farhan ali waris 2013 - 2014

19
Farhan Ali Waris Nauhas 2013 - 2014 Nauhas 2013 - 2014

Upload: fazaileahlulbait

Post on 01-Jan-2016

532 views

Category:

Documents


7 download

DESCRIPTION

Nauhas Of Famous Nawha Khwan Farhan Ali Waris

TRANSCRIPT

Page 1: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

1

Farhan Ali Waris

Nauhas 2013 - 2014 Nauhas 2013 - 2014

Page 2: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

2

Contents 1. Main Paidal Chala Karbala ...............................................3

2. Hai Mere Hussain Pe ........................................................7

3. Sham E Ghareeban Ki Jaga Huwi .................................... 10

4. Na Mehmil Hai Na Chadar ............................................. 12

5. Akbar (A.s.) Nay Di Sada ................................................ 14

6. Tera Chehlum Karnay Aai Hoo ....................................... 16

7. Pyari Maan .................................................................... 18

Page 3: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

3

1. Main Paidal Chala Karbala

Husain (A.s.)…..5 Imam Jafar-E-Sadiq (A.s) Irshad Farmate Hai, ”Ke Jo Shaksh Imam Husain (A.s.) Ke Kabr Ki Taraf Paidal Chal Kar Aaya Allah (Aj) Us Ke Liye Har Kadaam Ke Badle 1000 Nakiya Likh Deta Hai Aur 1000 Gunah Maaf Kar Deta Hai Aur 1000 Darjaat Baland Kar Deta Hai.” Labbaik Ya Husain(A.s) Mai Ishq Ke Safar Pe Chala….2 Hare Ek Kadam Pe Karta Hua….. Shukr E Khuda Mai Safar Pe Chala…..2 Jab Maine Sar Zameene Najaf Par Rakhe Kadam Dil Ne Mere Irada Kia Ya Shahe Ummam (A.s.) Ye Tujh Se Mohabbat Hai Meri…..2 Aau Jo Ziyarat Ko Teri….. Ibne Ali (A.s.) Kar Le Qabool Mera Aqidat Bhara Salam Paidal Najaf Se Karbobala Aaenga Gulam Almadad Ya Shahe Karbala….. Almadad Ya Shahe La Fatah…. Mai Paidal Chala Karbala…..5 Naaz Kismet Pe Karta Hua Mai Paidal Chala Karbala…..3 Mere Sine Me Bachpan Se Armaan Tha, Aa Gaya Gar Waha Se Bulawa Mera, Shahe Marda (A.s.) Ke Dar Se Suwe Karbala, Apni Pairo Pe Chalta Hua Jaunga, Shukre Maula (A.s.) Who Din Aa Gaya, Mai Paidal…. Zebe Tankar Kar Ke Ehraam E Gum Chal Dia Khud Pe Naade Ali (A.s.) Kar Ke Dum Chal Dia Ek Chota Sa Lekar Alam Chal Dia Tha Nigaho Me Sheh (A.s.) Ka Haram Chal Dia Jab Ye Izn E Safar Mil Gaya

Page 4: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

4

Mai Paidal….. Us Musafat Ka Ehwal Mujhse Suno, Mai Najfa Se Chala Jis Ghadi Momino, Yaad Karta Raha Maula Sajjad (A.s) Ko , Kya Kahun Hausla Jo Mila Dosto, Har Kadam Nauha Padhta Hua, Mai Paidal….. Nauha Karte Hue Sogwar Aa Gai, Jis Taraf Aankh Utthi Hazar Aagaie, Farsh Par Arsh Se Pursadar Aagaie, Thak Ke Baitha To Khidmat Guzar Aagaie, Jis Ka Jee Chaha Jaise Chala Mai Paidal….. Chalte Chalte Jo Pairon Mein Chale Padhe, Aa Gaie Yaad Sub Zakhm Sajjad (A.s) Ke, Yaad Aaie Aseeron Ke Jub Hausle, Yun Laga Jaise Chale Padhe Hi Na The, Un Aseeron (A.s.) Ko Rota Hua Mai Paidal….. Imam Jafar E Sadiq (A.s.) Irshad Farmate Hai, “Jis Ne Imam Husain (A.s.) Ki Ziyarat Kar Li Goya Usne Rasoolallah (S.a.w.w.) Ki Ziyarat Kar Li.” Sadiq E Aale Athar (A.s.) Se Bhi Suna, Zairon Ke Liye Keh Gaye Mustafa (S.a.w.w.), Jis Ne Dekha Haram Mere Shabbir (A.s.) Ka, Us Ko Meri Ziyarat Hui Ba Khuda, Is Aqidat Mein Behta Hua Mai Paidal….. Dunia Walon Yehi Ishk Ka Hai Safar, Kamzan Ambiya Bhi Hai Is Rah Par, Is Safar Ki Fazilat Se Ho Ba Khabar, Sakht Sardi Ho Ya Sakht Garmi Magar, Sub Ke Lab Par Hai Bas Ek Sada

