jamaat ul-muslimeen ke aqaid

8
1

Upload: azaz-khan

Post on 23-Jun-2015

503 views

Category:

Education


9 download

DESCRIPTION

Jamaat ul-muslimeen ke aqaid

TRANSCRIPT

Page 1: Jamaat ul-muslimeen ke aqaid

1

Page 2: Jamaat ul-muslimeen ke aqaid

2

JAMAAT-UL-MUSLIMEEN KE ‘AQĀ’ID

Allah ta’ā’lā ke muta’liq hamārā aqīda: Allah ta’ā’lā ek hai, ekelā hai, nirāla (unique) hai. Na ko’ī uski zāt (personality) meń us ka sharīk (partner) hai, na us ki sifāt (attribute) meń us ka sharīk hai, na us ke hūqooq (rights, privilages) meń us ka sharīk hai. Na us ki ko’ī awlād hai, na us ki bīwī hai, us ki na ibtedā’ hai aur na intehā, voh hūlool (transmigration, incarnation) na’hīń karta, voh insāni shakal meń na’hīń ātā. Us ki tamām sifāt zāti haiń. Us ki har sifat kāmil hai, us ki har sifat ke kamāl (perfection) ka ek lā mūtanā’hi silsila hai, us meń kabhi kami na’hīń āti. Mohammad Rasoolullah (sas) ke mūta’liq hamārā aqīda: Mohammad Rasoolullah (sas) Allah ta’ā’lā ke ākhiri Rasool aur ākhiri Nabi haiń. Ab ko'ī naya Nabi na’hīń āyega. Nabiyoń aur Rasooloń ka silsila khatm hogaya. Ab jo shakhs nūbūv’vat ka da’wa kare voh jhoota, makkār aur dajjāl hai masalan Musailama, Mirzā Gulām Qādiyani vaghairah daj’jāl the aur un ko nabi mān’ne vāle kāfir. Mohammad Rasoolullah (sas) Qur’ān-e-majīd ke shā’reh (commentator) haiń. Āp (sas) ki tashrih’ (explanation) ke khilāf Qur’ān-e-majīd ki tashrih’ karne vālā Islam se khārij hai, āp (sas) ki zubān-e-mūbārak se sirf haq bāt nikalti thi, āp (sas) ki har Dīni bāt vah’y (revelation) hoti thi Āp (sas) ka har fe’l (action) aur har qau’l (word) Dīn ka mā’khiz (source) hai aur zābte hayāt (code of life) hai. Āp (sas) Allah ta’ā’lā ke khalīl, kalīm aur habīb haiń. Āp

Page 3: Jamaat ul-muslimeen ke aqaid

3

(sas) ki itā’at (obedience) aur I’ttiba (follow) ke baghair hidā’yat (correct guidance) na’hīń mil sakti, Dīn hama ausat kā āp (sas) misdāq (proof) hai. Vājib-ul-itā’at aur vājib-ul-ittebā’ imām sirf āp (sas) hi hai. Āp jaisa na ko’ī huva hai aur na hoga. Āp ke martabe (degree, rank) ko na ko’ī pohnchā hai aur na pohnchega. Āp (sas) ke martabe ko ghata ne vāla, āp ko badey bhai ka darja dene vāla. Āp ki taraf bohran’ (crisis) ko mansoob’ (attribute) karne vāla dā’irah Islam se khārij hai. Khūlasa: (summary) Allah ta’ālā aur Muhammad (sas) hamāre Dīn va Imān aur Islam ki bunyād (foundation) haiń. “La ilaha illallah Muhammad Rasoolullah” ke mukhtasar se jumlon meń inhi baton ka izhār hai goya samandar ko koo’ze meń band kar diyā gayā hai. Kufr se tauba kar ke islam meń dākhil hone vāla in do hastiyon par apne imān ki shahādat de kar hi mūslim hotā hai ya’ni “Ashhadu an la ilaha illallah wa

ashhadu anna Muhammadur Rasoolullah” padh karhi dā’irah (orbit, circle) islam mein dākhil hota hai. Qur’ān-e-Majīd aur Hadīs Sharīf ke muta’liq hamārā aqīda: Qur’ān-e-majīd aur hadīs nabawi hūj’jat shariat aur mākhaz (source) qānoon hai. Inhi do chīzoń meń islam ki takmil (completion) hooi’ thi aur āj bhi inhi do chīzon meń Dīn Islam kāmil hālat meń mahfōz hai. Ijmā’-e-sahāba (consensus of sahāba (ra) huk’man hadīs hi ki ek qism hai. Qur’ān majīd ya hadīs ka inkār karne vāla, in ko hujjat shariat aur mākhaz qānoon na mān’ne vāla kāfir hai. Ambiyā’ wa Rasool aur Kutub-e-Samā’vi ke muta’liq hamārā aqīda: Ham tamām anbiya’ aur rasooloń par

