anaab raghupati sahay

73
anaab Raghupati Sahay Firaaq Gorakhpuri ka maine yahan zikr to kiya hai kuch latifon mein lekin aapko unki shayari se ta’aruf nahi karvaya hai abhi tak. Yeh meri laparvahi hai aur iske liye aapki mazrat chahunga. Khair, ab is ka kuch kiya jayega, aur aapko Firaaq ke kalaam yahan aksar milenge. Is baar ke liye do ghazalen air kuch asha’ar aapke nazar. Yeh pehli ghazal shayad aapne suni ho. Ise ek jaane maane gulkar ne pesh kiya hai, jisko sun ne be baad meri bhi yaadein taza ho gayi…. Bahut pahle se un kadmon ki aahaat jaan lete hai Tujhe ai zindagi ham door se pahchaan lete hai Meri nazre bhi aise qaatilon ka jaan-o-imaan hai Nigaahen milte hi jo jaan aur imaan lete hai Tabiyat apni ghabrati hai jab sunsaan raaton mein Ham aise mein teri yaadon ki chaadar taan lete hai Khud apna faisla bhi ishq mein kafi nahi hota Use bhi kaise kar guzren jo dil mein than lete hai Jise soorat bataate hai pata deti hai seerat ka Ibaarat dekh kar jis tarha maanii jaan lete hai Tujhe ghaata na hone denge kaarobaar-e-ulfat mein Ham apne sar tera ae dost har ehsaan lete hai Hamaari har nazar tujhse nayi saugandh khaati hai To teri har nazar se ham naya paigham lete hai Firaq aksar badal kar bhes miltaa hai koi kaafir Kabhi ham jaan lete hain kabhi pehchaan lete hai Aur yeh bhi Shaam-e-gham kuch us nigaah-e-naaz ki baaten karo Bekhudi badhti chali hai raaz ki baaten karo Nakhat-e-zulf-e-pareshaan, dastaan-e-shaam-e-gham Subah hone tak isi andaaz ki baaten karo Ye sukut-e-yaas ye dil ki ragon ka tootna Khamoshi mein kuch shikast-e-saaz ki baaten karo Har rag-e-dil vazd mein aati rahe dukhti rahe Yun hi us ke ja-o-beja naaz ki baaten karo Kuch qafas ki tiliyon se chhan raha hai noor sa Kuch faza kuch hasrat-e-parvaaz ki baaten karo Jis ki furqat ne palat di ishq ki kaaya Firaq Aaj usi Isa-nafas damsaaz ki baatein karo Aur yeh bhi dekh len…. Aane waale nasle tum pe rashk karengi ham-aseeron Jab un ko ye dhyan aayega tum ne Firaaq ko dekha tha Ham se kya ho saka mohabbat mein Khair tum ne to bewafai ki Aaj unhen meharbaan pa kar Khush hue aur ji mein dar bhi gaye Tum mukhatib bhi ho qareeb bhi ho Tum ko dekhun ki tum se baat karun Kharab hoke utha hoon teri nigaahon se Main sochta hoon duniya sanvar gai hogi Masoom hai mohabbat lekin isi ke haathon Ai jaan-e-ishq main ne tera buraa bhi chaaha Abhi ke liye yeh hi… Firaaq se jald phir mulaqat hogi….

Upload: rahul-raj

Post on 25-Oct-2014

74 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: Anaab Raghupati Sahay

anaab Raghupati Sahay Firaaq Gorakhpuri ka maine yahan zikr to kiya hai kuch latifon mein lekin aapko unki shayari se ta’aruf nahi karvaya

hai abhi tak. Yeh meri laparvahi hai aur iske liye aapki mazrat chahunga. Khair, ab is ka kuch kiya jayega, aur aapko Firaaq ke kalaam yahan

aksar milenge. Is baar ke liye do ghazalen air kuch asha’ar aapke nazar.

Yeh pehli ghazal shayad aapne suni ho. Ise ek jaane maane gulkar ne pesh kiya hai, jisko sun ne be baad meri bhi yaadein taza ho gayi….

Bahut pahle se un kadmon ki aahaat jaan lete hai

Tujhe ai zindagi ham door se pahchaan lete hai

Meri nazre bhi aise qaatilon ka jaan-o-imaan hai

Nigaahen milte hi jo jaan aur imaan lete hai

Tabiyat apni ghabrati hai jab sunsaan raaton mein

Ham aise mein teri yaadon ki chaadar taan lete hai

Khud apna faisla bhi ishq mein kafi nahi hota

Use bhi kaise kar guzren jo dil mein than lete hai

Jise soorat bataate hai pata deti hai seerat ka

Ibaarat dekh kar jis tarha maanii jaan lete hai

Tujhe ghaata na hone denge kaarobaar-e-ulfat mein

Ham apne sar tera ae dost har ehsaan lete hai

Hamaari har nazar tujhse nayi saugandh khaati hai

To teri har nazar se ham naya paigham lete hai

Firaq aksar badal kar bhes miltaa hai koi kaafir

Kabhi ham jaan lete hain kabhi pehchaan lete hai

Aur yeh bhi

Shaam-e-gham kuch us nigaah-e-naaz ki baaten karo

Bekhudi badhti chali hai raaz ki baaten karo

Nakhat-e-zulf-e-pareshaan, dastaan-e-shaam-e-gham

Subah hone tak isi andaaz ki baaten karo

Ye sukut-e-yaas ye dil ki ragon ka tootna

Khamoshi mein kuch shikast-e-saaz ki baaten karo

Har rag-e-dil vazd mein aati rahe dukhti rahe

Yun hi us ke ja-o-beja naaz ki baaten karo

Kuch qafas ki tiliyon se chhan raha hai noor sa

Kuch faza kuch hasrat-e-parvaaz ki baaten karo

Jis ki furqat ne palat di ishq ki kaaya Firaq

Aaj usi Isa-nafas damsaaz ki baatein karo

Aur yeh bhi dekh len….

Aane waale nasle tum pe rashk karengi ham-aseeron 

Jab un ko ye dhyan aayega tum ne Firaaq ko dekha tha

Ham se kya ho saka mohabbat mein 

Khair tum ne to bewafai ki

Aaj unhen meharbaan pa kar 

Khush hue aur ji mein dar bhi gaye

Tum mukhatib bhi ho qareeb bhi ho 

Tum ko dekhun ki tum se baat karun

Kharab hoke utha hoon teri nigaahon se 

Main sochta hoon duniya sanvar gai hogi

Masoom hai mohabbat lekin isi ke haathon 

Ai jaan-e-ishq main ne tera buraa bhi chaaha

Abhi ke liye yeh hi… Firaaq se jald phir mulaqat hogi….

