islaam haq hai

463
1

Upload: atif-azam

Post on 22-Jul-2016

2.363 views

Category:

Documents


15 download

DESCRIPTION

This Book Is i Right for Islam .. For Muslim ...

TRANSCRIPT

  • 1

  • 2

  • 3

    Serial No. Particular Page no. 1. ISLAM HAQ HAI Iss Kitaab Ke Likhne Ka Maqsad 4

    2. Bahut Zaroori Aur Ahem Baat 7 3. ALLAH TAALA Kaun Hai ? 8

    4. ALLAH TAALA Ka Huqm Kya Hai ? 9

    5. Aap Nabi E Kareem Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Par Imaan Lana Kyon Zaroori Hai ?

    10

    6. Wajhe Takhleeq E Qaayenaat 12 7. Zameen Aur Aasmaano Par Aap Nabi E Kareem

    Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Ke Naam E Mubaarak

    14

    8. ALLAH TAALA Ne Qalam Ko Paidaa Farmaya 16 9. Farishton Ki Paidaayeesh 17

    10. Jinnaton Ki Paidaayeesh 17 11. Iblees Ki Paidaayeesh 18

    12. Takhleeq E Hazrat Aadam Alaihe As Salam 19 13. Hazrat Shees Alaihe As Salam 40

    14. Hazrat Idrees Aalihe As Salam 41

    15. Hazrat Nooh Alaihe As Salam 45 16. Hazrat Hoodh Alaihe As Salam 63

    17. Hazrat Saleh Alaihe As Salam 70 18. Hazrat Ibrahim Alaihe As Salam 87

    19. Hazrat Looth Alaihe As Salam 154 20. Hazrat Shoeb Alaihe As Salam 171

    21. Hazrat Ismayeel Alaihe As Salam 181

    22. Hazrat Ishaq Alaihe As Salam 137 23. Hazrat Yaqoob Alaihe As Salam 183

    24. Hazrat Yusuf Alaihe As Salam 192 25. Hazrat Ayyub Alaihe As Salam 229

    26. Hazrat Zul Kifl Alaihe As Salam 238

    27. Ashaab Al Ras Ka Waqeya (Qissa ) 243 28. Ashaab Al Yaseen Ka Waqeya ( Qissa ) 246

    29. Hazrat Yunus Alaihe As Salam 250 30. Hazrat Musa Alaihe As Salam Ki Qaum Yahood 257

    31. Hazrat Musa Aur Hazrat Haroon Alaihe As Salam 270 32. Hazrat Yusaah Bin Noon Alaihe As Salam 324

    33. Hazrat Khizar Alaihe As Salam 328

  • 4

    34. Hazrat Iliyaas Alaihe As Salam 360

    35. Hazrat Hazqeel Alaihe As Salam 362 36. Hazrat Yasaaa Alaihe As Salam 365

    37. Hazrat Samuyeel Alaihe As Salam 367 38. Hazrat Taloot 367

    39. Hazrat Dawood Alaihe As Salam 374

    40. Hazrat Sulaimaan Aalihe As Salam 380

    41. Hazrat Shayeeya Bin Amshiya Alaihe As Salam 404

    42. Hazrat Armiya Bin Hazqiyah Alaihe As Salam 407 43. Hazrat Daaniyaal Alaihe As Salam 416

    44. Hazrat Uzair Alaihe As Salam 420 45. Hazrat Zakariya Alaihe As Salam 424

    46. Hazrat Yaahya Alaihe As Salam 429 47. Hazrat Mariam Alaihe As Salam 438

    48. Arab Ke Jaahil Mushriq Aur Kaafiro Ka Aqeeda 453

    49. Hindustaan Ke Kaafiro Aur Mushriqo Ka Aqeeda . 453 50. Buddh Mazhab Ke Maan Ne Walo Ka Aqeeda 454

    51. Hazrat Esaa Alaihe As Salam Ki Paidaayeesh 464 52. Esaayeeyo Ki Ibaadat Ke Kufariya Kalaamat 509

  • 5

    ISLAM HAQ HAI ISS KITAAB KO LIKHNE KA MAQSAD

    Aziz Dosto , Aaj Ke Iss Pur Fitan Daur Me Jahaa Ki Har Cheez Ka Mayeyaar

    Badal Gaya Hai , Ilm Haasil Karne Ke Taur Tarike Badal Gaye Hai , Har Maa

    Baap Chaahe Woh Ameer Ho Ya Gareeb Apni Aulaado Ke Behtar Mustaqbil Ke

    Liye Aala Se Aala Taaalim Dilaane Ki Koshish Me Lage Huve . Har Eik Me Isi

    Baat Ki Hodhh ( Competition ) Lagi Huyee Hai Ki Hamaari Aulaade Iss Naye

    Daur Naye Zamaane Ke Aitbaar Se Peechhe Na Rahe Jaaye . Iss Ka Nateeza Yeh

    Huwaa Ki Hamaari Nayee Naslo Ne Aala Taaalim Toh Haasil Kar Li , Lekin

    Mazhabi Taaalim Ko Pas E Pusht Daal Diya . Duniya Me Qaamyaab Ho Gaye

    lekin Aakhirat Ko Bhula Diya , Woh Aakhirat Jo Ki Har Dam Rahene Wali Zindagi

    Hai Jab Ki Yeh Duniya Ki Zindagi Chaar Din Ki Hai . Aur Yeh Fanaa Ho Jaayegi Jab

    Ki Aakhirat Ki Zindagi Abdi Zindagi Hai . Uss Zindagi Ke Liye Ham Ne Kuchh

    Tayyari Na Ki ..

    Behtareen Mustaqbil Ke Liye Ham Ne English , Hindi Aur Dusri

    Zubaano Ko Toh Apna Liya Lekin Apni Maadir Zubaan Urdu Ko Faraamosh Kar

    Diya . Main Bhi Iss Se Achhuta Nahi Hoon . Mujhe Bhi Mere Waldain Ne Behtar

    Mustaqbil Ke Liye Hindi Midium Ki School Me Dakhila Kara Diya . Jaha Par

    Duniyavi Taaalim Ke Saath Saath Gair Mazhab Ki Taaalim Bhi Mili , Lekin

    Main Apne Hi Mazhab Se Door Hota Chala Gaya . Kahete Hai Ki Jaisa Mahol

    Hota Hai Bachcha Usi Mahol Me Dhal Jata Hai . Gair Mazhab Ke Logo Ki Sangat

    Ka Asar Yeh Huwaa Ki Unn Ki Mushrikana Aur Kafirana Taur Tarike Toh Maloom

    Ho Gaye ,Lekin Apne Hi Mazhab Ke Taur Tarike Aur Shariyat Se Anjaan Rahe

    Gaya . Aisa Bhi Nahi Tha Ki Ghar Me Dini Mahol Nahi Tha , Meri Waalda Panj

    Waqta Namaazi Thi , Aur Mujhe Arbi Yaani Ki Quran Padhna Bhi Unnhone Hi

    Sikhaya Tha . Lekin Gair Mazhab Ke Logo Ke Saath Uthhna , Baithhna Unn Ke

    Saath Me Rahena , Ghumna Firna Aur unn Ke Tyohaaro Me Shaamil Hona , Yehi

    Sab Wajaah Thi Ke Islam Se Wabastagi Sirf Itni Rahe Gayee Ki Sirf Jumme Ke

    Din Namaaz Padh Liya , Ramzaan Ke Roze Rakh Liye Aur Eid , Bakra Eid Mana Li

    . Lekin Kahete Hain Na Ki ALLAH TAALA Jise Jab Chaahe Hidaayat De Deta Hai ,

    Isiliye Jab Kuchh Sawoor ( Samajhdaar ) Huwaa Toh Islam Ko

    Jaan Ne Aur Samajh Ne Ki Chaahat Dil Me Jaagi , Lekin Saamne Masayeel Yeh

  • 6

    The Ki Islami Aur Dini Kitaabe Jiyaadah Tar Urdu Zubaan Me Thi Jo Ki Mujhe

    Aati Nahi Thi Kyonki Hindi Midium Se Jo Padhayee Ki Thi . Aur Hindi Zubaan Me

    Jo Kitaabe Thi Unn Se Utni Maloomat Milna Mushkil Tha . Isiliye Dheere

    Dheere Urdu Padhna Sikh Liya Lekin Utni Rawaadari Se Ab Bhi Urdu Nahi Padh

    Paata . Isiliye Islami Aur Dini Maloomat Haasil Karne Ke Liye Mujhe Jitni

    Dushwari Aur Mushkilo Ka Saamna Karna Pada Yeh Main Hi Janta Hu , Tabi

    Mere Dil Me Khayaal Aaya Ki Na Jaane Mere Hi Tarhaa Meri Qaum Ke Kitne

    Bhai Aur Bahen Hoge Jinhone Apne Behtareen Mustaqbil Ke Liye Gairo Ki

    Zubaan Me Taaalim Haasil Ki Hai Lekin Unnhe Bhi Urdu Nahi Aati Hogi . Aur

    Islam Ki Taaalim Haasil Karne Ki Chaah Unn Me Bhi Zaroor Hogi . Isi Khyaal Se

    Maine Ambiya Alaihe As Salam Ke Waqeye ( Qisse ) Ko Roman English Me

    Likhna Shuru Kiya Aur Face Book Par Post Karna Shuru Kiya . Iss Sab Ka Maqsad

    Yehi Tha Ki Jo Log Urdu Nahi Padh Paate Lekin Unnhe English Ya Koi Bhi Dusri

    Zubaan Aati Ho , Toh Aise Bhai Aur Bahene Inn Islami Waqeyaat Ko Aasaani Se

    Padh Aur Samajh Sake . Isiliye Maine Inn Islami Waqeyaat Ko Jitna Ho Sakta

    Tha Aasaan Lafzo Me Bayaan Kar Ne Ki Koshish Ki Hai , Taki Sabhi Logo Ko Inn

    Waqeyaat Ko Padhne Aur Samajhne Me Aasaani Ho . Aur Iss Kaam Me Main

    Ahesaan Mand Aur Shukar Guzaar Hu Apne Unn Dosto Ka Jinnhone Yeh Sab

    Kuchh Likhne Me Meri Hausla Afzayee Ki Hai .

    Meri Inn Baato Se Aap Log Jaan Gaye Hi Hoge Ki Main Na Toh Koi

    Maulvi Hoon Aur Na Hi Koi Haafiz Ya Qaari Hoon Aur Na Hi Kisi Madarse Se

    Main Faarig Huwaa Hoon . Main Bas Aap Logo Ki Hi Tarhaa Eik Aam

    Musalmaan Hu , Aur Yeh Sab Waqeyaat Jo Ki Iss Kitaab Me Aage Bayaan Kiye

    Gaye Hai , Woh Sab Quran Majeed Ke Urdu Tarjume , Hadeeso , Deeni

    Kitaabo , Taqreer , News Papers Wagairaah Se Li Gayee Hai . Ab Kyonki Na Toh

    Mujhe Urdu Zubaan Par Itna Aboor ( Mahaarat ) Hai Aur Na English

    Zubaan Par . Isiliye Iss Kitaab Ko Likhne Me Mujh Se Jo Bhi Galti Huyee Ho Uss

    Ke Liye ALLAH TAALA Se Yehi Duwaa Hai Ki Woh Apne Habib Hazrat

    Muhammad Mustafa Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Ke Sadqe me Meri Inn

    Khataavon Aur Galtiyon Ko Maaf Farma De . Aakhir Main Bhi Eik Insaan Hu

    Aur Galti Mujh Se Sirzad Hona Yaqeeni Hai . Aap Sabhi Bhaiyo Aur Baheno Se

    Guzaarish Hai Ki ALLAH TAALA Ki Baar Gaah Me Mere Haq Me Duwaa Kare

    Woh Mujh Par , Mere Waldain Par Aur Mere Ahle Khana Par Rahem Kare ..

    Aur Jis Maqsad Ke Liye Yeh Kitaab Likhi Gayee Hai Use Pura Kare .. AAMEEN

    . YA . RAB UL AALAMEEN ..

  • 7

    AAP KA BHAI

    MUHAMMAD RAFIQUE

    Date : 25/ 6 / 2015

    BAHUT ZAROORI AUR AHEM BAAT

    Aziz Dosto ,.. Islam Ki Nemat Har Zamaane Me ( 2 ) Hi Zariye Se Insaano Tak Pahoonchi

    Hai , Eik Toh ALLAH Ka Kalam , Aur Dusre Ambiya Alaihe As Salam Ki Shakhshiyat . Jin Ko ALLAH

    TAALA Ne Na Sirf Apne Kalaam Ki Tableeg O Taaalim Aur Tafheem ( Samajhne Ka ) Waasta

    Banaya Balki Iss Ke Saath Hi Unnhe Amli Qayaadat Aur Rahenumaayee Ke Mansab Par Bhi

    Maaamoor Kiya Taki Woh Kalam ALLAH Ko Thheek Thhaak Aur Sahi Tarike Se Har Insaan Aur

    Muaasre ( Samaaj , Qaum ) Ki Islaah Kare Aur Insaani Zindagi Ke Bigde Huve Nizaam Ko Sanwaar Kar

    Uss Ki Sahi Tarike Se Taaameer Kar Dikhaaye .

  • 8

    Yeh Dono Cheeze Hamesha Se Hi Zaroori Rahi Hai , Agar Inn Me Se Eik Ko Dusre Se Alag

    Kar Diya Jaaye Toh Insaano Ko Kabhi Bhi Deen Ki Sahi Samajh Haasil Nahi Ho Sakegi Aur Na Hi Woh

    Hidaayat Pa Sakega . Jaisa Ki Misaal Ke Taur Par Agar Kitaab Ko Nabi Alaihe As Salam Se Alag Kar De

    Toh Yeh Aisa Hi Hoga Ki Eik Qashti Hai Nakhuda ( Mallah , Naav Chalaane Wale ) Ke Bagair Jise Lekar

    Anaadi Aur Jaahil Musaafir Zindagi Ke Samundar Me Kitna Bhi Bhatke Lekin Apni Manzil Par Kabhi

    Nahi Pahoonch Sakega . Aur Agar Nabi Alaihe As Salam Ko Kitaab Se Alag Kar De Toh Insaan KHUDA

    Ka Raasta Paane Ke Bajaaye Nakhuda ( Naav Chalaane Wale ) Ko Hi KHUDA Bana Baithhega . Aur

    Yeh Dono Hi Nateeze peechhli Qaume Dekh Chuki Hai .

    Jaise Ki Hinduvo Ne Apne Ambiya Ki Seerato Ko Gum Kar Diya Aur Sirf Kitaab Le Kar Baithh

    Gaye . Esaayeeyo Aur Yahoodiyo Ne Kitaab ALLAH Ko Nazar Andaaz Kar Diya Aur Sirf Apne Ambiya (

    Nabi ) Ka Daaman Pakda Aur Nabi Ki Shakhshiyat Ke Ird Gird Ghumna Shuru Kar Diya . Iss Ka

    Nateeza Yeh Huwaa Ki Innhone Nabi ALLAH Ko ALLAH Ka Beta ( Nauzbillah ) Aur Yaha Tak Ki Unnhe

    KHUDA Hi Bana Dala . Aur Raahe Raast Se Bhatak Gaye Aur Gumraah Ho Gaye .