Page 4: Jamaat ul-muslimeen ke aqaid

4

bila kisi tafrēq ke īmān rakhte haiń. Nabiyoń par jo kitābaiń nāzil hoyeiń un par imān rakhte haiń. Maslan Qur’ān-e-majīd, Tau’rait, Injīl, Zuboor vaghairah ko Allah ta’ā’lā ki taraf se nāzil karda kitābeiń mān’te haiń. Rasoolullah (sas) ki ahādīs ko bhi mūnaz’zal min-Allah (Allah’s revelation) mān’te haiń. ‘Isā (as) ko āsmān par zindah uthā liyā gaya tha aur ab voh phir qayāmat ke qarēb nāzil hońge aur Dīn-e-islam qayām ke silsile’ meń phir puri koshish kareńge, tamām adiyān (Religions) bātil (false) ka istēsāl (demolish, eradicate) kareińge. Voh Nabi bhi hońge aur Rasool bhi aur isi nūbūv’vat aur risālat ke sāth tashrīf layeinge jo nūbūv’vat aur risālat unheiń Rasoolullah (sas) ki nūbūv’vat aur risālat se pehle mili thi. Sahaba-e-krām ke muta’liq hamārā aqēda: Sahāba’ krām (ra) behtarīn qism ke mo’min wa mūslim the un meń se kisi ke mūta’luq burā gūmān (bad idea) na’hīń rakhte. Voh sab haq par the. Voh āpas meń ek doosre ke sāth bade rahīm (merciful) the, voh āpas meń na ladte the aur na lade. Ba’z kūtūb tawārīq (history books) meń jo afsāne (concocted story) un ke taraf mansoob (related, engage) haiń aur jin se un ki shān-e-sahabiat majrooh’ (hurt) hoti hai ham in tārīkhi afsānoń ko jhoot samajhte haiń. Fazīlat aur martabe ke lihāz se un meń sar fehris’t ibtedāi chāron khulefah haiń. Awliya’-e-krām ke mūta’liq hamārā aqīda: Allah ta’ā’lā ka irshād hai:- “Khabardār ! Allah ke valiyoń ko na ko’ī khauf hoga aur na ko’ī gham yā’ni jo log imān lāye aur mūttaqi rahe (Yunus:62-63).

Page 5: Jamaat ul-muslimeen ke aqaid

5

Rasoolullah (sas) ne farmāyā ke Allah ta’ā’lā farmātā hai. Jo shakhs mere vali se dushmani rakhe to mera us se ‘elāne jang hai. Lihāza hamārā ‘aqīda (faith) hai ke tamām awliyā’ Allah vājib-ul-ehterām heiń. A’imma-e-Dīn ke muta’liq hamārā aqīda: Tamām a’imma-e-dīn vājib-ul-ehterām heiń. Dīn ke silsile meń un ki khidmat um’mat par ek ba’hot badā ahsān hai, maslan Imām Sayēd Bin Museeb (rh) Imām Atā’ Bin Abi Rabā(rh), Imām Hasan Basri (rh), Īmām Sufyān Bin ‘Aeine (rh), Imām Sufyaan Sauri (rh), Imām Zuhri (rh), Imām Abdullah Bin Mubārak (rh), Imām Abu Hanīfah (rh), Imām Mālik (rh), Imām Shafāi ‘ (rh) Imām Ahmed Bin Hanbal (rh), Imām Bukhāri (rh), Imām Mūslim (rh), Imām Abu Dawood (rh), Imām Nasāi’ (rh), Imām Tirmizi (rh), Imām Ibn Māja (rh) vaghairah vaghairah. Imām Ahmed Bin Hanbal (rh) ko ham shirk se moobar’rā (free (of or from), aur badā pakkā mo’ah’hid (person believing in the unity of Allah) mūslim samajhte haiń. Ham to kisi Īmām ko mūdallis bhi na’hīń mānte is liye ke mūdallis hadīs ke ‘ayeb ko chūpā kar ghadi hūī hadīs ko sahīh hadīs bāvar kartā hai aur is tarah islam meń voh chīz dākhil kartā hai jo islam meń na’hīń hoti. Mūdallis goyā ek qism ka choor aur dhoke bāz hotā hai. Imām har’giz na’hīń ho sakta. Firqabandi ke muta’liq hamārā aqīda: Ham firqabandi ko harām samajhte haiń is liye ke Allah ta’ā’lā ne Qur’ān-e-majīd meń firqabandi ki mūmāniat ki hai aur ek jamā’at ban kar rahne ki hidāyat ki hai.