Page 5: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

5

Mai Paidal….. Yadon Mein Hai Meri Abtak Woh Karwan…..2 Manzil Ko The Rawan, Kay Tifl Kya Jawan, Parda Nasheen Sub Maan Behne Betiyan, Hathon Me Ya Husain (A.S.) Ke Parcham Liye Hue, Mausam Ki Fikr Thi Na Thakan Ke Moamle, Badhte Rahe Husain (A.s.) Ke Janib Yeh Kafle, Har Char Gaam Par The Moakkib Bane Hue, Unme Tha Zaieereen Ki Rahat Ka Ehtemam, Jinnat Aur Farishte Bhi Karte The Ehtemam, Logon Ke Ajdaham Me Dekha Yeh Mojiza Na Bhook Se Nidhal Na Pyasa Koi Mila, Sadqa Mere Husain (A.s.) Ka Bat Ta Tha Char Su Aati Thi Rotiyon Se Mano Salva Ki Khushboo Naqabil E Bayan Hai Jo Ehtemam The Kuze Jo The Sabeel Pe Kausar Ke Jam The Han Zair E Husain (A.s.) Ke Pairon Ki Khaak Se Na Jaane Kitne Log Shifayab Hote The Aksar Yeh Zaieereen Ke Kanon Ne Bhi Suna Aati Hai Husain (A.s.) Ke Rauze Se Ek Sada Yeh Log Mohtaram Hai…..4 Hamari Nigah Mein Abbas (A.s.) Zaireen Ko Lelo Panah Mein Labbaik Ya Husain (A.s.) Saya Sar Pe Alamdar (A.s.) Ka Mai Paidal….. Zairon Se Main Sun Ta Tha Aksar Yehi Chahe Jis Raaste Se Bhi Jaaie Koi Pehle Hongi Ziyarat Alamdar (A.s.) Ki Bad Mein Kabre Shahe Zaman (A.s.) Aaiengi Janne Ko Yeh Sub Majra Mai Paidal….. Aaya Jub Samne Rauza Shabbir (A.S.) Ka Gir Ke Be Sakhta Main Ne Sajda Kiya

Page 6: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

6

Apne Maula (A.s.) Se Sajde Mein Ro Kar Kaha Maangne Kutch Nahi Aaya Mai Ba Khuda Shauk Teri Ziyarat Ka Tha Mai Paidal….. Imam Jafar E Sadiq (A.s.) Ne Irshad Farmaya, “ Imam Husain (A.s.) Ki Ziyarat Tamam Aamal Se Afzal Hai, Jo Shaks Imam Husain (A.s.) Ke Haq Ki Marefat Rakhte Hue Unki Kabr Par Aaienga Woh Us Shaks Ki Tarha Honga Jisne Rasulallah (S.a.w.w.) Ke Sat 100 Haaj Kiye Ho, Agar Tum Me Se Ek Admi Sari Zindagi Haaj Karta Rahe Aur Usne Husain Ibne Ali (A.s.) Ki Ziyarat Na Ki Ho To Who Allah (A.J.) Aur Uske Rasool (S.a.w.w.) Ke Haq Ka Tariq Hoga, Kyunke Husain (A.s.) Ka Haq, Allah (A.J.) Ke Un Faraiz Mein Se Hai Jo Ke Har Musalman Par Wajib Hai Keh Di Yeh Baat Mazhar Ne Farhan Se Haaj Pe Jaana Tha Pichle Baras To Mujhe Main Ne Jaana Jo Kaabe Se Afzal Ushe Karbala Ke Hi Phir Mai Ne Samaan Kiye Phir Najaf Se Hi Rota Hua Mai Paidal…..