    Lekin Ham Musalmaano Par ALLAH TAALA Ka Ahesaan Azeem Hai Ki Hamaare Paas Yeh

    Dono Cheeze Maujood Hai Eik Toh ALLAH Ka Kalaam Yaani Ki Quran Majeed Jis Ki Hifaazat Ki

    Zimmedaari Khud ALLAH TAALA Ne Li Huyee Hai Aur Dusre ALLAH Ke Maheboob Janaab

    Muhammad Arbi Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Ki Seerat Paak Jo Ki Aaj Bhi Maujood Aur Mahefooz

    Hai . Isiliye Ham Musalmaan Pure Daave Ke Saath Kahete Hai Ki Islam Hi Haq Hai Aur Jo Islam Ki Aur

    Imaan Ki Daulat Se Maala Maal Ho Gaya Woh Hi Hidaayat Par Hai . Aur Islam Hi Duniya Aur

    Aakhirat Me Qaamyaabi Aur Kaamraani Ka Zariya Hai . Kuchh Na Samajh Aur Nadaan Log Yeh Kahete

    Hai Ki Islam Toh Eik Naya Mazhab Hai Jo Ki Sirf ( 1400 ) Saal Pahele Hi Aaya Hai . Aisa Bilkul Nahi Hai ,

    Jab Se Yeh Qaayenaat Bani Hai Ya Jab Se Iss Duniya Me Insaan Aabaad Huve Hai Tab Se Lekar Ab Tak

    Yaani Ki Har Daur Me ALLAH TAALA Ne Jitne Bhi Ambiya Alaihe As Salam Mabwoos Kiye ( Bheje )Hai

    Khawaah Woh Duniya Ke Kisi Bhi Hisse ( Khitte ) Me Ho Jaha Insaano Ki Abaadi Maujood Thi , Woh

    Sabhi Ambiya Alaihe As Salam Islam Ki Taaalim Hi Lekar Aaye The . Unn Sabhi Ambiya Alaihe As

    Salam Ka Ziqr Iss Kitaab Me Kiya Gaya Hai Jin Ke Naam E Mubaarak Quran Majeed Aur Hadeeso

    Ki Kitaabo Me Darz Hai

    BOOK ISLAM HAQ HAI

    BISMILLAH HIR RAHEMAN NIR RAHIM

    SHURU ALLAH KE NAAM SE JO KI NIHAAYAT HI RAHAM KARNE WALA AUR BADA HI MEHARBAAN

    HAI

    SAARI TAAAREEFE AUR IBAADATE SIRF ALLAH SUBHANAHU TAALA WAH DAHU LA

    SHARIQ QALAHU KE LIYE HAI , JO SAARE AALAM KA MAALIK AUR KHAALIQ HAI, HAMARA RAB (

    PAALANHAAR ) HAI . AUR DAROOD O SALAAM HAMAARE PYAARE AAQA HAZRAT MUHAMMAD

    MUSTAFA SALLAL LAHO ALAIHE WA SALLAM PAR , AAP KI AAL AULAAD PAR . AUR SALAAM HO AAP

    KE SAHABA RIZWANULLAHE AZMAYEEN PAR

    ALLAH TAALA KAUN HAI ?

  • 9

    ALLAH YEH ARBI KA LAFZ HAI JO KI ( 2 ) LAFZO SE BANA HAI AL + ILAHA YANI KI

    IBAADAT KE LAAYEQ YA JIS KI IBAADAT KI JAAYE . YA WOH QUWAT YA HASTI JO HAR TARHAA KI

    IBAADAT YA BANDAGI KE LAAYEQ HAI . ISS DUNIYA KI IBTIDA ( SHURUWAAT ) SE LE KAR AB TAK YA

    TAQAYAAMAT TAK JITNI BHI ZUBAANE ( BOLIYAA(N) YA BHASHAYE YA LAUNGUAGES ) BOLI JATI

    HAI YA BOLI JAAYEGI . UNN TAMAAM ZUBAANO ME ISS QUWAT KO JO KI SAARE AALAM KA NIJAAM

    CHALA RAHA HAI KISI NA KISI NAAM SE PUKARA JATA HAI , JAISE KI SIRYAANI ZUBAAN JO KI HAZRAT

    IBRAHIM ALAIHE AS SALAM AUR AAP KI AAL AULAADO KI THI USS ZUBAAN ME ISS QUWAT KO EEL

    KE NAAM SE PUKARA JATA THA . FAARSI ZUBAAN ME KHUDA WAND QUDDUS , ENGLISH ZUBAAN

    ME THE GOD AUR HINDI YA SANSKIRAT ZUBAAN ME ISHWAR YA PARMESHAWAR , AUR ARBI

    ZUBAAN ME ALLAH ISI TARHA AUR BHI DUSRI ZUBAANO ME ISS QUWAT YA HASTI ( MAHA

    SHAKTI ) KO ALAG ALAG NAAMO SE PUKARA JATA HAI .

    Ab Yaha Par Eik Sawaal Aap Logo Ke Jehan ( Aqal , Mind ) Me Aata Hoga Ki Jab ALLAH ,

    RAB , KHUDA ,PARMESHAWAR , ISHWAR , THE GOD , Yeh Sab Eik Hi Azeem ( Mahaan , Great )

    Quwat Ka Naam Hai Jo Ki Iss Saari Qaayenaat ( Barhamaand , Univers ) Ka Nijaam Chala Raha Hai

    Yani Ki ALLAH Ka Toh Fir Islam Hi Haq ( Sachcha ) Kyon Hai ?.... Duniya Ka Koi Aur Mazhab Kyon Nahi

    .. Toh Sab Se Pahele Islam Ka Matlab Aap Ko Batlata Hu Ki Islam Ka Matlab Aman ( Shaanti ,

    Peace ) Ke Hota Hai . Aur Iss Duniya Ki Ibtidaa ( Shruwaat ) Se Lekar Hamaare Pyaare Aaqa Hazrat

    Muhammad Mustafa Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Tak Jit Ne Bhi Paigambar Alaihe As Salam (

    Mesaangers Of God Ya Ishwariya Doot ) Iss Duniya Me Tashreef Laaye , Unn Sab Ka Eik Hi Mesaage (

    Sandesh ) Yani Ki Islam Hi Tha , Yaani Ki Aman Aur Shaanti , Aur Iss Duniya Me Aman Aur Shaanti Tab

    Hi Qaayem Ho Sakti Hai , Jab Saari Duniya Ke Insaan Uss Azeem Quwat Wale ALLAH Ke Banaye Huve

    Qanoon ( Shariyat ) Ke Hisaab Se Apni Zindagi Guzaare Aur ALLAH TAALA Ke Huqum Ki

    Farmabardaari Kare , Aur Uss Ki Abdiyat ( Bandagi , Araadhdhaya ) Ka Haq Adaa Kare . Yaani Ki Iss

    Zameen Aur Aasmaan Aur Jo Kuchh Bhi Inn Ke Darmiyaan Hai Uss Sab Ka Maalik Aur Khaaliq (

    Banaane Wala , Rachnakaar ) ALLAH Hi Hai . Isiliye Sirf Uss Ki Hi Ibaadat Ki Jaaye , Na Ki Unn Cheezo

    Ki Jise Uss RAB Ne Paidaa Farmaya Hai , Jaise Ki Insaan , Jinnat , Farishte , Suraj , Chaand , Sitaare ,

    Grahaa, Nadee , Pahaad , Pedh ( Tree ) Aur Insaano Ke Haatho Se Banaayee Gayee , Sona , Chaandi ,

    Taamba , Lakdi , Paththar Aur Bhi Dusre Metal ( Dhaatu ) Se Bani Huyee Cheeze ,. Chaahe Woh

    Insaan Ki Shaqal Aur Surat Ki Ho Ya Kisi Jaanwar Ke Shaqal Aur Surat Ki . Inn Sab Sirq Aur Kufar Se Eik

    Insaan Tabhi Bach Sakta Hai Ki Woh Apne Malik , Khaaliq Aur RAB Ke Huqm Ki Farmaa Bardaari Kare

    . Na Ki Shaitaan Ki Pairvi Aur Farmaa Bardaari Kare .

    ALLAH TAALA KA HUQM KYA HAI ?

    ALLAH TAALA Ka Huqm Yeh Hai Ki Woh Apni Zaat Me Yaktaa ( Akela ) Hai , Yani Ki Use

    Sirf Eik Mana Jaaye Aur Uss Ke Saath Ibaadat Me Kisi Aur Ko Sharik ( Shaamil , Saajhidaar ) Na Banaya

    Jaaye . Kyon Ki Uss Ne Hi Tamaam Qaayenaat ( Brahmaand ) Ko Banaya Hai Aur Jo Kuchh Zameen

    Aur Aasmaan Ke Darmiyaan Hai Use Bhi . Toh Fir Use Chhodh Kar Kisi Aur Ki Ibaadat Kaise Ki Ja Sakti

    Hai ?... Ki Jin ka Iss Qaayenaat Ko Banaane Me Koi Hissedaari Nahi Hai ,.. Balki Woh Khud Paidaa

    Kiye Gaye Ya Banaaye Gaye Hai .. ALLAH TAALA Ka Quran Majeed Ki ( SURAAH : AKHLAAS )

    Me Farmaan E Aalishaan Hai Ki : ( Aye Nabi ) Aap Kahe Dijiye Ki WOH ALLAH Eik Hai ,. WOH

    BeNiyaaz Hai ,. ( Yaani Ki Sab Uss Ke Mohtaaj Hai Aur Woh Kisi Ka Mohtaaj Nahi ) ,.. Na Uss Se

    Koi Paidaa Huwaa Aur Na Kisi Ne Uss Ko Paidaa Kiya ,. ( Yani Na Toh Uss Ne Kisi Ko Janam Diya Aur

  • 10

    Na Hi Kisi Ne Uss Ko Janam Diya ) .. Aur Na Hi Koi Uss Ka Hamsar Hai .. ( Yani Ki Koi Uss

    Jaisa Nahi Ho Sakta ,.. Na Toh Zaat Me , Na Shafaat Me Aur Na Uss Ke Afaal Me ,.. Yani Ki Uss RAB

    Ke Jaisa Koi Dusra Ho Hi Nahi Sakta ) ..

    Hadees Qudsi Me Hai Ke ALLAH TAALA Farmata Hai : Insaan Mujhe Gaali Deta Hai ,

    Yani Ki Mere Liye Aulaad Saabit Karta Hai , Halaanki Main ! Eik Hu , Be Niyaaz Hu , Maine Kisi Ko

    Janam Nahi Diya Aur Na Hi Main Kisi Se Paidaah Huwaa Hu , Aur Na Hi Koi Mere Jaisa Hai . ( Sahih

    Bukhaari ,.. Hadees : 4974 )..

    Iss ( SURAAH : AKHLAAS ) Me ALLAH TAALA Unn Logo Ke Baatil ( Jhuthhe ) Aqeede

    Ko Radd ( Galat ) Farma Raha Hai ,.. Jo Log Bahut Saare Khudaavo Ko Maante Hai , ( Jaise

    Ki Kaafir ).. Aur Unn Ke Aqeede Ko Bhi Radd ( Galat ) Farmaa Raha Hai Jo ALLAH TAALA Ke Liye

    Aulaad ( Beta Ya Beti ) Saabit Karte Hai ,..... ( Jaisa Ke Yahoodi Aur Esaayee ) .. Aur Unn Logo Ke

    Aqeede Ka Bhi Rad( Galat ) Farma Raha Hai Jo Dusro Ko Uss Ka Shariq ( Saajhidaar ) Bataate Hai

    , ( Jaise Ki Mushriq ) . Aur Unn Logo Ke Aqeede Ka Bhi Radd ( Galat ) Farma Raha Hai Jo Ki ALLAH

    TAALA Ke Wajood Ka Hi Inqaar Karte Hai Yani Ki ALLAH TAALA Ko Nahi Maante Aur Jo Iss Baat Ke

    Qaayel Hai Ki Yeh Saari Qaayrnaat Apne Aap Wajood Me Aa Gayee . Aur Iss Ka Koi Maalik Aur Khaliq

    Nahi Hai .. Yani Ki Nastik Ya Natury Log .

    Iss Ke BarAqs Haqiqat Yeh Hai Jab Se Iss Duniya Ki Takhleeq Huyee Hai Aur Bani Nau

    Insaan Iss Me Aabaad Huwa Hai Tabhi Se Uss Ne Iss Baat Ko Badi Shiddat Se Mahesoos Kiya Hai Ki

    Yeh Tamaam Qaayenaat Aur Iss Me Jo Kuchh Bhi Hai ,Yeh Sab Apne Aap Wajood Me Nahi Aaya Hai

    Balki Iss Kaarkhaane Ko Banaane Wala Aur Chalaane Wala Yaqinan Koi Buzurg Aur Taaqatwar Hasti

    Hai Jo Ki Iss Tamaam Qaayenaat Ka Malik Aur Khaaliq Hai . Aur Isi Taaqatwar Hasti Ko MALIK , RAB ,

    KHUDA , GOD , ISHWAR aur ALLAH ke naam se pukara Jata hai . Yani Ki ALLAH Hi Uss Azeem

    Shakhshiyat Ya Taaqatwar Hasti Ka Naam Hai Jis Ne Iss Saare Aalam Ko Paida Farmaya . Isiliye Jo

    Malik Aur Khaaliq Hai Wohi ALLAH Ibaadat Ke Laayeq Hai . Aur Yehi Paigaam Hazrat Aadam Alaihe As

    Salam , Hazrat Nooh Alaihe As Salam , Hazrat Ibrahim Alaihe As Salam , Hazrat Musa Alaihe As Salam

    , Hazrat Esaa Alaihe As Salam Aur Hamaare Pyaare Aaqa Hazrat Muhammad Mustafa Sallal Laho

    Alaihe Wa Sallam , Garaz Yeh Ki Jitne Bhi Ambiya Alaihe As Salam Iss Duniya Me Tashreeh Laaye

    Chaahe Woh Kisi Bhi Qaum Ya Kisi Bhi Ilaaqe Me Tashreef Laaye Ho Unn Sab Ka Yehi Paigaam Raha

    Hai Ki Eik ALLAH Ko Maano Aur Uss Ki Hi Ibaadat Karo Jo Ki Tumhara Aur Ham Sab Ka Malik Aur

    Khaliq Hai , Hamara RAB ( Paalanhaar ) Hai .

    AAP NABI E KAREEM SALLAL LAHO ALAIHE WA SALLAM PAR

    IMAAN LANA KYON ZAROORI HAI ?

    Ab Kuchh Log Kahege Ki Chalo Ham Ne ALLAH TAALA Ko Apna RAB Maan Liya Aur Yeh Bhi

    Maan Liya Ki Woh Hi Hamara Malik Aur Khaliq Hai . Lekin Aap Hazrat Muhammad Mustafa Sallal

    Laho Alaihe Wa Sallam Ki Hi Naboowat Aur Risaalat Par Imaan Lana , Aap Ki Shariyat Par Amal Karna

    Kyon Zaroori Hai ? .

    Toh Iss Ka Jawab Yeh Hai Ki ALLAH TAALA Ne Aalam E Arwaah Me Tamaam Ambiya

    Alaihe As Salam Se Yeh Pukhta Ahad ( Pakka Waada ) Liya Tha Ki . Yani Ki Uss Aalam Me Jis Me

  • 11

    ALLAH TAALA Ne Abhi Insaano Ke Jism Nahi Banaaye The Sirf Qayaamat Tak Paidaa Hone Wale

    Insano Ki Roohe Paidaa Farmayee Thi . Uss Aalam E Arwaah Me ALLAH TAALA Ne Tamaam

    Ambiya Alaihe As Salam Se Yeh Pukhta Ahad Liya Tha Ki : Agar Tum Log Aakhiri NABI Muhammad

    sallal laho alaihe wa sallam ka Zamaana Paavo toh Aap ki Pairvi aur Aap ki Ittebaa karna aur Aap ki

    Shariyat par Imaan lana. Aur Aap Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Ki ( Deen ) Me Madad Karna

    .'' Har Nabi aur Rasool ki yeh Dili Khawaahish thi ke woh Aap Rahmate Do Aalam Sardaar - E

    Ambiya Sallal Laho Alaihe Wa Sallam ka Zamaana Paaye . Lekin sabhi Ambiyavo ki Dili Khawaahish

    ya Hasrat Puri na huyee Siwaaye Hazrat Esaa Alaihe As Salam ke , kyon ki jab Qayaamat ke Qareeb

    Hazrat Esaa Alaihe As Salam Dubaara Aasmaani Duniya se iss Zameen par Tashreef laayege toh

    Hamaare Pyaare Aaqa Hazrat Muhammad Mustafa salla laho alaihe wa sallam ke Ummati ban kar hi

    Aayege .