Page 6: Jamaat ul-muslimeen ke aqaid

6

Firqabandi ko sab la’nat (curse) samajhte haiń aur us ko khatm kar’ne ki na sirf taman’nā kar’te haiń balke khūle alfāz meń us ko kāla’dam kar’ne ki talqīn (religious instructions) kar’te haiń. Ham bhi yehi kehte haiń ke firqabandi khatm honi chāhiye’ hamārā qūsoor sirf itnā hai ke ham ‘amalan firqabandi ko khatm kar’ne ki koshish kar rahe haiń. Ham kisi ko kāfir na’hīń kehte. Ham to bas sirf itnā kehte haiń ke jo kūch in ke pās hai voh haq na’hīń hai. Haq to bas Qur’ān-e-majīd aur hadīs sharīf hai. Islam inhi do chīzoń meń hai. In ke bā’har Islam na’hīń. Hamārā Dīn: Hamārā Dīn sirf Islam hai. Hamārā nām Allah ta’ā’lā ne Mūslim rakha thā ham sirf usi nām se apne ko mausoom (named) karte haiń. Khūd sākhta nām rakh’kar Al-jamā’t se ‘alāhida honā na’hīń chahte. Ham par ilzām (accusation) lagāne vāloń se guzārish hai ke ham ko qarībse ā’kar dekheiń aur batā’yeiń ke hamāra kaun’sā amal Islam yā’ni Qur’ān-e-majīd ya hadīs sharif ke khilaf hai. Ahkām wa sūn’nat jin ko matrook’ (abandoned) kar diya gaya thā ham ek ek kar ke un ka ehyā (revival) kar diye maslan Imām ka mūqtadiyoń (followers in prayers) ki safoń ko sidha karna, Jūma ke khūtbe meń Surah Qāf ki tilāwat karna, khūtba mūqtasar dena, isi nām ko ikhtiyār karnā jo Allah ta’ā’lā ne rak’kha tha, shuru’ namāz meń aur ruku’ se pehle sakta (pause) karna, Eid ki namāz ko ‘auratoń par bhi lāzim qarār deyna, Eid ki namāz meń Surah Qāf aur Surah Qamar ki tilāwat kar’na, Jūma’ ki azān masjid ke darwāze par dena, jootiyān baith kar pehen’na, sīdhe hāth se lenā aur dena, mūlāqāt ke bād agar darmiyān meń ko’i’ chīz ājāye’ maslan diwār, darakht vaghai’rah to phir salam karna, mūsāfah ke vaqt

Page 7: Jamaat ul-muslimeen ke aqaid

7

Alhamdulillah kehna, teen ūngūliyoń (fingers) se khānā khāna, khāne ke bād rikābi ko bilkul sāf kar denā.

JAWĀB DĪJIYE’

1. Kyā āp haqīqi Islam ki ma’lūmāt hāsil karnā chāhte

hai?

2. Kyā āp ko firqabandi se vāqa’i nafrat hai?

3. Kyā āp firqabandi se najāt hāsil karnā chāhte hai?

4. Kyā āp eak Ummat-e-wahid ban kar is sarzamīn par Allah ta’a’la ke ahkāmāt nāfiz karnā chāhte haiń?

5. Kyā āp lā ilmī ki tarīkiyoń se nikal kar ilm wa

amal ki roshnī meń ā’nā chāhte haiń?

6. Kyā āp zindagi ke har shobe meń kāmil aur mahfooz Dīn-e-islam par amal pairā hona chāhte haiń?

7. Kyā āp apni poori zindagi meń fikri aur amali

inqilāb lānā chāhte haiń.

8. Kyā āp maut ke bād milne vāli zindagi ke liye tay’yāri kar’na chāhte haiń.

Agar āp ka jawāb “hān” mai hai to ā’yye ! Āj hi se hamāri kitāboń ka mūtā’la (study) shūroo’ kar

dījiye aur Jamaat-ul-muslimeen meń shāmil hojā’ye.

Page 8: Jamaat ul-muslimeen ke aqaid

8

Cell: 92463 43643 / 93471 39685 /

JAMAAT-UL-MUSLIMEEN [INDIA]

Flat #204, Saleem Masood Complex,

Nizam Colony, Toli chowki,

Hyderabad – 500 008 (A.P.)

Cell: 9246343676 / 7396620946