Page 2: Anaab Raghupati Sahay

Register • Login

FAQ

It is currently Thu Feb 16, 2012 6:16 pm

Board index » Shairy » Great Poets and their PoetryAll times are UTC

Firaq GorakhpuriModerators: subahh, нєαят вяєαкєя

Post Reply  Page 1 of 2 [ 65 posts ]  Go to page 1, 2  Next

Print view Previous topic | Next topic 

Author Message

balvinder Post subject: Firaq Gorakhpuri

Posted: Thu Feb 09, 2006 2:59 pm 

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

firaaq gorkhpuri sahab ke bare men kya batayen unke bare men aap sab jante hi hain unka poora nam raghupati sahay 'firaaq'gorkhpuri tha urdoo adab main unko vahi mukam haasil tha jo mirza ghalib,miir taqi miir, md.iqbal ya faiz sahab ko tha jyada na likhte hue lijiye unki is ghazal ka lutf

Page 3: Anaab Raghupati Sahay

lein........

ghazal ke saaz uthao barhi udas hai ratnawa-e-miir sunao,barhi udas hai rat

nawa-e-dard mein ik zindgi to hoti hainawa-e-dard sunao, barhi udas hai rat

udasiyon ke jo humraz-o-humnafas the kabhiunhen n dil se bhulao, barhi udas hai rat

jo ho sake to idhar ki raah bhool parhosanamqade ki hawao, barhi udas hai rat

kahen n tumse to fir aor kisase kahensiyah zulf ke saayo, barhi udas hai rat

abhi to zikr-e-sahar dosto hai door ki batabhi to dekhte jao, barhi udas hai rat

diye raho youn hi kuchh der hath men hathabhi n pas se jao, barhi udas

Page 4: Anaab Raghupati Sahay

hai rat

samet lo ki barhe kam ki hai daulat-e-ghumise youn hi n ganwao, barhi udas hai rat

isi khandahar men kahin kuchh diye hain toote hueinhi se kam chalao, barhi udas hai rat

do-aatasha n banaa de oose nawa-e-firaqye saze-ghum n sunao, barhi udas hai rat

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-detahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

    

 

Zafar M. Post subject:

Posted: Thu Feb 09, 2006 10:53 pm 

EverGreen Member

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pmPosts: 3263

Balvinder Sahib.........shukria! Firaq

marhoom ko yehan introduce kerwane

ke liye!

Leejiye is silsile ko aage badhane ke

liye unki aik aur ghazal:

Page 5: Anaab Raghupati Sahay

Location: Canada

ab aksar chup-chup se rahe hai.n yuu.N

hii kabhuu lab khole hai.n 

pahale "Firaq" ko dekhaa hotaa ab to

bahut kam bole hai.n 

din me.n ham ko dekhane vaalo apane

apane hai.n auqaat 

jaao na tum in Khusk aa.Nkho.n par

ham raato.n ko ro le hai.n 

fitarat merii ishq-o-muhabbat qismat

merii tanhaa_ii 

kahane kii naubat hii na aa_ii ham bhii

kasuu ke ho le hai.n 

baaG me.n vo Khvaab-aavar aalam

mauj-e-sabaa ke ishaaro.n par 

Daalii Daalii nauras patte sahas sahaj

jab Dole hai.n 

uf vo labo.n par mauj-e-tabassum jaise

karavaTe.n le.n kau.nde.n 

haay vo aalam jumbish-e-mizagaa.N

jab fitne par tole hai.n 

in raato.n ko hariim-e-naaz kaa ik

aalam hoye hai nadiim 

khalvat me.n vo narm u.ngaliyaa.N

ba.nd-e-qabaa jab khole hai.n 

Gam kaa fasaanaa sunane vaalo

aaKhir-e-shab aaraam karo 

kal ye kahaanii phir chhe.De.nge ham

bhii zaraa ab so le hai.n 

Page 6: Anaab Raghupati Sahay

ham log ab to paraaye se hai.n kuchh

to bataao haal-e-"Firaq" 

ab to tumhii.n ko pyaar kare hai.n ab

to tumhii.n se bole hai.n

    

 

balvinder Post subject:

Posted: Fri Feb 10, 2006 9:58 am 

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

shukriya zafar sahab firaq sahab ki ek aor ghazal aap ki nazrr....... 

ishq ki jab khataa huee mujhase zindagi toot kar mili mujhase 

nigahe-naaz teri kuchh e dost kah rahi thi abhi-abhi mujhase 

laakh batain thin kahane karne ki n huee ek baat bhi mujhase 

aour to aashqi men kya milta apni hasti bhi chhin gayi mujhase 

kar nazar ki isi tarah takmil 

Page 7: Anaab Raghupati Sahay

kabhi aouron se mil kabhi mujhase 

n milega tujhe koi mujha-sa hain kahan aaj aadmi mujhase 

jisko khoone-jigar se paalaa tha chhin gayi kyon vo zindgi mujhase 

raat-din maut ki duaaen hain nibh chuki rasme-dosti mujhase 

main khud apna hi dost kab hun 'firaq' kya kare koi dosti mujhase

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-detahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

    

 

Zafar M. Post subject:

Posted: Fri Feb 10, 2006 6:09 pm 

EverGreen Member Beautiful..........Leejiye ab aik aur suniye hum se:

Page 8: Anaab Raghupati Sahay

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pmPosts: 3263Location: Canada

jab nazar aap kii ho ga_ii hai zi.ndagii zi.ndagii ho ga_ii hai 

baarahaa bar-Khilaaf-e-har-ummiid dostii dushmanii ho ga_ii hai 

hai vo takamiil purakaariyo.n kii jo merii saadagii ho ga_ii hai 

terii har pursish-o-meharbaanii ab merii bekasii ho ga_ii hai 

bhuul baiThaa hai tuu kah ke jo baat vo merii zi.ndagii ho ga_ii hai 

bazm me.n aa.Nkh uThaane kii taqasiir ai "Firaq" aaj bhii ho ga_ii hai

    

 

balvinder Post subject:

Posted: Sat Feb 11, 2006 2:33 pm 

Page 9: Anaab Raghupati Sahay

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

mazahab vaalon ko ye hasrat kab duniya se koofrr mitega main to bas itna soch rahahoon kab insaan insaan banega 

yaro naahum gundhe hue hain kaaynat ke bikhare tukade ek phool ki zunbish doge to ik tara kaanp uthega 

soch rahaa hoon teri yadain kab tak dil ko malaa karengi wah bhi din aane wala hai jab yah sab bhool chukega 

duniya apni musibat men hai ya fir hai wo apni khushi men hum jaison ki ram-kahaani kon sunega kon sunega 

aane wali naslon ko kuchh naghme dekar uth jaoonga baar-baar gaayenge jee na bharegaa jee na bharegaa 

khushiaan tum to manaate hoge badli huee duniya men yaaro 

Page 10: Anaab Raghupati Sahay

leki tumko 'firaq-e-hazin' bhi yad aayegaa yaad aayegaa

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-detahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

    

 

Zafar M. Post subject:

Posted: Sat Feb 11, 2006 6:58 pm 

EverGreen Member

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pmPosts: 3263Location: Canada

bahut pahale se un qadamo.n kii aahaaT jaan lete hai.n tujhe ai zi.ndagii ham duur se pahachaan lete hai.n 

merii nazare.n bhii aise qaatilo.n kaa jaan-o-imaa.N hai nigaahe.n milate hii jo jaan aur imaan lete hai.n 

tabiyat apanii ghabaraatii hai jab sun-saan raato.n me.n ham aise me.n terii yaado.n kii chaadar taan lete hai.n 

