayi Ya Andamermaid Mili To Halal Hai Ya Haram

Finally In Sha Allah Kaha, Aur Gaay Zubah Ki, Agar In Sha Allah Na Kehte To Wo Log Ye Kaam Kabhi Na Kar Paate

Page 7: Juz 1 (Summary) - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Ki Sifaat Jo Hidayat Par Hai Aur Kamyaab Hai Ghaib Par Iman Namaz Qayam Karna Allah Ne Jo Diya Usme Se Kharch Karte Hai Quran Par

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --Kahf

www.livequraneverymoment.org Page | 7

Ruku 9 (Ayat 72-82) Ayah 72-73

Bani Israel Ke Ek Shaqs Ka Qatl Hona

Ilzaam Ek Doosre Par Lagana

Moosa A.S Ke Paas Faisle Ke Liye Ana

Gaay Ka Zubah Kiya Hua Hissa Murde Ko Lagana

Murde Ka Kuch Der Ke Liye Zinda Hona Aur Qatil Kaun Hai Batakar Faut Ho Jaana

Lesson-Isi Tarah Insaan Marne Ke Baad Qayamat Ke Din Dobara Zinda Hoga Ayah 74

Is Ayat Me Dilo Ko Patharo Se Compare Kiya Gaya Hai Logo Ke Dil Pathar Ho Gaye Hai-Jisme Koi Khair Nahi Hai Kuch Patharo Se Paani Phoot Te Ha—Dilo Me Khair Hoti Hai Kuch Shaq Hote Hai , Phir Paani Phoot Ta Hai—Kuch Haadso Ke Baad Khair Nikalti Hai Kuch Allah Ke Khauf Se Gir Padte Hai-Allah Ke Dar Se Sajdah Karte Hai

Ayah 75-78

Yahoodi Se Musalmano Ko Zyada Ummeed Thi Ke Wo Iman Layenge Kyu Ke Unke Paas Pehle Se Rasoolo Ki Talimaat Thi, Lekin Yaha Unka Haal Bayan Ho Raha Hai Unhone Taurat Me Tehreef Ki, Muhammad S.A.W Ki Baat Jo Taurat Me Hai Chipayi Jab Iman Walo Se Milte Hai, Jhooth Kehte Hai Ki Iman Laaye Jo Tauraat Ki Baatein Batate Hai Musalmano Ko, Unse Kehte Hai Ki Sach Batau Warna

Hujjat Qayam Ho Jayegi Allah Ka Jawab Ke Musalmano Ko Batao Ya Nahi Allah Ko Sab Maloom Hai. Kuch Ahle Kitaab Ko Kitabo Ka Ilm Nahi Hai Aur Sirf Wo Gumaan Karte Hai .Ex-Ke Wo

Jannati Hai, Chune Hue Hai, Best Hai Ayat 79-82

Allah Ke Kalaam Me Tehreef Karna Aur Kuch Baat Jo Allah Ki Taraf Se Nahi Hai, Use Allah Ki Taraf Se Hai Kehne Walo Ke Liye Halakat Hai

Kuch Log Kehte Hai Ke Unhe Jahannum Ki Aag Nahi Chuyegi, Lekin Allah Ne Kisi Ke Saath Aisa Koi Wada Nahi Kiya Hai

Jo Burayi Kare Unke Liye Aag Hai Aur Jo Iman Laye Aur Ache Amal Kiye Unke Liye Jannat Hai

Ruku 10- Ayah 83-86

Bani Israel Se Ahad Ki Yaad Dihani(Taurat Me Aur Rasoolo Ke Zariye) Sirf Allah Ki Ibadat Karna Waldain, Ristedaar, Ghareeb Aur Miskeen Ke Saath Ehsaan Karna Namaz Qayam Karna Zakat Ada Karna

Lekin Aksar Mukar Gaye Ayah 84

Bani Israel Ke 3 Qabeele The Banu Nadeer Banu Qainaqa Banu Quraiza

Arabo Me Aws Aur Khazraj Ke Beech Dushmani Thi

Bani Israel Ko Allah Ka Wada Tha Ke Ek Doosre Ka Qatl Nahi Karna Aur Naa Ke Ek Doosre Ko Gharo Se Aur Watan Se Nikalna

Lekin Arabo Ki Ladai Ke Dawran Banu Quraiza Ne Aws Ka Saath Diya Aur Banu Nadeer Aur Banu Qainaqa Ne Qazraj Ka Aur Is Tarah Aapas Me Ek Doosre Ke Qilaf Hue, Qatl Kiye Aur Gharo Se Nikale

Page 8: Juz 1 (Summary) - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Ki Sifaat Jo Hidayat Par Hai Aur Kamyaab Hai Ghaib Par Iman Namaz Qayam Karna Allah Ne Jo Diya Usme Se Kharch Karte Hai Quran Par