Page 7: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

7

2. Hai Mere Hussain (A.s.) Pe

Husain (A.s.)…..2 Maktal Me Jub Husain (A.s.) Pe Khanjar Rawa Hua, Zainab (S.a.) Thi Ek Ret Ke Teele Pe Gam Zada, Karte The Bain Arz O Sama….. Wa Musibata Markad Me Apne Khaak Udhate Te The Mustafa (S.a.w.w.) Jalti Zameen Pe Bain Yeh Karti Thi Sayyada (S.a.) Ro Ro Ke Ahle Sham Se Kehti Thi Sayyada (S.a.)…..2 Haye Mere Husain (A.s.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2 Husain (A.s.), Husain (A.s.)….. Ghar Fatema (S.a.) Ka Loot Liya Fauje Sham Ne Luta Hai Kisne Ummat E Khairul Anam Ne Pyasi Nabi Ki Aal Thi Darya Ke Saamne Din Bhar Uthaie Maiyate Shah E Anam Ne Peer O Jawan Kurban Kiye Tashnakaam Ne Aaya Na Koi Bhi Mere Bacche Ko Tham Ne Sabro Raza Ke Sare Imtehan De Gay Haye Mere Husain (A.s.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2 Ek Sar Ajal Ne Maanga Bahattar Fida Kiye Ashab E Ba Wafa Tahe Khanjar Fida Kiye Pale Hue Sub God Ke Has Kar Fida Kiye Zainab (S.a.) Ke Do Haseen Gul E Tar Fida Kiye Jaun O Habib O Hur Se Baradar Fida Kiye Deen E Khuda Pe Akbar (A.s.) O Asgar (A.s.) Fida Diye Dard E Judaie Qasim (A.s) O Abbas (A.s.) Ka Mila Haye Mere Husain (A.s.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2 Kya Haq Rasool E Pak (S.a.w.w.) Ka Tumne Ada Kiya Har Zulm Ko Husain (A.s.) Pe Tumne Rawa Kiya Lekin Mere Husain (A.s.) Ne Dekho To Kya Kiya Jo Wada Bachpane Me Kiya Tha Wafa Kiya

Page 8: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

8

Karbobala Ki Khak Ko Khaak E Shifa Kiya Jalti Zameen Pe Shukra Ka Sajda Ada Kiya Mazloomi Yat Ki Sari Hadein Par Kar Gaya Haye Mere Husain (A.s.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2 Banjar Zameen Ki Shan Badhaie Husain (A.a.) Ne Teeron Ki Janamaz Bichaie Husain (A.s.) Ne Aaisi Namaz Ban Me Padhaie Husain (A.s.) Ne Teg O Tabar Ki Pyas Bujhaie Husain (A.s.) Ne Tawheed Apne Khoon Se Bachaie Husain (A.s.) Ne Falaq Ki Kabr Ban Me Banaie Husain (A.s.) Ne Noke Sina Pe Bolta Quran Ho Gaya Haye Mere Husain (A.S.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2 Tha Teen Shab O Roz Ka Pyasa Mera Husain (A.s.) Narga Tha Sitamgaron Ka Tanha Mera Husain (A.s.) Tanha Har Ek Shaheed Ko Roya Mera Husain (A.s.) Zakhmon Se Jub Ke Choor Hua Tha Mera Husain (A.s.) Ghode Se Kya Zameen Pe Aaya Mera Husain (A.s.) Na Zeen Na Zameen Pe Thaira Mera Husain (A.s.) Buz Sajda E Tazeem Me Sar Ko Jhuka Diya Haye Mere Husain (A.S.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2 Asgar (A.s.)Ki Kabr Khod Ke Roti Thi Zulfeqar Kitna Neyam Me Sabr Mein Tadpi Thi Zulfeqar Zainab (S.a.) Ki Tarha Sog Me Rehti Thi Zulfeqar Woh Ke Adu Ke Khoon Ki Pyasi Thi Zulfeqar Hanga Me Asr Nyam Se Nikli Thi Zulfeqar Yeh Fauj E Be Murad Se Kehti Thi Zulfeqar Tum Iski Jung Dekho Jo Barbad Ho Gaya Haye Mere Husain (A.S.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2 Jub Tak Sipa He Sham Se Yeh Keh Ke Purmalal Tum Uski Jung Dekho Jo Sadmon Se Hai Nidhal Mai Fauj E Na Murad Se Karta Hun Ek Sawal Mujrim Tumhara Mai Tha Ya Bano (S.a.) Ka Nawnihal Akbar (A.s.) Se Naujawn Ka Tumne Kiya Qital