Khud apanaa faisalaa

Page 11: Anaab Raghupati Sahay

bhii ishq me.n kafii nahii.n hotaa use bhii kaise kar guzare.n jo dil me.n Thaan lete hai.n 

jise suurat bataate hai.n pataa detii hai siirat kaa ibaarat dekh kar jis tarahaa maanii jaan lete hai.n 

tujhe ghaaTaa na hone de.nge kaarobaar-e-ulfat me.n ham apane sar teraa ai dost har ehasaan lete hai.n 

hamaarii har nazar tujhase nayii sauga.ndh khaatii hai to terii har nazar se ham nayaa paiGaam lete hai.n 

'Firaq' aksar badal kar bhes milataa hai ko_ii qaafir kabhii ham jaan lete hai.n kabhii pahachaan lete hai.n

    

 

Page 12: Anaab Raghupati Sahay

ROYALMAN Post subject:

Posted: Sat Feb 11, 2006 7:37 pm 

Super Member

Joined: Sat Nov 26, 2005 4:41 pmPosts: 1782

:D :D :D

    

 

dilruba Post subject:

Posted: Sun Feb 12, 2006 1:53 am 

new bie

Joined: Sat Feb 11, 2006 9:48 pmPosts: 43Location: Pakistan

sar me.n saudaa bhii nahiinn dil mai tamannaa bhii nahiin lekin is tark-e-mohabbat kaa bharosaa bhii nahiin 

yuun to hangaame uthaate nahii.n diivaanaa-e-ishq magar ai dost kuchh aison kaa thikaanaa bhii nahii.n 

muddate.n guzarii.n terii yaad bhii aaii na hame.n aur ham bhuul gae ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n 

ye bhii sach hai ke mohabbat me.n nahii.n mai.n majabuur 

Page 13: Anaab Raghupati Sahay

ye bhii sach hai ke teraa husn kuchh aisaa bhii nahii.n 

dil kii gi.ntii na yagano.n me.n na begaano.n me.n lekin is jalvaagaah-e-naaz se uthataa bhii nahii.n 

badagumaa.N ho ke mil aaii dost jo milanaa hai tujhe ye jhijhakte hue milanaa koi milanaa bhii nahii.n 

shikvaa-e-jaur kare kyaa koii us shoKh se jo saaf qaayal bhii nahii.n saaf mukartaa bhii nahii.n 

meharbaanii ko mohabbat nahii.n kahate ai dost aah mujhase to merii ra.njish-e-bejaa.N bhii nahii.n 

baat ye hai ki sukuun-e-dil-e-vahashii kaa

Page 14: Anaab Raghupati Sahay

maqaam ku.nj-e-zi.ndaa.N bhii nahii.n vusa'at-e-seharaa bhi nahii.n 

muu.Nh se ham apane buraa to nahii.n kahate, ke 'Firaq'hai teraa dost magar aadamii achchhaa bhii nahii.n

_________________Dilruba    

 

balvinder Post subject:

Posted: Sun Feb 12, 2006 3:05 pm 

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

bahoot khub dilruba g lijiye ek aour ghazal firaaq sahab ki...... 

duaa sab karte aaye hain duaa se kuchh huaa bhi ho dukhi duniya men bande unginat, koi khuda bhi ho 

yahee hai husn ki khoobee yahee hai shaan-e-mahboobee z-sar-taa-paa taghaaful ho

Page 15: Anaab Raghupati Sahay

koee jaane-wafaa bhi ho 

kahaan vah khalwten din-raat kee aour ab yah aalam hai ki jab milte hain dil kahataa hai koee teesraa bhi ho 

to fir kyaa ishq duniya men kaheen ka bhi n rah jaaye zamaane s e larhaaee mol lee tujhse buraa bhi ho 

muhabbat ki nazar chashmo-charagh-e- bazm-hastee hai jab itanee soorten hain koee soorat-aashnaa bhi ho 

'firaaq' insaan se kyaa faisalaa ho kufrro-eemaan kaa yah hairat-khez-duniya jab khudaa bhi maasivaa bhi ho

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-detahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

    

 

dilruba Post subject:

Posted: Sun Feb 12, 2006 7:26 pm 

Page 16: Anaab Raghupati Sahay

new bie

Joined: Sat Feb 11, 2006 9:48 pmPosts: 43Location: Pakistan

shaam-e-Gam kuchh us nigaah-e-naaz kii baate.n karo beKhudii ba.Dhatii chalii hai raaz kii baate.n karo 

nakhat-e-zulf-e-pareshaa.N, daastaan-e-shaam-e-Gam subah hone tak isii a.ndaaz kii baate.n karo 

ye sukuut-e-yaas ye dil kii rago.n kaa TuuTanaa Khaamoshii me.n kuchh shikast-e-saaz kii baate.n karo 

har rag-e-dil vazd me.n aatii rahe dukhatii rahe yuu.N hii us ke jaa-o-bejaa naaz kii baate.b karo 

kuchh qafas kii tiiliyo.n se chhan rahaa hai nuur saa kuchh fazaa kuchh hasarat-e-paravaaz ki baate.n karo 

jis kii furqat ne palaT dii ishq kii kaayaa "Firaq" aaj usii isaa-nafas dam-saaz kii baate.n karo

Page 17: Anaab Raghupati Sahay

_________________Dilruba    

 

balvinder Post subject:

Posted: Tue Feb 14, 2006 5:10 am 

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

hokar ayaan vo khud ko chhupaye hue se hain ahale-nazar ye *** bhi khaaye hue se hain 

vo toor ho ki hashrr-e-dil afsurdgaan-e-ishq har anjuman men aag lagaaye hue se hain 

subahe-azal ko youn hi zaraa mil gayee thi aankh vo aaj tak nigaah churaye- hue se hain 

hum badghumaan-e-ishq teri bazme-naaz se jaakar bhi tere saamane aaye hue se hain 

ye kurb-o-bod bhi hain saraasar farebe-husn vo aake bhi 'firaaq' n aaye hue se hain 

(kurb-o-bod=paas aor door)

Page 18: Anaab Raghupati Sahay

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-detahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

    

 

dilruba Post subject:

Posted: Wed Feb 15, 2006 1:34 am 

new bie

Joined: Sat Feb 11, 2006 9:48 pmPosts: 43Location: Pakistan

sakuut-e-shaam miTaao bahut

a.Ndheraa hai 

suKhan kii shamaa jalaao bahut

a.Ndheraa hai

dayaar-e-Gam me.n dil-e-beqaraar

chhuuT gayaa 

sambhal ke Dhuu.DHane jaao bahut

a.Ndheraa hai 

ye raat vo ke suujhe jahaa.N na haath

ko haath 

Khayaalo duur na jaao bahut

a.Ndheraa hai 

laTo.n ko chehare pe Daale vo so rahaa

hai kahii.n 

zayaa-e-ruKh ko churaao bahut

a.Ndheraa hai 

havaaye.N niim shabii ho.n ki chaadar-

e-a.njum 

naq aab ruKh se uThaao bahut

a.Ndheraa hai 

Page 19: Anaab Raghupati Sahay

shab-e-siyaah me.n gum ho ga_ii hai

raah-e-hayaat 

qadam sambhal ke uThaao bahut

a.Ndheraa hai 

guzashtaa ahd kii yaado.n ko phir karo

taazaa 

bujhe chiraaG jalaao nahut a.Ndheraa

hai 

thii ek uchakatii hu_ii nii.nd zi.ndagii

usakii 

'Firaq' ko na jagaao bahut a.Ndheraa

hai

_________________Dilruba    

 

balvinder Post subject:

