ahmed faraz poetry

28
Poetry Of Ahmed Faraz - Best Sad Romantic & Funny In Urdu And English 1. Maalal Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay~ Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay K ashq rokna tum se mohaal hona hay Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay

Upload: minhajakbar

Post on 05-Sep-2014

154 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: Ahmed Faraz Poetry

Poetry Of Ahmed Faraz - Best Sad Romantic & Funny In Urdu And English

1. Maalal

Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay~

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay K ashq rokna tum se mohaal hona hay

Har aik lab pe hay meri wafa k afsanayTere sitaam ko abhi lazawal hona hay

Tumhain

Page 2: Ahmed Faraz Poetry

khabar hi nahin tum to loot jao gay Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hayTumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaanBas intizaar hay kab yeh

Page 3: Ahmed Faraz Poetry

kamal hona hay

Har aik shaks chalay ga humari rahoon per Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jayeHumari zaat ko aisa sawal hona hay

" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga Usay bhi apne kiye ka malal hona hay  

Sad Poetry Of Ahmed

Page 4: Ahmed Faraz Poetry

Faraz

2. Ho Gayi Rukhsat

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad Ek diya jalta raha baarish ke baad

Mere behte hue Aansuo ko dekh kar Ro parri thandi hawa baarish ke baad

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

Yaad teri odh kar mein so

Page 5: Ahmed Faraz Poetry

gayi Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein Ek sitaara ro diya baarish ke baad

Apne ghar ki har kachi deewaar par Naam tera likh diya "K" baarish ke baad

Note: please iss page per sirf sad poetry of ahmed faraz hi post kare, koi aur poetry post na kare. 

Page 6: Ahmed Faraz Poetry

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 96  Post: 4586  Age:  36  Posted on:12th Jul 2009, 3:01pm

  Poetry Of Ahmed Faraz in Urdu

Hum jo toote to is tarah tootejaise hathon se girr k pathar parkoi shafaaf aaiina tootejaise palkon se toot tha aansoojaise seene main ik kamaan tootejaise umeed ki nazuk daalibarg mosam main na gahaan tootejaise aankhon main khwab ki dooriwaqt e takmeel se ulajh jayejaise pairon tale zameen niklejaise sar par yeh asmaan tootejaise ik shaakh pe bharosa kiais pe jitne thay aashiyaan tootejaise wehshat se hosh aa jayejaise ta dair main dheyaan tooteab jo raiza howay to sochte hainkis nay dekha tha tootna apnahum jo toote to raayegaan toote

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   Posted on:13th Jul 2009, 12:03am

  ahmed faraz poetry in urdu

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta HaeEk Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae

Page 7: Ahmed Faraz Poetry

Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti HainPhool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi HaeWoh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka NahiBaat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae

Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi FarazWoh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae ..!!!

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   Posted on:13th Jul 2009, 12:09am

  Sad Poetry of Ahmad Faraz

Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain 

Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain 

Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte

Page 8: Ahmed Faraz Poetry

Hain 

Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain 

Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain 

Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain 

Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain 

Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain 

Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain 

Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain 

Page 9: Ahmed Faraz Poetry

Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain 

Buhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar Chalo Faraaz~ Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4183  Age:  37  Posted on:25th Aug 2009, 9:26am

  Best Romantic Poetry Of Ahmed Faraz

tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa haike ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai

mile koi bhi teraa zikr cheer dete hainke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai

wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaalwo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai

zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil seis aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai

‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kijewo jis ke haath se sinaafigaar apanaa hai

Page 10: Ahmed Faraz Poetry

Funny Poetry Of Ahmed Faraz

Kitni dair hui koi sawal nahi ataSawal hum puchein to jawab nahi ataYe Sala bathroom me kon baitha haiItna lamba toh FARAZ ko b nahi ata

Poetry of Ahmed Faraz In English

Hum bHi shaa'ir tHey kabHi...

English translation by: Guddu Nazli

I too was a poet once O life of my words, but I cannot rememberSince I have forgotten you the love of my art too, I cannot remember

Yesterday during a coversation with my heart I learntthat any forelock, lips, any mouth, I cannot rememeber

In the city of intellect insanity is quiet as ifthe very spontainety the rabid fluidity of his speech, he cannot rememebr

Firstly I was not familiar with the mannerisms required for ruinsNow the ways and traditions of the residents of gardens, I cannot remember

Everyone asks for the shop selling arrows and quiverbut his own body, any customer cannot

Page 11: Ahmed Faraz Poetry

remember

Time has brought me to such a desert of forgetfulnessNow your name even, may I perish, I cannot remember

Is this not enough that in the state of being without countrythe abandonment of my fellow countrymen I cannot remember

Kali Zuban Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1793  Age:  27  Posted on:16th Apr 2010, 12:56pm