Page 9: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

9

Qasim (A.s) Ki Lash Ghodon Se Ki Tum Ne Paymal Ab Uski Jung Dekho Jo Lashe Utha Chukka Haye Mere Husain (A.S.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2 Tum Kya Samajh Rahe The Ke Ghar Ko Ujad Kar Qasim (A.s) Se Nawjan Pe Ghode Guzar Kar Akbar (A..) Ke Dil Me Zulm Ki Barchi Utar Kar Bayat Milengi Teer Se Asgar (A.s.) Ko Maar Kar Mai Mutmain Hun Deen Pe In Sub Ko Maar Kar Noke Sina Pe Sar Mera Rakhonge Haar Kar Goonjengi Qaiyanat Me Har Simt Ek Sada Haye Mere Husain (A.S.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2 Farhan Nawhakhwan Hai Ya Mazhar Abedi Dete Hai Is Jahan Ko Paigam Bus Yehi Yeh Jo Gali Gali Mein Hai Lashe Biche Hue Har Waqt Ke Yazeed (La) Ki Koshish Hai Aaj Bhi Mit Jaaie Is Jahan Se Majlis Husain (A.s.) Ki Wada Magar Husain (A.s.) Ki Madar Se Hai Yehi Jaan De Kar Karte Jaienge Matam Husain (A.s) Ka Haye Mere Husain (A.s.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2 Ya Janabe Sayyada (S.a.) ….. Aaie Hai Purse Ko Hum Ya Ali (A.s.) E Murtaza ….. Aaie Hai Purse Ko Hum Saiyad E Abrar (A.S.) Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum Shah (A.S) Ke Ansar Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum Sheh (A.s.) Ke Alamdar (A.s.)Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum Akbar (A.S) Ke Zeejah Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum Qasim (A.S.) E Nashah Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum Aun (A.S.) O Mohammad (A.S.) Ke Bhi… Aaie Hai Purse Ko Hum Bali Sakina (S.A) Ke Bhi ….. Aaie Hai Purse Ko Hum Asgar (A.S.) E Masoom Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum Shahzadi E Qulsoom (S.A.) Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum Zainab (S.A.) E Nawshad Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum Han Sayyad E Sajjad (A.S) Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum Ya Janabe Sayyada (S.a)…..4

Page 10: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

10

3. Sham E Ghareeban Ki Jaga Huwi

Haye ...… Sun Lo Sakina (S.a) Ka Nauha Chacha, Kya Mujh Pe Guzri Jafa Jub Tum Rahe Na Rahe Baba Jaan…. Sham E Ghariba Ki Jagi Hui, Main Soi Kahan….., Khaie Tamache Mai Roi Jahan….2 Jis Din Se Baba Gaye Chod Kar, Jis Din Se Daag E Yatimi Mila Kya Kya Masaib Mile Hai Mujhe, Kaise Batau Tumhe Aai Chacha…..2 Daman Jala Chingi Hai Rida, Chin Gai Balian….. Khaie Tamache…. Kaise Bayan Main Karu Apne Gam, Bus Dil Pe Sub Zakhm Ghehre Lage, Yeh Jism Hi Sirf Qaidi Nahi, Meri Fuga Par Bhi Pehre Lage…..2 Chup Chup Ke Roie, Ghut Ghut Ke Karti Rahi Hun Fuga Khaie Tamache…. Maqtal Ki Jalti Hui Reet Par, Roti Thi Zer E Alam Baith Kar Bus Aap Ke Gam Me Mere Chacha, Rehti Thi Din Raat Main Nauha Gar…..2 Baad Aap Ke Is Yatima (S.a.) Ne Jheli Hai Kya Sakhtiyan, Khaie Tamache…. Shame Gariba haweda huie Charon Taraf Teergi Cha Gai Koi Muhafiz Na Jub Reh Gaya, Fauj E Sitam Loot Ne Aagai…..2 Kya Kaya Masaib Uthaie Hai Maine, Karu Kya Bayan