Posted: Fri Feb 17, 2006 12:31 am 

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

raat bhi neend bhi kahaanee bhi haaye kyaa cheez hai javaanee bhi 

dil ko apne bhi gham the duniya men kuchh balaayen theen aasamaanee bhi 

khalk kyaa-kyaa mujhe nahin kahatee kuchh sunoo main teree zabaanee bhi 

Page 20: Anaab Raghupati Sahay

apnee masoomiyon ke parde men ho gayee vo nazar siyaanee bhi 

dil men ik hook bhi uthee e dost yaad aayee teree javaanee bhi 

paas rahanaa kisee ka raat ki raat mehmaanee bhi mezabaanee bhi 

zindagee en deed-e-yaar 'firaaq' zindagee hijr ki kahaanee bhi

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-detahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

    

 

Zafar M. Post subject:

Posted: Fri Feb 17, 2006 8:45 pm 

EverGreen Member

Joined: Sat Jan 28,

kuchh ishaare the jinhe.n duniyaa samajh baiThe the hamus nigaah-e-aashanaa ko

Page 21: Anaab Raghupati Sahay

2006 11:49 pmPosts: 3263Location: Canada

kyaa samajh baiThe the ham

raftaa raftaa Gair apanii hii nazar me.n ho gayevaah rii Gaflat tujhe apanaa samajh baiThe the ham

hosh kii taufiiq bhii kab ahal-e-dil ko ho sakiiishq me.n apane ko diivaanaa samajh baiThe the ham

beniyaazii ko terii paayaa saraasar soz-o-dardtujh ko ik duniyaa se begaanaa samajh baiThe the ham

bhuul baiThii vo nigaah-e-naaz ahad-e-dostiius ko bhii apanii tabiiyat kaa samajh baiThe the ham

husn ko ik husn kii samajhe nahii.n aur ai 'Firaq'mehar_baa.N naamehar_baa.N kyaa kyaa samajh baiThe the ham

Page 22: Anaab Raghupati Sahay

    

 

balvinder Post subject:

Posted: Sun Feb 19, 2006 11:28 am 

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

ummeed-e-marg kab tak, zindagee kaa dard-e-sar kab tak? ye maanaa sabr karate hain muhabbat men,magar kab tak! 

diyaarr-e-dost had hotee hai youn bhee dil bahalne kee! na yaad aayen ghareebon ko tere deevar-o-dar kab tak? 

ye tadbeeren bhee taqdeer-e-muhabbat ban naheen sakteen| kisee ko hijr men bhoole rahenge ham magar kab tak? 

inaayat kee, karam kee,lutf kee aakhir koee had hai! koee kartaa rahegaa chaaraa-e-zakhm-e-jigar kab tak? 

kisee kaa husn ruswaa ho gayaa parde hee parde men| na laaye rang aakhirkaar taaseer-e-nazar kab tak?

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de

Page 23: Anaab Raghupati Sahay

tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

    

 

dilruba Post subject:

Posted: Sun Feb 19, 2006 5:27 pm 

new bie

Joined: Sat Feb 11, 2006 9:48 pmPosts: 43Location: Pakistan

bahut pahale se un qadamo.n kii aahaaT jaan lete hai.n tujhe ai zi.ndagii ham duur se pahachaan lete hai.n 

merii nazare.n bhii aise qaatilo.n kaa jaan-o-imaa.N hai nigaahe.n milate hii jo jaan aur imaan lete hai.n 

tabiyat apanii ghabaraatii hai jab sun-saan raato.n me.n ham aise me.n terii yaado.n kii chaadar taan lete hai.n 

Khud apanaa faisalaa bhii ishq me.n kafii nahii.n hotaa 

Page 24: Anaab Raghupati Sahay

use bhii kaise kar guzare.n jo dil me.n Thaan lete hai.n 

jise suurat bataate hai.n pataa detii hai siirat kaa ibaarat dekh kar jis tarahaa maanii jaan lete hai.n 

tujhe ghaaTaa na hone de.nge kaarobaar-e-ulfat me.n ham apane sar teraa ai dost har ehasaan lete hai.n 

hamaarii har nazar tujhase nayii sauga.ndh khaatii hai to terii har nazar se ham nayaa paiGaam lete hai.n 

'Firaq' aksar badal kar bhes milataa hai ko_ii qaafir kabhii ham jaan lete hai.n kabhii pahachaan lete hai.n

_________________Dilruba    

Page 25: Anaab Raghupati Sahay

 

nikss Post subject:

Posted: Sun Feb 19, 2006 5:40 pm 

nice Dilruba keep it   

Kabhi Pholoon Main, Kabhi Kaliyon Main Tujh Ko Hi Dhontey Rehna Acha Lagta Hai 

Meri Zindagi Ki Khushiyan Tumhee Sey Hain Wabasta Rab Sey Sirf Tumhein Hi Maangna Acha Lagta Hai 

Hamare Darmiyan Haail Rahein Sadiyon Ki Khamoshiyan Kuch Is Tarhan Guftugu Karna Acha Lagta Hai 

Tumhre Baghir Zindagi Ka Koi Tassavur Nahi Hai Kuch Is Tarhan Tumhari Tamanna Karna Acha Lagta Hai 

Tum Hi Ko Chaha,Tum Hi Ko Chahtey Hain Tumhi Ko Chahtey Rehna Acha Lagta Hai 

AnMoL Cheen LonGa Tumhein Duniya Ki Rasmon

Page 26: Anaab Raghupati Sahay

Sey Aey RaHiM, Zamaney Sey Baghawat Karna Acha Lagta Hai

  

 

balvinder Post subject:

Posted: Tue Feb 21, 2006 4:57 pm 

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

janaab nikss ji ham aap ki sharing ke liye aap kaa shukriyaa adaa kartain hain lekin ek gujaarish hai ke pahale aap thred dekh liyaa keejiye. ye thred firaaq saahab ke naam hai yahaan aap firaaq saahab kaa hee kalaam post kareinge to navaazish ho gee lijiye ek ghazal firaaq saahab kee aap kee nazrr......... 

