Download - Shashca 3rd Issue

Transcript
Page 1: Shashca 3rd Issue

3-sra edition 10 pages Price: aik smile

Zardari attack By Irfan

Han ji suna hay Asif Ali Zard-

ari jo kay Pakistan kay presi-

dent hain, wo dil kay arzay

mein mei mubtala ogaye

hain. Ye waqia us waqt paish

aya jab President nay parlia-

ment say khitab karna tha.

Bohat logon nay bohat si qi-

asaraian ki magar PPP mem-

bers nay President zardari

kay theek honay ki confirma-

tion day di aur is baat ki bhi

kay Zardari sahib bohat jald

Parliament say khitab karayn

gay. Foreign policy magazine

nay jesay hi disclose kia kay

p r e s i d e n t z a r d a r i

achanak Dubai rawana ho

gay hain puray mulk mein

jesay ajeeb si kafiat tari

hogai. Logon nay facebook

status set kr diay jo shaid ya-

han mention nai ho saktay.

News channels kay night

show analysis nay puray kay

puray program President

Zardari ki sehat pr kar

dalay. Aisa lagnay laga ke

agar ye issue resolve nai hua

tu Pakistan gir jaye ga. Bus

itna hi kehna hay kay Paki-

stan mein upar level pay jo

bhi ho, par takleef tu humari

awam ko utani prti hay na.

Khair, let‘s hope and pray ke

humaray sadar sahib jald se-

hatyaab ho jayen aur wapas

Pakistan aa jayen. Un ke

bagher mulk soona soona hay.

Ameen.

Kuch khaas news

Rescue Training by

Payaam Trust

(Page 8)

Xsparc—the creative DNA

(Page 5)

Virsa is back! (Page 4)

Comsats Model National

Assembly (Page 4)

11 year old Chinioti girl

brakes world record: Tak-

hreebkaari (Page 9)

Revolution Flame‘s com-

petition results finally

out! (Page 9)

By Zunaira Sheikh

Sharam aaye gi tumhein

warna tumharey waaday,

main tumhein yaad dila

s a k t a h u n ,

lekin rehne do

Akhir kar wo huwa jo

pehly ho jana chahye tha

per shukar hay huwa tou

sahi! Ji han United States

Shamsi Air Base khali ker

rahay hay, wo bhi Pak

military ke orders per. Or-

ders denay walay hi aaj

orders ko follow ker rahay

hain. Yeh tou wohi baat ho

gayi na ke aik martaba

hisaab ke ustaad parha

rehay the tou aik student

ne teacher se kaha:

―English wale teacher an-

grezi mei baat karte hain,

Urdu wale Urdu mei, Farsi

wale Farsi mei. Magar ap

hamare sath hisaab main

baat kune nahi karte. Itne

mei ghanti baj gai aur

ustaad bolay: chal charo

sau bees, ab teen panch

mat kar aur foran no do

gyara ho ja.‖This happened

after NATO attack on

Pakistani military outpost

on 26 November that left

25 of its soldiers died. ―Life

is not measured by the

number of breaths we take,

but by the moments that

take our breath away.‖

This incident creates ten-

sion for US and Pakistan

both. Isi liye US on ground

investigation kerna chahta

hay. US ambassador Cam-

eron Munter ne Monday ko

news channel say baat

kerty howy btaya ―we are

complying with the re-

quest‖ Munter said

―actions will be taken

against those responsible

for the attack‖ Ji han yeh

ap kay liye hi kaha gaya

hay shayed ―Insanity is

doing the same thing, over

and over again, but expect-

ing different results.‖

The official confirmed

―They are evacuating the

base, evacuation is in the

process. Pakistan has pro-

vided security to them

(Americans) on the Shamsi

air base and we will with-

draw that security from

the date we have given for

withdrawal, so they have

no other option but to

evacuate it,‖

Taza tareen and garama

garam khaber yeh hay ab

kay US shamsi base ko

almost khali ker chukka

hay and five drones have

been shifted to Afghani-

stan. So dhamki works!

Hum ne to yeh kahber bhi

suni hay apnay sources

se… bohot sources walay

hain bhai hum. Acha tou

khaber yeh hay kay Ameri-

can barracks at base ko bhi

destroy ker dia gaya hay.

Ab tou Amreeka yehi bolta

nazar aa raha hay ―mujay

aisa kamaal de baba, jo har

aafat ko taal de baba‖

Amreeka Shamsi Airbase

chor raha hay

Doctor sahab ki new kahani:

“Taliban, teri mehrbani!” By Abdullah Khilji

Jitny is mulk main maslay aur bohraan

maujood hain, in halaat main log hansna

aur muskurana tou bhool hi gaye hain.

Ab humaray interior minister Rehman

Malik... oops! Doctor Rehman Malik nay

socha ke kyun na is baar phir se kuch fun

create kia jaye... Tou unhoon ne youm-e-

aashoor se theek aik din baad aik naya

show-sha chor ke poori international com-

munity ko hairaan kar dia!

Unhoon ne nihayat hi aajizi aur inkisaari

ke saath Talibaan ka shukriya ada kia ke

unhoon ne is baar moharram main

dhuzzz dhazz na kar ke un pe ehsan kia

hay, aur aman qaim rakhnay ki un ki

koshish "Taliban paints" se rang lay aai!

Dr sahib ne shayad media reporters

se ye kaha ho ke mai ne Taliban

ko aik application likhi thi ke

wo is baar maah-e-muharram

ka ehtraam karain aur

mujhay khushi hui k

meri application

par unhun ne

approval sign

kar ke in 10

dino mei koi

aisi kaar-

wai nahi

ki jis se

is ha-

koomat ko aur khaas kar muje kuch aur

nuqsaan jhelna paray; ye bohat hi mast

b a a t h a y !

Ab pata nahi

w a z e e r - e -

d a a k h l a

sahib is

p o o r i

b r i e f -

i n g

m a i n

k i a

apnay

mulk

k e

l o g o n

k o

m e s -

s a g e

d e n a

chah rahay thay ke un k

Taliban se achay raabtay hain ya phir wo

America aur NATO ko khochra karna

chah rahay thay,

lekin baat jo

bhi ho.

Agar Dr

s a h i b

k i

a p -

p e a l e i n

itna asar

rakhti hi

hain tou phir

in appealon

ko humian

mulki mafaad

mei istaimaal mei lana hoga.

Wo kehtay hain na ke ―baat jo dil se ni-

kalt i hay, asar rakhti hay‖

Shayad unki appealon ka hi asar hay ke

humaray Prime Minister sahib ne itnay

buray halaat mei bhi Dr sahib se unki

wizarat wapis nahi li.

Wesay humaray mulk ke hukmaranon ne

is qism ke show-sha aur yawlian maarnay

mei shayd PhD kar rakhi hay. Ab humari

wazeer-e-kharija ( ya phir wazeer-e-

kharcha) mohtarma Hina Rabbani Kharr

ko hi dekh lein jinhoon ny abhi haal hi

main aik shashca chora tha k Pakistan

ki Army Pakistan ki civil hakoomat se

zyada taaqatwar hay.

Wesy dekha jaye to baat main un k bhi

dam hay. Aakhir civil hakoomton ka in-

tikhaab bhi establishment ke hi through

hota hay lekin shayad Hina Rabbani

Kharr sahiba bhool gayin thin ke is waqt

is mulk ke president Asif Ali Zardari sa-

hab koi ALLAH miyan ki Gayee (cow)

nahi balkay bohot sharaarti hain. Unhon

ne siyasat ki kachi gooliyan nahi khelin.

Unhoon ny Cheif Of Army Staff , General

Ashfaq Parvez Kiyani ko 3 saal ki exten-

sion aise hi nahi di thi. Ye sab unka oonth

ko pahar ke nichy lany ka mansooba tha

shayd. Aur ab ye oonth pahaar ke neechy

hi hay.

Ab ye dono shoshay zyada waqt tou media

ki nazar mei rehnay nahi walay, kyun ke

media ko is waqt already 2-3 masaly daar

topic milay huay hain jin se sara print &

electronic media bharpoor faida utha raha

hay. Aur baqi awaam ko aur bhi bohat se

sar dard han is liye wo in do wazeeron k

show-shy-s ko chawlion se zyada kuch

nahi samajh rahay.

US Consulate at Shamsi Airbase

Paper ke ander

Veena Bhi na! 3

Exclusive nterview 5

Yar ye check kar! 5

Shashca Dicshnari 5

Shashca Rows 6

Cartoon 5

Page 2: Shashca 3rd Issue

[email protected]

By Zunaira Sheikh

My pen is red, my ink is

blue,

Forget me not, my friend-

ship is true…

Aisa hi kuch bol ker hus-

sain huqani ne resign dia

tha recently. Aur Thursday

ko Supreme Court had

filed course of action

against former Paki-

stani ambassador

to the U.S. Hus-

sain Haqqani.

Aur wo b is lye k

jesy hi court ney

apni petition ki

hearings start ki

(wohi memo

scandal) wesy

he unho ne

bhagnay ko

ghanimat jana

(lagta hay Bhagam Bhag

movie say kafi impress hain

Haqqani sahab). Aur isi

waja se Haqqani sahib ka

naam daala ja chukka hay

ECL, yani Exit Control List

mei. Yani ke an Haqqani

sahib nahi ja saktay mulk

se bahir! Hasane ke bad

kyon ru-

l a t i

hai ye

duniya ? Jane ke bad kyon

bulati hai ye duniya ? Ajj

kal tou yehi boltay hain

Haqqani shab. Chalo phir

bhi court ne tou apna kaam

kerna hay so us ne kia.

Court ordered all parties

including president and

COAS and hukaam yeh tha

kay 15 days kay andar an-

dar reply dia jaye. (SMS

hota to ek mint lagta we-

say, but court hay tou 15

days tou lagain gay) Court

ne ek commission bhi ba-

naya ha jis ko lead kerain

gay Registrar of the Su-

preme Court Tariq Khosa.

K y u

k a y

court

inko b

m o q a

dena chahti hay

ke yeh bhi apni

anmol thinking share

ker saken per after

investigation.

Chief Justice of Pakistan

I f t i k har M uhammad

C h a u d h r y r e p o r t e d

―Memogate is both of civil

and criminal in nature and

parliament can review only

civil matter‖

Haqqani ka naam ECL mei! Asma Jehangir larain gi unka case

Mian Nawaz sharif also

wants to express his feel-

ings. Ghor say perheye zara

―he was God fearing democ-

ratic person. People are ex-

tremely worried over the

prevailing situation of coun-

try. Scandals upon scandals

of the incumbent govern-

ment are coming to open.‖

Unho ne kaha Hussain

Haqqani ne sirf isi

memogate say bechnay lay

lye resign dia hay (wah

apko pata hay Mian sahab).

Mansoor Ejaz nay tou ap-

proval day dia hay ke ye

memo sab ki sazish say

likha gaya hay. Text wesay

bhi samnay aa chukka hay

aur US and Mike

Mullen ne bhi man-

zoori day di hay. Han

tou yeh isi lye bola

gaya tha shayed

Mian shab… duniya

m e i n b a h u t g h a m

milege,sach manno achhe

dost bahut kam milege, jis

mor pe sab chor denge

saath tumara, dost usi mor

pe khare hum milege.