    Hazrat Ibrahim Alaihe As Salam ne Khaana - E - Kaaba ki Taaameer ke waqt yeh duwaa ki

    ke : Meri Aulaad me Aakhiri Nabi ko Mabwoos ( paida kar ya bhej ) . Aur Hamaare Pyaare Aaqa

    Mohammed Mustafa sallal laho alaihe wasallam ki yeh hadees : '' Main Hazrat Ibrahim Alaihe As

    Salam ki Duwaa hoon .''

    Hazrat Ibrahim Alaihe As Salam Ne Jab Khana E Kaaba Ki Taameer Kar Li Toh Yeh

    Duwaa Farmayee : Ya ILAAHI ! Inn Hi Me Se Eik Azeem ( Mahaan , Great ) Rasool Inn Ki Hidaayat Ke

    Liye Mabwoos ) Farma , Jo Meri Nasal Se Ho , Yaha Ke Bashindo Ki Zubaan Me Fasheeh - O - Ballikh

    Kalaam Farmaye Aur Innhe Hiqmat Andoz Baato Se Raahe Raast Par Gaamzan Kare , Taki Inn Zahiri

    Nemato Ke Saath Saath Baatini Aur Aakhiravi Nemate Bhi Innhe Muyassar Ho ( Mil ) Jaaye . Woh

    Duniya Me Bhi Surkhroo Ho Aur Aakhirat Me Bhi Teri Nemato Ke Mushtahaq Thhahere ...

    ALLAH TAALA Ne Aap Ki Yeh Bhi Duwaa Qabool Farmayee Aur Bani Ismayeel ( Hazrat

    Ismayeel Alaihe As Salam Ki Nasal ) Me Eik Nihaayat Hi Azeem O Alshaan Rasool Ki Bushaat

    ( Paidayeesh ) Huyee , Jin Par Naboowat Aur Risaalat Ka Silsilaa Khatam Kar Diya , Aur Jo Eik Aisa

    Kaamil Deen ( Mazhab Islaam ) Le Kar Tashreef Laye Jo Kisi Bhi Rasool Ko Ataa Nahi Kiya Gaya . Jin Ki

    Daawat Arbi Aur Azmi ( Gair Arbi ) Aur Sari Duniya Ke Har Insaano Ke Liye Aam Hai . Yani Ki Har

    Qaum Har Nasal , Har Zubaan o - Kalaam Karne Wale Insaano Ke Liye Qayaamat Tak Iss Daawat E

    Haq Ka Faayedah Pahunchta Rahega .

    Gaur karne wali baat hai ki Hazrat Ibrahim Alaihe As Salam ka Zamaana Hamaare

    Pyaare Aaqa ke Zamaane se kayee Hazaaro Saal Pahele ka hai . Hamare Pyare Aaqa Nabi - e - Kareem

    Muhammed sallal laho alaihe wa sallam ka Martaba aur Azmat Itna Buland hai ki Aadam Alaihe As

    Salam ne Aap ke Waseele se Duwaa ki , yahaa tak ki Aap sallal laho alaihe wasallam ka Ziqr Touuret ,

    Injeel aur Hinduvo ke Mazhabi Kitaabo me bhi hai . aur Yahoodi aur Esaayee bhi Aap sallal laho

    alaihe wa sallam ki Aamad ki Raah dekh rahe the . Aur yahaa tak ki Aap sallal laho alaihe wasallam ki

    Aamad se pahele Yahoodi Aap sallal laho alaihe wa sallam ka Waseela lekar jung ( ladhaayee ) karte

    aur Qaamyaab bhi hote . Aap Nabi E Kareem Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Ke Sadqe Tufayel Yeh

    Saari Qaayenaat Banayee Gayee .

  • 12

    WAJHE TAKHLEEQ E - QAAYENAAT

    ****************************

    Jab kuchh nahi tha , tab Bhi ALLAH Subhanahu Taala ki Zaat Azim thi . Na Zameen thi

    na Aasmaan tha na Chaand na Suraj na Sitaare , Na Farishte na Jinnat na Insaan na Arsh na Farsh .

    kuchh bhi nahi tha . Bas Thi Toh Mere RAB Ki Paak Zaat ,.. WOH Hi Awwal Hai Woh Hi Aakhir Hai ,

    WOH Hi Zaahir Hai WOH Hi Baateen Hai . Uss Ki Hi Baadshahat Saare Aalam Par Hai , Chaahe Yeh

    Jahaan Ho Ya Wo Jahaan . WOH Har Cheez Se Be- Parwaah Hai ,Tamaam Qaayenaat Ki Saari

    Cheeze Sab Uss Ke Liye Jawaabdeh Hai ( Yani Sabhi Ko Uss Ke Huzur Apne Apne Aamaalo Ka Jawaab

    Dena Hai ) Lekin Woh Kisi Ke Liye Jawaabdeh Nahi Hai . Zameen Aur Aasmaano Aur Jo Kuchh Inn Ke

    Darmiyaan Hai Sab Uss Ki Hi Malkiyat Hai . Farishte , Insaan, Jinn , Sajar ( Pedh Paudhe ) Hajar (

    Pathhar ) Chaand , Suraj , Sitaare , Pahaad ,Dariya Sab Uss Ke Aage Hi Sajdaa Rez Hai , ALLAH TAALA

    Ne Inn Tamaam Makhlooq Ko Apni Ibaadat Ke Liye Paidaa Farmaya , Sab Uss Ki Hi Hamd O

    Sanaa Ke Nagme ( Geet ) Gaate Hai . Na Use Neend Hai Na Use Uoongh Aati Hai Na Hi Use Maut

    Hai . Jab Kuchh Na Tha Tab Bhi Woh Tha Aur Jab Kuchh Na Hoga Tab Bhi Uss RAB Ki Paak Zaat Baqi

    Rahegi . ( ALLAH HU BAQI MIN QULLE FAANI )

    Sab se pahele ALLAH Subhanahu Taala ne apne Noor se Noor - E - Muhammadi ko

    paida Farmaya , aur usi waqt Noor - e - Muhammedi ne ALLAH Subhanahu Taala Ke Huzur Sajda

    kiya. Aur fir ALLAH Subhanahu Taala ne Noor - E - Muhammadi se sari Qaayenaat ki takhliq ki . Yani

    ki hamaare Pyaare Aaqa ke Sadqe me sari Qaayenaat banaayee gayee.

    Hamaare Pyaare Aaqa Hazrat Muhammed sallal laho alaihe wa sallam ke Noori

    bashar hone ki Dalil me kuchh Hadeese aur Qur'an Majeed me ALLAH Subhanahu taala ka Irshaad

    E Azeem iss tarhaa hai .

  • 13

    QURAN MAJEED ME IRSHAAD E BAARI TAALA HAI

    1).... Qur'an Majeed me ALLAH Subhanahu Taala Irshad Farmata hai : '' Beshaq , Tumhari taraf

    ALLAH ki taraf se NOOR ( Mohammed sallal laho alaihe wa sallam ) aaya hai aur eik Roshan Kitaab

    . ( Qur'an Majeed )...... ( Surah Maida parah 6 , Aayat 15 )

    2 ).... Qur'an Majeed me ALLAH Subhanahu Taala Irshaad Farmaata hai '' Aur woh chaahete hai ki

    ALLAH ke Noor ko apni Muhh ( Mouth ) ki Foonk se bujha de, lekin ALLAH Apne Noor ko pura kar ke

    rahega , chaahe yeh Kaafiro ko Bura lage .''

    HADEESE MUBAARAK

    1 ). Hazrat Jabir Razi Ta ala Anhu ne Aap Huzur E - Akram sallal laho alaihe wa sallam se Arz kiya

    : '' Ya Rasool ALLAH ! ALLAH TA ALA ne sab se pahele kis cheez ko paida farmaaya ?.. Iss par

    Rasool ALLAH sallal laho alaihe wa sallam ne Irshaad farmaaya : '' Aye Jabir ! Beshaq ALLAH

    TAALA ne sab se pahele apne Noor se tere Nabi ke Noor ko paida farmaaya .''

    2 ).... Aap Huzur E Akram sallal laho alaihe wa sallam ne Hazrat Jibrayeel Alaihe as salam se

    Farmaaya : '' Aye Jibrayeel ! Tumhaari umar ( Age ) kya hai ?.. Jibrayeel Ameen ne Arz kiya : ''

    Huzur ! mujhe kuchh khabar nahi ? lekin main itna jaanta hoon ki chouthe (4th ) Hijaab me eik

    Noorani Taraa 70000 hazaar baras ( saal ) ke baad chamakta tha , aur usS Noorani Taare ko maine

    72000 Hazaar martaba chamakte dekha hai .'' Aap Huzur sallal laho alaihe wa sallam ne ye

    sunkar Farmaaya : '' Mere RAB ki Izzat ki kasam ! Main hi woh Noorani Taara hoon .''

    3 ).... Aap Huzur sallal laho alaihe wa sallam ne Farmaaya : '' Main ! ALLAH Subhanahu Taala ke

    Noor se hoon , aur Tamaam Makhlooq mere Noor se hai . Aur sab se pahele ALLAH Subhanahu Ta

    ala ne mere Noor ko paida Farmaya . ( Tirmiji Shareef , page no. : 201 )

    4 ) .... Eik Sahaabi ne Aap sallal laho alaihe wa sallam se arz kiya : '' Ya RasoolALLAH ! Aap ko

    Naboowat kab Ataa Huyee ? Aap Huzur E - Akram sallal laho alaihe wa sallam ne Farmaaya

    : '' Main ! uss waqt bhi Nabi tha , jab Aadam (Aadam Alaihe As Salam ) Mitti aur Rooh ke darmiyaan

    the .''

    5 ).... Aap Huzur sallal laho alaihe wa sallam ne Farmaaya : '' Main Aadam ( Alaihe As Salam ) ke

    paida hone se pahele apne RAB ke Huzur me Noor tha .''

    6 ) ... Ibn Sabaah Farmaate hai : '' Aap Huzur pur Noor ke Noor ho ne ki Khaasiyat yeh thi ke Aap

    sallal laho alaihe wa sallam ka sayaa Zameen par nahi padtaa tha .

    7 ) .... Hazrat Ali Razi Taala Anhu Farmaate hai ki : '' Jab Huzur - E Akram sallal laho alaihe wa

    sallam kuchh Irshaad Farmaate toh , Aap ke Mubaarak Daanto ke beech me se Noor ki Kirne foot ti

    dikhayee deti thi .''

    8 ) ... Aap sallal laho alaihe wa sallam ne Irshaad Farmaaya : '' Main ! Aulaad - E - Aadam me sab se

    Jiyaada Muqarram aur sab se Jiyaada Muaz zam hoo (n) .''

  • 14

    9 )... Hazrat Umar Razi Taala Anhu Farmaate hai Ki : RasoolAllah sallal laho alaihe wa sallam ne

    Farmaaya : '' Main tum me se kisi ki bhi tarhaa nahi hoo (n) .''

    ( Sahih Bukhaari vol.1 page no. 246 )

    10 ) .... Hazrat Ali Razi Ta - ala ho Anhaa Farmaate hai '' Maine Aap Huzur sallal laho alaihe wa sallam

    jaisa kisi ko na payaa , na Aap ke pahele aur na Aap ke baad .''

    11 ) ... Aap Huzur sallal laho alaihe wa sallam ne Sahaabiyo ko Raat - Din ke Roze rakhne se manaa

    Farmaaya . Sahaabiyo ne Arz kiya : '' Ya RASOOLALLAH ! Aap toh Wisaal (Yani Ki Raat - Din ) ke Roze

    rakhte hai .''.. Aap Huzur E Akram sallal laho alaihe wa sallam ne Farmaya : '' Main tumhaari

    tarhaa ( Aam Insaan ) nahi hoo (n) , Mujhe Rizq diya jaata hai .'' .. ( Muslim 774, Bukhaari 693 ,

    Nisaayee 241 )

    Eik Riwaayat Me Hai Ki Jab Jannat Se Iss Zameen Par Utaare Jaane Ke Baad Hazrat

    Aadam Alaihe As Salam Ne apne Dono haath uthha kar Bargaah - E KHUDA WANDI me Aap Huzur

    E Aqaddas Muhammed Mustafa Ahmad E Mujtaba Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Ke Waseele

    Se duwaa ki : '' Aye Mere RAB ! Main ! Tujhe Muhammad Mustafa Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Ke

    Haq Ka Waasta Deta Hoo ( n) , Meri Khtaavo Ko Maaf Farmaa De .. ALLAH TAALA Ne

    Farmaya : '' Aye Aadam ! Tu , Muhammed Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Se Kaise Waqeef Hai , Ya Tu

    Unnhe Kaise Jaanta Hai ? Maine Toh Unnhe Abhi Paidaa Bhi Nahi Farmaya .'' .. Hazrat Aadam

    Alaihe As Salam Ne Arz Kiya : '' Aye Mere MAULA KAREEM ! Jab Tu Ne Mujhe Apne Dast E -

    Qudrat Se Paidaa Farmaya Aur Mujh Me Apni Rooh Foonki Toh Maine Sir Uthhya Aur Arsh Ke Paayo

    ( Legs Taango ) Par '' LA ILAHA ILLALLAH MUHAMMED RASOOLALLAH '' Likha Dekha , Main

    Samajh Gaya Ke TU Ne Jis Shakhsh Ke Naam Ko Apne Naam Ke Saath Jodh Rakha Hai , Woh

    Makhlooq Me Sab Se Jiyaadah TUJHE Maheboob ( pyaara ) Hoga .. ALLAH TAALA Ne

    Farmaya : '' Aye Aadam ! Tu Ne Sach Kaha Hai , Beshaq Woh Tamaam Makhlooq Se Mujhe Jiyaadah

    Maheboob Hai , Ab Jab Tu Ne Muhammad Ke Waseele Se Mujh Se Sawaal Kiya Hai ,. Toh Maine

    Tujhe Bakhsh Diya , Aur Agar Muhammad Na Hote Toh Main Tujhe Bhi Paidaa Na Karta .''.. (

    SUBHAN ALLAH ).. Yeh Mere Aaqa Kamli Wale Ki Shaan Hai .

    ZAMEEN AUR AASMAN PAR AAP SALLAL LAHO ALAIHE WA SALLAM KA NAAM

    E - MUBAARAK

    Saato ( 7 ) Aasman aur Saato ( 7 ) Zameen me Huzoor E - Akram Sallal Lahu Alaihe Wa Sallam ke

    Naam E - Mubaarak Iss Tarhaa Hai

    (1) Pahle Aasman me Mujtaba

    (2) Dusre Aasman me Murtaza

    (3) Teesre Aasman me Mazki

    (4) Chauthe Aasman me Mujeeb ''

    (5) Panchve Aasman me Muhibb "

  • 15

    (6) Chhate Aasman me Mazhar

    (7) Sathve Aasman me Maqrab

    Aur Satho Zameen me Aap Huzoor E Akaram Salla Laho Alaihe Wa Sallam ke Naam E

    Mubaarak Iss taraha se Hai

    (1) Pahli Zameen me Mu'azzam ''

    (2) Dusri Zameen me MUBAJJAL

    (3) Teesri Zameen me Muhibb ''

    (4) Chauthi Zameen me Musharraf ''

    (5) Panchvi Zameen me Mazhar ''

    (6) Chhattvi Zameen me Aminullah ''

    (7) Satvi Zameen me Nurullah ''

    {Marij-un Nubuwwah,Safa No-29)

    Saari Qaayenaat Me Aap Huzur Mohammed Mustafa Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Ko Alag Alag

    Naam Aur Sifat Se Yaad Kiya Jata Hai .

    (1) Ahle Jannat ke Nazdeek Aap ka Naam Abdul Kareem '' hai.

    (2) Ahle Naar ( Jehannamiyo ) ke Nazdeek Aap ka Naam Abdul Jabbar '' hai .

    (3) Malayeka Hamilan E - Arsh ( Woh Farishte Jinhone Arsh Uthhaya Huwaa Hai ) ke Nazdeek Aap

    ka Naam Mustafa '' hai.