mujhko maaraa hai har ik dard-o-davaa se pahale dee sazaa ishq ne har jurm-0-khataa se pahale 

aatish-e-ishq bharhakaatee hai havaa se pahale honth jalte hain muhbbat mein duaa se pahale 

kitane barpaa hue har gunchaa-e-sarbastaa se khul gayaa raaz-e-chaman

Page 27: Anaab Raghupati Sahay

qabaa se pahale 

chaal hai baadaa-e-hastee kaa chhalktaa huaa jaam ham kahaan the tere naqsh-e-kaf-e-paa se pahale 

ab kamee kyaa hai,tere be-saro-saamanon ko kuchh na thaa teree qasam tark-o-fanaa se pahale 

ishq bebaak ko daave the bahut khilvat mein kho diyaa saaraa bharam sharm-o-hayaa se pahale 

maut ke naam se darte the ham, e shuq-e-hayaat toone to maar he daalaa thaa qazaa se pahale 

be-taqlluf bhee teraa husn khudaaraa thaa kabhee ik adaa aour bhee thee husn-e-adaa se pahale 

ham unhen paa ke firaaq aour bhee kuchh kho gaye ye taklluf to na thaa ahd-o-vafaa se pahale

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de

Page 28: Anaab Raghupati Sahay

tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

    

 

Zafar M. Post subject:

Posted: Tue Feb 21, 2006 7:07 pm 

EverGreen Member

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pmPosts: 3263Location: Canada

Sham-e-gham kuchh us nigaah-e-naaz ki baten kareinBekhudi badhti chali hai raaz ki batein karein

Yeh sukoot-e-naaz yeh dil ki ragon ka tootnaKhamshi mai kuchh shakist-esaaz ki batein karein

Nikhate zulfe pareshan daastane shame ghamSubha hone tak isi andaz ki baten karein

Har rage dil wajd mai aati rahe dukhti raheYun hi ja-o-beja naaz ki batein karein

Jo adam ki jaan hai jo hai payame zindgi

Page 29: Anaab Raghupati Sahay

Us sukoote raaz us awaz ki baten karein

Ishq ruswa ho chala bekaif sa bezaar saAaj uski nargise ghammaz ki batein karein

Jiski furqat ne palat dee ishq ki kaaya FiraqAaj us Eisa nafas dam saaz ki batein karein

    

 

nikss Post subject:

Posted: Wed Feb 22, 2006 2:18 pm 

Meri Zindagi Hai Wo...!!! 

Mujhey lagta hai aisa kabhi kabhi Jaisy woh ajnabi larki Mujh sey pyar karti hai Mujhey chahti hai 

Akser yunhi chup chup ker Dekhti hai, janey kiya sooch ker Nazrein chura jati hai Kuch ghabra si jati hai 

Page 30: Anaab Raghupati Sahay

Apney aanchal ko hawaoon k zoor per lehrati hai Mehsoos mujhey yeh hota hai k Shayad mujhey woh bohat chahti hai 

Mujhey aisa ehsas dilati hai jesay Woh mujh sey kuch kehna chahti hai Meray pochnay per kuch sharma si jati hai Kuch ghabra si jati hai 

"Suniyey" keh kar bhaag jati hai Ajnabi larki shayad pyaar karti hai MIR sey Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey Dil bhi kitna pagal hai Kiya kiya sochta rehta hai 

Kuch masoom sey jazbey hain Kuch undekhey sapney hain Mager woh nahin janti MIR...!!! Meri Zindagi Hai Wo

Page 31: Anaab Raghupati Sahay

  

 

Zafar M. Post subject:

Posted: Sat Feb 25, 2006 2:59 am 

EverGreen Member

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pmPosts: 3263Location: Canada

Pesh hai Firaq Sahab ka yeh kalaam ab:

Moti ho k sheesha, jaam k durJo toot gaya, so toot gayaKab aashkoon se jur sakta haiJo toot gaya so *** gaya

Tum naHaq tukray chun chun karDaman main chupae bhaite hoSheeshoon ka maseeha koi nahikya aas lagaye bhaite ho!

Phir dunia waloon ne tumseYeh sagar le kar phor diaJo maay thi baha di mati mainMehmaan ka shepar tor dia

Is maal ki dhun main

Page 32: Anaab Raghupati Sahay

phirte theTajir bhi buhat, rehzan bhi kayeHai chorNagar yaan muflis kiGar jaan bachi to aan gaye

Yeh saagar, sheeshe, lal - o -geharSaalim hoon to qeemat paate hainYoon tukre tukre hoon to fakatChubte hain, laho lohaate hain

Yaadon k girebano k rafuPar dil ki guzar kab hoti haiIk bakhiya udhera, ik siyayoon umer basar kab hoti hai

Is kar-e-geh hasti main jahanYeh sagar, sheeshe dahlte hainHar shay ka badl mil sakta haiSab daman pur ho sakte hain

Jo hath bahre, yawar hai

Page 33: Anaab Raghupati Sahay

yahanJo aankh uthe, woo bakhtawarYaan dhan dolat ka annt nahihon gaht main daako lakh magar

Kab loot jahpat se hasti kiDokaane kahli hoti hainYaan parbat parbat heere hainyaan sagar sagar moti hain

Kuch log hain jo is dolat parparde latkaye phirte hainhar parbat ko, har sagar koNilaam charhate phirte hain

Kuch woo bhi hain jo lar bhir karYeh parde noch girate hainhasti k Uthaie gayhroon kiHar chal uljahe jaate hain!!

    

 

Page 34: Anaab Raghupati Sahay

dilruba Post subject:

Posted: Sun Feb 26, 2006 11:03 pm 

Joined: Sat Feb 11, 2006 9:48 pmPosts: 43Location: Pakistan

haa.N merii aa.Nkh nam nahii.n 

tum bhii to tum nahii.n ho aaj ham bhii to aaj ham nahii.n 

ab na Khushii kii hai Khushii Gam kaa bhii ab to Gam nahii.n 

maut agarche maut hai maut se ziist kam nahii.n

_________________Dilruba

    

 

Zafar M. Post subject:

Posted: Sun Feb 26, 2006 11:09 pm 

EverGreen Member

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pmPosts: 3263Location: Canada

jab nazar aap kii ho ga_ii hai 

zi.ndagii zi.ndagii ho ga_ii hai 

baarahaa bar-Khilaaf-e-har-ummiid 

dostii dushmanii ho ga_ii hai 

hai vo takamiil purakaariyo.n kii 

Page 35: Anaab Raghupati Sahay

jo merii saadagii ho ga_ii hai 

terii har pursish-o-meharbaanii 

ab merii bekasii ho ga_ii hai 

bhuul baiThaa hai tuu kah ke jo baat 

vo merii zi.ndagii ho ga_ii hai 

bazm me.n aa.Nkh uThaane kii taqasiir 

ai "Firaq" aaj bhii ho ga_ii hai

    

 

dilruba Post subject:

Posted: Sun Feb 26, 2006 11:29 pm 

new bie

Joined: Sat Feb 11, 2006 9:48 pmPosts: 43Location: Pakistan

sitaaro.n se ulajhataa jaa rahaa huu.N shab-e-furqat bahut ghabaraa rahaa huu.N 

tere Gam ko bhii kuchh bahalaa rahaa huu.N jahaa.N ko bhii samajhaa rahaa huu.N 

yaqii.n ye hai haqiiqat khul rahii hai gumaa.N ye hai ki dhokhe khaa rahaa huu.N

_________________Dilruba    

 