Hmm now read what Mian

sahab further said, opposi-

tion hi kam ker rahi hay jo

ker rahi hay, parliament ko

functional banay kay lye

baki pata nai kia ker rahy

hain. Lakin parliament

major issue pay koi action

nahi lay rahi. They are not

e v e n p r o p -

erly

act -

i n g

upon resolutions. Mian sa-

hab bohot emotional ho

gaye aur unho ne kaha ―I

request the court, all stake-

holders including President

Asif Ali Zardari be sum-

moned in the court.‖

Justice Saqib Nazir kia

kehtay hain zara per-

heye ―we are grateful to

you as you have reposed

trust on judiciary. We

have to review legal

points of your petition.

Several things don't fall

in court's jurisdiction. If

this memo proves true

then it will be tanta-

mount to violation of

constitution. Basically

this matter falls in the

purview of parliament‖

Chief justice of Pakistan

ne farmaya ―this case

has criminal aspect

which has no rele-

vance with

p a r -

liament. The case of

Richard Nixon when

came to US Supreme

Court then the court

had issued directives for

collecting forensic evi-

dence. Richard Nixon

had sought immunity.

But when the matter

came to open then

Nixon had resigned

from his office".

Aur Rehman Malik ji

kay mutabiq koi letter

nai likha gaya, sirf msg

dia gaya tha. Oh really?

Jee kahani abhi baki

hay kyunkay iss mein

ek twist aya hay. Hum

ne suna hay kay Hus-

sain Huqqani sahab kay

case ko represent karen

gi Asma Jahangir. Wah

Haqqani sahib, apka

network tou such mei

bohot bara hay. Asma

jee ne btaya kay

Haqqani ki wife ne mu-

jhe call ki and mujh say

request ki kay is case ko

main he represent

kerun. Jab Asma jee say

confirm kia gaya tou

unho ne kuch yun kaha

―Yes, I will represent

Hussain Haqqani in the

Memogate case being

heard by the Supreme

Court.‖ Aur tou aur

Asma sahiba fees bhi

sirf chaar hazaar rupay

lay rahi hain Haqqani

sahib se! Shayd ye unka

tareeqa ho Haqqani sa-

hib ki insult karnay ka.

Bhai humain kia pata.

Hum tou khud yahan

Shashca mei muftay

mei kaam kartay hain.

Khair, back to business.

So it suggestion for you

gentle man Hussain

Haqqani

Show those around that

you are kind

Be sight for those that

may be blind

And carry those that

cannot walk

And speak for those

that cannot talk

Kyu kay yahan tou sab

yehe khetay hain

Un ko bhulana be cha-

hien mager bhula na

sakey

Yadien un ki mitana be

chahien mager mita na

sakey…

Economy on life

support! By Zunaira Sheikh

Exactly I am really feeling

like our economy is on life

support, goya hamari econ-

omy intensive care unit bo-

lay tou ICU mai hy!jee han

according to experts rupee

nay apni importance 27 per-

cent khoo di ha wo be us

dollars kay samny since

July 2008 till December 8,

2011.muqaballay ki fiza ab

yahan tak aa pohnchi aur

iss kay badal sab ko he dek-

hai day rahy hain.apko

nazar aye kia?abi dikhatay

hain apko be bs perhtay

jaeyea agay agay.experts

kehtay(esy he baat nai

kerty yeh experts, yeh such

mein expert he hotay hain)

kay kabhi kabhi devalua-

tion kerna acha hota ha

(acha jee??)chalo maan letay

hain expert jo keh rahy

hain.but long term mein its

not very helpful for exports

and for whole economy as

well.(tou kerty kyu ho bhai).

According to Ek survey yeh

baat samny aye ha kay july

2008 to july 2009 rupee ki

importance 16.3 percent

kam hoi wo be us dollar kay

samny.lakin yeh rupee sa-

hab stable be paye gaye dur-

ing July 2010 to July

2011 .thoray say slip howy

bs thoray say wo be Rs86

from Rs85.5 to a dollar yeh

be thek he kaha ha phr kisi

nay ―The US has made a

new weapon that destroys

people but keeps the build-

ing standing,. Its called the

stock market‖

Experts tou yeh be bol rahy

hain free floating kay lye

stability zarori ha lekin ya-

han tou naiyya doobti nazar

aarahi hy!! Ruk jaiyye zara

aagay read kijiye saleem

Parekh kuch kehna chahtay

hain.

Saleem Parekh, former

Chairman SITE Associa-

tion, said ―one of the nega-

tive impacts of devaluation

was that export of raw ma-

terials increased, which

badly hits the industry of

finished products. He said

recently the export of raw

cotton and cotton yarn (semi

raw material) surged due to

a weaker rupee.The raw

material and semi raw ma-

terials are less energy con-

suming compared to high

energy consuming finished

products. Higher energy

consumption means higher

cost of production‖.

Unka to yeh b kheyal ha

kay ―devaluation ultimately

increased the cost of doing

business, also, the devalua-

tion alone was not the cul-

prit that added in the cost of

business but the high infla-

tion also played a key role

in this business.‖

Abhi tou yeh b suna gaya ha

kay India, Sri Lanka and

Bangladesh ney apni ex-

ports ko increase kerny kay

lye curreny devalue ki ha.ab

inka to pata nai kon hafiz

hai!!

By Muhammad Saad Amir

This is what happens

when an unstoppable

force meets an im-

movable object. Han

gee zara soochiya asa

hota to kesa hota?

Aray abb itna bhi mat

sochiya, warna dam-

age ki chatni ban jay

gi. Aur bas dua

karain kay sochnay

kay bajay aap ko asi

saas baho ki dastan

dakhnay ko mil jay

aur wo bhi Cricket

kay medan may. Asi

dilchisp Kahani aap

ko sirf Pakistan aur

India kay cricket

match many dakhnay

ko mil sakti ha.

Aik nazar agar ham is

saal par dalin to 2011

Pakistan kay lia

bohat mufid sabit

hua. Cricket kay

medan kay bahir to

Bill Batoree becharay

players ko satati rahi,

magar salam kaptan

‖tuk tuk‖ ko gin kay

sayay talay Pakistan

aik bhi test series nahi hara.

Aur ODIs ki kahani bhi kuch

asi hi ha, despite the disap-

pointing loss in the world cup

semi final, which won Misbah-

ul-Huq the title of ―tuk tuk‖,

Pakistani team nay haar nahi

mari, aur Misbah-ul-Huq ki

kaptani may, Pakistan is the

leading ODI side of the year.

2011 may Pakistan nay kisi

bhi team say ziada matches

jeetay hain, aur apni ranking

say upper ki teams ko bhi

haraya ha.

In sab kamyabion ka raaz

kay pichay aik raaz ya bhi ha

kay aik arsay daraz kay bad

Pakistani Team aik Team ki

tarha khel rahi ha. Saeed

Ajaml aur Mohammad Hafeez

is wakt top two bowlers rank-

ing ko sambhalay hua hain aur

Shahid Khan Afridi bhi top 10

ko join kar chukay hain. Zim-

babwe aur Sir Lanka kay

khilaf shandar jeet kay baad

Bangladesh may bhi sabaz

baadal chaa rahay hain. T20

aur ODIs may clean sweep ho

chukka ha, aur phala test bhi

Pakistan team kay naam par

ha, sirf rah gia aik test match,

abb dekhna ya ha kay kia

Pakistan apni winning streak

barkarar rakhta ha. Aur agar

Pakistan isi tarha England

kay khilaf kheela to ham ko

number one ranking par janay

say kohi nahi rook sakta.

Par ab agar baat karain Indian

team ki to Indian bhi is wakt

bharpoor form may hain, they

are the current camps holding

the World title, plus who can

forget the recent 219 runs off

149 balls by Indian opener

Virender Sehwag. Still many

believe that Syed Anwar‘s 194

was a

much bet-

ter knock,

kun kay us

wakt koi

power play

nahi hota

tha aur

this 194

w a s

a g a i n s t

India the

m o s t

w a n t e d

rivals. But

it‘s high

time that

we learn

some ac-

ceptance.

But the

good news

is, PCB

aur BCCI,

Pakistan vs India Series kay

baray may sooch rahay hain.

As Waqar Younis said ―The

rivalry between India and

Pakistan is more important

then the Ashes‖. Ab jab Paki-

stan pori form may ha aur In-

dian Team bhi pumped up ha,

dekhna ya ha kay cricket kay

knights kab amnay samnay

hotay hain aur kon kis par

hawi hota ha.

WARNING! (agar aap dil kay

mariz hain ya aap apnay emo-

tions par kaboo nahi pa saktay

to baray maharbani Pakistan

vs India ki series mat dakhiya

ga, aur han bachon ki ponch

say door rakhain, tabiat zaida

khrab ko to Doctor say raju

karain Shukria!)

Dark Knights of Cicket

Page 3: Shashca 3rd Issue

By Zeeshan Ahmed

Pichlay issue mein film

Rockstar ka review aya tha,

jisko parhkey mene kafi

disappointed feel kiya. Aur us

hi disappointment mein mene

Rockstar ke songs sun sun ke

unhein perform bhi karna

shuru kardiya (okay, ye ziada

hogyi).

Ab pesh hai mera opinion is

film par. Wese to main

Bollywood ki films kam hi

dekhta hoon, aur generally

B o l l y w o o d k i f i l m s

Hollywood se hi ‗borrowed‘

hoti hein, jinpe masala

waghera daal ke awam ke

saamney pesh kardiya jata

hai. Meri aadat rahee hai,

films ke mamley mein, ke

main film ko hamesha se hi

content pe judge karta hoon,

uski earnings pe naheen.

Iski ek wajah to meri films

ke liye muhabbat hai, doosri

wajah of course meri khaali

jaeb (bad joke, I know).

To aatay hein Rockstar pe.

Jesa ke aap jantein hi

hongay ke film mein Ranbir

Kapoor ne Janardhan

Jakhar ka role perform kia

hai jo k ek aspiring musician

hai, is hi chakkar mein uska

dil jaake Heer (Nargis Fakhri)

pe phasjata hai, aur phir

kahani shru hot i hai

transformation ki, from

Janardhan Jakhar to Jordan

the Rockstar. Lekin ye koi

fairytale naheen hai mere

bhayyon, ek dedicated artist ke

dil mein dukh hota hai kaheen

naa kaheen. Yehi dukh Jordan

ki life mein bhi ata hai, baar

baar, aur Jordan ka rise aur

phir fall hota hai bilkul Roman

empire ki tarhan. Mere

opinion mein Rockstar jesi film

kabhi Bollywood mein naheen

bani. Rang De Basanti yaad

hai? Aur 3 Idiots? Bas ye is hi

level ki film hai, aur isko inse

compare karna bhi ek himaqat

hai. Imtiaz Ali sahab, jinhon

ne ye film direct ki, unki pichli

films is sey different thin. Jese

ke Jab We Met aur Love Aaj

Kal. Lekin who kehtey hein

naa, ke koi aesi cheez jiska

level hi different ho. Bole to

full time bombastic material.

Haan, ye baat zaroor hai ke

film masses ke liye naheen hai.

Wo log jo Salman Khan

(Rajnikant part 2) ki Ready,

Bodyguard jesi films pasand

kartay hein, yaa cheesiness ko

pasand kartay hein, unko ye

film kuch khaas naheen lagegi.

Film mein jo highlight thi wo

iska music tha, jisko AR

Rahman sahab jese genius ne

compose kia. Aap is baat

se andaza lagasaktey hein

ke Rahman sahab jesa

Oscar winner, Orianthi

jesi amazing guitarist,

Mohit Chauhan ki awaaz

apas mein milengey to

phir kia hi kamal hoga,

aur ye hi hua. Film ke

kayi songs hit hogye

instantly, bilkul Veena jee

ki ph-…oops.