    (4) Malayeka Karobeen ke Nazdeek Aap ka Naam Mukhtaar '' hai.

    (5) Malayeka Ruhanin ke Nazdeek Aap ka Naam Mukarram '' hai.

    (6) Saaq Arsh par Aap ka Naam Habibullah hai.

    (7) Kursi par Aap ka Naam Rasoolullah hai.

    (8) Lauh E - Mahfooz par Aap ka Naam Safiullah hai.

    (9) Jannat ka wo Darakht jiska Naam Toobaa hai jise ALLAH TAALA ne Apne Dast - E - Qudrat se

    lagaya,uss ke patto par Aap ka Naam Safwaatullah hai.

    (10) Lawa E - Hamd par Aap ka Naam Khairatullah hai.

    (11) Ahle Arsh ke Nazdeek Aap ka Naam Abdul Hameed hai.

    (12) Farishton ke Nazdeek Aap ka Naam Abdul Majeed hai.

    (13) Ambiya ke Nazdeek Aap ka Naam '' Abdul Wahaab hai.

  • 16

    (14) Shayateen ke Nazdeek Aap ka Naam Abdul Qahhar hai.

    (15) Jinnat ke Nazdeek Aap ka Naam Abdur Raheem hai.

    (16) Pahadho me Aap ka Naam Abdul Khaliq hai.

    (17) Janglaat wa Khushki me Aap ka Naam Abdul Qadeer hai.

    (18) Tari me Aap ka Naam Abdul Muhaimin ABDUL hai.

    (19) Machhliyon ke Nazdeek Aap ka Naam Abdul Quddus ABDUL hai.

    (20) Keedhe Makodho ke Nazdeek Aap ka Naam Abdul Giyaas hai.

    (21) Wahshi Janwaron ke Nazdeek Aap ka Naam Abdur Razzaq hai.

    (22) Darindo ke Nazdeek Aap ka Naam Abdus Salam hai.

    (23) Chaupayon ke Nazdeek Aap ka Naam Abdul Momin '' hai.

    (24) Parindo ki Zuban me Aap ka Naam Abdul Gafaar hai.

    (25) ALLAH pak ke Nazdeek Aap ka Naam Tahaa , Yaseen hai. AUR

    (26) Musalmano ke Nazdeek Aap ka Naam MUHAMMAD Sallal Laho Alaihe Wa Sallam hai .

    ALLAH TAALA NE QALAM KO PAIDAA FARMAYA

    Aap Huzur Sallal laho alaihe wa sallam ke Noor se ALLAH Subhanahu Taala ne saari

    qaayenaat banaayee, fir sab se pahele Qalam ( pen ) ko Paida Farmaya , Riwaayato me hai ki

    Zameen ki Thakhliq ( banaane ) ke 50,000 hazaar saal pahele ALLAH Subhanahu Ta -ala ne Qalam (

    pen ) ko paida Farmaya . ALLAH Subhanahu T ala ne Qalam ( pen ) ko huqum diya '' Likh ( write ) ''

    toh sab se pahele Qalam ( pen ) ne BISMILLAH HIR RAHEMANIR RAHIM likha , Yaani ki ALLAH ke

    Naam se shuru , jo ki bahut Rahem karne wala aur bahut Meharbaan hai . ALLAH Subhanahu Taala

    ne fir Huqum diya : LiKH ( write ) . Iss par Qalam ne Arz kiya '' Aye mere RAB ! Ab

    kya likhoo ? '' ALLAH Subhanahu Taala ne Huqum diya '' Ab se Qayaamat tak jo bhi ho ne wala hai ,

    woh sab likh de .'' Aur Qalam ne Tab se lekar Qayaamat tak jo bhi hona hai woh sab likh diya jo ki

    Lohe Mahefooz me Darz hai Ya likha huwa hai

    FARISHTO KO PAIDAYEESH

    Fir ALLAH Subhanahu Taala ne Farishto ko Noor se paida kiya , Jinnato ko Aag se .aur

    Insaan ko Mitti se paida kiya . Farishte Din - Raat ALLAH Subhanahu Ta - ala ki Ibaadat aur Hamd - o

    Sanaaa karte hai . Aur ALLAH Subhanahu Ta - ala ne unnhe jis kaam par maamoor kiya hai ya jis

    kaam ki jimmedari di hai , Farishte uss par Amal karte hai . aur Thakte bhi nahi . Jaise Jibrayeel Alaihe

    as salam jo ki ALLAH Taala ka paigaam ya Wahee ,. ALLAH Taala ke Paigambaaro , Rasoolo aur

    Nabiyo tak pahoochate hai , Maut ka Farishta Izrayeel Alaihe as salam logo ki Rooh Qabz karte hai .

    Rahemat ke Farishte , Rizq ke Farishte . Munqeer Naqeer Jo Qabar Me Sawaal Karte Hai , Jehannum

  • 17

    ka Daroga ( Farishta ) jo gunaahgaro ko azaab dete hai . Israfil Alaihe as salam jo ki Qayaamat ka sur

    foonkege .. Aur bhi Bahut se Farishte hai jin he ALLAH Subhanahu Taala ne jo bhi kaam unn ke

    supurd kiya hai woh use Ba - khoobi Anjaam dete hai .

    JINNATO KI PAIDAYEESH

    Jinnato Ko ALLAH TAALA Ne Jumerat Ke Din Paida Kiya . ALLAH TAALA Ne Hazrat Aadam

    Alaihe As Salam ki Paiadaish se Saathh Hazaar (60, 000) Saal pahle Jinnat ko Zameen par basaaya tha.

    '' Jinnaat Iss Zameen par Taqreeban Saat Hazaar ( 7,000) Saal Tak Aabaad rahe. Aur Eik Riwaayat Ke

    Hisaab Se ( 53,000 )Saal Tak . ( ALLAH HU AALAM )

    '' Jinnaat '' Teen ( 3 ) Tarhaa Ke Hote Hai

    (1) Woh jinke Parr Ya Pankh hote hain,aur woh Hawaa me Udhhte Hai

    (2) Woh jo Saanpo ( Snake ) ki Shaql me Rahte Hai .

    (3) Woh jo Insaano ki Tarah Hote Hai .

    '' Jinnat Jab Iss Zameen par Aabaad huwe toh unn ka Aapas me Hasad , Bugz , Keena ,

    Shuru huwa unhone ne Zameen par Fasaad Barpaa Kar Diya Khoob Khoon bahaya , aur Qatl O -

    Gaarat kiya Jab Ki ALLAH TAALA Ne Unnhe Apni Ibaadat Ke Liye Paida Farmaya Tha , Lekin Jinnat

    Sirkash ( Baagi ) Ho Gaye . Isiliye ALLAH TAALA Ne Azazil ( Iblees ) Jo Ki uss waqt tak bahut Maqbool

    E Baargah E - ILAAHI Tha Aur Jinnato Me Hi Se Tha . Use FarIshto Ka Sardaar Banaya . Aur

    Use Huqum Diya ke '' Apne saath Farishto ki Eik Jamaat ( Lashqar , Fauj ) Le ja , Aur Zameen Ke

    Maidaani Ilaaqo Ko Jinnato Se Paak Kar De Ya Unhe Pahaado Aur Ghaaityo Me Dhakel De ''. Azazil

    Farishto ka Lashkar Apne Saath le kar Zameen par Aaya aur Jinnato se Jung ( Jihaad ) ki aur unnhe

    Maidaani Ilaaqe chhodkar Pahaado , Ghaatiyo , Waadiyo Aur Biyaabaan Junglo me bhaagne par

    Majboor kar diya .

    Riwaayato Me Hai Ki Azazil ( Shaitaan Iblees ) bahut Ibaadat Guzaar tha .Duniya ( Ru -

    E - Zameen ) ka koi bhi kona Aisa nahi bacha jahaa uss ne sajda na kiya ho . Isi wajah se woh ALLAH

    Subhanahu Ta - ala ke Muqarab ( Khaas ) bando me se tha . yahaa tak ki woh Jannat me bhi be - rok -

    tok aaya jayaa karta Tha .

    IBLEES KI PAIDAYEESH

    ALLAH TAALA Ne Aalam E Sijjeen Yaani Ki Zameen Ke Andar Ki Woh Jagaah Jahaa Tamam Kaafiro

    Ki Roohe Qaid Kar Ke Rakhi Jaati Hai . Sijjeen Arbi Lafz Hai Jis Ka Matlab Jail Ya Qaid khaana Hota

    Hai . Iss Jail Khaane Me Bhedhiya ( Wolf ) Aur Saanp ( Snake ) Ki Shaqal Me ( 2 )Surat Paida

    Farmaayee . Unn Dono Ke Milan Se Iblees Paida Huwaa . Iblees Ke Baap Ka Naam '' Khablees '' Tha ,

    Jis Ki Shaqal Saanp Jaisi Thi . Aur Maa Ka Naam '' Nablees '' Tha . Jis Shaqal Bhedhiye ( Wolf ) Jaisi

    Thi

    .

  • 18

    Jab Iblees Jannat Me Tha Toh Uss Ka Naam '' AZAZEEL '' YA '' AL HARIS '' YA ''

    FATRA '' Tha . ( ALLAH O AALAM ). Iblees ( 40 ,000 ) Saal Tak Jannat Ka Khazaanchi raha , Uss

    Ne Taqreeban ( 14,000 ) Saal Tak Arsh E Aazam Ka Tawaaf Kiya . Woh ( 80,000 ) Saal

    Tak Farishto Ke Saath Rahaa . Jis Me Se ( 20,000 ) Saal Tak Farishto Ko Waaz o Nasihat Ka Dars

    Deta Raha Aur Unnhe Ilm Sikhata Raha . ( 30,000 ) Saal Tak Malaika Karobeen Ka Sardaar Raha . Aur

    ( 1,000 ) Saal Tak Malaika Roohaneen Ka Sardaar Raha. Azazeel ( Iblees ) Ko .

    (1) pahle Aasman par Aabid ke Naam se Pukara jata tha

    (2) Doosre Asman par Zahid pukara jaata tha

    (3) Teesre Aasman par Arif

    (4) Chauthe Aasman par Wali

    (5) Panchve Aasman par Taqi

    (6) Chhate Aasman par Khazin

    (7) Saatve Aasman par Azazil ke Naam se pukara jata Tha .

    TAKHLEEQ E AADAM ALAIHE AS SALAM

    ( Aadam Alaihe As Salam Ki Paidayeesh )

    QUR'AN MAJEED Me ALLAH TAALA Irshaad Farmata Hai .

    TARJUMA : Jab ALLAH Subhanahu Taala ne Farishto se Farmaya : '' Main Insaan ko Zameen ka

    Khalifa ( Waris ) Banaane wala hoon .''.. Iss par Farishto ne Khadsaa ( Darr , Andesha ) Zaahir kiya

    ki : Insaan bhi Zameen par Fasaad karega aur Qatal - o - Gaarat karega .Teri Ibaadat ke liye ham hi

    kaafi hai ... ALLAH Subhanahu Taala Ne Farmaya : '' Main jo jaanta hoon wo Tum nahi jaante .''

    Eik Riwaayat Me Hai Ki Aap Huzur E Aqdas Mohammed Sallal Laho Alaihe Wa Sallam

    Ne Farmaya : '' ALLAH TAALA Ne Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ko Moost - Khaaq ( Mili Juli Mitti

    ) Se Paida Farmaya Jo Ki Puri Zameen Se Li Gayee Thi Isiliye Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ki Aulaade

    Zameen Ki Muwafiq Paida Huyee Hai Koi Inn Me Safed ( White ) Hai Toh Koi Surkh ( Red ) Koi Siyaah

    ( Kaala ,Black ) Toh Koi Salauna . Koi Jiyadah Sakhat Mizaaz Hai Toh Koi Bahut Narm Mizaaz Hai Aur

    Koi Na Jiyadah Shakht Hai Aur Koi Na Jiyadah Narm Hai .Yaani Ki Alag alag Mizaaz Ke Hai . ''

    Eik Riwaayat Me Hai Ki ALLAH TAALA Ne Hazrat Jibraayeel Alaihe As Salam Ko Zameen

    Par Bheja Ki Zameen Se Mitti Le Aaye. Aap Zameen Par Aaye Toh Zameen Rone Lagi Aur Kaha '' Main

  • 19

    Tujh Se ALLAH TAALA Ki Panaah Maangti Hoon Ke Tu Mujh Se Kuchh ( Mitti ) Kam Kare Ya Mitti Le

    Aur Mujh Me Aib Lagaaye . Jibrayeel Ameen Ko Zameen Ke Rone Par Taras Aa Gaya Aur Aap Waapas

    Chale Gaye Aur Mitti Na li Aur Baargaahe Ilaahi Me Arz Kiya : '' Maula Karim ! Zameen Ne Teri

    Panaah Ka Sawaal Kiya Tha Toh Maine Ise Chhodh Diya Aur Mitti Na Li .''

    ALLAH TAALA Ne Hazrat Mikaayeel Alaihe As Salam Ko Bheja , Zameen Unnhe Bhi

    Dekh Kar Rone Lagi Aur ALLAH Ki Panaah Talab Ki . Aap Bhi Waapas Laut Gaye Aur Hazrat Jibrayeel

    Alaihe As Salam Ki Tarhaa Baargaahe KHUDA WANDI Me Arz Kiya : '' Aye Mere RAB ! Zameen Ne Teri

    Panaah Maangi Toh Maine Use Chhodh Diya Aur Mitti Na Li .''

    Fir ALLAH TAALA Ne Hazrat Izrayeel Alaihe As Salam Ko Bheja Toh Zameen Unnhe Bhi

    Dekh Kar Rone Lagi Aur ALLAH Ki Panaah Talab Ki , Maut Ke Farishte Ne Kaha : '' ALLAH Ki Panaah Jo

    Main Khaali Laut Jaavoo Aur ALLAH Ka Huqum Na Bajaa Laavoo .'' Unhone Zameen Ke Mukhtaleef

    Hisse Se Mitti Li Aur Use Aapas Me Mila Diya . Yeh Mitti Zameen Ki Alag Alag Jagaah Se Li Gayee Thi

    , Jis Me Se Kuch Surkh ( Laal ) Kuch Safed Aur Kuchh Kaali Isiliye Aadam Alaihe As Salam Ki Aulaade

    Alag Alag Rango Ki Hoti Hai . Fir Izrayeel Alaihe As Salam Uss Mitti Ko Aasmaan Me Le Gaye Aur Use

    Gilaa Kiya Yahaa Tak Ki Woh Mitti Ka Gaara Ban Gaya . ALLAH TAALA Ne Hazrat Aadam Ko Apne Dast

    Qudrat Se Paida Farmaya Taki Iblees Inn Ke Muqaable Me Taqabbur Na Kar Sake .

    HAZRAT AADAM ALAIHE AS SALAM KA NAAM AADAM HONE KI WAJAAH

    HAZRAT AADAM ALAIHE AS SALAM KA NAAM AADAM HONE KI KAYEE WAZAAH HAI

    (1) Hazrat Abdullah Bin Abbas (RadiAllahu anh) Farmate hai ke '' Aap ka Naam Adam Iss Wazaah se

    hai ke ( Gandumi . Gehuwaa ) Rang ki Zameen se wo Mitti li Gayee thi, jis se Aap ke

    Jism (Putla) ki Khameer banaya Gaya .

    (2) Hazrat So labi Farmate hain ke '' Kyon Ki ( Ibrani Zaban ) me Mitti ko Aadam kahete hai, Iss

    Munasibat ( Wazaah ) se Aap ka Naam Aadam Rakh diya gaya . ''

    (3) Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naimi ( Rahematullah Alaihe ) Farmate hai ke

    ''Aadam,Ya toh ( Adeem ) "" se bana hai jis ka Matlab hai ( Zahiri Zameen ) Kyon ke Aap ka Jism

    Paak Zahiri Zameen ki Mukhtalif Mittiyo se Bana tha, Isiliye aap ka Naam Aadam huwa .''