Page 36: Anaab Raghupati Sahay

Zafar M. Post subject:

Posted: Sun Feb 26, 2006 11:45 pm 

EverGreen Member

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pmPosts: 3263Location: Canada

sakuut-e-shaam miTaao bahut a.Ndheraa hai suKhan kii shamaa jalaao bahut a.Ndheraa hai 

dayaar-e-Gam me.n dil-e-beqaraar chhuuT gayaa sambhal ke Dhuu.DHane jaao bahut a.Ndheraa hai 

ye raat vo ke suujhe jahaa.N na haath ko haath Khayaalo duur na jaao bahut a.Ndheraa hai 

laTo.n ko chehare pe Daale vo so rahaa hai kahii.n zayaa-e-ruKh ko churaao bahut a.Ndheraa hai 

havaaye.N niim shabii ho.n ki chaadar-e-a.njum naq aab ruKh se uThaao bahut a.Ndheraa hai 

[niim shabii=midnight; chaadar-e-a.njum=sheet of stars] 

Page 37: Anaab Raghupati Sahay

shab-e-siyaah me.n gum ho ga_ii hai raah-e-hayaat qadam sambhal ke uThaao bahut a.Ndheraa hai 

guzashtaa ahd kii yaado.n ko phir karo taazaa bujhe chiraaG jalaao nahut a.Ndheraa hai 

thii ek uchakatii hu_ii nii.nd zi.ndagii usakii 'Firaq' ko na jagaao bahut a.Ndheraa hai

    

 

dilruba Post subject:

Posted: Sun Feb 26, 2006 11:52 pm 

new bie

Joined: Sat Feb 11, 2006 9:48 pmPosts: 43Location: Pakistan

mujhako maaraa hai har ek dard-o-davaa se pahale dii sazaa ishq ne har jurm-o-Khataa se pahale 

aatish-e-ishq bha.Dakatii hai havaa se pahale ho.NTh jalate hai.n muhabbat me.n duaa se pahale 

Page 38: Anaab Raghupati Sahay

ab kamii kyaa hai tere be-sar-o-saamaano.n ko kuchh na thaa terii qasam, tark-o-fanaa se pahale 

ishq-e-bebaak ko daave the bahut Khalavat me.n kho diyaa saaraa bharam sharm-o-hayaa se pahale 

maut ke naam se Darate the ham, ai shauq-e-hayaat tuune to maar hii Daalaa thaa qazaa se pahale 

ham u.nhe.n paake "Firaq" aur bhii kuchh khoye gaye ye takalluf to na the ahad-e-vafaa se pahale

_________________Dilruba    

 

Zafar M. Post subject:

Posted: Sun Feb 26, 2006 11:55 pm 

EverGreen Member kuchh ishaare the jinhe.n duniyaa samajh baiThe the ham

Page 39: Anaab Raghupati Sahay

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pmPosts: 3263Location: Canada

us nigaah-e-aashanaa ko kyaa samajh baiThe the ham

raftaa raftaa Gair apanii hii nazar me.n ho gayevaah rii Gaflat tujhe apanaa samajh baiThe the ham

hosh kii taufiiq bhii kab ahal-e-dil ko ho sakiiishq me.n apane ko diivaanaa samajh baiThe the ham

beniyaazii ko terii paayaa saraasar soz-o-dardtujh ko ik duniyaa se begaanaa samajh baiThe the ham

bhuul baiThii vo nigaah-e-naaz ahad-e-dostiius ko bhii apanii tabiiyat kaa samajh baiThe the ham

husn ko ik husn kii samajhe nahii.n aur ai 'Firaq'mehar_baa.N naamehar_baa.N kyaa kyaa samajh baiThe the

Page 40: Anaab Raghupati Sahay

ham

    

 

balvinder Post subject:

Posted: Mon Feb 27, 2006 3:21 pm 

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

shukriya dilruba ji aour zafar bhai aapkaa bhi shukriya firaaq sahab ko yahaan jindaa rakhane ke liye lijiye ek ghazal hamaari zanib se bhi...... 

maut ek geet raat gaatee thee zindagee jhoom-jhoom jaatee thee 

rote jaate the tere hijr-e-naseeb raat furqat kee dhaltee jaatee thee 

tere unn aansoonon ko yaad aayee zindagee jinmein muskuraatee thee 

zikr thaa rang-o-boo kaa ao' dil mein teree tasveer utartee jaatee thee 

dard-e-hastee chamak uthaa jismein vo ham ahle-vafaa kee chhaatee thee 

Page 41: Anaab Raghupati Sahay

zindagee ko vafaa kee raahon mein maut khud raushanee dikhaatee thee 

saamane tere jaise koee baat yaad aa-aa ke bhool jaatee thee 

vo teraa gham ho yaa gham-e-duniya shammay-see dil mein jhilmilaatee thee 

zindagee zindagee ko waqte-safar kaaravaan-kaaravaan chhupaatee thee

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-detahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

    

 

Zafar M. Post subject:

Posted: Wed Mar 01, 2006 3:40 am 

EverGreen Member ab aksar chup-chup se

Page 42: Anaab Raghupati Sahay

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pmPosts: 3263Location: Canada

rahe hain yoon hi kabhoo lab khole hain pahale "Firaq" ko dekhaa hotaa ab to bahut kam bole hain 

din main ham ko dekhane vaalon apani apani hai auqaat jaao na tum in khusk aankhon par ham raaton ko roo ley hain 

fitarat meri ishq-o-muhabbat qismat meri tanhai kahane ki naubat hi na aye ham bhi kasoo ke ho ley hain 

baagh main vo Khawab-aavar aalam mauj-e-sabaa ke ishaaron par dalii daalii nauras patte sahas sahaj jab dole hain 

uf vo labon par mauj-e-tabassum jaise karavaten len kaunden haay vo aalam jumbish-e-mizagaan jab fitne par tole hain 

in raaton ko hariim-e-

Page 43: Anaab Raghupati Sahay

naaz kaa ik aalam hoye hai nadim khalvat main vo narm ungaliyaan band-e-qabaa jab khole hain 

Gam kaa fasana sunane vaalo aakhir-e-shab aaraam karo kal ye kahanii phir cherenge ham bhi zaraa ab so le hain 

ham log ab to paraaye se hain kuch to bataao haal-e-"Firaq" ab to tumhin ko pyaar kare hain ab to tumhin se bole hain

    

 

balvinder Post subject:

Posted: Thu Mar 02, 2006 10:01 am 

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

arey khwaab-e muhabbat kee bhee kyaa taabeer hotee hai khulein aankhein to duniyaa dard kee tasveer hotee hai 

ummeedein toot jaayein aour fir jeetaa rahe koee na poochh ai dost ! kyaa footee huee taqdeer haotee hai 

Page 44: Anaab Raghupati Sahay

saraapaa dard hokar jo rahaa jeetaa zamaane mein usee kee khaak yaaro ghairate-aqseer haotee hai 

jalaa jis waqt parvaanaa,nigaahein fer lee.n mujhase bharee mahafil mein dar pardaa meree taa'zeer hotee hai 

azal aaee badnaame-muhabbat ho ke jaataa hoon vafaa se haath uthaataa hoon barhee taqseer hotee hai 

kisee kee zindagee ai dost jo dharhkon mein gujaree thee usee kee jhilmilaatee shamm'ay ik tasveer hotee hai 