Lekin, jis cheez ne is film

mein ek nayi rooh phoonki

wo Ranbir ki acting thi.

Ek simple character sey

usney apne aapko ek

r e c k l e s s , e c c e n t r i c

character mein tabdeel

karliya, jo apni society se

tang achuka hota hai, aur

apne aapko music ke

through express karta hai.

Mere opinion mein Ranbir ki is

performance ne usko ek naye

level pe laakay khara kardiya

hai, aur ab bhalay who 8 crore

le yaa 15, wo uska issue hai,

naheen? Just kidding! :D Ab

jayye aur isko dekhiye, aur

don‘t worry, is film mein

Filmy Baatain Rockstar Review

[email protected]

By Zunaira Afzal

Veena aur Meera ny reality

showz k through jahaan

apna apna dulha dhoondnay

k liye itni mehnat shuru ki,

waheen Reema g k ghar

waloon ko bhi unki shadi ki

fikar disturb krny lagi.

Aakhir larki ko kab tak ghar

mai bithaty? So, Reema nay

b unexpectedly Haan kar di

(jiski waja mysteriously nahi

btai gayi). Shayad wo Meera

aur Veena se jealous ho gai

theen so sab se pehly haath

peely karwa liye, ya shayad

w o b u n g a l o w b u h a t

khoobsorat hy jahaan Dr.

Tariq Shahab rehty hain.

Khair jo bhi hy, she got

married with an American

surgeon Dr. Tariq Shahab jo

k umer mai Reema se ziada

bhi bary nahi, per Reema

choti zaroor lgti hain (Dr

sahib Make up jo nahi kerty)

Dr. Tariq aur unki burger

family Reema ki kamzori

nikli. Jab 1 sis-in-law, 2 bro-

in-laws Doctor hoon aur

Husband hospital own kerta

ho tou kon pagal inkaar

kerta hay? G haan! Meera

aur Veena ko tou aisa rishta

torch light se dhoondny par

bhi nahi milay ga. Reema

apni shadi per buhat khushi

ka izhaar kerty huwy kehti

hain k: "Mujy mu-dikhai

may BMW 7 series mili hay

aur main honey-moon per

Italy aur Paris jaon gi, Mery

husband ka Washington mai

hospital hay aur Meri Saas

ny mujhy Bungalow gift kia

hay" Ab kya Veena aur

Meera ko mily ga aesa

husband kam Utility offers?

Aur kisi reality show k paisy

bhi kharch nahi huwy.

Reema nay yeh bhi kaha k

"Allah mujy mery maqsad

mai kamyaab kary" pr yeh

nahi btaya k unka maksad

hy kya.

Chalo g serious hojao!

Reema ka Nikkah Virginia

mai American laws k

according huwa aur rukhsti

18 november ko hoi. Reema

nay btaya k unki Mayun aur

Mehndi bhi buhat exciting

thi jis main unho nay yellow

aur green dress pehna aur

hathoon ko mehandify bhi

kiya. Walima cermony

Lahore mei hui. Hassan

Sheharyar, jo aik mashooor

Pakistani designer hain, nay

Reema aur Dr. Tariq ka

dress design kiya. Dono achy

lag rahy thy. Reema nay

urdu bol ker aur Dr. sahib

nay English bol ker apni

apni country ko represent

kiya.

Reema ‗Madhoori ‘ se

impressed thi ya ye sirf ik

coincidence hay k dono ki

shadi American surgeon se

hoi aur Reema buhat khushi

se yeh btati hain, per Reema

ko Madhoori k husband ki

age nahi pata ya unho nay

Madhoori ka husband nahi

dekha? yeh confusion

hay...wo kehti hain k wo bhi

Madhoori ki tarhan apna

career carry on rakhain gi

aur productions per ziada

concentrate krain gi. Han ab

tou unki production per

paisa lagany wala bhi hay

agya. Reema ko tou dulha

mil gaya, dekhna yeh hay k

Veena aur Meera ko bhi

dulha milta hay ya wo hath

malti reh jain gi.. Allah

karay in ke bhi jald hi hath

peelay ho hi jayen. Ameen.

Veena Vs Meera

Reema wins!

VS.

By Zunaira Afzal

Shashca first issue (November

15th, 2011) ke Page 3 pe hum

ne aik article publish kiya tha

by Zunaira Afzal, jis ka title

tha ―Veena Gets another

SHOW!‖. Ab ―show‖ ka mean-

ing humari nazar

mei tou TV program

tha. Lekin humain

nahi pata tha ke

Shashca entertain-

ing, informing aur

interesting honay ke

sath sath forecasting

bhi hay. Dushman

isi baat ko ―Shashca

ki zuban kaali hay‖

keh kar twist karain

gay. Dekh lena.

Kha i r , cho ra i n

Shashca ko. Baat

kartay hain Veena

ki.

Aisa bhi nahin hai

ke I don't like your

f a c e

Par dil ke computer

mein nahin hay

enough disk space

Kia karen ab aur

space he nai bachi

kay miss Veena ko

dil o demagh pay b sawar

kerny ki iss lye socha kyu na

Shashca pay he sawar ho

jayen. Nai nai hum akelay he

ho rahy hain madam Veena ko

nai la rahy sath, so chill.

Veena antie ko bechpan say hi

dramay kerny ka bhooot shok

tha. Aek din unka dil kia ek

drama kerny ko tab wo choti

thien tou unhon ne socha kyu

na veil lay ker he school jaya

jaye. Kabhi famous honay kay

kaam aye ga future me. Future

planner wo bechpan say he

hain kyu kay wo aksar yeh

kheyal kerti thi kay kahen

mera time out he na ho jaye

aur wo aksar yeh shair perha

kerti thien.

Tumhaara intezaar karte

k a r t e , m a i n s o g a i

Yeh dekho mera connec-

tion,time out ho gaya

So isi connection ko unho ne

India ja ker be continue rakha.

After all she is pretty young

and bold. So she act as bold

actor for FHM (Fazool ka Han-

gama Mag). So hungama is all

over. By the way Veena jee

woh to hum hain jo aapki cha-

hat dil main rakhte hain

warna aap jaise kitni hi CDs

bazaar main bikti hain. Apna

role tou wo khoob play ker

chuki, tou phir socha Veena

antie nay kyu na dramy mei

twist laya jaye (lyk and we

twist). So she opened her

mouth finally and she submit-

ted sue 0f 100 mil-

lions rupees to

FHM. So a few peo-

ple won't get a few

letters, boo hoo! You

know the kind of

stuff people write:

"Dear somebody you

never heard of, how

was so and so? Blah

-blah-blah-blah-blah

-blah-blah, Yours

Truly, Some Bozo."

Big loss!

Yeh kia what she

said that she will

find her Mr right

t h r o u g h h e r

―Swayamvar Veena

ka Vivaah‖ show. Lo

gee miss wrong, I

mean miss left, is on

way to find Mr

right! Madam ne

tou list bana rakhi

ha qualities ki apny

ideal k lye. What to say now,

yeh kis kis cheez ki list banva

rahi hain aj kal. Sitara ba-

nanay chali hain ab yeh wala

sitara pata nai konsa ha as-

man wala jo after life crash

bantay hain ya star jo Rakhi

Sawant b hain. Aur yeh kia

bolien ap ―hypocrisy its really

irritates me‖ ahan and what

was that with Ishmeet

Maamu? Oh yaad aaya, he is

just your good friend! Hmmm

wahan tie maamu kay sath

itni friendship kay ap bhol he

gaen kay wo sirf Maamu hain.

Subha ho gayi Maamu!

Hum ne tou suna tha Veena‘s

father baray gusay mein hain

per yeh to farma rahi hain ―My

father was the most excited

about the show. He said I may

find my Mr Right on this plat-

form.‖ But this is not enough.

Father jee ko khud he ana

pera bech mein agay perho ab

zara.

Abhi dhamaky ho he rahy thay

kay Veena‘s father also jumped

in. Jumping ka shoq lagta ha

sari family ko hai. So he an-

nounced liyje unhi ki zabani

suniye tou zara "I have severed

all ties with her and I don't

want her to have any share in

whatever meager assets I have

until she is cleared of the con-

troversy and pledges not to

visit India again,". Chalo ab to

hum apko yeh he keh saktay

hain antie veenaalaa do ise,

phoonk daalo yeh monitor,

mere saamne se hataa daalo

yeh modem, tumhaara hai tum

hi sambhaalo yeh computer,

yeh Product agar chal bhi

jaaye to kya hai? Allah apko b

hi dayat day ab.

Khair, sab controversy aik ta-

raf. Aik baat tou tay hay. Is

sab kahani se Veena aur FHM,

dono ki popularity ka graph

tou tamaam boundaries tor

phor ke charh gaya sab se up-

per. Is kaamyaabi per tou

yaqeenan mubarak ho in dono

ko! Badnaam jo hum hongay

tou kia naam na hoga?

Veena bhi na!

Page 4: Shashca 3rd Issue

[email protected]

Upcoming Events

Page 5: Shashca 3rd Issue

Chawal (chaval)

noun

Ye jo chawal hay na, ye samjhaya nahi ja sakta, sirf

dikhaya ja sakta hay. Jesay Taj Mehel. Jesay Deevar e

Cheen. Jesay Egyptian Pyramid. Jesay Veena Malik.

Ye cheezain kisi ko jitna marzi samjha lo, koi faida

nahi us waqt tak jab tak ke in ka deedaar na ho.

Bilkul wesay hi chawal ka shumaar bhi dunya ke

aisay ajoobon mei hota hay jin ka deedar hay darkaar.

Lo ye tou shair ban gaya! Deedaar hay darkaar! Agar

koi banda ap ko is tarah ka koi shair sunaye na, tou

aap meri guarantee par usay dil khol kar aur phaip-

ray phaar kar ―chawal‖ bol saktay hain. Pass sabit

hua ke ―chawal‖ koi insaan hota hay. Ji bilkul aisa hi

hay. Chawal insaan hi hota hay. Jaanwaron ke pas

itna faltu time nahi hay ke wo chawlian maarain. Aur

yaad rahay, jo insaan chawal hota hay, wo chawli

maarta hay. Bongi baat ko chawli kehtay hain. Aur

bongay insaan ko chawal. Bus itni si baat thi. Awain

waqta daala hua tha. Kia? Waqta kia hota hay? Ye

next Shashca Dicshnari mei batayen gay. Filhaal aap

chawal par guzara karain. Shukrya.

Shashca Dicshnari Yar ye check kar!

Shashca Cartoon [email protected]

By Zahra Batool

Shashca Interview with Basit Subhani

[email protected]

All questions are compul-

sory and carry equal marks.

Overwriting is now allowed.

1) Aap ki ammi aap ko

ghar mei kia keh kar bu-

lati hain?

BS. Mere naam se hi bulati

hain.

2) Aap ka class 1 ka class

fellow is waqt kitni age

ka hoga?

BS. Round about 30.

3) Aap kartay kia hain?

BS. Social work, singing,

comparing, radio jockeying.

4) Agar aap educated na

hotay tou abhi kia kar

rahay hotay?

BS. Aap ko kis ne kaha ke

mai educated hoon?

5) Life mei kitnay times

tind karaai hay?

BS. 2 times. Once in bach-

pan and once at Umrah.

6) Ammi ke hath ki aalu

gobhi khayen gay ye

parosion ke ghar se aaya

m u t t e r p u l a o ?