    Aap ke Jism (Putla) ko Tayyar karne ke liye,Hazrat Izrayeel (Alaihissalam) ne Zameen

    ki 40 Mukhtalif Jagaaho se Haath Bhar Kar Mitti li, Aur Iss me Khusoosiyat Makka aur Taif ki Zameen

    ko Hasil hai. . Aur eik Riwaayat me hai ki saat ( 7 ) Alag - Alag Jagaaho se Mitti le kar Khamira Tayyar

    kiya gayaa . aur uss se Aadam Alaihe as salam ka Khaaqi Putlaa banaaya gayaa . Iss Mitti par ( 40 )

    dino tak , Ba Huqm E RABBANI ( Darya - E Mala Mal ) se jo Ki '' Arsh Aazam ke neeche hai, jis

    ka dusra Naam (Baihrul Ahzaan) haiUss Se Barish hoti rahi, jis se wo Mitti Gaare ( Khameere ) ki

    Shaql Ikhtiyar kar gayee

    Eik Dusri Riwayat ke Mutabiq 70,000 Farishto ne Ba - Huqm E - Rabbul Aalameen Se (

    Chashma e Raheel o - Sal Sabeel o Kausar ) ke Pani se Iss Mitti Ke Gaare ko Tayyar kiya.

    Aap ki (Khaak) Paak par 40 dino Tak Barish hoti rahi, Aur Inn (40 ) Dino me se ( 39 ) Din Dukh - Dard

    ( Ranj - o - Gam ) ka Pani Barsa aur ( 1 ) Din ( Khushi - wa - Masarrat ) ka Pani barsa Isi liye Ham

    Insaan ko Ranj o - Gam , Dukh Takleef Ziyadah hote hai, aur Khushi kam Hoti Hai . ALLAH

  • 20

    Subhanahu Taala ne Iss Mitti ke Khameer se Aadam ka Putlaa Tayyar kiya . Eik Riwaayat me hai ki

    Aaj jahaa Khana - E - Kaaba hai , uss Jagaah se mitti li gayee .

    Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Taala Anhu Riwaayat farmaate hai ki : Maine

    Sayyed E - Alam (sallallahu alaihi wasallam) se Daryaaft Kiya : '' Ya Rasoolallah ! ALLAH TA - ALA ne

    Hazrat Aadam ( Safi Ullah ) ko kis tarah paida Farmaya ke unn ki Aulad Ki Shaqle Eik dusre Se

    Hu - bahoo nahi milti julti ? '' .. Aap Huzur E Aqdas Mohammed Sallal Laho Alaihe Wa

    Sallam ne Farmaya : '' Aye Abdullah ! ALLAH Tabarak wa Taala ne Aadam Alaihe As Salam ke chehre

    Mubarak ko Makkah Shareef ki Mitti se banaya Sir Mubarak Baitul Muqaddas ki khaak se banaya

    Muhh , Kaan , Naak Aur Aankho ko duniya ki ( Mukhtaleef ) khaako se banaya Qadam Mubarak (

    Pairo ) ko Hindustaan ki Zameen se banaya Aur Jism Ke Dusre Hisse ( Aajaa ) Ko Jazeera Sarandeep

    ( Sri Lanka ) ki Mitti se banaya Kamar Mubarak ko Mashhad ki Khaak se banaya , Aye Abdullah !

    Agar Adam Alaihe As Salam ki khaak paak ( Mitti ) Eik hi jagah se lee jaati toh Aap ki Aulado me se

    har eik Dusre se Pahchana Na jaata, sab eik hi shaql - o - surat ke hote .''

    Eik Riwaayat Me Hai Ki ALLAH TA - ALA ne Aap ki Surat ( Chehra ) ki Takhliq ( Makkah )

    aur ( Taif ) ke Darmiyan Wadi E - Nomaan me (Arfat) Pahaad se Ki. Eik Riwaayat Me Hai Ki ALLAH

    TA ALA Ne Apne Dast - E - Qudrat Se Uss Gaare Se Hazrat Aadam Alaihe As Salam ka Putla (Qalib)

    Banaya Aur Aap ki Surat Tayyar Ki, Farishto Ne Kabhi Aisi Surat Na Dekhi Thi, Woh Bade Taajub Aur

    Hairat Me Padh Gaye,Aur Uss Putle Ke Aas Paas Ghoomne Lage,Uss Putle Ki Khubsurti Dekh Kar

    Hairan The.

    Iblees Ko Bhi Iss Baat Ki Khabar Ho Chuki Thi,Woh Bhi Uss Putle ( Muzassame ,Qalib ) Ko

    Dekhne Aaya, Aur Uas Ke Ird - Gird Ghoom Kar Bola Ke : ''Aye Farishto! Tum Iss ka Kya Taajjub Karte

    Ho?... Ye Toh Eik Andar Se Khaali Jism Hai, Jis Me Jagah Jagah Surakh ( Whole ) Hai , Aur Iss Ki

    Kamzori Ka Ye Aalam Hai Ke Agar Bhookha Ho Toh Gir Padhe,Aur Agar Khoob Khaale Toh Chal Fir

    Na Sake, Iss Putle ( Qalib ) Khaali Se Kuchh Na Ho Sakega. '' Fir Bola . '' Lekin Haa(n) , Iss Ke

    Seene Ki Baayen Taraf ( Left Me ) Eik Band Kothri Hai (DIL) Ye Khabar Nahi Ke Uss Me Kya Hai?

    Shaayad Yahi Lateefa ( Ziqr ) RABBANI Ki Jagah Ho, Jis ki Wajah Se Ye Khilafat Ka Haqdar Ho.''

    Aur Eik Riwaayat Me Hai Ki Jab Farishte Aadam Alaihe As Salam Ke Putle Ke Qareeb Se

    Guzre Toh Use Dekh Kar Darr Gaye , Aur Sab Se Jiyaadah Iblees Khauf Zadah Tha ,Aur Woh Jab Bhi

    Aadam Ke Putle Ke Qareeb Se Guzarta Toh Use Thhokare Maarta . Uss Thhokar Ki Wazaah Se Uss

    Putle Se Khankne Ki Aawaaz Aati Thi Ya Khankhanahat Ki Aawaaz Paida Hoti Thi . Shaitaan Ye Bhi

    Sawaal Karta Ki : Ise Kis liye Takhleeq ( Paida ) Kiya Ja Raha Hai ? Shaitaan Uss Putle ( jism ) Ke

    Aage Ke Suraakho ( Chhedd ) Se Ghuss Kar Pichhe Ke Suraakh Se Nikal Jaata Aur Farishto Se Kaheta :

    '' Iss Se Darr Ne Ki Koi Baat Nahi Hai , Ye Andar Se Khokhlaa Hai , Agar Main Iss Par Musallat Ho Gaya

    Ya Iss Par Qaboo Paa Gaya Toh Ise Halaaq ( Qatal ) Kar Dalooga .''

    Eik Riwaayat Me Hai Shaitaan Iblees Ne Yaum Awwal (Yani Pahele Hi Din Se ) Jab Use

    Khabar Mili Thi Ke ALLAH TAALA Ne Mitti Se Aadam Ka Putlaa Banaya Hai Aur Unnhe Apna Khalifa

    Banayega , Toh Uss Ne Usi Waqt Se Apne Dil Me Hazrat Aadam Ke Liye Bugz , Adaavat ( Dushmani )

    Aur Nafrat Paal Rakhi Thi . Aur Isi Nafrat Aur Hiqaarat Ki Wazaah Se Uss Ne Aadam Ke Putle Par

    Thook Diya . ALLAH TAALA Ne Hazrat Jibrayeel Alaihe As Salam Ko Huqm Diya Ki : Iblees Ki Thook

    Ko Hazrat Aadam Alaihe As Salaam Ke Putle Se Khurach Kar Nikaal De ... Jab Hazrat Jibrayeel

    Alaihe As Salam Ne Aadam Ke Putle Se Iblees Ke Thook Ko Khurach Kar Nikala Toh Uss Thook Ke

    Saath Kuch Mitti Bhi Nikal Aayee , Aur Riwaayto Me Hai Ki Uss Mitti Se Kutta ( Dog ) Ko Banaya Gaya

  • 21

    . Ab Kyon Ki Kutte Ki Takhleeq ( Banaane ) Me Iblees ka Thook Mila Huwaa Hai Isiliye Kutte Ko

    Napaak Kahaa Jata Hai , Aur Kutte Ki Takhleek Me Aadam Ki Mitti Bhi Mili Huyee Hai , Isiliye Dusre

    Jaanwaro Ke Muqaable Me Kutte Ki Unsiyat ( Lagaav ) Insaano Se Bahut Jiyada Hai .Aur Kutte

    Insaano Ke Aas Paas Rahena Jiyadah Pasand Karte Hai .

    Aap Huzur E Aqdas Muhammad Mustafa Sallal Laho Alahe Wa Sallam Ki Eik

    Hadees Mubaaraka Hai Jis Me Aap Ne Farmaya Ki '' Jis Ghar Me Kuttaa ( Dog ) Aur Kisi Jaandaar Ki

    Tasweer Ho , Uss Ghar Me Rahemat Ke Farishte Nahi Daakhil Hote ,''..

    Hazrat Aadam Alaihe As Salam ka putla (Dhancha) Tayyar hone ke( 40)Saal bad uss me

    jaan dali gayi.. Eik Qaul ke Mutabiq 120 Saal hai , Hazrat Ibn-e - Abbas ( Razi Taala Anhu ) farmate

    hai ke: Hazrat Adam Alaihe as salam ka Putla ( 40 ) Sal tak Chamakti Mitti ki Shaql me raha fir

    (40 ) saal tak siyaah ( Kaali )Mitti ki Shaql me raha fir ( 40 ) saal tak Khanakti Mitti ki Shakl me raha

    Iss tarah se ( 120 ) saal ka Waqt guzar jane ke baad ALLAH TAALA ne uss me Jaan dali.

    CHHEENK AANE PAR ALHAMDULILLAH KYON KAHA JATA HAI ?

    Eik Riwaayat Me Hai Ki ALLAH TAALA Ne '' Rooh '' Ko Huqm Diya Ke : '' Uss Putle Me

    Aur Uss Ke Surakhon Me Daakhil Ho Ja .''. Jab Rooh Putle Ke Andar Daakhil Huyee Toh Uss Jism Me

    Tang - O Tariq ( Andhera ) Paaya Aur Ghabrakar Baahar Nikal Aayee . Riwaayato Me Hai Ki Tab

    NOOR E - MUSTAFA Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Se Woh Khaqi Putla Jagmaga Diya Gaya. Yani

    Woh NOOR Peshani E - Aadam Alaihe As Salam Me Amanat Ke Taur Par Rakh Diya Gaya. Fir Rooh

    Aadam Alaihe As Salam Ke Jism Me Daakhil Huyee . Abhi Woh Sir ( Head ) Me Pahoonchi Hi Thi Ke

    Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ko Chheenk Aa Gayee , Aur Aap Ki Zubaan Se Nikla : ''

    ALHAMDULILLAH ''

    ALLAH TA ALA Ne Farmaya : '' ARHAMQULLAH '' Aur Ab Yeh Alfaaz Ki Adaayegi

    Sunnat Hai . Aur Chheenk Ka Jawaab Dena Zaroori Hai . Isiliye Jab Aap Logo Me Se Kisi Ko Cheenk

    Aaye Toh Woh Yeh Kahe '' ALHAMDULLILAH '' Yaani Ki Tamam Taarife ALLAH TAALA Ke Liye Hai . Aur

    Jo Shakhsh Eik Ho Ya Jiyada Uss ka Jawaab De '' YARHAMAQULLAH '' Yaani Ki ALLAH TAALA Tum Par

    Rahem Kare . Aur Fir Chheekne wala Yeh Kahe '' YAHDIQ ALLAH '' Yaani Ki ALLAH TAALA Tumhe

    Hidaayat De .

    Chhink Aane Par '' ALHAMDULILLAH '' Kyon Kahaa Jata Hai Aayeeye Zara Iss Baat Ko

    Smajhte Hai . Aaj Science Ne Bhi Ye Proove ( Sabit ) Kiya Hai Ki Jab Insaan Ko Chhink Aati Hai Toh

    Kuchh Lamho Ke Liye Insaan Ke Saare Jism Ki Macheenary ( Parts , Hisse ) Kaam Karna Band Kar Dete

    Hai Ya Thhapp Padh Jaate Hai . Aur Aap Jaante Hi Hai Ki Insaan Ke Jism Ke Hisse Jaise Dil , Gurda ,

    Fefda Aur Bhi Dusri Cheeze Agar Kaam Karna Band Kar de Toh Iss Ke Nateeze Me Insaan Ki Maut Ho

    Jaati Hai . Aur Jab Chhink Aane Ke Baad Dubaara Jism Ke Sare Hisse ( Macheenary ) Kaam Karne

    Lagte Hai . Yaani Ki Insaan Ko Dubaara Zindagi Milti Hai . Isiliye Banda Apne RAB Ka Shukriya Adaa

    Karta Hai Ki , Uss Ki Saari Macheenary ( Jism Ke Hisse ) Pahele Jaise Hi Kaam Karne Lage Hai . Aur

    ALLAH TAALA Ne Use Dubaara Zindagi Ataa Ki Hai .

  • 22

    FARISHTO KA AADAM ALAIHE AS SALAM KO SAJDAA KARNA AUR SHAITAAN

    IBLEES KA SAJDE SE INQAAR KARNA

    Riwaayato Me Hai Ki ALLAH Subhanahu Taala ne Farishto Ko Huqum Diya: '' Jab Main

    ! Iss Putle me apni Rooh Foonkoo ( daaloo ) toh Tum sab Sajde me gir jaana .'' Jab ALLAH Subhanahu

    Taala ne Aadam ke putle me Rooh daali toh sab ne sajdaa kiya siwaaye Iblees ke . Sab se pahle Sidra

    Nasheen Hazrat Jibreel -e - Amin ne Sajdah kiya fir Hazrat Mikail ne,fir Hazrat Israfeel ne,Fir Hazrat

    Izryeel ne, Fir saare Farishto ne Sajdah kiya Itaat me sabqat ( Sab Se Pahele Sajdaa) kar ne ki

    wajah se Roohul Amin Hazrat Jibrayeel alaihe as salam ko sabse bada darja Ataa Farmaya gaya,yani

    Khidmat E - Ambiya Alaihe as salam ka . Eik Riwaayat MeYeh Bhi hai ke sabse pahle Sajdaah,

    Hazrat Israfeel Alaihe As Salam ne kiya, iss sabab se unn ki Peshani Mubarak par Poora Quran likh

    diya gaya.

    Hazrat Aadam (Alaihissalam) ko kiya Jaane wala Sajda kitni der ka tha Iss Baare me , Kuchh Ikhtilafat

    hai .

    (1). Yeh Sajda Juma Ke Din Waqt - E - Zawal se (Asar) tak kiya gaya

    (2). Farishte 100 baras tak Sajde me gire rahe .

    (3). 500 baras tak Sajde me gire rahe.

    Kul Milaa kar Iss baare Me Yehi Kahaa Ja Sakta hai Ki Sab Se Pahele Malaika (

    Farishto ) ne Hazrat Adam Alaihe as salam ko Sajda kiya, jis ka Iblees ne Inkar kiya yeh Sajdah thodi

    der raha,fir Farishto ne Sar utha kar dekha ke Shaitan Naa Farman,Adam Alaihe as salam ki taraf

    peeth ( Back ) fere khada hai,tab unho ne dusra Sajda kiya, Ye Sajada ALLAH TA ALA Ka Shuqr

    Adaa Karne Ki Taufiq Ataa Kar ne Ke Liye ALLAH Taala Ke liye Kiya Gaya . Fir jab Farishto ne dusre

    Sajde se Sar uthhaya toh dekha ke Shaitan Mardood ki surat pahle jaisi Haseen - o - Jameel na rahi,

    balki chehra Bandar ke jaisa,aur Jism Khinzeer (Suwar) ke Jaisa ho gaya tab Farishto ne Haibat

    ILAAHI se ek aur Sajdah kiya. Ye teeno Sajde Adam (alaihissalam) hi ki taraf the,magar teeno alag

    alag Qism ke, aur unn ki Muddat bhi alag alag thi. Hazrat Aadam Alaihe As Salam Juma ke Din uss

    Jagah Wajood me aaye Ya Paida Kiye Gaye jahaa aaj Khana - E - Kaaba Shareef hai .