Page 11: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

11

Khaie Tamache…. Gyarah Moharram Ki Aaie Sahar, Qaidi Bani Mai Rasan Pahan Kar Bazu Bandhe Subke, Mera Gala, Panjo Pe Chal Ke Kiya Who Safar,…..2 Karbal Se Kufa, Ya Kufa Se Musal Ki Woh Wadiyan Khaie Tamache…. Rahanon Me Yeh Saneha Bhi Hua, Mai Chut Gai Kafele Se Chacha, Tab Dadi Zehra (S.a.) Wahan Aa Gai, Kutch Der Mujhko Sukon Mil Gaya,…..2 Dil Tham Kar Woh Bhi Rone Lagi, Jub Suni Yeh Fuga Khaie Tamache…. Manga Kanizi Me Jis Dum Mujhe, Dam Mera Had Se Siwa Ho Gya, Dil Mera Yeh Kehke Rone Laga, Aai Kash Is Wakt Hote Chacha,…..2 Yeh Zulm Us Par Jo Aashur Se, Kar Rahi Hai Fuga Khaie Tamache…. Farhan O Mazhar Fuga Kam Na Ho , Patthar Hai Woh Aankh Jo Nam Na Ho, Farshe Aza Pe Yeh Mumkin Nahi, ZikrE Sakina (S.a) Ho, Matam Naho…..2 Socho Agar, To Mukammal Hai Nauha , Yeh Jumla Yahan Khaie Tamache….

Page 12: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

12

4. Na Mehmil Hai Na Chadar

Haye Haye Yeh Safar Zainab (S.a.) Ka….4 Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai Napaak Nigahon Se Ghar Mujhko Bachana Hai Quran Mere Bhai Naize Pe Sunana Hai Kis Tarha Chupaie Khudko, Is Wakt Bahan Lachar Hai Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai….. Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai Jo Wada Kiya Tujhse Pura Ushe Karna Hai In Sham Ki Galion Se Beparda Guzar Na Hai Chadar Ka Muhafiz Jot Tha Is Baat Pe Matam Dar Hai Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai….. Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai Hay Kisko Sada De Zainab (S.A.), Sajjad (A.S.) Mera Beemar Hai Kis Darja Musibat Hai Kis Darja Pareshani Barsaie Koi Patthar Koi Phenke Garm Pani Koi Sadka Hum Par Phenke Koi Jalte Hue Angare Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai….. Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai Yeh Aalam E Majboori Bus Roti Rahi Zainab (S.a.) Gazi (A.s.) Ki Bahan Ho Kar Kutch Kar Na Saki Zainab (S.a.) Zalim Ne Teri Bacchi Ko Kai Bar Tamache Mare Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai….. Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai

Page 13: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

13

Yeh Shami Humein Paidal Kanton Pe Chalate Hai Gash Ka Ke Jo Gir Jaien Durron Se Jagate Hai Chale Bhi Yahi Kehte Hai, Aur Zakhm Jigar Ke Sare Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai….. Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai Ek Dard Kaleje Mein Har Wakt Hi Rehta Hai, Pani Koi Deta Hai Baaghi Koi Kehta Hai, Bus Itni Dua De Bhai Is Wakt Na Himmat Hare, Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai….. Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai Hay Kisko Sada De Zainab (S.A.), Sajjad (A.S.) Mera Beemar Hai Hum Mehve Tamasha Hai Qaidi Hai Bareh Na Sar, Ek Bar Nahi Sar Se Nau Baar Chini Chadar, Ek Shaks Humein De Chadar, Aur Dusra Aake Utare Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai….. Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai Sajjad (A.s.) Ki Lachari Dekhi Nahi Jaati Hai Jo Usko Aziyat Hai Zanzeer Batati Hai Beemar Ke In Aankhon Se Behte Hai Lahu Ke Dhare Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai….. Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai Farhan Ki Mazhar Ki Aankhon Mein Woh Manzar Hai Daurane Safar Nauha Bibi (S.a.) Ke Labon Par Hai Aai Bhai Teri Furkat Hai Jeete Jee Mujhe Jo Maare Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai….. Haye Haye Yeh Safar Zainab (S.a.) Ka….4