BS. I would rather go out-

side and have something.

7) Ghalib film dekhi hay

aap ne?

BS. Promo dekha hay.

8) Sir Syed ka maqbara

kahan waqay hay?

BS. Aligarh mei shayd.

9) Pait mei dard hota

hay tou kon si dawa kha-

tay hain?

BS. Mai toilet jaata hoon.

10) Kabhi bachpan mei

larkion ke sath “ringa

ringa roses” khela hay?

BS. Haan bohot khela hay.

11) Din mei kitnay cigarettes

peetay hain?

BS. Nahi peeta. I don‘t smoke.

12) Dunya mei koi aisa zinda

insaan hay jo fakhar se keh

sakay ke wo aap ka ideal hay?

BS. Wesay tou koi bhi nahi, but

yes Iram Khan is the closest in the

list.

13) Ye 13th question hay. Skip

kar doon?

BS. Nahi, nahi. Pooch lo.

14) Aap ka class 1 ka class fel-

low is waqt kitni age ka hoga?

BS. Round about 30.

15) Abhi kon se colours ke

s o c k s p e h n a y h a i n ?

BS. (Dehkay bagher)Brown.

16) Hussain Haqqani ka naam

ECL mei dalay janay ke mutal-

l i q k i a k a h a i n g a y ?

BS. Sab drama hay. All are the

same. Kia keh sakta hoon.

17) Life mei kitni dafa Pesha-

w a r g a y e h a i n ?

BS. Sirf 2 dafa.

18) Agar kabhi suicide karna

hui tou kon se floor se koodain

gay?

BS. No chance. Mai kabhi bhi sui-

cide nahi karun ga.

19) Shashca ko interview de-

nay ke ilawa bhi kabhi koi

dhang ka kaam kiya hay?

BS. Umm… yes, I think so.

20) Aap ka naam kia hay?

BS. Chand molvi hazraat ke mu-

taabiq, it is Abdul Basit.

Shashca bohot thankful aur grate-

ful hay Basit Subhani sahib ka ke

unho ne

S h a s h c a ko interview

diya. Is interview

ki badolat B a s i t

bhai ki p o p u -

larity mei t o u

shayd hi k o i

izafa ho, h a a n

m a g a r

Shashca k i

popular- i t y

w a h w a h

barh jaye gi. Lo dasso, aur kia cha-

hiye humain! Parho ji phir exclu-

sive interview of Basit Subhani

with Shashca!

By Sadiya Akhtar

“Nakaami k asbaab hamesha aadmi kay apny

andar hotey hain magar aksar vo inko doosron

kay andar talaash karny lagta hay‖.

(Maulana Waheed-ud-Deen Khan)

Areyyyy yaaar tum mujhe is sawal ka jawab bata dety

tou main paas hojata na, ab meri Maa ny mera Roast

bana dena hai :‘(

Aksar aesy hi hota hai na, job na mili tou company

fazool, project ya presentation flop tou subordinates ki

shaamat, desired career na bana sakey tou sara boajh

luck py daal dena, Husband Wife ki jang-e-Azeem tou

aik dosry par Drone attacks, in short yeh k apni har

nakaami main khud ko Naik Perveen samajhna jo sra-

sar jhoot hai :D Raat ko kabhi dhoop main baith kar

agar sirf apna analysis kiya jaey tou buhat sy viruses

hamary hi andar sy nikalty hain jinko khatam kar

kay hum apni buhat si nakaamion ko kamyabi main

badal sakty hain. Nahi yakeen tou khd experiment

kar lo :)

Proudly partners with Shashca as

IT & Strategy Partners

They Offer

IT & Telco Solutions

IT & Creative Insight Train-

ings

Content Writing

Design Studios

www.xsparcinc.com

Xsparc – The Creative DNA

[email protected]

Page 6: Shashca 3rd Issue

By Moosa Lakhani

Waqt ki nazakat aur halaat e hazira ko dekhtay hue hukumat e pakistan is nateejay ar pohanchi ke India ko ‗most favoured nation‘ ka laqab diya jana chahiye. Politically jitney bhi issues hon; Kashmir ka masla ho ya

paani ka masla, jamatud dawa ho ya ajmal qasab; Pakistan ne economically strong honey ke liye yeh qadam utha liya hai !!

Is amal ke peshe nazar In- dia se hamaray muft tijarti talluqat(free trade relations) bahaal hojayengay, mufta na hum ne kabhi chora hai na hi hum choraingay.. aisi tamam policies apnanay main

hamara koi saani nahi hoga !! tareekh par nazar daali jaye tou maaloom yeh hota hai ke hum Musalmanoon ney India ko bht kuch diya hai.. agar aaj kuch len bhi lein koi qayamt nahi aayegi..

:P

Jahan tak baat hai is par criticize karnay ki tou logon ne yahan tak kehdia ke 33 saal ki naari ko 63 saal ki tareekh ka kia ILM? Wese yeh faisla Khar sahiba, jo ke foreign minister

hain, ne khud tou nahi liya!? Is main kaafi logon ka haath hai !! jitney moon utni hi baatain.. suntey suntey kaan nahi thaktay aur kehtay kehtay zaban nahi..

Jis tarah aaj kal log Ustaad Rahat Fateh Ali Khan ko suntey suntey nahi thaktay.. yeh tohfa bhi hum hi nay India ko diya.. Ustaad sahib ka sur lagana aur hamaray dimag ke kisi

g o s h a y m a i n ustaadoon ke ustaad, shehansah-e-qawwali Ustaad Nusrat Fateh Ali Khan ka khayal na aana, yeh to mumkin nahi !! inteqal se kuch waqt qabl unhon ne bolly-

wood ki filmoon ke liye bhi geet gaye aur A.R.rehman ke album, Vande Mataram, main unki kawish na qabil e faramoosh hai. Jese unke sur se inki yaad aagayi wese hi inki personal-

ity ko dekhty hue mjhe aik aur gift ki yaad aagyi jo Pakistan ne India ko dia.. sahi pehchana aap ne .. Adnan Sami. Sangeet ki dunya ka aik bara, balkey bohat BARA naam.. waqiye

bht barey thy Ad- nan Sami sahab, aik nazar main nahi samatay thy!!

Aisi aur bhi bari bari cheezain hum Musalman partition ke waqt india ko bagair kisi muawzey ke de aaye hain, jin ki khoobsoorti ka, engineering kay apni misaal aap honey ka dunya aitraaf

kar chuki hai. Taj mahal, jama masjid dehli, humayoon ka maqbara and etc. yeh shahkaar na us se phle bun skae na ab aagey kisi ne is tarah ki koi jurrat ki.. Mughal Sahab ne na sirf yeh cheezain qaim

keen blakey aik mukammal adala- toon ka system bhi nafiz kia.. us se qabl tareekh ko uthaya jaye tou maloom hota hai ke aaj ka district administration aur azlaa‘ ka nizam bhi musalmanoon ki hi dein hai.

Itna kuch tou hum ne Pakistan ko nahi diya jitna hum wahan de aaye ya aaney ke baad dediya. Aik bhabhi laye thy tou ab lein dein tou chalta hi rhe ga.. bhabhi ke liye itna tou karna hi parega! aur jo baraysahab

(bigboss) aur FMH main de aaye who wapas lene ka koi mood nahi.. AAP KO HI MUBARAK HO!! isi liye tou hum nay yeh shashca diya hai ke saaray jahan se acha hidoo-stan hamara !! lekin aik muamma ab tak joon ka

toon yehi hai ke, why this kolaveri kolaveri kolaveri Di?

Saray jahan se acha Hindoostan humara

[email protected]

By Madiha Rahman

Aap jo daikh rahy hain kiya wo wesa hi hai? Jee han! Kiya apko yakeen hai k jo apki ankhain daikh rahi hain auron ki ankh bhi wo hi daikh rahi hai? Apka jawab hoga, HAN! Yaqeenan, lekin e i k

murtbba phir sy sochain, chalien apko eik example deti hun…

Har "NOJWAAN" mard aur aurat ki ye dilli khawahish hoti hai k "menu kuch samjho" or apni iss khwahish ko poora krnay ki koshish main wo buhat sy dushwaar rastoon sy guzarta hai.

Confused? Zraa sochain k har student ki wohi routine hai jo bachpan main parha krty thy, magar ab waqat guzarny k sath sath uss main bas thorray Shashcay agaye hain. Kaam toh sab wohi

hain, bs andaaz badal gaye hain ,indication toh Iqbal ny kafi phly kr di thi ―zamanay k andaaz badlay gaye; nayaa raag hai; saaz badlay gaye‖

―Main roz subha saweery uth'tha hun, dant saaf krta hun‖ kam aj bhi wohi hota hai bs andaaz zara Ke$ha wala.

― S c h o o l k l i y e t a y a r h o t a h u n , b a a l b a n a k s a a f s u t h r a y , u j l a y k a p r a y p e h n t a h u n ‖ !

Or ab? Suljhay hoyee baloon ko uljhaata hun, without exaggeration 1 haftay sy pehni hui jeans jo ghiss ghiss k 43 inch sy 40 py aa chukki hoti hai pehnta hun. ―Main school main ap-

nay sb doston ke sath buhat izzat sy paish ata hun, buhut shaista guftagu krta hun‖ ab aagay ap bhi smajhdaar hain!

Bored ?? Yeah! You should; as we know what we all are doing and what‘s going on around us! Outlook toh kmaal honi chahye k jeasy -agyaa ty chahh gya- , labb-o-lehjaa aesa k log puchain -

Eminem cousin hai apka? - Overall ye k -piece brra tait ay- Magar ye toh wo tha jo logon ki ankhain deakhti hain. Uska kiya jo apki ankh roz apko daikh k khti hai?

Outlook aesi k -yar ap kahi Awais lovely k rishtydaar toh nahi?- or lab-o-lehja easa k – acha toh Dr sahab ke saaley ap hain- and overall ap -Chusssssss- Buzurgg log aese bndy ko ―Na khooti

na ghoordi‖ kehty hain. Han, Rehman Malik ny apna nazariya-e-apple-o-banana paish kr k kam or asaan kr diya hai.

Pr nojawan in sb sy balatar apni apni line py lgaa hua hai. Baat jo main ny ki hai, hai toh zrra feel wali ab bs ye naa kehna k -yar seriously buhat hi kamaal chuss thi keasy krtyy ho-

Apple or Banana ?

By Syeda Hafsa

Hum sab kay pyaray , youngsters ke ankhon kay taray …I mean apple of our eye Imran Bahi imran bhai !

IMRAN KHAN nam to suna hoga ?.Aray wohi jin kay baray main kabhi yeh kaha jata tha kay unko ko kul mila kay ek vote milta hai jo unhon nay apnay ap ko khud dia hota hai .Muger ab story has taken 360 flip boss .

Khan who played for Pakistani cricket team from 1971 to 1992 and served as its captain intermittently throughout 1982 to 1992 . Imran bhai nay apnay sunheray dor yani dor-e-cricket main bohatson kay chukay

churaey . phir retirement kay baad inhon nay politics kay maidan main qadam rukha.Initially kahani kuch yun malom hoty thy kay ―kaway (crow) nay chuly huns ke chal aur apni chal bhool gaya‖ .muger waqt sab ka

ustad nikla , aur dekhtay he dekhtay yeh kawa kab cheetah bun gaya pata he nahi chala .