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --Kahf

www.livequraneverymoment.org Page | 8

Lekin Jab Qaidi Bankar Jaate To Bani Israel Apne Logo Ko Fidiya Dekar Chudaate

Allah Ke Kuch Ehkam Par Amal Kiya Aur Kuch Ko Toda

Aise Logo Ke Liye Duniya Aur Akhirat Me Ruswayi Hai

Lesson- Alaah Ke Tamaam Ehkam Par Amal Karna Hai, Sirf Kuch Par Karna Durust Nahi

Ruku 11 (Ayah 87-96)

Moosa A.S Ke Baad kayi Nabiyo Ka Aur Isa A.S Ka Aana (Roohul Quds-Jibrael A.S)

Jab Koi Rasool Unko Pasand Naa Aate To Unka Inkar Karte Aur Kehte Ke Dil Ghilaf Me Hai, Aise Logo Par Laanat Hai

Muhd Sa.W Ke Aane Se Pehle Wo Log Duae Karte Ke Aakhri Rasool Aye Aur Bani Israel Ki Dushmano Ke Qilaf Madad Kare

Jab Aaye To Inkar Kiya Kyu Ke Wo Bani Ismael Me Se The

Ghazab Ke Oopar Ghazab Hua-Duniya Me Logo Ne Unka Bahut Bura Haal Kiya

Bani Israel Ka Aitaraaz Ke Ham Sirf Usi Par Iman Layenge Jo Bani Israel Me Aaya, To Jawaab Me Sawaal Ke Apne Nabiyo Ko Bhi Tum Logo Ne Kyu Jhutlaaya

Unka Kehna Ke Wahi Jannat Me Jayenge, Jawab-To Maut Ki Tamanna Karo , Mar Jao Aur Jannat Me Chale Jao, Lekin Wo Aisa Nahi Karte Kyu Ke Unhe Maloom Hai Ke Kya Sahi Hai

1000 Saal Bhi Jeena Unka Unko Azab Se Nahi Bacha Payega

Ruku 12 (Ayah 97-103)

Bani Israel Isliye Jibrael A.S Ke Dushman The Kyu Ke Wo Allah ki Wahi Bani Ismael (Muhammad S.A.W) Ke Paas Laye

Jo 99-Khuli Ayatein-Quran Ayat 102

Is Ayat Me Suleman A.S Ka Zikr Hai

Suleman A.S Ke Time Par Jadu Uruj Par Tha

Suleman A.S Ne Jadu Qatm Karne Ke Liye Jadu Ki Kitabein Apne Taqt Ke Neeche Dafan Kardi

Unke Inteqal Ke Baad Logo Ko Jab Wo Kitabein Mili, Unhone Suleman A.S Par Hi Ilzaam Lagaya Ki Itni Badi Saltanat Jadu Ke Dam Par Rrakhi

Is Ayat Me Allah Ye baat Keh Rahe Hai Ke Suleman A.S Jadu Nahi Karte Important Points Jadu Kufr Hai Jadu Haroot Aur Maroot Do Farishto Ne Sikhaya, Ye Allah Ki Taraf Se Azmayash Thi Koi jadu Bhi Allah Ke Izn Ke Bina Nahi Ho Sakta Hai Sabse Badtareen Jadu Miya Biwi Ke Beech Hai

Ruku 13-(104-112) Ayah104

Rayina Yane- I Beg Your Pardon

Bani Israel Muhammad S.Aw Ko Rayeeeeena Kehte-Yane Charwaha

Ab Musalmano Ko Rayina Kehne Se Roka Jaa Raha Hai

Lesson-Jo Cheez Se Fitna Ho Usse Ruk Jana Chahiye

105-Rehmat –Naboowat

Bani Israel Chahte Ke Naboowat Sirf Bani Israel Me Aaye Ayah 106-Ayato Ka Mansooq Hona Koi Hukm Cancel Hona, Ya Uski Jagah Naya Ana

Bani Israel Ka Ispar Aitaraz

Allah Ki Badshahat Hai Aur Wo Jo Chahe Kare Ayah 108-Sahaba Se Ke Moosa Ki Qaum Ki Tarah Sawal Na Karo (Gaay Wala Waqeya)

Page 9: Juz 1 (Summary) - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Ki Sifaat Jo Hidayat Par Hai Aur Kamyaab Hai Ghaib Par Iman Namaz Qayam Karna Allah Ne Jo Diya Usme Se Kharch Karte Hai Quran Par

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --Kahf

www.livequraneverymoment.org Page | 9

Ayah 109-110

Bani Israel Musalmano Ko Kufr Par Pherna Chahte Hai,Wajah Hai Hasad Ke Bani Ismael Me Naboowat Aayi

Unko Maaf Karo , Darguzar Karo

Namaz Qayam Karo, Zakat Do Aur Jo Bhi Amal Karoge Use Qayamat Ke Din Paoge Ayah 111-Yahood Aur Nasara Ka Ke Wahi Sirf Jannat Me Jayenge Ye Unki sirf Arzu Hai, Daleel Lao Agar Sach Hai To

Jannat Kiski Hogi Phir? Ayah 112- Jo Apne Aap Ko Allah Ke Liye Supurd Karde

Ruku 14- (Ayah 113-121)