    ALLAH TAALA QURAN MAJEED ME IRSHAAD FARMATA HAI ..

    TARJUMA : ALLAH TA ALA Ne Farishto Se Farmaya Ki '' MAIN ! Jab Iss Putle Me Apni Rooh Foonkoo Toh Tum Sab Sajde Me Gir Jaana , Toh Sab Ne Sajda Kiya Siwaaye Iblees Ke .''.. ALLAH Subhanahu Taala ne Iblees se Farmaya : '' Jab sab ne sajdaa kiya toh Tu ne Sajda kyon nahi kiya ?............ Tujhe kis Cheez ne Roka ?'' . Iblees ne apni galti nahi mani aur Takabbur ( Ghamand ) se kahaa : '' Main Iss se Afzal ( behtar ) hoo(n) , Tu ne Mujhe Aag se paida kiya aur Ise Sadhhi ( Kharaab ) huyee Mitti se (Khanakti huyee Mitti ) se paida kiya ... ALLAH Subhanahu Taala ne Huqm diya : '' Nikal ja yahaa se , Aaj se Tu Razim (Dhutkaara ) huwaa hai , aur Tujh pe Laanat hai .'' Iblees ne kahaa : '' Aye Mere RAB , jis ki wazaah se Tu ne Mujhe Dhutkaara , Mujhe Gumraah kiya aur Laanat ki ,toh Mujhe Qayaamat tak Mohlat de ke main Ise aur iss ki Aulaado ko Gumraah karoo aur innhe Teri Raah se roku , aur Main chahe Aage se Piche se Upar se Niche se Jahaa se bhi Aawoo koi Mujhe dekh na sake. ALLAH Subhanahu Taala ne Farmaya : '' Mujhe apne Jalal ki kasam , ja Tujhe Mohlat di , Lekin main Tujhe aur jo bhi Teri paivi karega ya Tere

  • 23

    Naqs - e - qadam par ya Tere batlaaye huve Raaste par chalega unn sab ko Jehannum me bhar dooga . Aur Insaano ki Rahenumaayee ke liye Main apne Nabiyo aur Rasoolo ko bhejooga . Jo bhi Muttaqi aur Parhezgaar hoga aur nek amal karega Main use Jannat ke Baago ( garden ) me Dakheel Karooga .

    AZAZEEL KA NAAM IBLEES PADNE KI WAJAAH

    Azazeel Ka Naam Isiliye Iblees Pada Kyon Ki Uss Ne Khullam Khulla ALLAH TAALA Ke Huqum Ki Nafarmani Ki Aur Hazrat Aadam Alaihe As Salam Se Bugz Rakha . Jis Ki Wazaah Se ALLAH TAALA Ki Har Nemato Se Mayoos Kar Diya Gaya . Woh Eik Aisa Banda Tha Jisne Apni Neki Aur Badee ( Achchayee Aur Buraayee ) Aapas Me Kallat Mallat ( Aapas Me Milaa Diya ) Kar Diya . Isiliye Woh Iblees Ke Naam Se Mashhoor Huwaa . Iblees Par Sabse Pahle Laanat,Hazrat Jibreel Alaihe As Salam Ne Ki Fir Hazrat Mikayeel Alaihe As Salam ne Fir Hazarat Israfeel Alaihe As Salam Ne Fir Hazrat Izrail Alaihe As Salam Ne Ki Thi .

    EIK RIWAAYAT ME HAI KE '' INQAAR - E - SAJDA E - AADAM ALAIHISSALAM KE BAAD

    IBLEES KA JISM KHINZEER YANI (PIG) KI SHAKL ME AUR CHEHRA BANDAR KI TARAH HO GAYA.. ''

    SOORAT, IZZAT , NEMAT SAB KUCHH CHHEEN LIYA GAYA.... AUR NICHE LIKHI GAYEE SAZAAVO KA

    MUSTAHIQ HUWA.....

    (1). TAMAM RU E - ZAMEEN AUR AASMAN AWWAL ( PAHELE AASMAAN ) KI BADSHAHAT KE

    ALAWA JANNAT KE AFSAR - E - KHAZANA KE OHDE SE MAHROOM KAR DIYA GAYA - BALKI

    HAMESHAA HAMESHA TAK JANNAT KA DAKHILA BAND KARDIYA GAYA.

    (2). HAQ TAALA KE QURB SE MAHROOM HUWA.

    (3). AZAZEEL NAAM TABDEEL KAR KE IBLEES NAAM TAJWEEZ KIYA GAYA.

    (4). BAD BAKHT LOGON AUR KUFFAR KA PESHWA BANA DIYA GAYA.

    (5). HAMESHA - HAMESHA KE LIYE MALWOON WA MARDOOD BANA DIYA GAYA.

    (6) MAAREFAT ILAAHI KI DAULAT SE HAMESHA KE LIYE MAHROOM HO GAYA.

    (7) TAUBA KA DARWAZA USS KE LIYE BAND KAR DIYA GAYA.

    (8) NEKI SE HAMESHA KE LIYE MAHROOM KAR DIYA GAYA.

    (9).. TAMAM DOZAKHYON KA KHATEEB MUQARRAR HUWA.

    ISS SE SABIT HUWA KE GUSTAKHANE RASOOL SALLAL LAHO ALAIHI WA SALLAM WA

    SAHABA - E - IZZAM AUR AULIYA - E - IKRAM RADI ALLAHU ANHUM KA BE ADAB IS DUNIYA ME HAJI

    HO MUFTI HO QAZI HO NAMAZI HO MUJAHID,ZAHID,MUTTAQI,,PARHEZ GAR AUR QAUM KA SABSE

    BADA SE UNCHA AUR AWAM KA MAHBOOB WA MUQTADA AUR SAB KUCHH HO? LEKIN QAYAAMAT

    ME JAHANNUM KE KUTTO YANI (DOG) JAISA HOGA.

    JAISA KE HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE FARMAYA : '' (AL KHAWARIJ

    KALAABUN NAAR) BAD MAZHAB JAHANNAM KE KUTTE HAIN. ''.. YEH KOI MUBALGA NAHI

    HAQEEQAT HAI - THANDE DIL SE KOI GAUR FARMAYE TOH SAMAJH ME AA JAYEGA ( INSHA

    ALLAH )

  • 24

    Jab Aadam Alaihe As Salam Ki Rooh Jism Me Unke Kamar Tak Pahoonchi Toh Aap

    Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ne Uthne Ki Koshish Ki Aur Gir Padhe .Kyonki Kamar Ke Neeche Ke

    Hisse Me Rooh Pahoonchi Hi Nahi Thi . Isiliye ALLAH TA ALA Ne Farmaya Ki '' Insaan Bahut Jaldbaaz

    Hai .''

    Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ko ALLAH TAALA Ne Huqm Diya : '' Aye Aadam ! Farishto

    Ke Paas Ja Kar Unhe Salam Karo , Aur Suno Woh Kya Jawaab Dete Hai ?'' Hazrat Aadam Alaihe As

    Salam Farishto Ke Paas Tashreef Le Gaye Aur Farmaya '' AS SALAMU ALAIKUM '' . Farishto Ne Jawaab

    Diya : '' WA ALAIKUM AS SALAM WA RAHEMATULLAHE WA BARQATOHU '' ALLAH

    TAALA Ne Irshaad Farmaya : '' Yeh Hi Alfaaz , Tumhaare Aur Tumhaari Aulaad Ke Liye Muqarrar Kar

    Diye Gaye Hai . Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ne Arz Kiya : '' Aye Mere RAB ! Meri Aulaade Kaun Hai

    ? '' . ALLAH TAALA Ne Farmaya : '' Aye Aadam ! Mere Eik Haath Ka Intekhaab Kar .''

    Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ne Arz Ki : '' Aye Mere RAB ! Tera Daayaa ( Sidha , Right ) Haath , Aur

    Hamaare RAB Ke Toh Dono Haath Hi Daaye ( Sidhe , Right ) Hai .'' Tab ALLAH TAALA Ne Aap Ki

    Pustt ( Peeth ) Par Dast E Qudrat Fer Kar Uss Se Sari Insaani Roohe Nikaali , Aur Hazrat

    Aadam Alaihe As Salam Ko Sab Dikhayee . In Insaani Rooho Me Kaafir , Momin , Munaafiq , Mushriq ,

    Aulia , Qutub , Ambiya Ki Roohe Dikhayee Gayee . Jo Qayaamat Tak Paida Hogi . Inn Me Se Eik

    Shakhsh Ke Noor Ne Hazrat Aadam Alaihe As Ko Hairaan Kar Diya , Aap Ne Arz Kiya : '' Aye Mere RAB

    ! Ye Kaun Hai ?..... RAB Ne Farmaya : '' Yeh Tera Beta Dawood Hai .''. Aap Ne Arz Ki : '' Aye

    Mere RAB ! Ise Kitni Umar Di Gayee Hai ? ''.. RAB Ne Farmaya : '' Iss Ki Umar ( 60 ) Saal Hogi .''

    Aap Ne Arz Ki : '' Aye Mere RAB ! Ise Meri Umar Me Se ( 40 ) Saal Ataa Farmaa De Ki Iss

    Ki Umar Puri ( 100 ) Baras Ho Jaaye .'' ALLAH TA ALA Ne Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ki Umar

    Se ( 40 ) Hazrat Dawood Alaihe As Salam Ko Ataa Farma Di Aur Eik Tahereer Likh Kar Iss Par gawaah

    Muqarrar Kar Liye

    BHOOLNE KI BIMAARI INSAANO KO WASIYAT ME MILI HAI..

    Jab Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ki Rooh Qabz Karne Ka Waqt Aaya Toh Hazrat Aadam

    Alaihe As Salam Ne Farmaya '' Meri Umar Me Toh Abhi ( 40 ) Saal Baqi Hai ,'' Aap Ko Bataaya Gaya Ki

    Aap Ne Apni Umar Ke ( 40 ) Saal Toh Hazrat Dawood Alaihe As Salam Ko Hibaa Kar Diye The Ya De

    Diye The . Iss Par Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ne Inqaar Kar Diya . Aap Huzur E Aqdas

    Mohamed Mustafa Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Farmaate Hai Ki : '' ALLAH TAALA Ne Unhe

    Tahereer Dikhayee Aur Farishto Ne Bhi Gawaahi Di . Lekin ALLAH TAALA Ne Apne Karam Se Hazrat

    Dawood Alaihe As Salam Ki Umar Mubarak Bhi Pure ( 100 ) Saal Kar Di Aur Hazrat Aadam Alaihe As

    Salam Ki Umar Me Bhi Koi Kamee Na Ki .Aur Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ne Bhi ( 1000 ) Saal Ki

    Umar Payee ''

    Eik Riwaayat Me Hai Ki ALLAH TAALA Ne Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ki Peeth Se

    Unn Ki Aulaado Ko Nikala Jis Tarha Se Ki Zameen Par Beej Ugta Hai , Aur Inhe ( 2 ) Hisso Me Taqseem

    Kar Diya . Eik Daaye Haath ( Right Hand ) Wale Aur Dusre Baayee Haath ( Left Hand ) Wale , Aur

    Daaye Haath Wale Ke Baare Me Farmaya Ki Yeh Jannati Hai Yeh Jannati Wale Kaam Karege , Aur

    Baayee Haath Waalo Ke Baare Me Farmaaya Ki Yeh Jehunnami Hai Yeh Jehunnamiyo Wale Kaam

    Karege .

    Aap Huzur Sarware Qaayenaat Muhammed Mustafa Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Ne

    Farmaya Ki : '' Jis Shakhsh Ko ALLAH TA ALA Ne Jannat Ke Liye Paida Kiya Hai Uss Se Jannatiyo

  • 25

    Walaa Kaam Lega Yahaa Tak Ki Uss Ka Khaatma Bhi Nek Aamaal Par Hoga , Aur Jis Shakhsh Ko

    Jehunnam Ke Liye Paida Kiya Hai Use Bure Kaam Me Mashgool ( busy ) Rakhega , Yahaa

    Tak Ki Woh Jehunnamiyo Wale Kaam Karte Huve Maregaa Aur Jehunnam Me Daakhil Hoga .''

    Eik Riwaayat Me Hai Ki ALLAH TAALA Ne Hazrat Aadam Ki Peeth Se Qayaamat Tak Paidaa

    Hone Wali Aulaado Ko Ikathhthha ( Jamaa ) Kiya . Inhe Shaqal Surat De Kar Inn Se Guftgoo Ki Aur Inn

    Se Pukhta Ahad ( Pakka Waada ) Liya .. Wo Pakka Waada Ye Tha Ki Unn Se Poochha : '' Kya , MAIN

    ! Tumhara RAB Nahi Hoon ? ''.. Tamaam Ibne Aadam ( Aadam Ki Aulaado ) Ne Jawaab Diya : ''

    Kyon Nahi , Beshaq Tu Hi Hamara RAB Hai .'' ALLAH TAALA Ne Farmaya : '' Main Iss Par Saat

    ( 7) Aasmaan Aur Saat ( 7 ) Zameen Ko Gawaah Muqarrar Karta Hoon Aur Tumhaare Baap ( Aadam )

    Bhi Gawaah Hoge , Ke Kahi Qayaamat Ke Din Tum Yeh Na Kahene Lago Ki Ham Toh Iss Ahad

    O Paimaan ( Waade ) Ko Jaante Hi Nahi . Mera Ahad Ye Hai Ki Siwaaye Mere Koi Ibaadat Ke Laayeq

    Nahi , Aur Mere Siwaa Tumhaara Koi RAB Nahi . Mere Saath Kisi Ko Saajhidaar ( Shareeq ) Mat

    Banana , Main Tumhari Taraf Rasool Bhejooa Jo Tumhe Mera Ahado Paimaa ( Wadaa ) Yaad

    Dilaayege , Aur Main Tumhari Hidaayat Ke Liye Kitaabe Naazil Karooga .. Aulaad - e- Aadam

    Ne Kaha : '' Ham Gawaahi Dete Hai Ki Tu Hi Hamara RAB Aur Maaabood Hai , Tere Siwaa Koi Hamara

    RAB Nahi , Aur Tere Siwaa Koi Hamara Maaabood Nahi . '' Iss Tarhaa Iss Din Tamaam Bani

    Aadam Ne Iss Haqiqat Ka Iqraar Kiya Aur Itaat Par Qaayem Rahene Ka Ahad ( Waada ) Kiya .

    ALLAH TAALA Ne Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ko Buland Kiya Toh Inhone Apni Aulaado

    Ko Dekha Jis Me Gani ( Daulatmand ) Bhi The Faqeer Bhi , Khoobsurat Bhi The Aur Badsurat Bhi .

    Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ne Arz Kiya : '' Aye Mere RAB ! TU Ne Meri Aulaado Ko Eik Jaisaa Kyon

    Nahi Banaya ?''. ALLAH TAALA Ne Farmaya : '' Yeh Iss Liye Ki MAIN Shuqr ( Shuqar Karne

    Wale ) Ko Pasand Karta Hoon .'' Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ne Apni Aulaado Me Ambiya Alaihe

    As Salam Ko Bhi Dekha , Jin Ki Nooraniyat Chiraago(n) Ki Tarhaa Chamak Rahi Thi .