Abhi tuk ke situation ko mud-e-nazer rukhtay hoey hum yeh keh suktay hain kay ― Imran bhai ek shareef- un -nufs insaan hain‖ .muger yara yeh bhi ek fact hai kay shareef wo hai jisay kabhi mauqa nahi mila .Bus ek

mouqay ke he talash main to hain Imran bhai ,aur Pakistani youngsters kisi hud tak unko yeh mouqa dena be chahtay hain.After all ab Bhai ka itna huq to bunta hai !

Yara hum nay suna tha kay ―action speaks louder than words‖. Imran bhai kay ―words‖ ke baat kerain to humsab jantay hain kay Imran bhai kay words I mean speeches nay aj kal tehelka machaya hua hai. Wo humay-

sha apni electrifying speeches kay zerya youngsters ko motivate kertay nazer atay hain . Is kay ilawa unky taqareer ki ek khooby aur be hai wo yeh kay wo apni mind blasting taqareer kay zerya deegar politicians ke

theek thak bisitification ker tay hain …I mean izat afzai ;) Ye to thy Imran bhai kay words ―words‖ ke baat which are working like magic spells. Ab atay hain Imran bhai kay ―actions‖ pay. Ager zaati sutah pay dekha

jaey to bhai jo welfare ka kam ker rahay hain us say koi inkar nahi ker sukta us kay ilawa yateem politicians (yani aisay politicians jinhon nay apny party chordy hoty hai ya phir party nay unhay chord ea hota ho) ko

punha be detay nazer atay hain. Muger iqtedari sutah pay dekhay jaey to Imran bhai ko action main anay ka kabhi koi khas mouqa nahi mila. Shayud isi leay Pakistani youngsters are looking forward to give him chance.

Magar asal result to elections kay baad he pata chalay ga . Ab akhir main IMRAN bhai ke kawishon kay leay ek SHASHCATIC COMPLEMENT to bunta hai boss ― to aya ae tay cha gaya ae tha ker kay‖.

Imran Bhai chaa gaye!

By Hijab Minahil

Hum log jab apne mulk mein hote hain, to hum hamesha yehi sochte hain ke dusre mulk ja kay hum bohot araam se settle hon gay, koi problem face nahi karna pare ga.

Brakes please!

Aisa kuch mere sath bhi hota raha he-all my life. Jab mein UAE mein thi to mujhe lagta tha k Pakistan ek bohot acha mulk hai. Yahan sab sakoon se rehte hen. Yahan to koi problem ho ga hi

nahi. Well, sab se pehle mujhe Pakistan ja kar problem hua language ka. Urdu aati to thi, lekin na hone k barabar. Sab se pehle main ne ―Che‖ ko ―Cheem‖ bolne se apne is safar ka

aghaaz kia. Well, mera jitna mazak uraya jata tha, mujhe abhi tak perfect Urdu aa jani chahye thi. Well, after a number of years in Pakistan, I was still unable to perfect my Urdu. Ab

Pakistan mein O level complete kar kay main aa gaye Spain.

―Oh, don‘t worry. Wahan English chal jaye gi,‖ I said as I exited Pakistan. ―Spanish bhi konsi mushkil hai. English ki tarha hi hai.‖ Wrong again! Yahan jab English bolein to

log ap ko dekh k muskurana shuru kar dete hein. Jab ap un se puchte hein kay kia aap hamare sath communication kar sakte hein-English use karte huay-to wo kabhi bhi

English nahi bolen gay, unless un ko ap pe taras aa jaye. Wajah ye hai key European coun- tries-apart from England, do not like English. Meri Spanish teacher ne reason explain

kia tha lekin un ki aadhi baat mere sir par se guzar gaye thi. Ye alag baat hai kay Mr. Obama k order, ―English seekh kay crisi se niklo‖ kay baad yahan pe English ka aik

sudden boom ho gya hai. Aur english kafi expensive ho gae hai. Well, ab jab mein ne ye lan- guage seekhna shuru ki, to ye Urdu ki nisbat hai to easy, lekin thora to kaam karna hi

parta hai. Lekin is language mein English aur Arabic ke ilawa Punjabi bhi shamil he. Mein ne is fact pe ghor karnay kay bajaye Spanish ko English kay accordingly seekhne ki

koshish shuru ki hai. Lekin jab class mein ajeeb o ghareeb ghaltian hoti hein to kafi shughal to lagta he lekin communication problem kafi serious he. Aap jahan bhi jaen, overconfi-

dent na hon. Ap ko agar commercial language, yani kay English bhi aati ho, to ap phir bhi Tees Maar Khan nahi kehlaen gay. Communication problem dunya bhar mein hai. Koi

bhi jaga esi nahi he jahan ap jaen gay, ap ki aik na ik dafa baisti zaroor ho gi. There is no escape. Ab mujhe koi six languages aa chuki hen, aur me jab bhi bolti hun, un sab ko

kahin na kahin mix zaroor karti hun. I hope it teaches everybody a lesson. Now if you don‘t mind, mujhe English classes ki advertisement banane jani hai.

War of the languages

Shashca Rows (not columns)

Page 7: Shashca 3rd Issue

[email protected]

La Sha Pekhawar tha! By Rabia Islam

Hamesha se hairani hoti rahi hai mujhe k hum dunyaa ki mukhalif simat mein kyun ja rahay hain. Dunya jis dagar par ja rahi hai, taraqqi k liye jo usool apnayein gayein hain, hum woh

tareeqay kyun nahi apnatay hain. Ghaur kijiye tou dunya mein taraqqi k do model hee milte hain, aik Islami Model dusra Maghribi Model! Agar thora sa bareeqbeeni se jaiza liya jaaye tou

samjh ajati hai keh Maghribi Model bhi Islami aqdaar se akhaz kiyaa gaya hai, isliye baqi sirf Islami Model hee reh jata hai, jeee haan woh Islam jis k

aqdaar se hum ne sirf wohee cheezein apnai hai jis se koi humein Musala- man keh sakay.

Kisi bhi mulk ka purkashish tareen jagah wahan ka capital hota hai.. Yeh facilities ki farhami k hawalay se baqi shehron se barh kar hota hai. Aman o

amaan misaali hota hai. Taham yeh haqeeqat 'K.P.K' k capital Peshawar ko dekh kar mafrooza lagti hai. Phoolon ka sheher gird wo ghubaar k toofaan mein

ghum ho chuka hai. :( Smoke k clouds is city ko insaani aankhon se ujhal kr chukay hain, Badqismati kee intihaa dekhain yeh tareekhee sheher dor-e-jadeed

k maharajao ka sirf miskin raha hai, yeh inka ghar nahi ban saka. In kee janam bhoomian tou Mardan, Charsada, Mansehra aur Banoo mein thee. Is liye

tareeqi bhi inhee shehron ne kee. Peshawar k phool murjhaa kar bikhar gayein taham hosh kisi ko bhi na ayaa.

Pata nahi kyun lekin Peshawar se dili muhabat hai. Shayed Pathan honaa hee Peshawar se pyar krne k liye kaafi hai.

Hum pashto mein kehtein hai na 'Pekhawar khu Pekhawar de kana'! Pe- shawar kee baat hee kuch aur hai. Aaj bhi jab qisa khwani bazaar se guzartay

hai tou Dada kee sunai hui kahanion ka manzar ankhon k samne phir jataa hai! Banda aik ajeeb see dunya mein kho jata hai.. Yahan ka Qehwaa ho ya halwa puri ya phir kabab! Khaa kr

maza ajaataa (Dunya mein kahee bhi jaao yeh cheezein Peshawar k jitni tasty aur kahee naee milengee qasam se! )

Tou baat ho rahi thi Peshawar k current situation kee! Kuch arsa hua hai Peshawar ne sukh ka saans liya hua hai wrna yahaan jitni tabahi hui shayed hee kahee hui ho! Umeed hee hai bs k

shayed Peshawar k woh murjhain huwe phool phir se khil jaayein! Ameen. :)

'Da pukhtanu da saqafat nakhaa da.. Da bade wraze pa amaan d v tal!'

Allah Peshawar ko apne amaan mein raakhein! Ameeen

Rukhiye rukhiye aik baat sun k jaayega! Is report ko parh kar tori boht pashto tou seekh lee hogee naa apne! ;) Hua na faidaa. :D

Aao bacho sair karaen tumko Pakistan ki By Faraz Khan Yousafzai

Mere azeez humwatno, scene ye ha ke ma aap sab ko Pakistan ke kuch shehro/ jagao aur unki sights etc ke baray ma bataoonga. Tou shuru Quetta sa karte ha, mera hometown. Agar aap ke abu

ka taluq Army sa ha (dariay mat, general bat karaha hun) tou Quetta tou daikha hi hoga kyunke Quetta ki aik khaasiyat wahan ka Command

and Staff college ha which is quite old aur Srilanka & kuch Arab countries sa bhi wahan soldiers training ke liye aatay ha, strategy ma. Wo unke

liye aik shashca hota ha ke wo Quetta ke C&S College ma parhay hain! Per ye tou army ke liye ha, Quetta pre-partition time ma kafi fit

city tha coz goray yahan vacations guzarne aatay thay aur unko Quetta fit lagta tha, sardiyon ma baraf sa Dhaka huwa, choti si valley, kum log.

Quetta cantt. tou abhi bhi jaye tou khoobsurti ki inteha ha jab badal aye huwe hote ha and the one thing you say is ‗englaaand lagraha ha‘, o

bhai England sa khoobsurat lagta ha kyunke England ma aisay mountains nahi ha!

Quetta ki attractions bohot kum ha, aik barha park called ‗Askari Park‘ (jee han army ka ha) aur ‗Liaquat Park‘ jo ke chota sa ha aur city

ma ha. Uske elawa Prince road ko hum dil behlanay ke liye Food Street kehtay ha coz wahan bas khana hi khana hota ha or agar aap gaye

tou Chicken/Beef Sajji, jo ke Balochistan ki specialty ha zaroor khaye, bohot fit ha. Aik aur specialty ‗Khada Kabab‘ ha jo ke bakra/dumba

zameen ke andar pakaya jaata ha aur ufff mazaydar hota ha. Uske elawa aur bhi mazay ki dishes hoti ha usy road pa jo ke lazmi taste karni

chahiye. Masala wahan kum hi use hote ha kyunke hum kum masalaydar hote hain ;)

Dry fruits ke tou pooray bazaar hain aur export quality maal hota ha wahan, jiske liye bhi Quetta apna mashoor hai! Aur cloth-loving-

aurtain+auntiyon ki tou eid ha na kyunke lamba sa aik bazaar plus few others ma bas kapra hi hota ha khula aur apke apne khan bhai wo

baichte ha tou bas aap thorha sa pyar dikhaye wo khana tak khila daingay aapko. Aur sasta bhi hota ha, aur kia chahiye? Barray malls type

scene nahi ha per main city ma kafi bazaar ha jisme bohooot kuch ha.

Thorha sa hi dur Hanna valley ha jo Quetta ka hi hissa ha. Wa- han Hanna Lake ha, jisme goro ka banaya huwa aik water gate bhi ha aur uska

apna shashca ha. Charo taraf mountain aur darmian ma lake per bichari lake kabhi kabhi dry hojati ha L per filhal set ha :D Wahin agay

Hanna Urak ha jo ke picnic spot ha barha aur fit sa, wahan jaye aur agar time ho tou thorhi walk aur pass le ke Walli Tangi jaye, wahin uper ha,

wo phir aur fit ha. Wahan aik rock bhi ha jo ke lion faced ha, aik aur shashca. Uske elawa usi taraf Spin Karez bhi ha, jo ke uff uff beautiful ha! Karez local irrigation system hota ha jisko wahan

proper kardiya ha aur wo dam type ban gaya ha tou jab pani ma reflection parhti ha mountains ki tou bas kia hi bataun! Aur rastay ma dhair sara coal bhi ha kyunke wahan mines bhi ha. Wapisi

ma staff college ke nazdeek sleeping beauty mountain bhi ha, jo ke aik mountain ha jo lagta ha aik bandi soyi huwi ha, uska mun, body, legs sab clear hota ha, ha na shashca?!