  Urdu Poetry Of Ahmed Faraz

ab kis ka jashn manaate ho us des ka jo taqsiim huaa ab kis ke giit sunate ho us tan-man ka jo do-nim huaa 

us Khvaab kaa jo rezaa rezaa un aa.Nkho.n kii taqadir huaa us naam kaa jo Tuka.Daa Tuka.Daa galiyo.n me.n be-tauqiir hua 

us parcham kaa jis kii hurmat baazaaro.n me.n niilaam hueeus miTTi kaa jis kii hurmat mansub uduu ke naam hue 

us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jaarii bhii nahii.n 

Page 12: Ahmed Faraz Poetry

us zaKhm kaa jo siine pe na thaa us jaan kaa jo vaarii bhi nahii.n 

us Khuun kaa jo bad_qismat thaa raaho.n me.n bahaayaa tan me.n rahaa us phuul kaa jo beqimat thaa aa.Ngan me.n khilaa yaa ban me.n rahaa 

us mashriq kaa jis ko tum ne neze kii anii marham samajhaa us maGarib kaa jis ko tum ne jitana bhii luuTaa kam samajha 

un maasumo.n kaa jin ke lahuu se tum ne farozaa.N raate.n kii.n yaa un mazalumo.n kaa jis se Khanjar kii zubaa.N me.n baate.n kii.n 

us mariyam kaa jis kii iffat luTatii hai bhare baazaaro.n me.n us iisaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai Gam_Khvaaro.n me.n 

in nauhaagaro.n kaa jin ne hame.n Khud qatl kiyaa Khud rote hai.n aise bhii kahii.n dam_saaz hue aise jallaad bhii hote hai.n 

un bhuuke nange Dhaa.Ncho.n kaa jo raqs sar-e-baazaar kare.n yaa un zaalim qazzaaqo.n kaa jo bhes badal kar vaar kare.n 

yaa un JhuuTe iqararo.n kaa jo aaj talak

Page 13: Ahmed Faraz Poetry

aifaa na hue yaa un bebas laachaaro.n kaa jo aur bhii dukh kaa nishanaa hue 

is shaahii kaa jo dast-ba-dast aa_ii hai tumhaare hisse me.n kyo.n nang-e-vatan kii baat karo kyaa rakhaa hai is qisse me.n 

aa.Nkho.n me.n chhupaaye ashko.n ko ho.nTho.n me.n vafaa ke bol liye is jashn me.n bhii shamil huu.N nauho.n se bharaa kashkol liye 

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4183  Age:  37  Posted on:1st May 2010, 1:56pm

  Poetry of Ahmad Faraz

zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hainjane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chaleab vahi log hamain abalapa kahte hain

koi batalao ke ik umr ka bichara mahabubittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain

Page 14: Ahmed Faraz Poetry

ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko terigamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain

jab talak dur hai tu teri parastish kar lainham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain

kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko 'Faraz'wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 94  Post: 5311  Age:   Posted on:13th May 2010, 9:53pm

  Poetry of Ahmed Faraz

Kissi Se Juda Hona Agar Itna Asan Hota "FARAZ"Jism Se Rooh Ko Lenay Kabhi Farishtay Na Atayyyy.....!!!

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 94  Post: 5311  Age:   Posted on:13th May 2010, 9:55pm

  Poetry of Ahmed Faraz

Tu kisi aur ke liye hoga samander-e-ishq farazhum to rooz tery sahil se piyase guzar jaty hain..

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 94  Post: 5311  Age:   Posted on:13th May 2010, 10:00pm

  Poetry of Ahmed Faraz

Page 15: Ahmed Faraz Poetry

hum un say millay to khuch keh na sakay "faraz"khushi itni they k mulaqat ansoo ponchtay he guzar gai 

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4183  Age:  37  Posted on:5th Jun 2010, 8:48am

  Poetry of Ahmad Faraz

us ne sukuut-e-shab main bhii apanaa payaam rakh diyaahijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa

aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa main aam thiimain ne bhii ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa

dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hainmain ne to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diyaa

us ne nazar nazar main hii aise bhale suKhan kahemain ne to us ke paanon main saaraa kalaam rakh diyaa

shiddat-e-tishnagii main bhii Gairat-e-maikashii rahii

Page 16: Ahmed Faraz Poetry

us ne jo pher lii nazar main ne bhii jaam rakh diya

aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbatain tujheke maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 94  Post: 5311  Age:   Posted on:10th Jun 2010, 1:34am

  Poetry of Ahmed Faraz

Kuch muhabat ka nasha tha pehle hm ko Faraz.Dil jo tota to nashe se muhabat ho gai.

---------------------------------- Yeh wafa to un dinon ki baat hay "Fraaz"Jab makaan kachy or log sachay hoa krty thy......