    Jab Shaitaan mardood aur laanati ho gayaa toh uss ke Jannat me dakheele par paabandi

    laga Di gayee . Ab woh Jannat me dakheel nahi ho sakta tha . ALLAH Subhanahu Taala ne Aadam

    Aalaihe as salam ko Ilm aur hiqmat ki baate sikhayee garaz ye ki Aaj duniya me jitni bhi zubaane ,

    Bhashaye , boli jaati hai woh sab aur Duniya ke tamaam uloom ( Hunar , Fann ) sikhaaye aur tamaam

    chizo ke naam bhi sikhaaye . Fir ALLAH Subhanahu taala ne Tamaam Farishto ke saamne Hazrat

    Aadam Alaihe as salam ko Huqum diya : '' Aye Aadam ! bayaan kar jo bhi baate aur Ilm ,Maine Tujhe

    sikhaayee hai , agar Tu sachcha hai .'' Hazrat Aadam Alaihe as salam ne woh saari baate aur

    woh sara Ilm jo ALLAH Subhanahu Taala ne Aap Ko sikhayee thi sab Farishto ke saamne bayaan kar

    di .Iss par tamaam Farishto ne eik saath kahaa : '' Paak hai Tu , Aye hamaare RAB ! Beshaq Tu jo

    jaanta hai , ham wo nahi jaante ,''..

    HAZRAT AADAM ALAIHE AS SALAM JANNAT ME

    Hazrat Aadam Alaihe As Salam ko ( 70000 ) Jannati Libas pahnaye gaye Eik Taaj jo

    Yaqoot ka tha,aap ke sar par rakha gaya kamar ko Heere Jawahar se Sajaya gaya ek Takht Aali jo

    bada Haseen O - Jameel tha, uss pe aap ko bithha kar Baag e- Jannat pahunchaya gaya aap ke

    saath Farishte ( 7,00,000 ) Daaye (n) ( Right ), aur ( 7,00,000 ) Baaye(n) ( Left ) , aur ( 7,00,000 )

    Aage , aur ( 7,00,000 ) peechhe the jo aap ki Shaan O - Azmat aur Salam pesh

    kar rahe the. Aur ALLAH Subhanahu Taala ne Hazrat Aadam ko Jannat me rahne ka huqum diya , aur

    is tarhaa Aadam alaihe as salaam Jannat me rahne lage .

  • 26

    HAZRAT HAWAA ( RAZI TAALA ANHA ) KI PAIDAYEESH

    Jannat me khaane peene aur ghumne firne ko bahut kuchh tha . Lekin tanhaa akele hone

    ki wazah se Aadam Alaihe as salam udaas rahne lage . Fir ALLAH Subhanhu Taala ne Jab Hazrat

    Aadam Alaihe as salam So Gaye Toh Unn Ki Baayee pasli ( chaati ki haddi ) se Bibi Hawwa ko banaya .

    Aur Jab Hazrat Aadam Alaihe As Salam So Kar Jaage ( Uthhe ) Toh Aap Ne Apne Sirhaane Eik Aurat Ko

    Baithha Dekha . Hazrat Aadam Alaihe Salam Ne Uss Aurat Se Poochha : '' Tu Kaun Hai

    ?''.. Uss Ne Jawaab Diya : '' Main Aurat Hoon ''. Aap Ne Fir Poochha : '' Tujhe Kis Liye

    Paidaa Kiya Gaya Hai ? ''. Uss Ne Jawaab Diya '' Taki Meri Wazaah Se Aap Ko Raahat Aur Aaraam

    Naseeb Ho .''..

    Farishto Ne Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ke Ilm Ki Gaheraayee Ka Andaaza Lagane Ke

    Liye Unn Se Poochha : '' Aye Aadam ! Iss Aurat Ka Naam Kya Hai ?'' Aap Ne Jawaab Diya : ''

    Iss Aurat Ka Naam Hawwaa Hai . '' Farishto Ne Fir Poochha : '' Iss Ka Naam Hawwaa Kyun Rakha

    Gaya Hai ? ''.. Aap Ne Jawwab Diya : '' Isiliye , Ke Ise Zinda Jism Se Paida Kiya Gaya Hai .''

    ALLAH TAALA Ne Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ka Nikaah Hazrat Bibi Hawaa Razi

    Taala Anha Se Kar Diya Aur Iss tarhaa Hazrat Aadam Alaihe As Salam Aur Hazrat Bibi Hawaa eik

    dusre ka saath pa kar khushi khushi Jannat me rahne lage . ALLAH Subhanahu Taala ne Farmaaya : ''

    Tum dono Jannat me jo chaahe khaavo piyo aur Jahaa Chaahe ghumo firo , lekin khabardaar uss

    Mamnuwaa Sajar ( pedh , Darakht ) ke paas mat jaana aur uss ka fal ( Fruites ) mat khaana warna

    tum log zaalimo me se ho jaawoge ...

    MAMNUWAA SAJAR ( DARAKHT , JHAADH ) KA NAAM

    Hazrat Adam (Alaihissalam) ko,Jannat me Jis Darakht (Ped) ka Phal Khane se Mana

    Framaya Gaya tha? Iss mutalliq se Mukhtalif Riwayaat hai Ki Wo Mamnuwaa Sajar Kaun Sa Tha

    (1).. Gehoo ka Darakht tha Ya Uss Se Milta Julta Koi Darkht Tha .

    (2) Wo Injeer ka Darakht tha.

    (3).. Wo Darakht Angoor Ka tha.

    (4) Koi Aisa Darakht tha jiske khane se Rafaa Hajat ( Paikhana Ya Toilet ) ki Zarurat hoti hai,aur

    Jannat Inn Gandagiyo se pak hai.

    (5) Ya wo Khajoor ka pedh ( Darakht ) tha Lekin pahle wali baat ko yani ki Genhoo ( Gandum )

    ke pedh ko Tarjeeh Hasil hai.

    JANNAT ME SAANP ( SNAKE ) AUR MOR

    Jannat me Saanp (Snake ) Tawoos ( Mor , pecock ) bhi rahte the . Aur woh dono Jannat se baahar bhi aaya jayaa karte the . uss waqt Saanp ke pair ( legs ) bhi the aur uss ke Muhh se

  • 27

    Abhraq ki bahut achchi Khushboo Aati thi . Aur Mor jitna abhi Khubsurat hai uss se bhi kahi jiyaada

    Khubsurat huwa karta tha aur uss ke pair ( legs ) bhi bahut Khubsurat huwa karte the . Eik din jab

    dono Jannat se baahar aaye toh Shaitaan se unn ki Mulaaqat huyee . Shaitaan ne kahaa : '' Mujhe bhi

    apne saath Jannat le chalo . ''. Unn dono ne kahaa '' Hame ALLAH Subhanahu Taala ka Khauff hai ,

    Ham Tumhe Apne Saath Jannat me nahi le ja sakte . Koi dekh lega .'' Iss par Shaitaan ne unnhe

    apni Dosti ka waasta diya . Toh Saanp ne Mashwaraa diya ki : '' Tum Saanp ban jaavo aur Mor

    Tumhe nigal lega aur Tumhe Jannat me ja kar ugal dega . Iss Tarhaa koi Tumhe dekh na paayega .''

    Shaitaan fauran Saanp ban gayaa aur Mor ne use nigal liya aur Jannat me le ja kar ugal diya . Iss

    tarhaa Shaitaan Iblees Jannat me dakheel hone par Qaamyaab ho gayaa .

    SHAITAAN IBLEES KA JANNAT ME DAAKHIL HONA AUR HAZRAT AADAM ALAIHE

    AS SALAM AUR ( MAA ) HAWWA KO BAHEKANA

    Shaitaan ne Jannat me Bibi Hawwa aur Aadam Alaihe as salam se Mulaaqat ki aur kahaa :

    '' Main Tumhaara khairkhawaah hoon , Tum dono ne Jannat ke uss Sajar ka fal kyon nahi

    khaaya ?............... Iss par wo dono bole ki : '' Hame ALLAH Subhanahu Taala ne uss Sajar se door

    rahne ke liye kahaa hai , Isiliye Ham ne wo Fal nahi khaaya .'' Jab Aadam Alaihe as salam so gaye

    toh Shaitaan ne Bibi Hawwa ko bahekaaya aur kahaa : '' ALLAH Subhanahu Taala ne tum Logo Ko

    wo Fal khaane se Isiliye manaa kiya hai ki kahi wo Fal khaa kar Tum Farishta na ban jaawo aur

    Hamesha Hamesha ke liye Jannat me hi na rahne lago .''. Shaitaan Iblees ke bahkaave me aa kar

    Hazrat Hawwa (Razi taala anha ) ne Shajar Mamnuwa ke 7 Khoshe ( Daaliya ) todhe the,Pahle eik

    Khud ne khaya, aur jab Aadam Alaihe as salam so kar ( Neend se) jaage toh unnhe bhi bahut Israar

    kar ke wo Paanch ( 5 ) Fal khilaa diya . Aur Eik Fal Bacha Kar Rakh Liya . jaise hi unn dono ne wo Fal

    khaaya unn ka Jannat ka Libaas utar gayaa . Aur woh dono sharam ke maare apni apni Sharamgaah

    chipaane lage .

    Hazrat Aadam Alaihe as salam Rone lage aur apne Badan ko chhupane ki Fikr kar ne

    lage,jis Darakht (pedh) ke Paas jaate wo pedh aap se door ho Jata Aakhir Me (Injeer) ke Pedh Ke( 4

    ) patto se aap ne apne Jism ko chupaaya . Eik Riwaayat Me hai Ki Aap Ne Vood ( Eik Khusboodar

    Pedh ) Ke Patto Se Apna Jism Chipaya Tha .

    Eik Riwaayat Me Hai Ki Hamare Pyaare Aaqa Hazrat Muhammed Musatafa Sallal Laho

    Alaihe Wa Sallam Ne Farmaya : '' Beshaq Tumhaare Baap ( Aadam Alaihe As Salam )

    Khazoor Ke Buland Aur Baala Darakht ( Jhaadh ) Ki Tarha Lambe The Aur Aap Ka Qadd Mubaarak ( 70

    ) Gaz Tha , Aap Ki Sharmgaah Bhi Chhipi Huyee Thi , Aur Aap Ke Sir Ke Baal Bahut Ghane Aur Lambe

    The , Jab Aap Se Jannat Me Ye Khataa ( Galti ) Ho Gayee Toh Aap Ki Sharmgaah Khul Gayee Aur Aap

    Jannat Se Nikal Kar Bhaag Khadhe Huve . Lekin Eik Darakht Me Aap Ulajh Kar Rah Gaye . Peshaani (

    Maathe , Sir ) Ke Baal Iss Buri Tarhaa Uljhe Ki Aap Wahi Par Ruk Gaye . Isi Waqt ALLAH TAALA Ne

    Gaib Se Aawaaz Di : '' Aye Aadam ! Kya Mujh Se Bhaag Kar Ja Rahe Ho ? . Hazrat Aadam

    Alaihe As Salam Ne Arz Ki : '' MAULA ! Main Apni Khataa Par Sharmindah Aur Naadim Ho Kar

    Bhaag Raha Hoo (n) ,''

    Aur Eik Riwaayat Me Hai Ki Jab Hazrat Aadam Alaihe As Salam Se Khataa Ho Gayee Aur

    Apni Khataa Par Sharmindah Ho Kar Jannat Se Bhaagne Lage Toh Aap Ke Sir Ke Baal Eik Darakht Me

    Ulajh Gaye Aur Aap Wahi Par Ruk Gaye , Tabhi Ba Huqum E RABBANI ! Hazrat Jibrayeel Alaihe

    As Salam Ne Aap Ke Sir Se Taaj Utaara Jo Aap Ko Jannat Le Jaate Waqt Pahenaya Gaya Tha . Aur

  • 28

    Hazrat Miqayeel Alaihe As Salam Ne Aap Ki Zabeen ( Mathe ) Se Jawaaheraat Se Sajaa Huwaa Patkaa

    ( Patta ) Khol Liya . Jab Hazrat Aadam Alaihe As Salam Uss Darakht ( Jhaadh ) Se Ulajh Gaye Toh Ye

    Socha Ki Shaayad Unn Ki Khataa Ki Sazaa Di Ja Rahi Hai . Aap Ne Sir Jhukaa Liya . Aur Parwardigaar Se

    Apni Khataa Ko Maaf Kar Dene Aur Draguzar Kar Dene Ki Iltijaa Kar Ne Lage . ALLAH TAALA Ne

    Farmaya : '' Kya Mujh Se Bhagna Chaahete Ho ?''. Aap Ne Arz Ki '' Aye Mere MAULA ! Apni

    Khataa Par Sarmindah Hoon , Isiliye Bhaag Rahaa Hoon , Tujh Se Bhaag Kar Kahaa Jaavooga .''

    HAZRAT AADAM , ( MAA ) HAWAA , SHAITAAN IBLEES , SAANP AUR MOR KO

    ZAMEEN PAR FENKA JANA

    Jab Hazrat Aadam Alaihe As Salam Aur Biwi Hawaa Apni Apni Sharmgaah Ko

    Chupaane Lage , Usi Waqt ALLAH Subhanahu Taala ne Gaib se Aawaaz di : '' Maine Tum se nahi

    kahaa tha ki us Sajar ke paas mat jaana aur uska Fal mat khaana . Tum dono ne apni jaan par Zulm

    kiya . ''. Aadam Alaihe as salam ko apni galti ka ahesaas huwa . Aap Ne ALLAH Subhanahu

    Taala ki Baargaah me apne gunaaho ( Apni Nafarmaani ) ki Maafi maangi . ALLAH Subhanahu Taala

    ne Farmaya : '' Tum logo ne Gunaah kiya hai ,Isiliye Tumhe Zameen par eik Arsaa ( Waqt ) Guzaarna

    hoga , Aur Tum me se jo Achche amal karega aur Meri Ibaadat karega Main use Jannat me dakheel

    karooga .

    Hazrat Ali Razi Taala Anhu Farmate hai : ''Eik Roz Risalat MaAab Aap Huzur E

    Akram Sallallahu alaihi wa sallam Ki Bargaah me Chand Yahoodi Hazir Huve aur poochha : '' Ya

    Rasool ALLAH ! Ham ne Tauret me likha dekha hai ke Aap ki Ummat par 30 Roze Farz kiye gaye hain ?

    '' Aap Nabi E Kareem Sallal Laho Alaihe Wa Sallam ne Farmaya : '' Yeh theek hai ke Hazrat

    Adam Alaihe as salam ne Jannat me jo Gandum Ka Daana khaya tha,wo Aap ke shikam ( pet ,

    Stomuck ) me 30 Roz tak raha, Isi Sabab se 30 Roze Farz kiye gaye.''

    Saanp ( Snake ) Aur Mor ( Peacock ) Ne Shaitaan Iblees Ki Jo Madad Ki Thi Use Jannat Me Le

    Jaane Ke Liye Toh Unn Ke Iss Gunaah Ke Sabab ALLAH Subhanahu Taala ne Saanp ( snake ) ke Pair (

    legs ) chhinn liye , Aur jis Muhh se uss ne Mashwaraa diya tha uss se Abhraq ki Khushboo chhinn kar

    uss ke Muhh me Zaher ( Poision ) bhar diya gayaa . Aur Mor ( Pecock ) ki Khubsurati chhinn li gayee ,

    Jin Pairo ( legs ) se wo chalkar Jannat me Shaitaan ko le gayaa tha use Badsurat banaa diya

    gayaa . Isiliye Aaj bhi jab Mor apne Pankho ko dekhta hai toh Khush hota hai aur Jab apne Pairo ( legs

    ) ko dekhta hai toh Rota hai .

    ALLAH Subhanahu Taala ki Nafarmaani aur eik Galti ki Sazaa , Aadam Alaihe as salam Bibi

    Hawwa , Iblees . Saanp aur Mor ko ye mili ki unhe Jannat se Zameen par Fek diya gayaa . Zaraa

    sochiye ki ham Musalmaan kitni Nafarmaniya aur Gunaah karte hai , toh Hamara Haal kya hoga ?