Restaurants ma Quetta Club (member ke sath jayen), Musketeers, Café China, Usmania mashoor ha per baki bhi ha, per Islamabad ya Lahore samajh ke na jaye, humay us level ke liye time la-

gayga. Lehri Sajji House sajji ke liye mashoor ha. Rehne ke liye Serena, Lourdes kafi mashoor ha. Serena wahan ka fit lagta ha architecturally!

In sab ke elawa agar hosakay tou Jab‘le Noor bhi jaye jo ke aik cave ha jahan Quran rakhay gaye ha aur kafi purane walay. Hazar Ganji National Park bhi ha per unfortunately udhar ki halat ab

achi nahi rahi. Wahan ke wild tulips kafi mashoor thay aur agar aapko lavender pasand ha aur use karte ha tou Hanna valley ma bohot laga ha. Ye ha mera Quetta aur uske chote chote shashcay,

agli bar aik aur shehar ya jaga ke sath hazir hoonga, tab tak ke tata.

By Arslan Ahmed

Hum abhee Munni, Sheela aor jalabee bai ke bhanwar se nikalne ka soch hi rhe thay ke aik din sham ko kanon ki zeenat 2 alfaaz banay ‘Aaallo Aanday‘, hum samjhe ka shayad gali mein koi

‗Garam Aanday‘ bach rha ha, laikin dosaray he lamhay bachpan ke woh nazaray yaad aa gae jab hum railway station mein garam aanday khaya kartay thay. Laikin Ahssas howa ka ye awazain

to TV lounge sa aa rhe haain, Hum lapkay udhar to ghor kia gya ke TV pa 3 neem bawakoof larkay jo school ke saataey howe aur thore itraaaey howe apni ammi jaan sa kuch shikwa kar rhe

hain. Huliyey se to kisi school se bhagay howay larkoon se kam na thay laikin awaaz aur sur ma kisi bathroom singer sa bhee kaam na thay. Aalo Anday aur chicken ka sun ke hum ganay ke

doraan excitement ma ghar waloon sa farmaish kr bathay ka kal hum bhee Chicken khain ga laikin ghar wale foran bolay baita chicken choroo aaallo Aanday ke prices he chaat ko chuu rhe hain

ap kya baat karte hain, chicken kya ap daal ki bhee baat na karain aur gannay ko gana he rahnay do. Mayusii se ganay ko zara ghoor sa sunna to ehsaas howa ha larkay school ke nai balkay

zamany se satai howe hain. Aor aik naram lahje mein establishment sa shikayaat kar rhe hain jo ap sab nojawnoo ki zubaan zadaiaam hain. Hmare politician hamasha se aaalo-aanday-chicken-

roti ke chakkar mein awaam ko laga ka rakhtay hain aur apnay aaraam ki khatir sab logon ko bypass kar dati hain. Is ganay ma un afraad ya kuch logoon ki tarf ishara kya gya ha jo scientist ya

famous logon ko religious logon ka sath compare krta ha. Please is mein aap film industry ko na shamil karain balka the persons like Abdus Salam aur Dr. Qadir jin ki mehnaat ko qoom bhula

baithi hai. Basic theme is ganay ka respect and love hai. Don‘t take it as a song try to learn something from it. Nojawaan ab change chahtay hain ab loog cheeni attay daal ke jang sa bahr nikalna

chahtay hain aur selfish logon sa jaan churwana chahtay hain. Laikin kahan jee ye to bass batain hain hmari youth to bass door kay dhool suhanay wala kaam karti hai. Inhe phone calls aur text

messages se fursat milay to kuch karain na. 4 dost ikhatay hon to cell ke masaail khatam hoon to kuch agay dekhain na. Dostoon nikal aao sheila aor munni kay chakaroon se ab karo kuch aysa

ke mulk yaad karay hma. Kro aon logon ka lya jo masail he daldal mein pisay aj rha hain. Keh do ye jhoot ha, Insaan apni taqdeer khud banata ha. Is mulk ka lya kuch karo ga to tmara future

secure ho ga. Agr kuch intense kaam nai kar sakta to bas apne soch change karo. Aik positive soch. Change ka matlab hargiz ye nahin ka danda la ga ghar sa nikal paroo aor har aik ko sahih

ghalat ka mashwaray do. Insaan apni jurisdiction ma rah kaa bhee kaam kar sakta ha jesa is band na aalo anday song gaa kar youth ko represent karna ke koshish ke ha. Apna mind change kro

ye to Wahid product ha jis ma hum kah saktay hain ―please try this or start this from home‖. Ab is mulk ki taqdeer hmara buzurg politicians na janay ga. Ab youth jannay gee

Aaloo Anday

By Anam Khan

Topic parh kay bohat saray logon ko gudgudi start ho gae ho gi lekin baat ho gi to asool ki warna nae ho gi… To janaab honay wali he yahan ―tagri jayee class‖ … agr ap ye article ye soch k parh

rae hen k yahan apko hans hans k pagal hona he to bohat maazrat k sath arz he k ye writing ap ke taqaazon ko pura krne me nakaam rahi he…To baat ho rae thi khusron ki jinhe log hijra b ke-

hte hen or in bechaaron ka bohat mazaak uraya jata he … Parhne walon ko ik baat clear krna zaruri smjhti hun k khudara khusron ko GAY se confuse mat krye ga. Agar ap un logon me se he jo

apni hiss e mazah ko stimulate krne k liye is bechaari makhlooq ka sahara lete hen to bohat sharam ki baat ka aap ka humorous side ik baybus makhlooq ka mohtaaj he… Mjhe to aaj tak ye mal-

loom nae ho saka k log in par hanstay kiun hen…In per hansnay ka wohi matlab he kay hum khuda par hans rae hen jis ne unhe bnaya… Hum inko target krte hue ye q bhool jatay hen k ye bhi

ALLAH ki makhlooq hen or ALLAH ne inhe esa hi bnaya he, is me in ka koi kasoor nae he..Us Zaat-e-Pak k liye koi mushkil nae tha k humain bhi esa hi paida kr deta..Raha sawaal in ki rozi ka

to kuch na kuch to insaan karta hi he apna pait paalnay k liye. Agar hum or humara maashra inhen who izzat or maqaam den jo kisi bhi insan ka basic right he to ye bhi dignity k sath zindagi

guzar skte hen… Last but not the least, kabhi kisi insan ko us cheez ka kasoorwar nae thehrana chahiye jiska zimaydar wo khud na ho.Society badalni he to soch badlo….RESPECT!!!

Khusray

Page 8: Shashca 3rd Issue

Shashca Reports

[email protected]

By Ammara Junaidi

Videomaking hamesha se

hee Youth mei cool sam-

jha jata hai. Hum friends

k sath tafreehon mei ma-

saroof hon to videos ban

jati hain, ghar mei Ammi

se pitt rahe hon to videos

ban jati hain, kbi kbi to

sirf hansne pe hi video

ban jati hai. Phr internet

k through dunya k konay

konay mei dekhi jati

hain.

Of course hamare mulk

mei talent ki kami nhi

hay aur jin talented logon

ka zikar mai aaj karne

jarhi hoon, wo apne

aapko ―3 idiots‖ kehel-

vana pasand karte hain.

Ye idiots hain Kashan,

Hammad aur Faisal jo

students hain Sir Syed

University of Engineer-

ing and Technology ke.

Inhone videomaking ka

aaghaaz 2010 mei kiya or

ab tak more than 50 vid-

eos bana chuke hain. In

mei engineering ke sath

sath bohat aala acting

skills bhi payi jati hain.

Kabhi ye Mumma -

Puppa ban jatay hain, to

kbi daaku or mobile

snatchers, ya phr achay

or buray citizens.

3 idiots ki most liked vid-

eos mei "The Puppa Se-

ries", "The Dark Truth"

or "Aao Bank Lootain"

shaamil hain.

Kashan se baat krne pe

hamein pata chala k apni

videos ki Direction, Story

writing or Editing wo

khud hi karte hain.

Lighting sooraj (sun) k

responsibility hay aur

location ka to koi masla

hi nahin, jahan kharey

hote hain wahin shuru

hojate hain.

3 Idiots bohat se social

events k sath sath ek

popular TV show mei b

perform krchuke hain.

Unhone PAF KIET ke

sath Chroma Work mei

ek project bhi kiya hay.

Kashan said 'We started

from short funny clips

then ahista ahista im-

provement aati gyi, but

hamara kisi bhi video ka

budget more than 100

PKR nhi hua. Ab Waqt

guzarne ke sath sath

hamari direction, editing,

video quality, location or

story line mei bhi im-

provement ayi hay.'

3 Idiots ki fan following

bhi kafi hay jiski waja se

inhein apna Facebook

fanpage 2 dafa hack hone

ki saza bhi mili. Then

unhone apni website

launch ki hay i.e

www.idiotstube.com. Is

website pe inke ilawa

more than 50 other

groups ki videos bhi up-

loaded hain. Readers se

bhi guzarish hay ke in ki

videos zaroor dekhain.

3 Idiots! By Deemas Iqbal

3rd December ko Pyam

Trust ny Extremen Adven-

tures k sath collaboration

ki or aik zabardast kisam

ki 1st level Rescue Train-

i n g

a r -

range

ki. Is

train-

i n g

m a i n

1 2

logoon

n a y

p a r -

ticipate kya. Margalla

Hills Islamabad pay hony

wali yay training aik never

forgettable experience tha!

Friends, yay ek naya ex-

perience tha. Is training

ko karty waqt boht maza

aya! Sub seniors k sath

boht kuch sikhny ko mila.

Adventure tha to dar tha

halka sa bus lekin jub rock

climbing khud ke to dar b

khatm huwa aur phr 130

feet high bridge cross kia.

Aur ye sub mumkin huwa

Payaam Trust ke badolat.

Umeed hai k is training ka

jo maqsad tha wo pura ho.

Ager mulk main kabi zaro-

orat parti hai during any

kind of disasters to jo is

training me sikhaya gia us

ko istmal me laon aur

logon ke khidmat kar sa-

kon. Is training main hu-

main ye b btaya gia k

Raasi k istmal say kis trha

stretcher banaian aur jo

mareez ho us ko rescue

kar sakain. Bridge cross-

ing aur rock climbing me

achi performance de sub

ny.

Friends, in the end main

ap logoon ko aik bat zaror

suggest karoon ga k ap

studies k sath sath is ta-

raha ki

a c t i v i -

t i e s

main b

partici-

p a t e

karo. In

a c t i v i -

ties k

both sy

a d -

vatanges tou apko pata

hain he magar aik new

advantage jo main ny is

activity main mehsoos kya

wo yay k seekhnay k sath

sath ap ko aik Fakhar sa

mehsoos hoga k ap log Aik

Zinda Qaum k basi ho! Jo

har waqt apny watan k

lya, apnay mulk k rehnay

waloon k lya kuch b karny

k lya tayar hain. God bless

you all!