'firaaq'ik shamm'ay sar dhultee hai pichhalee shab jo baaleen par meree jaatee huee duniyaa kee ik tasveer hotee hai

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-detahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

Page 45: Anaab Raghupati Sahay

    

 

Zafar M. Post subject:

Posted: Thu Mar 02, 2006 5:45 pm 

EverGreen Member

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pmPosts: 3263Location: Canada

kabhii paabandiyo.n se chhuuT ke bhii dam ghuTane lagataa hai dar-o-diivaar ho jin me.n vahii zi.ndaa.N nahii.n hotaa 

hamaaraa ye tajurbaa ki Khush honaa muhabbat me.n kabhii mushkil nahii.n hotaa, kabhii aasaa.N nahii.n hotaa 

bajaa hai zabt bhii lekin muhabbat me.n kabhii ro le dabaane ke liye har dard o naadaa.N nahii.n hotaa 

yaqii.n laaye.N to kyaa laaye.N jo shak laaye.N to kyaa laaye.N 

Page 46: Anaab Raghupati Sahay

ki baato.n se trii sach-jhuuTh kaa imkaa.N nahii.n hotaa

    

 

balvinder Post subject:

Posted: Sat Mar 04, 2006 3:07 pm 

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

jaane kyaa baat hai kiss cheez kee yaad aatee hai shaam ko roz tabiyat meree ghabraatee hai 

saaf sun lo mere asha'aar ki zer-o-bam mein dil-e-getee ke dharhakane kee sadaa aatee hai 

iss hayaa kaa teree ai jaan-e-hayaat kyaa kahanaa ki teree yaad bhee aate hue sharmaatee hai 

ho bhalaa bekhudee-e-gham kaa ki ab to mujhko muddhaton baad kaheen meree khabar aatee hai 

kuchh na kuchh waqt bhee kat jaataa hai ro lene se aour yakgunaa tabeeyat bhee sanbhal jaatee hai 

subah aainaa dikhaatee hai fajaa

Page 47: Anaab Raghupati Sahay

ko jis waqt saaf isme teree tasveer nazar aatee hai 

ishq mein kaun thee vo baat mujhe yaad nahin zindagee aaj jise soch ke pachhataatee hai 

himmat ai ahal-e-watan yaad rahe qaumon kee dekhate-dekhate taqdeer palat jaatee hai 

zindagee ishq kee kyaa poochhate ho kyaa hai'firaaq' maut hee maut harek simt nazar aatee hai

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-detahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

    

 

Zafar M. Post subject:

Posted: Sat Mar 04, 2006 7:22 pm 

EverGreen Member na jaane ashk se

Page 48: Anaab Raghupati Sahay

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pmPosts: 3263Location: Canada

aa.Nkho.n me.n kyo.n hai aaye hueguzar gayaa zamaanaa tujhe bhulaaye hue

jo manzile.n hai.n to bas raharavaan-e-ishq kii hai.nvo saa.Ns ukha.Dii hu_ii paa.Nv Dag_magaaye hue

na rah_zano.n se ruke raaste mohabbat kevo kaafile nazar aaye luTe luTaaye hue

ab is ke baad mujhe kuchh Khabar nahii.n un kiiGam aashanaa hue apane hue paraaye hue

ye iztiraab saa kyaa hai ki muddate.n guzariitujhe bhulaaye hue terii yaad aaye hue

Poet: Firaq

    

 

balvinder Post subject:

Posted: Mon Mar 06, 2006 4:28 pm 

Page 49: Anaab Raghupati Sahay

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

dekhte dekhte utar bhi gaye un ke teer apna kaam kar bhi gaye 

husn per bhi kuch aa gaye ilzaam go bahut ahl-e-dil ke sar bhi gaye 

yun bhi kuch ishq nek naam na tha loag badnaam usko kar bhi gaye 

kuch pareeshaan se the bhi ahl-e-junoon gesoo-e-yaar kuch bikhar bhi gaye 

aaj unhein meherbaan sa paakar khush hue aur jee mein dar bhi gaye 

ishq mein roth kar do aalam se laakh aalam mile jidhar bhi gaye

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-detahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

Page 50: Anaab Raghupati Sahay

    

 

Zafar M. Post subject:

Posted: Wed Mar 08, 2006 9:25 pm 

EverGreen Member

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pmPosts: 3263Location: Canada

ras me.n Duuba huaa laharaataa badan kyaa kahanaakaravaTe.n letii hu_ii subah-e-chaman kyaa kahanaa 

baaG-e-jannat me.n ghaTaa jaise baras ke khul jaayeso.ndhii so.ndhii terii Khushbuu-e-badan kyaa kahanaa 

jaise laharaaye ko_ii sholaa kamar kii ye lachaksar ba-sar aatish-e-sayyaal badan kyaa kahanaa 

qaamat-e-naaz lachakatii hu_ii ik qaus-o-e-qazaahzulf-e-shab ra.ng kaa

Page 51: Anaab Raghupati Sahay

chhayaa huaa gahan kyaa kahanaa 

jis tarah jalvaa-e-firdaus havaao.n se chhiinepairaahan me.n tere rangiinii-e-tan kyaa kahanaa 

jalvaa-o-pardaa kaa ye ra.ng dam-e-nazzaaraajis tarah adh-khule ghu.NghaT me.n dulhan kyaa kahanaa 

jagamagaahaT ye jabii.n kii hai ke pau phaTatii haimuskuraahaT hai terii subah-e-chaman kyaa kahanaa 

zulf-e-shab_guu.N kii chamak paikar-e-siime.n kii damak diip maalaa hai sar-e-gang-o-jaman kyaa kahanaa

    

 

balvinder Post subject:

Posted: Fri Mar 10, 2006 6:18 pm 

Junior Addict Memberai jazb-e-nihaa.N aur ko_ii hai ke

Page 52: Anaab Raghupati Sahay

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

vahii hai Khilavat-kadaa-e-dil me.n aavaaz hu_ii hai 

kah de to zaraa sar tere daaman me.n chhipaa luu.N aur yuu.N to muqaddar me.n mere be-vatanii hai 

vo ra.ng ho yaa buu ho ke baad-e-saharii ho ai baaG-e-jahaa.N jo bhii yahaa.N hai safarii hai 

ye baarish-e-a.nvar ye ra.ngiini-e-guftaar gul-baarii-o-gul-sairii-o-gul-pairahanii hai 

ai zi.ndagii-e-ishq me.n samajhaa nahii.n tujh ko jannat bhii jahannum bhii ye kyaa buulajabii hai 

hai nutq jise chuumane ke vaaste betaab sau baat kii ik baat terii be-sakhunii hai 

mauje.n hai.n mai-e-surKh kii yaa khaTT-e-dahan hai.n lab hai ki ko_ii sholaa-e-barq-e-ambii hai 

jaage hai.n "Firaq" aaj Gam-e-

Page 53: Anaab Raghupati Sahay

hijaraa.N me.n taa-subah aahistaa se aa jaao abhii aa.Nkh lagii hai

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-detahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