---------------------------------- Kon data ha umar bhar ka sahara aay Faraz.... LOG tu JANAZAY man bhi kandhay badaltay rahtay hein....

---------------------------------- "Kis ki Kya majal thi jo koi Hum ko kharid sakta",,,Faraz,.."Hum to khud hi Bik gaey kharidar dekh k"...

Page 17: Ahmed Faraz Poetry

---------------------------------- '"Ham na badlein gay waqt ki raftaar kay sath,,,'"Faraz"'Ham jab b milen gay andaz purana hoga...'".

---------------------------------- "Tera Na Ho Saka To Mar Jaon Ga Faraz.Kitna Khobsurat Wo Jhoot Bolta Tha".

---------------------------------- Wo Bewafa na tha youn hi badnaam ho gya,,,,Faraz..,...Hazaron chaheny waly thy kis kis say wafa karta......-

--------------------------------- Hum pe faqat ilzaam k hum hain zuban daraz.......hum ne to bus kaha tha hamain tum se piyar hai....!----------------------------------Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz..,Auron k $aharay to Janazay utha kartay hain..!----------------------------------Yahee soch kar us ki har baat ko sach mana hay"FARAZ"~K itnay khubsoorat Lub jhoot kesay bolain gay..~----------------------------------Bari Mushkil se Sulaaya tha Khud Ko FARAZ Main ne Aaj...!

Page 18: Ahmed Faraz Poetry

Apni Aaankon Ko Tare Khuwaab Ka Laalach Day Ker.....!----------------------------------Wo roz dekhta hai dubtay huay suraj ko faraz.Kash mai b kisi shaam ka manzir hota....!----------------------------------Main us k Haathon me thaTute hue Sheeshe ki trha "Faraz",Bari Umeed thi k bikhrne nhi dega.Bus giraya kuch is Ada se k Simatne ki Aaas hi na rahi

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 181  Post: 6115  Age:  34  Posted on:27th Jul 2010, 12:12pm

  Meri pussundeeda poem

                                                                   

Bhale DinoN ki baat hai

Bhali see aik shakl thi 

Naa yeh ky husn-e-taam ho 

Naa dekhne mein 'Aam see 

 

Naa yeh  ky woh chale tu Keh-kashaan see rahguzar laghy

magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage

Page 19: Ahmed Faraz Poetry

 

koi bhi rut ho us ki chchab

fiza ka rang-o-roop thi

woh garmiyon ki chchaaon thi

woh sardiyon ki Dhoop thi

 

na muddatoN judaa rahe

na saath subh-o-shaam ho

na rishta-e-wafa pe zid

na ye ki izn-e-'Aam ho

 

na aisi Khush libasiyaan

ki saadgi gila kare

na itni be takallufi

ki aaina haya kare

 

na ikhtilaat mein woh ram

ki bad-mazah hon Khwahishen

na is qadar supurdigi

Page 20: Ahmed Faraz Poetry

ki zach karen nawazishen

 

na aashiqi junoon ki

ki zindagi 'azaab ho

na is qadar kaThor pan

ki dosti Kharaab ho

 

kabhi to baat bhi Khafi

kabhi sukoot bhi suKhan

kabhi to kasht-e-z'afraan

kabhi udaasiyoN ka ban

 

suna hai aik 'umr hai

mu'Amilaat-e-dil ki bhi

visaal-e-jaanfiza to kya

firaaq-e-jaangusal ki bhi

 

so aik roz kya hua

wafa pe bahas cherr gayi

Page 21: Ahmed Faraz Poetry

main ishq ko amar kahoon

woh meri zid se chidh gayi

 

main ishq ka aseer tha

woh ishq ko qafas kahe

ki umr bhar ke saath ko

woh bad-taraz-hawas kahe

 

"shajar hajr nahin ki ham

hamesh pa ba gul rahen

na Dhor hain ki rassiyaan

gale main mustaqil rahain

 

mohabbatoN ki vus'Atain

hamare dst-o-pa mein hain

bas aik dar se nisbatein

sagaan-e-bawafa mein hain

 

main koi painting nahi

Page 22: Ahmed Faraz Poetry

ki aik frame meiN rahoon

wahi jo man ka meet ho

usi ke praim meiN rahoon

 

tumhari soch jo bhi ho

main is mizaaj ki nahin

mujhe wafa se bair hai

ye baat aaj ki nahin"

 

na us ko mujh pe maan tha

na mujh ko us pe za'Am hi

jo 'ahad hi koi na hoi

to kya gham-e-shakistagi

 

so apna apna raasta

hansi Khushi badal diya

woh apni raah chal padi

main apni raah chal diya

 

Page 23: Ahmed Faraz Poetry

bhali si aik shakl thi

bhali si us ki doosti

ab us ki yaad raat din

nahin, magar "kabhi kabhi"