Payaam rescue training Declamation at

PAF Academy

Risalpur By Hashim Mufti

Hey, you know what,

Pakistan Air Force

Debating and Decla-

mation contest biggest

debating contest hai

country ka. Is contest

main puray Pakistan

sy debaters partici-

pate karty hain or

phir is contest ko

jeetna aik Dream hota

hai sub k lya! Seri-

ously! Or is sy barh

kar yay k jo facilities

provide ki jati hain na

anay waloon ko, unka

to jawab nahi! Yay

sub mil k is event ko

aik Dream Competi-

tion bana daite hain.

Or phir sub say mun-

farid bat bhala kya

hai is competition

main! Har participant

ko MASHAK – air

plane (which is a life

time experience) ki

joy ride b di jati hai. :)

Last month 22nd to

25th of Novermber

2011 ko PAF Acad-

emy Risalpur main

All Pakistan Bilingual

Declamation Contest

2011 organise kya gya

tha. Puri country sy

teams aee then. 44

teams main sy 4 best

teams or 2 best indi-

viduals ko final round

k lya select kya gya.

Initial round main

m u j h n a - c h e e z ,

Hashim Mufti, ko

English category main

pehli position sy

nawaza gya. :) Topic

was, ―choice not

chance determines

destiny‖. Or phir final

round main b mujh

na-cheez k hisay main

1st position aee. :D

Jab k NUST SEECS

H 12 ny overall team

trophy b jeeti. Or

ma i n b N US T

SEECHS H 12 ko he

represent kar raha

tha. So in this aspect,

yay meri life ka aik

intahaeeee memora-

ble experience b tha.

Ap log b is event main

zaror participate

karna next time. I

would let you know

about it at Shashca!

You would have a

loveable experience!

Ye khaala ji ki

Parliament nahi! By Syed Ommer Amer

―Nukta-e-ittilah Muhtaram !

Yeah kya mazak laga k ra-

kha hoa ahi ? kya idhar ud-

har kii phenk rhay hain ??

Dala‘ill ki koi thoos bunyaad

naii hai ... Judge sahab par-

limany asoolon ki khilafwar-

zii ho rhii hai ... Kya yeah

khulum-khula tazaad naii

hai ? main kasam kha k ke-

hta hun k agr is

karardaad ko

h u m a r a y

haq main

manzoor na

kiya gya to

main minar

- e -

P a k i -

stan say

c h a -

l a n g

mar k

khudku-

shii kr

lun ga.‖

Yeah woh

k u c h

b a a t e n

theen jo

main ny Forman Chrisitan

College lahore k 3rd parli-

mentry Debates competition

main sunii. ;) Parlimentry

Debates main akheer

shughal lagta hai .... yeah

woh muqabalay hain jahan

General Knowledge , Confi-

dence and witty minds aa-

pas main lartay hain ... 2

teams , 3 players each aik

judge aur aik cool c presi-

dent !!! To janab scene yeah

hota haii k aik team jo govt.

hotii hai woh aa k apna

muakif peesh krtii hai and

phr opposition walay aa kr

us muakif ko rd krtay hain

and yeah debate koi 1.5 hour

tk chaltii rehtii hai and in

the end kisi na kisii kii band

bjtii hai and phr judge sahab

aa kr qarardaad ya to govt.

ya phr opposition k haq

main manzoor krtay hain !!!

aap ki ittilah k liyay arz hai

k isay "World school style

Parliamentary Debate" ke-

h t a y

hian

Forman Christian collge

main 18th November say

21st November tk 3rd par-

liamentary debates ka com-

petition hoa is main mostly

Lahore kii teams ny partici-

pate kiya like GC lahore ,

PU , LSE , FAST lahore ,

SICAS , Beacon house and

UET Lahore but UET Taxila

bhii apna loha manwanay

wahan gye !!! 18th kii shaam

ko aik round khela gya jis

main koi 18 matches at a

time hoay, english and urdu

parliamentary donon k . Phr

Sab ko chaiii with mazay

mazay kii cheezen dii gye jis

ko sab ny g jaan say khaaya

piyaa and hazam kiya! :D

phr next day 2 rounds khe-

lay gye jis k baad raat ko

semifinals k liyay qualify

krnay walii teams k names

raat ko display kiyay gye !!!

and us raat to kya mahool

bnaya tha FC walon ny kya

bataon :P Woofer ,

Smoke , Lights

and Music! Wow

man! kher yeah

baaten choren is k

baad khana tha jisko

"Theme Dinner" kaha

gya and really deli-

cious khana tha and

the environment

was awe-

s O m e

Fountain k

o p p e r

dragon tha

walls pay

exotic paint-

ing and red

lights .. .

litrally wOw

scene tha.

Next day semifinals thay

and Monday ko final hoa jo

koi to jeet hi gya ho ga. :P

Parlimentry debates aik

bohat mufeed activity hai jis

say confidence milta hai and

zehan kii achii godiii hoti

hai. Woh tamaam log jo

phannay khan bntay hain k

unhen barii general knowl-

edge hai woh aik dafa zaroor

is main hissa lain InsahAl-

lah 3 round khel k tabyat set

ho jae gii and phr aap kabhii

pharrian naii maren gay! ;)

By Uzair Ahmed

Pyaray bacho, aik dafa ka

zikar hai kay aik student,

jo kay very innocent bhi

tha, (students usually

hotay bhi innocent he

hain), aik school main

study karta tha. Wo

bacha, yani k student,

Maths main bohat hee

layeq aur fayeq, both at

the same time tha. Layeq

iss liye kyun k Maths uss

ka favorite subject tha,

Fayeq iss liye kyun uss ka

naam he Fayeq Ahmed

tha. Any ways, aik din

Fayeq k Layeq zehan

main aik ajeeb-o-ghareeb

khayaal aaya. Uss ne iss

k baaray main apnay

teacher se talking-

shawking ki. Khayaal ye

tha kay agar main aik

negative number ko

Square Root k andar band

kar doon to result kya ho

ga. Uss k teacher nay

kaha k Fayeq beta, ye aap

kay bus ki baat nahi k

aap negative number ko

Square root main band

karnay k baad bhi aasaan

zindagi guzaar sako. Ye

bohat he Complex cheez

hai, iss liye aap ye samjho

k negative number ka

square root nahi hota.

Bus, phir kya tha! Fayeq

bhai ki happiness ka koi

thikaana nahi tha! Ye

soch kar wo satisfy ho

gaye k chalo jee negative

numbers k square root se

tou jaan chhoot gai!

Peechay reh gaye positive

numbers! Positive num-

bers tou apnay bach'pan

kay jigri yaar hain. Ab

zindagi aasaan aur Maths

khaala jee ka ghar hai!

Abhi 2-3 years he pass-by

huay thay k Fayeq bhai

10th grade pass kar k 1st

year main promote ho

gaye. Wo bohat happy

thay. Hona bhi chahiye,

because matric pass

karna koi mommy's sis-

ter's house (khala jee ka

ghar) nahi hai. Any ways,

1st year k pehlay he din,

pehli he class mian unhon

nay apni Maths ki book

open kar k dekhi. Wahan

unnko aik cheez, jo kay

ghareeb kam aur ajeeb

zyada thi, nazar aai. Wo

thi "Complex Numbers".

Fayeq bhai k Layeq zehen

main aik alarm baja:

"Square-root, beta, zin-

dagi aasaan, Complex

number, %^&*#$@!!! ..."!

Janaab, jab teacher nay

lecture daina shuru kiya

Complex Numbers pe, tou

Fayeq bhai ko pata chala

kay beta jee, zindagi itni

aasaan bhi nahi hai jitni

kay 7th class main nazar

aati thi... Lecturer nay

bataya k agar hum aik

negative number ko

Square Root k andar band

kar dain to aik "i" piada

ho jaye ga, aur wo "i" iota

k naam se jaana jata hai,

issko aap facebook pe

nahi search kar saktay,

lekin ye "i" bohat he

kaam ki cheez hai. Fayeq

bhai sub samajh gaye! Ye

"i" teachers k kaam ki

cheez iss liye hain kyun

kay wo issay use kar k

innocent aur Layeq Fayeq

students ko fail kartay

hain! Ab tou Fayeq bhai

ki disappointment ka koi

thikaana nahi tha! Wo

samajh gaye k Complex

Numbers kay saath zin-

dagi tail aur Maths azaab

-o-wabaal-e-jaan-o-sohaan

-e-rooh aur jaliabi ki ta-

rah seedhi hai! Ye kha-

yaal aana tha k Fayeq

bhai aik BANG k saath

New York k Twin Towers

ki tarah zameen pay aa

rahay.

Lekin: Picture abhi baaqi

hai meray dost! Fayeq

bhai nay iss baat ko ap-

nay liye masla-e-9/11

nahi banaya. Unhon nay

khoob mehnat ki aur apni

zindagi ko Complex ho-

nay se pehlay pehlay

Square Root se baahir

nikaal liya. Fayeq bhai ye

jaan gaye thay kay abhi

zindagi main aisi aur

bohat s i Complex

cheezain dekhnay ko mi-

lain gi, ye to sirf trailer

tha. So, unhon nay to ap-

nay aap ko theatre kay

liye pehlay se prepare kar

liya. Kya aap ready hain?!

Kya aap kay saath bhi koi

aisa Complex co-incidence

hua hai? Han? Likh bhai-

jiye hamain abhi aur ban

jayen Shashca ka part!

Miltay hain Break k

baad!

By S. Ommer Amer

―Yar iqbal ka figure

check kr . Kya por-

trait bna hai!‖

―Maan! kya bola hai

us ny iqbal py ...

Amazing!‖ ―Kya likha

hai yar Iqbal nay! Dil

ko kaat gye unki bat!‖

G janab yeah Shair-e-

Mashriq or Mufaqi-e-

Pakistan Allama

Iqbal ki baaten hain

jo 24th Oct 2011 ko

UET Taxila main

suni gye .... Bhala q?

O g is liyay k "Iqbal

Day" celebrate hoa

tha and us main De-

bates , Painting , Cal-

ligraphy Writing and

Kalaam-e-Iqbal k

muqabalay hoay.

Barii awam aae, and

bara talent aaya and

boht kuch daikhny ko

mila.

You know what, con-

ference hall main

opening ceremony k

baad or phir kuch

formal khutbun or

kalaam-e-iqbal k

baad jo taqreeri mu-

qablun or degar ac-

tivities main hoa that

was exciting! Or log

itna interest ly rahay

thy jesy k unki lottery

nikal ae ho! Itna kuch

tha is roz UET Taxila

main aik sath k mu-

jhy samajh he nhi

araha tha k report

main kya or kesy ar-

range karoon. UET

Taxila pohanchtay hi

meri nazar aik

mohterma py pari,

jinko daikhtay he

meri cycle chattak

chattak chalny lagi or

dil dharak dharak

karny laga! Khair wo

to lift karway bina

Quaid-e-azam debat-

ing society walay hall

main ho leen jahan

mazahiya aur serious

debates main sara

din beet gya. Dosri

taraf Civil Dept. k

Drawing Hall main

pin drop silence thi.

Lag rha tha k Mon-

tessori class k bachon

ko daant k khamosh

krwaya gya ho. Bus

pencil kii cheen

chaan ho rhi thii and

kbhi kisi ka scale gir

jaata to dhar ki awaz

aatii. Main ny

maloom kiya k kya

maajra hai to pata

chala k Sketching

and Painting ka mu-

qabala ho rha hai and

fingers Iqbal ki fig-

ures bna rhi hain. :D

Phr main computer k

Exam hall main po-

hancha to dekhta hun

paper ho rha hai,

main ny pocha kher-

yat? Aaj kis ka par-

cha hai? To btaya gya

k awam Writing Com-

petition main masroof

hai

To g yeah parhai lik-

hai ki baaten hoti

rhen 24th of October

ko UET Taxila main!