Page 14: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

14

5. Akbar (A.s.) Nay Di Sada

Akbar (A.s.) Ne Di Sada, Seene Main Hai Naiza, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na……2 Zakhmi Hai Kaleja, Hai Wakt Madad Ka, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na….. Akbar (A.s.) Ne Di Sada, Seene Main Hai Naiza, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na……2 Sukhi Hui Zaban Hai, Galba Hai Pyas Ka, Is Haal Mein Kahan Talab Karta Bhala Vigah Majboor Hun Baba, Ab Wakt Yeh Aaya, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na…. Akbar (A.s.) Ne Di Sada, Seene Main Hai Naiza, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na……2 Baba Yeh Zakhm Aap Se Dekha Na Jaienga, Naiza Nikalte Hue Moh Apna Pherna, Hai Dard Gazab Ka, Dam Hoton Pe Aaya, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na…. Akbar (A.s.) Ne Di Sada Seene Main Hai Naiza, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na……2 Haan Yeh Khabar Khayam Me Dena Na Baba Jaan, Mar Jaiengi Phupi Meri, Mar Jaiengi Woh Maan, Hai Wakt Qaza Ka, Aajao Khudara, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na….. Akbar (A.s.) Ne Di Sada Seene Main Hai Naiza, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na……2 Kya Sakth Imtehan Hai Maloom Hai Mujhe, Tanah Pisar Ke Lash Ko Kaise Uthaienge, De Aap Ko Khuda, Yeh Sabr Hausla, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na

Page 15: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

15

Akbar (A.s.) Ne Di Sada Seene Main Hai Naiza, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na……2 Mujh Se Siva Hai Aap Ki Lachargi Padar, Tanha Gai Hai Aap Hi Har Ek Lash Par, Hote Agar Chacha, To Mai Nahi Kehta, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na Akbar (A.s.) Ne Di Sada Seene Main Hai Naiza, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na……2 Pohuchi Agar Sada Meri, Sughra (S.a.)Ke Kaan Tak, Hai Roiengi Is Tarha Bahan Gir Jaienga Falak, Woh Jee Sakengi Kya, Sun Kar Meri Sada, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na Akbar (A.S.) Ne Di Sada Seene Main Hai Naiza, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na……2 Hota Hun Aap Se Juda Majboor Tishnakam, Baba Kubool Kijiye Yeh Aakhri Salam, Ya Shah E Do Sara (A.s.), Ab Hai Safar Mera, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na Akbar (A.s.) Ne Di Sada Seene Main Hai Naiza, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na……2 Farhan Mazhar Abedi Kaisi Hai Bekasi, Budha Padar Uthaienga Maiyat Jawan Ki, Pohuche Shahe Huda (A.s.), Sun Kar Yeh Marsiya, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na Akbar (A.sS.) Ne Di Sada Seene Main Hai Naiza, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na……2

Page 16: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

16

6. Tera Chehlum Karnay Aai Hoo

Ya Abbas (A.S.)….4 Mai Teri Jagir Mein Aaie Hun Ya Abbas (A.S.)…..2 Mai Teri Jagir Mein Aaie Hun Ya Abbas (A.S.)…..2 Main Sham Se Lut Kar Aaie , Saugat E Masaiyab Laie Hun Tera Chehlum Karne Aaie Hun…. Main Sham Se Lut Kar Aaie , Saugat E Masaiyab Laie Hun Tera Chehlum Karne Aaie Hun…. Rudad Sunane Ko, Main Sham Se Aaie Hun Ek Nauha Sakina (S.a.) Ka Is Qalb Mein Laaie Hun Zindan E Sitam Ki Kaidi Thi Furkat Me Padar Ke Roti Thi Ro Ro Ke Sakina (S.a.) Jaan Se Gai Main Sham Se Lut Kar Aaie , Saugat E Masaiyab Laie Hun Tera Chehlum Karne Aaie Hun…. Mehmil Na Amari Thi, Na Sar Pe Mere Chadar Mai Sham Chali Gazi (A.s.) Paband E Rasan Ho Kar Yaad Aaie Mujhe Phir Woh Lamhe, Hum Log Watan Se Jub Nikle Mehmil Me Bithaya Tha Tune Main Sham Se Lut Kar Aaie , Saugat E Masaiyab Laie Hun Tera Chehlum Karne Aaie Hun…. Yeh Ajr Risalat Ka Hum Logon Ne Paya Tha, Amad Pe Asiron Ki Bazar Sajaya Tha, Woh Lamhe Kabhi Na Bhoolungi Darbar Me Pohuche Jub Kaidi, Mai Yad Tujhe Hi Karti Thi Main Sham Se Lut Kar Aaie , Saugat E Masaiyab Laie Hun Tera Chehlum Karne Aaie Hun….