    

 

balvinder Post subject:

Posted: Sun Mar 12, 2006 5:33 pm 

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

yuk lakht badalti hui aalum ka samaan chal ik aag lagaayee huee larzaan va tapan chal jaati hui dunia-e-chaman ki nigraan chal aati hui rangeeniyon sey jalwaa fishaan chal 

ai baad-e-khizaan, baad-e-khizaaN, baad-e-kHhzaan chal ai baad-e-khizaan chal 

goonche ko chaman mein jo chatakna ho chatak ley jiss rang ko gulshan mein

Page 54: Anaab Raghupati Sahay

chamakna ho chamak ley gar husn-e-gulistan ko damakna ho to damak ley kuchh din kamar-e-baad-e-bahaari lachak ley 

ai baad-e-khizaan, baad-e-khizaaN, baad-e-khizaan chal ai baad-e-khizaan chal 

badmastiyon ka daur guzar jaaye, guzar jaaye barg-o-gul va sabzaa ka charhaa nasha utar jaaye yeh bazm-e-chaman soo-e-adam khaaq basar jaaye sheeraazaa-e-gulzaar bikhar jaaye, bikhar jaaye 

ai baad-e-khizaan, baad-e-khizaan, baad-e-khizaan chal ai baad-e-khizaan chal 

phoolon ke chiraghaan ko bujha dey to bujha dey aatey hi gulistaan mein ik andher machaa dey har phool ko ik nikahate-e-barbaad bana dey gulzaar ka gulzaar lutaa dey to lutaa dey 

ai baad-e-khizaan, baad-e-khizaan, baad-e-khizaan chal ai baad-e-kHizaaN chal 

Page 55: Anaab Raghupati Sahay

arbaab-e-chaman ko kafan-e-khaaq urhaatee baaleedgi har zarrey mein aatee hai chhupaatee too marg-e-nibataat hai to rooh-e-nibaatee ya jaan-e-namo mauj-e-fanaa ban ke hai aatee 

ai baad-e-khizaan, baad-e-khizaan, baad-e-khizaan chal ai baad-e-khizaan chal

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-detahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

    

 

Zafar M. Post subject:

Posted: Tue Mar 14, 2006 1:23 am 

EverGreen Member

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pmPosts: 3263Location: Canada

ab aksar chup-chup se rahe hai.n yuu.N hii kabhuu lab khole hai.n pahale "Firaq" ko dekhaa hotaa ab to bahut kam bole hai.n 

Page 56: Anaab Raghupati Sahay

din me.n ham ko dekhane vaalo apane apane hai.n auqaat jaao na tum in Khusk aa.Nkho.n par ham raato.n ko ro le hai.n 

fitarat merii ishq-o-muhabbat qismat merii tanhaa_ii kahane kii naubat hii na aa_ii ham bhii kasuu ke ho le hai.n 

baaG me.n vo Khvaab-aavar aalam mauj-e-sabaa ke ishaaro.n par Daalii Daalii nauras patte sahas sahaj jab Dole hai.n 

uf vo labo.n par mauj-e-tabassum jaise karavaTe.n le.n kau.nde.n haay vo aalam jumbish-e-mizagaa.N jab fitne par tole hai.n 

in raato.n ko hariim-e-naaz kaa ik aalam hoye hai nadiim khalvat me.n vo narm u.ngaliyaa.N ba.nd-e-

Page 57: Anaab Raghupati Sahay

qabaa jab khole hai.n 

Gam kaa fasaanaa sunane vaalo aaKhir-e-shab aaraam karo kal ye kahaanii phir chhe.De.nge ham bhii zaraa ab so le hai.n 

ham log ab to paraaye se hai.n kuchh to bataao haal-e-"Firaq" ab to tumhii.n ko pyaar kare hai.n ab to tumhii.n se bole hai.n

    

 

balvinder Post subject:

Posted: Fri Mar 24, 2006 3:30 pm 

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

ye nikhato.n kii narm ravii ye havaa ye raat yaad aa rahe hai.n ishq ke TuuTe ta'alluqaat 

maayuusiyo.n kii god me.n dam to.Dataa hai ishq ab bhii ko_ii banaa le to biga.Dii nahii.n hai baat 

ik umr kaT ga_ii hai tere intazaar me.n aise bhii hai.n ke kaT na sakii jin se ek raat 

Page 58: Anaab Raghupati Sahay

ham ahal-e-intazaar ke aahaT pe kaan the Tha.NDii havaa thii Gam thaa teraa Dhal chalii thii raat 

har saa_i-o-har amal me.n muhabbat kaa haath hai taamiir-e-zi.ndagii ke samajh kuchh muharakaat 

ahal-e-razaa me.n shaan-e-baGaavat bhii ho zaraa itanii bhii zi.ndagii na ho paaba.nd-e-rasmiyaat 

uTh ba.ndagii se maalik-e-taqadiir ban ke dekh kyaa vasvasaa azaab kaa kyaa kaavish-e-nijaat 

mujh ko to Gam ne fursat-e-Gam bhii na dii "Firaq" de fursat-e-hayaat na jaise Gam-e-hayaat

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-detahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

Page 59: Anaab Raghupati Sahay

    

 

balvinder Post subject:

Posted: Mon Mar 27, 2006 3:14 pm 

Junior Addict Member

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pmPosts: 10401Location: indore (india)

thar-tharii sii hai aasamaano.n me.n zor kuchh to hai naatavaano.n me.n 

[thar_tharii = tremors; naatavaa.N = weak] 

kitanaa Khaamosh hai jahaa.N lekin ik sadaa aa rahii hai kaano.n me.n 

ko_ii soche to farq kitanaa hai husn aur ishq ke fasaano.n me.n 

[farq = difference] 

maut ke bhii u.De hai.n aksar hosh zindagii ke sharaab-Khaano.n me.n 

jin kii taamiir ishq karataa hai 

Page 60: Anaab Raghupati Sahay

kaun rahataa hai un makaano.n me.n 

[taamiir = construction] 

inhii.n tinako.n me.n dekh ai bul-bul bijaliyaa.N bhii hai.n aashiyaano.n me.n

_________________mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-detahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

    

 

Display posts from previous:   Sort by   

 

Post Reply  Page 1 of 2 [ 65 posts ]  Go to page 1, 2  Next

Board index » Shairy » Great Poets and their PoetryAll times are UTC

Who is onlineUsers browsing this forum: No registered users and 3 guests

All posts Post time

Ascending Go

Page 61: Anaab Raghupati Sahay

You cannot post new topics in this forumYou cannot reply to topics in this forumYou cannot edit your posts in this forum

You cannot delete your posts in this forumYou cannot post attachments in this forum

Jump to:                                                                                    

 Powered by jungfisch crossmedia

Überwachungskamera | ip kamera | wlan kamera | Anime Manga Japan Home | Contact | Disclaimer | Imprint | Privacy

 

Great Poets and their Poetry Go