But aik baat dil ko

lagtii hai k hum apny

mohsin ki izzat naii

krtay. Aik din Iqbal

Day k naam py

shughal mela krnay

say maqsad poora

naii hota! Ab ap yay

mat kehna k at least

aik week to chutti ho

so that full time

masti or non stop fun

ho sky! :P Bat zara

sochny ki hai! Ghoor

karna meri bat py ap

sub log! Agar mind

hai tou. :P

Ye kia Iqbal

Iqbal ho ri hay! Aik complex kahani

Page 9: Shashca 3rd Issue

[email protected]

By Awais Akhtar

Is haftay jo post meray keyboard se jo type ki gayi hai

us ka title hai “ kaise taraqi yafta

(Developed/Developing Nations) apnay education sys-

tem ko overhaul kar k apni youth ko develop kar rahi

hain , to make them a weapon for the sustainability and

progress, is post ko publish karnay ka aik maqsad hai k

aala hazrat jo responsible posts par hain , un ki tawaja

dilayi jae in order to save our YOUTH from being rotten

and falling in people jin k designs evil hun.

Friends, nechay biyan shuda examples kuch aisay

mulkon ki hain jinhun ne apni identity world main

manwai balkay now they are called revolutionary lead-

ers in Manufacturing, Service, and Defense Industries.

Main ziada dur nahin jaun ga , balkay Asian Examples

ko lounga jo hamaray qareeb and neighbouhood main

hain , who face the challenges more than us , jahan tak

resources ki baat hai who bhi hamaray pas ziada hain

and strategic location ka advantage bhi, sari baat dedi-

cation , devotion and good governance ki hai

China

China ne apnay education system ka major uplift proc-

ess 90‘(s) k mid se starts kiya. World History, geogra-

phy & English ko mandatory qarar day dia giya in ele-

mentary schools. Chinese State Councilor Liu Yandong

ne kaha ―"The Chinese government always encourages

the public, especially the youth, to learn foreign lan-

guages, and through the learning, they are enlightened

on the diversified cultures around the world."

In Steps k baad China ak aur strategy k saath agar

barh raha hai jis ka name ―2020 education reform‖Jo

real-world challenges k liye khaas taur par banaya gya

hai, jaise k student response time and student ki cram-

ming capability and formulas yaad karnay ki ability

par nahin ho ga jaise k hamaray mulk main ho raha

hai, which are hampering student‘s ability to develop.

In Science, Inauthentic demonstrations, calculations &

drills ko replace kar diya hae ga experiments of real-

world applications, jin ka focus hoga energy, health and

conservation of resources.

Singapore

MOE Singapore ne education plan strengthen karnay k

liye 2010 main aik strategy plan out ki to challenge

21st century competencies, jo include kartu hain global

literacy aur cross cultural skills, jis k kuch points hain

effective communication, ability to ask question, work

in team and be updated and informed about one‘s own

country and the world .This is an excerpt jo main ne

worth sharing samjha with you people while coming

across their site (Competencies for a Changing World):

and wrong, is adaptable and resilient, knows himself, is

discerning in judgment, thinks independently and criti-

cally, and communicates effectively.

Self-directed learner, who questions, reflects, per-

severes, and takes responsibility for his own learning.

Active contributor who is able to work effectively in

teams, is innovative, exercises initiative, takes calcu-

lated risks, and strives for excellence.

Concerned citizen, who is rooted to Singapore, has

a strong sense of civic responsibility, is informed about

Singapore and the world, and takes an active part in

bettering the lives of others around him.

Korea

After The Korean War (25 June 1950 – 27 July 1953)

that resulted in division of North & South Korea, the

38th Parallel increasingly became a political border

between the two Koreas.

South Korea ne American Support ko apnay faiday

(Incorporated Growth & Development) K liye use kiya

because un k liye un ki country ka interest sab se peh-

lay tha not like us, our Rulers jinhun ne American sup-

port ko apnay interest, apni government, apnay rule k

liye use kia and sent our nation lagging behind. Now

South Korea (Developed country with high standard of

living) ka jo status hai who sari duinya maanti hai.

Asia's fourth largest economy and the

world's 15th (nominal) or 12th (purchasing power par-

ity) largest economy.

They showed the world how American support can

make them successful. In Korea, in addition to core

subjects like math and science, students are required to

take world geography, world history, physical educa-

tion, arts, and music. English has been required since

1945

The government is working to improve teachers'

ability to teach for a global knowledge economy. For

instance, the government provides Korean and Ameri-

can teachers opportunities for exchange and training

utilizing the differences in Korean (winter break) and

U.S. (summer break) school vacation calendars.

The Korean government also provides out-

standing graduates from teachers' colleges with field

training in overseas schools. They offer financial sup-

port for teachers to complete professional education

courses and to obtain teaching certification in that

country.

India

Ji haan , Republic of INDIA which has proved itself

as a emerging leader and 2nd most paced develop-

ing country, yeh position aik dam India ko nahin

mili but is k pechay shamil hai aik poori planning

and devotion, India k andar poverty level ham se

kahein zada hai , population boom bhi but they are

making this challenge an opportunity. There is

a vast disparity in quality and access to education,

a gap the government is trying to close.

Despite this larger challenge, the government has

realized that preparing students for the global

economy is important and must be a part of their

reform efforts. In September, the government an-

nounced a new pilot program (that is starting out

on a small scale), which will include less emphasis

on memorization and put more on analytic and

communications skills, as well as a global focus in

the curriculum.

Students will study three languages instead of two

(currently they must take English and Hindi or a

local language). Literature from around the world

and world history will be required. There will be

less focus on textbooks, and an increased focus on

project-based learning, service learning, discus-

sions, and experiments as well as international

business communication and technology skills.

I hope & wish after reading all these examples

Youith will think about the future of incoming genera-

tions, so what if we weren‘t provided the opportunities,

we have to pledge that we will not let our coming gen-

eration suffer and will support all the positive educa-

tion initiatives taken by examples of such vibrant and

hardworking countries. Examples that are working in

Pakistan are practical grounds are very few, one such

organization is http://www.teachforpakistan.edu.pk/

One should Support their IDEA and be a part of it.

Educational Policies

of different nations

Honestly, jab mujhy Chiniot ki rehnay

wali is choti c innocent bachi Sitara,

ki achievement ka pata chala na k is

ny 11 sal ki omar main O-level Eng-

lish, Mathematices or Science pass

kar k world record bana dya hai tou

mujhy jitni khushi or excitement hoi,

uski koi intaha na the! But meri ank-

hain us waqt khuli ki khuli reh gaeen

jab mujhy khayal aya k 11 sal ka mat-

lab hamary educational system main

5th ya 6th class ka bacha hai! I won-

der, Allah Talah ny is bachi ko kitna

talent ata kya hai. MasahAllah. She

is definitely a source of inspiration

and one of the greatest Takhreeb kar

of Shashca – youth ka newspaper!

You know what guys, is larki ny apni

zahanat k johar pehli bar nhi dikha‘ay

rather is ny to 11 sal ki age main O-

level Biology b pass kar li thi. Or phir

is sy b barh ka amazing bat kya hai

bhala! 9 years ki age main jab ap or

main 2 pa-yoon wali cycle chalana

seekh rahay hoty hain, is intelligent

larki ny O-level Chemistry b pass kar

li the. She is simply WOW! Isn‘t she?

Sitara ny itni nanhi c age main, jab

usky Barbie sy khailny k din b pory

nahi hoay, O-level ki English, Mathe-

matics, Physics, Chemistry and Biol-

ogy pass kar k any wali generation k

lya new trend set kar dya hai! Ap bhe

apnay ghar k bachoon ko Sitara k

bary main batana or phr Shashca –

youth ka newspaper ko inform karna

k hai koi esa Takhreeb kar jo Sitara

ka record tor sky ya torny ka irada

rakhta/rakhti ho???

Ab Barbie or Cycle zamanay ga‘ay, ab

tou study zamany aga‘ay! And hey

listen, I never said k ap sub apny sib-

lings ko nerd bun jany ka sabaq do!

Rahter Sitara ki tarha other curricu-

lar and co curricular activities ma b

participate karnay ka kaho. You know

what, Sitara obtained 7 out of 9 band

in International English Language

Test System (IELTS)! Hamain umeed

hai k ap main sy boht soon ko aj pehli

bar IELTS ka abbreviation pata chala

hoga but still never mind man! :D abi

b apkay pass time hai! Utho or kuch

Takhreeb Kari ap b kar k dikhaoo or

phr hamain likh bhajoo…Hum dunya

ko or so-called terrorist- Takhreeb

Karoon ko bataeen gy k daikhoo bhai

hamary pass tum sy barh kar Tahreeb

Kar hain! We are proud of you Sitara!

Jug jug geo or dono worlds main

dhairroonn dhair kamyabeyan hasil

karo or mulk-o-koom ka nam roshan

karo. Or han suno! Hamesha down to

earth rehna! Phal hamesha jhuki hoe

tehni ko he lagta hai! :)

Takhreebkaari!

Revolution Flame waalon ne recently aik competition organize kiya tha ―Let‘s spread love‖ ke naam

se. Is event mei karna ye tha ke photography aur writings ke zariye muhabbat

ka paighaam dena tha. Aray larki propose nahi karna tha yar, piar o mohobbat

aur aman o aashti ka paighaam dena tha. Han wohi, love peace and harmony

wala.

Tou janaab ye competition bohot successful raha. Aur is ke results bhi ho gaye

announce. Aur un results ke tehet, ―facebook likes‖ ki base par nahi balkeh quality

aur creativity ki base per judgment hua hay. Chalain phir aayen, hum bhi dekhain

zara ke kia judgment hua hay aur winner kaun hay!

The winner of writing category is:

Zunaira Afzal for her write up “Lets Paint Love”

And winner of photography contest is:

Salman Saeed for his photograph “Lets never lie to the ones you love”

In the writing category, there are two runner ups as well who deserve to be mentioned as they were

no less than best. They are:

Love Begets Love by Hira Mawra

Lets Not Burn, Lets Ignite it by Zahra Batool

Mubarak ho ji sab winners aur runners up ko. Kia baat hay aap sab ki tou!

Revolution Flame

Announces

“Let’s spread love” results! Chiniot ki Sitara ka world record!

Page 10: Shashca 3rd Issue

www.facebook.com/shashca

Team Shashca

Ali Suleman Editor in Chief

[email protected]

Salman Latif Sub Editor

[email protected]

Waleed Hasan Head Promotions

[email protected]

Hassan Raza Web Developer

[email protected]

FD. Sheikh Bureau Chief

[email protected]

Hunza Tauseef Business & Social Editor

[email protected]

Sadiya Akhtar Entertainment Editor

[email protected]

Sarmad Munir Sports Editor

[email protected]

Zeeshan Ahmed Head Columns

[email protected]

www.shashca.com

[email protected]

Shashca Ambassadors

Kanaan Asif

Quetta

Maham Naeem

Islamabad

Riaz Manglo

Sukkur

Madiha Rahman

Karachi

Maria Shahid

Rawalpindi

Zobarya Fakhar

Lahore


Top Related