Yahood ,Nasara Aur Ahke Kitab Sab Kehte Ki Ham Sahi Hai Lekin Faisla Qayamat Ke Din Hoga

Sab Se Bada Zaalim Masajid Se Rokne Wale Hai (Masjide Haraam Ya Firqa Waari Ki Wajah Se)

Mashriq Aur Maghrib Allah Ke Liye Hai, (Poori Zameen Aur Har Samt)

Allah Ki Koi Aulaad Nahi Hai Balke Allah Asman Aur Zameen Ke Malik Hai, Paida Karne Wale Hai Aur Sab Allah Ki Itaat Me Hai

Lailm Log (Ahle Makkah) Ka Mutaalba Ke Unhe Allah Dekhna Hai Ya Unke Paas Wahi Aaye—Isi Tarah Moosa Ki Qaum Ne Bhi Kaha Tha(Kya Hashr Hua Unka)

Yahood Aur Nasara Musalmano Se Tabhi Razi Honge Jab Unka Tareeka Follow Karnege, Lekin Hidayat Aane Ke Baad( Quran Aur Hadeeth) Jo Unko Follow Karega, Uska Koi Dost Ya Madadgar Nahi Hoga .(Splly Qayamat Ke Din)

Kitab Ko Padhne Ke Saath Uska Haq Ada Karna Hai, Inkar Karne Wale Ke Liye Khasara Hai

Quran Ka Haq Usko Padhna Samjhna Amal Karna Doosro Ko Batana Koi Taleem Iski Naa Chipana

Ruku 15 (Ayat 122-129)

Qayamat Ke Din Koi Kisi Ke Kaam Nahi Ayega, Na Fidiya Dekar Choot Sakte Hai, Na Sifarish Qubool Hogi Yahaa Se Ibraheem A.S Ka Zikr

Ibraheem A.S Ko Kayi Azmayasho Ke Baad Imam Banaya Gaya Imam ( Yahood , Nasara, Ahlemakkah, Musalman Sab Unko Mante)

Ibraheem A.S Ki Kuch Azmayashein Buth Parast Walid Walid Ka Khud Unhe Jalane Laakdiya Dhona Jila Watan Kayi Saal Tak Koi Aulaad Nahi Mushkil Se Hone Wali Aulad Aur Biwi Ko Sehra (Desert ) Me Chodne Ka Hukm Bete Ko Zubah Karne Ka Hukm Etc

Ibraheem A.S Ne Fauri Apni Aulad Ki Imamat Ki Dua Ki Lekin Allah Ka Jawab Ke Jo Zalim Honge Unhe Nahi Milega

Khane Kaaba Ko Ibadat Ki Jagah Banayi Gayi (Ye Adam A.S Ke Waqt Se Hai, Toofane Nooh Me Deewarein Gir Gayi)

Page 10: Juz 1 (Summary) - Darul Arqam - Welcoming Womanhood Ki Sifaat Jo Hidayat Par Hai Aur Kamyaab Hai Ghaib Par Iman Namaz Qayam Karna Allah Ne Jo Diya Usme Se Kharch Karte Hai Quran Par

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --Kahf

www.livequraneverymoment.org Page | 10

Dua Karte Hue Deewaro Ko Buland Kiya Gaya Ke Ye Kaam Qubool Ho, Unko Aur Unki Aulado Ko Musalmaan Banaya Jaye, Aur Unki Aulado Me Se Rasool Ho Jo Kitaab Aur Hikmat Janta Ho Aur Tazkiya Kare(Muhammad S.A.W Ka Aana Is Dua Ke Nateeje Me)

Manasik- Ibadat Ke Aur Hajj Ke Tareeke-Jibrael A.S Ne Unhe Sikhaya

Ruku 16(Ayah 130-141)

Jo Ibraheem A.S Ke Tareeke Se Hath Gaya Wo Halak Hua

Ibraheem A.S Ka Tareeka Tauheed Har Aazmaayish Me Allah Ke Saamne Jhukna Apne Aap Ko Allah Ke Liye Supurd Kardena

Ibraheem A.S Ne Aur Yakoob A.S Ne Apne Beto Ko Musalman Hone Ki Aur Tawheed Ki Naseehat Ki

Har Ummat Ko Sirf Apna Jawaab Dena Hai

Yahood, Nasara, Ya Mushrik Ka Tareeka Hidayati Yafta Nahi Balke Ibraheem A.S Ka Tareeka Sahi Hai

Iman Ka Hissa Tamaam Rasoolo Par Iman Laana Aur Nabiyo Me Farq Nahi Karna Hai

Allah Ka Rang-(Dekh Kar Allah Ki Yaad Aye, Allah Ke Ehkam Par Chalne Wala), Yahi Best Rang Hai

Allah Zyada Jante Hai Ki Pichle Nabiyo Ka Deen Kya Hai

Zalim Log Wo Hai , Jinhone Allah Ki Gawahi Chipayi( Akhri Nabi Ki Batein)