Page 17: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

17

Darbar Mein Aai Gazi (A.s.) Hum Par Yeh Jafaien Thi Ek Samt Mera Khutba Ek Samt Azaien Thi Haqim (La) Ne Shaki Se Yeh Poocha, Hai In Mein Zainab (S.a.) Kaun Bhala Who Zainab (S.a.) Jiska Bhai Tha Main Sham Se Lut Kar Aaie , Saugat E Masaiyab Laie Hun Tera Chehlum Karne Aaie Hun…. Zindan Me Asiron Ne Ek Saal Guzara Hai Us Saal Ka Har Lamha Ek Saal Ke Jaisa Hai Jub Hukm Rehaie Ka Aaya Aur Loot Ka Sub Samaan Mila Chadar Jo Mili Zainab (S.a.) Ne Kaha Farhan Zara Socho Kya Hashr Bapa Hoga Jub Mazhar E Yazda (A.s.) Ki Beti Ne Kaha Hoga Zindane Se Aaie Hun Dekho, Aai Sher E Jari Ek Baar Utho Zainab (S.a.) Ka Istekbal Karo Main Sham Se Lut Kar Aaie , Saugat E Masaiyab Laie Hun Tera Chehlum Karne Aaie Hun….

Page 18: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

18

7. Pyari Maan

Aaie Maan…..Aaie Pyari Maan Haan Meri Pyari Maan, Paas Bullae Maan…..2 Waqt E Shahadat Aa Pohucha Hai Khanjar E Qatil Bhi Pyasa Hai Pyas Bujha Ne Teg E Sitam Ki Tera Lahu Makhtal Jaata Hai Hota Hun Ghar Se Rawan Paas Bula Le Maan….. Haan Meri Pyari Maan, Paas Bula Le Maan….. Tere Seene Par Sar Rakh Kar, Soie Hue Barson Beete Hain, Godh Mein Soun Teri Jaise, Jhule Mein Bacche Sote Hai, Chahiye Mujhko Amaan….. Paas Bula Le Maan….. Lashon Par Lashe Laya Hun, Makhtal Se Mein Tanha Amma, Dil Me Nahi Hai Taqat Mere, Uthta Nahi Hai Sadma Amma, Khush Hai Meri Zaban…. Paas Bula Le Maan….. Chalni Hua Akbar (A.s.) Ka Kaleja, Seene Mein Toota Hai Naiza, Noor Gaya Meri Aankhon Ka, Milta Nahi Hai Mujhko Rasta, Mar Gaya Kadiyal Jawan….. Paas Bula Le Maan….. Bali Sakina (S.a.) Rok Rahi Hai, Maktal Mein Jaane Nahi Deti Kiske Seene Par Soiengi, Amma Ab Meri Pyari Beti Uspe Karo Ehsan….. Paas Bula Le Maan…..

Page 19: Farhan Ali Waris 2013 - 2014

19

Meri Bahan Zainab (S.a.) Woh Khadi Hai, Khaime Ke Dar Se Dekh Rahi Hai, Sabr Khuda De Mere Bahan Ko, Amma Dua Do Sakht Ghadi Hai, Roti Hai Sub Beebiyan….. Paas Bula Le Maan….. Mooh Ko Chupa Lo Balon Se Apne, Dekh Sakongi Kaise Yeh Manzar Kaise Sahongi Dekh Ke Amma, Apne Pisar Ke Halq Pe Khanjar Hota Hai Khanjar Rawan….. Paas Bula Le Maan….. Kehte The Farhan Yeh Sarwar (A.s.), Main To Hun Rehan E Risalat Zakhm Hazaron Dil Pe Utha Ke, Karta Raha Inkar E Baiyat Ab Hai Yehi Arman….. Paas Bula Le Maan…..