    ALLAH Subhanahu Taala Ham Sab Musalmano ko apna Farmabardaar Banda banaaye aur har

    Chhote Bade Gunnah se bachne ki Toufiq de ... AAMEEN

    Jab un Paancho ko Jannat se Zameen Par Fenka gayaa toh Aadam Alaihe as salam Sri Lanka

    ( Koh e Sarandeep ) ke uss Pahaad par utare gaye, jis ko Nood kahte hain. Aaj Bhi Sri Lanka me

    eik Bahut Bada Insaani Qadmo ( Foot ) ka Nishan Maujood hai . Kitaabo me likha hai ki Shaayad wo

    Nishaan Aadam Alaihe as salam ke Qadmo ka hi hai . (ALLAH - HU - AALAM ) . Hazrat Hawwa ko

    Bahar - e - Hind ( Hind Mahaa sagar ya Dariya e Hind ) Ke Kinaare par Utara Gaya Eik

    Riwayat me hai Ki Arab Me Utara Gaya ( ALLAH HU AALAM ) Mor ( Tawoos ) Ko wasat (

  • 29

    Cenetral ) Hindustaan Me . Shaitaan Iblees Ko Iraq Ke Nisan me jo ke Basra se kuchh Fasle par hai, ya

    jaha ab Yajooj wa Majooj ki Deewar Qaim hai . Aur Saanp ( Snake ) ko Bahistan,ya fir Asfahan Jo Ki

    Iraan Me Hai Wahaa phenka gaya.

    HAZRAT AADAM AUR MAA HAWAA ISS ZAMEEN PAR KITNE SAAL TAK RAHE ?

    HAZRAT AADAM ALAIHE AS SALAM AUR HAZRAT HAWWA JANNAT ME KITNE SAALO ( YEARS ) TAK RAHE ISS BAARE ME KAYEE BAATE MASHHOOR HAI

    (1) Aap dono ne Jannat me Duniya ke 500 Saal ke Barabar Qiyam kiya.

    (2) Aap dono ne Jannat me ek Saaat rahe,Jannat ki yeh eik Saaat Duniya ke ( 130 ) Saal ke

    barabar hai.

    (3). Eik Riwayat ke mutabiq , Jannat me aap dono ( 100 ) Saal tak rahe .

    HAZRAT AADAM ALAIHE AS SALAM JANNAT SE ISS ZAMEEN PAR APNE SAATH

    KYA LAAYE ?

    HAZRAT AADAM ALAIHE AS SALAM JANNAT SE APNE SAATH KUCHH MUKHTALEEF KISM

    KI CHEEZE LAAYE THE JO KI ISS TARHAA HAI .

    (1).. Hajar E - Aswad, jo Khana - E - Kaaba me Laga huwa hai.

    (2).. Asa e - Musvi (Hazrat Musa Alaihe as salam ki Chhadhi Ya Laathi ) ,yani wo Danda Ya

    Aasaa Jo Hazrat Musa Alaihe As Salam apne sath Rakhte the,aur aap uss se Tarah - Tarah ke

    Moajjaze Zaahir Farmate the.

    (3).. Hathoda.

    (4).. Sandasi.

    (5).. Eiran.

    (6). Kuchh Sona Chandi.

    (7).. Mukhtalif Qism ke Beej.

    (8).. ( 3) - Qism ke Phal ( Fruits ), Eik wo jo poore khaye jaate hai, Dusre wo jinka Upri Hissa khaya

    jata hai,aur gutli phenk di jati hai,jaise Chuwara,wagairah.. Teesre wo jinka upri hissa phenk diya

    jaata hai,aur andar ka hissa khaya jata hai.

    (9).. Jannati Darakhto ki Pattiya,ya Phoolo ki Pankhudiya.

    (10).. Belcha.

    (11).. Kudal.

  • 30

    (12) Kandar, ya Sanubar .

    (13).. Vood,( Khushbu dar lakdi ),

    (14). Angashtari ( Angoothhi ) Sulaimaani .

    AAP NABI E KAREEM SALLAL LAHO ALAIHE WA SALLAM KE WASEELE SE

    HAZRAT AADAM ALAIHE AS SALAM KI DUWAA KA QABOOL HONA

    Iss Zameen Par Utaare Jane Ke Baad Hazrat Aadam Alaihe As Salam Aur Bibi Hawaa (

    300 ) Baras tak eik dusre se judaa rahe . Eik Riwayat ke Mutabiq ( 200 ) saal,aur Eik Riwaayat ke

    Mutabiq ( 100 ) saal tak Dono Eik Dusre Ki Judayee me Mubtila rahe. Aur Alag Alag

    Bhatakte rahe , Rote rahe aur Apne Gunaaho ki Maafi Maangte rahe . Fir bhi unn ki Touba Qabool na

    huyee . Fir eik Din Aadam Alaihe as salam ko Khayaal Aaya ki unnhone Jannat me Arsh - E Mualla

    par ALLAH Subhanahu Taala ke Naam ke Saath eik Naam aur Bhi Dekha tha . Aur woh Naam tha

    Hamaare Pyaare Aaqa aur ALLAH Subhanhau Taala ke Habib Hazrat MUHAMMAD MUSTAFA

    AHMAD - E - MUJTABA (sallal laho alaihe wa sallam ) ka . Yaani ki '' LA ILAAHA ILLALLAH

    MUHAMMED- DUR - RASOOL ALLAH .''. Aadam Aalaihe as salam ne usi Waqt apne Dono haath

    uthha kar Bargaah E KHUDA WANDI me yeh duwaa ki : '' Aye Mere RAB ! Main Tujhe

    MUHAMMAD Mustafa Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Ke Haq Ka Waasta Deta Hoon , Meri Khtaavo Ko

    Maaf Farmaa De ... ALLAH TAALA Ne Farmaya : '' Aye Aadam ! Tu , Muhammad Sallal Laho

    Alaihe Wa Sallam Se Kaise Waqeef Hai , Ya Tu Unnhe Kaise Jaanta Hai ? MAINE Toh Unnhe Abhi

    Paidaa Bhi Nahi Farmaya .'' .. Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ne Arz Kiya: '' Aye Mere MAULA ! Jab

    Tu Ne Mujhe Apne Dast Qudrat Se Paidaa Farmaya Aur Mujh Me Apni Rooh Foonki Toh Maine Sir

    Uthhya Aur Arsh Ke Paayo ( Legs ) Par '' LA ILAHA ILLALLAH MOHAMMED RASOOLALLAH '' Likha

    Dekha , Main Samajh Gaya Ke Tu Ne Jis Shakhsh Ke Naam Ko Apne Naam Ke Saath Jodh Diya Hai ,

    Woh Makhlooq Me Sab Se Jiyaadah Tujhe Maheboob ( pyaara ) Hoga . ''. ALLAH TAALA Ne

    Farmaya : '' Aye Aadam ! Tu Ne Sach Kaha Hai , Beshaq Woh Tamaam Makhlooq Se Mujhe

    Jiyaadah Maheboob Hai , Ab Jab Tu Ne Muhammad Ke Waseele Se Mujh Se Sawaal Kiya Hai , Toh

    Maine Tujhe Bakhsh Diya , Aur Agar Muhammad Na Hote Toh Main Tujhe Bhi Paidaa Na Karta .''

    Note : Yeh Hadees Imaam Haaqim Ne Aur Imaam Baheqi Ne Sanad Ke Saath Aur Ibn e Asaakar

    Ne Abdur Raheman bin Zaid Bin Aslam Ke Hawaale Se Riwaayat Kiya Hai , Aur Inhone Apne Baap Se

    Aur Unhone Apne Dada Se Aur Unhone Hazrat Umar Farooq Bin Khattab Razi Taala anhu Se

    Riwaayat kiya hai ki Aap Huzur E Aqdas Muhammed Mustafa Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Ne Yeh

    Hadees Farmayee.

    HAZRAT AADAM AUR MAA HAWAA KA MILAN

    Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ne Hamaare Pyaare Aaqa Hazrat Muhammad Mustafa Sallal Laho Alaihe Wa Sallam Ke Waseele Se Duwaa Farmayee Toh Usi Waqt Rahmat - E

    ILAAHI Josh me Aayee . Aur ALLAH Subhanahu Taala ne Aadam Alaihe as salam ki Duwaa Qabool ki .

    ALLAH TAALA ne Hazrat Aadam Alaihe As Salaam Ki Tauba Qubool hone ke baad Aap dono ko '' Zil

    Hajj '' ko milaya.. Hazrat Aadam Alaihe as salam ne Hazrat Hawwa ko Pahchana, Isiliye Iss Din Ko ''

    Aarfaa '' ( Pahechaane jaana ) Ka Naam Diya Gaya . Aur Jis Jagaah Mulaaqat Huyee Thi Woh Jagaah ''

  • 31

    Aaraafat '' Ya Maidaan E - Aaraafat Ke Naam Se Mashhoor Hai . Aur Maidaan E Aaraafat Ki Jis

    Pahaadi par Unn ka Milan huwa . Uss Pahaadi ko Jabal - E - Rahemat kahete hai . Kyonki uss par

    Aadam Alaihe as salam aur Bibi Hawwa ka Milan huwa aur ALLAH Subhanahu Taala ki Rahemate

    Naazil huyee thi . Woh Dono eik Dusre ko Paa kar Bahut Khush huve aur ALLAH Subhanahu Taala ka

    Shukar Adaa kiya . Aur Ab woh Dono Saath me Rahne lage .

    HAZRAT AADAM ALAIHE AS SALAM KA QAD MUBAARAK

    Riwaayato Me Hai Ki Hazrat Aadam Alaihe as salam jab Duniya me Aaye toh Aap Bahut Buland Qamat aur Taweel Jism ke the, Yani Ki Aap Ke Jism Ki Lambayee ( Hight , Unchayee ) Aur

    Chaudhayee ( Width ) Bahut Jiyada Thi . Aap Ke Jism Ka Har Hissa jaise ki Sir ( Head ) , Chhaati

    ( Chest ) , Gardan , Pet ( Stomach ) , Haath Aur Pair ( Legs ) Sab Ki Lambaayee Chaudhayee ( 60 ) (

    60 ) Haath Ya Gaz thi Jis se aap ke Qadam Mubarak ( Pair ,Legs ) Zameen par Rahte ,aur Sar Aqda (

    Head ) Aasman ko chhuta tha Aur Aap Farishto Ke Darmiyaan Ho Ne Wali Baato Ko Bhi Suna Karte

    The . Fir ALLAH TAALA ne Aap ki Lambaayee Aur Chaudhayee ko Kam Kar ke Bahut Chotaa Kar diya

    yaha tak ke Aap Ki Unchayee ( Hight ) ( 60 ) Haath Ya Gaz rah gayee,aur Aap ke jism Mubarak ki

    chaudhayee 7 Haath Ho Gayee . Aap Duniya me ( 40) Dino tak Bhooke Pyaase rahe Eik Riwayat me

    hai ke aap ( 40 ) Saal tak Bhooke piyase rahe. ( ALLAH HU AALAM ) Aap Koh - E - Sarandeep

    ( Sri Lanka ) Hindustaan se ( 40 ) baar Khana E - Kaaba ki Ziyarat ko gaye Farishte Har

    jagaah Qadam Qadam par Aap ka Intizar karte the. Aap jab Khana E - Kaaba ki Ziyarat ko chalte toh

    har Qadam ka Faasla ( 3 ) Roz ( Din ) Ke Masafat ( Doori ) ke Barabar hota tha . Aap ( 300 ) Saal tak

    is Qadar Rote rahe ke,Hazrat Jibreel Amin (Alaihissalam) ko bhi aap ke Rone par Rona aata, aur

    unnhone Baargaah E KHUDA WANDI me aap ki Sifarish wa Shafaat ki aur yeh bhi Aksar

    Ahadees se sabit hai ke agar tamam Ru E - Zamaeen ke rone wale Jama kiye jayen toh bhi Aadam

    Alaihe as salam jis qadar roye hai uss ki barabari nahi kar sakte . Tafseer Alam Nashraah

    me hai ke aap apni Khataa par (200 ) Saal tak Rote rahe Eik Riwayat ke Mutabiq Aap ( 180 ) Saal

    tak rote rahe, ( 70) saal Gandum ( Genhoo ) Khaane par, ( 70 ) saal apni khataa par, aur ( 40)

    saal Apni Aulaad Habeel Ke Qatal Kiye Jaane par Aur Eik Riwayat me ( 370 ) saal hai. ( ALLAH

    HU AALAM ).

    Hazrat Aadam Alaihe as salam ko ( 7,00,000 ) Zubaano ( Boli , Bhasha , Launguage ) ka ILM

    tha, aur ( 1000 ) Pesho ( Kaamo , Hunar) me Maharat Rakhte the, magar aap ne Zaraat wa Kasht (

    Kheti Kar ne ) ka pesha Apnaya .Yaani ki Kheti baadhi karte rahe .

    ZAMEEN PAR HAZRAT AADAM KI PAHELI KHURAAQ ( KHANA )

    Hazrat Abu Hurairaah Razi Allaho Anha Riwaayat Karte Hai Ki : Hazrat Aadam Alaihe

    As Salam Ki Zameen Par Paheli Khuraaq Gandoom ( Genhoo , Wheat ) Thi , Hazrat Jibrayeel Alaihe As

    Salam Gandoom Ke ( 7 ) Daane ( Beej ) Le Aaye , Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ne Poocha : '' Yeh

    Kya Hai ? '' Hazrat Jibrayeel Alaihe As Salam Ne Bataaya : '' Yeh Usi Sazar( Darakht ) Ka

    Fal Hai Jis Se Aap Ko Roka Gaya Tha .''. Aap Ne Poochha : '' Main ! Iss Ka Kya Karoo ?''. Hazrat

  • 32

    Jibrayeel Alaihe As Salam Ne Bataaya : '' Ise Zameen Me Qaast Kar Do .( Yaani Zameen Me Bo Do )''

    Hazrat Aadam Alaihe As Salam Ne Wo Daane Zameen Me Qaast Kar Diye , Gandoom Ke Har Daane

    Se Bhi Jiyaadah Paudhe Ugg Aaye , Jab Fasal Pak Kar Tayar Huyee Toh Aap Ne Use Kaata Aur Saaf

    Kiya Aur Dubaara Zameen Me Qaast Kar Diya , Fir Aap ne Gandoom Ko Pisaa Aur Goondha (

    Goontha ) Aur Badi Mehnat Aur Masaqqat Se Roti Banaayee Aur Fir Khaayee .

    Isiliye ALLAH TAALA Ne Qur'an Majeed Me Irshaad Farmaya : '' Toh , Aisa Na Ho Ke

    Woh Nikaal De Tumhe Jannat Se Aur Tum Masaqqat Me Padh Jaavo ...

    ZAMEEN PAR HAZRAT AADAM ALAIHE AS SALAM KA LIBAAS ( POSHAKH

    )

    Aap ne Duniya me sabse pahle jo Libaas ( Kapda ) zebtan farmayee ( Pahena ) wo

    (Bhedh) ke Baalo ( Woon ) ka tha ,jise aap ne khud tayyar kiya tha,apne liye ek Jubba, aur Hazrat

    Hawwa ke liye Jis Se Ki Puraa Jism Chupp Sake eik Qameez ( kurta ) aur Sir Dhaakne Ke Liye eik Odhni

    ( dupatta , Chaadar ) Tayyar Kiya .

    Hazrat Aadam Alaihe As Salam , Jannat se ,Duniya me jab Tashreef laaye toh aap ke

    Jism ka rang (Siyah) Kaala tha.. Aap ki Tauba Qubool hone ke baad, ALLAH TAALA ka yeh Hukm huwa

    ke (Chaand) ki 13vi,14vi,aur 15vi, ka Roza rakho,chunanche! Aap ne yeh Roze rakhe aur har din aap

    ke Jism ka rang chmakta raha,aur apni Asal Rang par aata raha,aur 15ve Tareekh ko tamam Badan

    apne Asal ( Pahele Jaise ) Rang par aa gaya. Aap ki Zaban ( Boli , Bhasha ) Jannat me

    (Arbi) thi, jab Duniya me Tashreef laye toh Arbi Zuban Aap se Chheen Li gayee, ya Bhula di gayee

    Tauba Qabool hone se pahle aap (Siryani) Zaban me Guftugu Farmaya karte the,aur Tauba Qabool

    hone ke bad fir Arbi Zaban,Jannat Nishaan ataa Kar Di Gayee .

    AULAADO KI PAIDAYEESH KA SILSILAA SHURU HUWAA